More

    Sugar Mein Kya Khaye aur Kya Nahi 10 Food Tips Hindi Mein

    Disease - बीमारीSugar Mein Kya Khaye aur Kya Nahi 10 Food Tips Hindi Mein

    Sugar Mein Kya Khaye aur Kya Nahi Khana Chahiye: Aaj ke daur mein hamare busy lifestyle aur khaan paan ki galat aadto ke karan adhiktar log kisi na kisi rog se parbhavit rehte hai jinme se blood pressure aur sugar (madhumeh) kuch aesi bimariya hai jo jivan ko puri tarah badal deti hai. Diabetes mein sharir mein insulin ki kami ho jati hai. Aajkal to chote bacho mein bhi sugar hone lagi hai. Gharelu upay aur desi nuskhe apna kar sugar ka ilaj ghar par kiya ja sakta hai par kisi bhi bimari ke treatment ke sath sath kuch aur baato ka khayal rakhna jaruri hai jo hame jaldi swasth karne mein madad karti hai. Aaiye jane foods to eat in diabetes in hindi.

    Aese bahut se log hai jo sugar hone ke baad bhi kuch bhi kha pi lete hai par kuch aesi foods bhi hai jinka sevan sugar ke rogi ko nahi karna chahiye. Sugar ko badhne se rokne ke liye kuch log khane pine mein apni pasand ki chijo ko chod dete hai kyuki bahut se logo ko is bare mein jankari nahi hoti ki sugar me kya khaye aur kya nahi khana chahiye. Aaj is lekh mein hum janenge ki diabetes ka rogi kya khaye aur kya nahi.

    Sugar mein kya khaye – Diabetes foods in hindi

    1. Khane mein fiber ki matra adhik le. Sabjiyo mein broccoli, shimla mirch, bhindi, kheera, gajar, kaddu, shalgam, kakadi, sarson ka sag, fullgobhi, muli, bandgobhi, tamatar aur karela kha sakte hai. Iske ilava methi, palak aur hari patedar sabjiyo ka sevan kar sakte hai.

    2. Fruits mein aanwla, amrud, jamun, kharbuja, papita, nimbu aur santra kha sakte hai. Har roj 100 se 150 graam fruits kha sakte hai par inhe bhojan se alag khaye.

    3. Bahut se logo ka ye sawal hota hai ki kya sugar ke rogi non veg kha sakte hai. Sugar mein ande, fish aur chicken kha sakte hai par kam khaye to behtar hai. Iske ilava matan ka sevan nahi kare.

    4. Din mein 2 se 3 cup bina meethe ki chai pi sakte hai. Iske ilava namkin lassi bhi pi sakte hai. Oats, brown bread, daliya khaye.

    5. Lehsun, methi aur daalchini blood mein glucose ke level ko kam karta hai aur gud se cholesterol badhta hai.

    6. Bina polish wala chawal, brown rice, choker mila aata, chilke wali dale paryog kare.

    7. Doodh, paneer, dahi le jinme fat kam ho. Double toond doodh pina acha hai.

    8. Green tea body mein glucose sokhne ki shamta ko bdhati hai.

    9. Sabut chana, soyabean, rajma le. Sprouts bhi kha sakte hai.

    10. Sarson, soyabean, surajmukhi ka tel paryog mein laaye.

    Diabetes ke patient ko pure din 1600 se 1700 tak calorie leni chahiye. Sugar control mein rakhne ke liye balanced diet ke sath sahi samay par khana khana bhi jaruri hai aur agar inke sath thoda yoga aur exercise par dhyan de to aur bhi acha hai.

    Diabetes Me Kya Nahi Khana Chahiye

    1. Meethe se dur rahe. Bahut se log hai jinhe meetha khana pasand nahi fir bhi unhe sugar ho jati hai. Diabetes hone ka parmukh karan meetha khana nahi hai par jab ye ho jaye tab meetha khane se parhej karna chahiye.

    2. Carbohydrates aur vasa wali chije khane se diabetes ka khatra badhta hai, isliye isse bachna hai to bhojan mein carbohydrates aur vasa ki matra kam rakhe. Chawal khane se bache.

    3. Junk food khane se bache. Junk food se sugar ka khatra aur bhi badh jata hai. Khane mein tali hui cheejo se dur rahe. Pestri, cake, icecream se parhej kare.

    4. Fruits mein kela, seb, chiku, aam, angur, lichi jese fruits na khaye. Falo ka juice pine se bache, juice pine ki bajay fal khaye.

    5. Sukha meva na khaye aur agar khana hi hai to paani mein bhigo kar khaye.

    6. Arbi, aaloo, shakargandi na khaye ya kam khaye.

    7. Chini, murabba, sharbat aur cold drinks na piye.

    8. Noodles aur maide se bani roti, naan na khaye.

    9. Apni diet mein nariyal ka tel aur ghee na le.

    10. Chai bina malai aur chini ke piye.

    Diabetes Diet Tips in Hindi

    • Mithaiya (sweets) khane se bache. Agar khani hi hai to aajkal sugar free mithaiya bhi bazaar mein mil jati hai wahi khaye aur vo bhi jada mat khaye.
    • Sugar se parbhavit vyakti ko samay par bhojan karna chahiye. Bara bar khane ki bajay khane ka ek samay nishchit kare.
    • Chini khane se bache aur agar man kare to sugar free tablets istemal kare.
    • Jada der tak bhukhe na rahe, isliye upwaas (vrat) rakhne se parhej kare.
    • Sharab beer aur kisi bhi tarah ke nashe se dur rahe.
    • Bhojan karne se pahle ek katori  salad khaye.
    • Khana dhire aur chba chba kar khaye.
    • Apna weight control mein rakhe.

    Sugar ke rogi ko har 2 se 3 mahine mein ek baar blood aur urine test karwana chahiye taki blood sugar level ki  jankari rahe.

    Sugar Kam Karne ke Upay in Hindi

    Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Dosto Sugar Mein Kya Khaye aur Kya Nahi Khana Chahiye, Diabetes Diet Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass sugar ke gharelu ilaj ke upay ya koi anubhav ho to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    1. sir jab sugar hota hai to body ke ek side me hi problem hota h kyuki meri ma chal nhi pati h bilkul sara test karaya to sirf sugar nikla aur vo bilkul bhi chal nhi pati ab kya kare

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles