Cancer symptoms in men and women in hindi: Cancer ek janleva rog hai par agar sahi samay par cancer ke lakshan pehchan liye jaye to iska ilaj karne me aasani hoti hai. First stage me hi cancer ka pta lag jaye to treatment me jada pareshani nahi hoti. Cancer ke early symptoms dikhne par chemotherapy aur radiotherapy se ilaj aasani se ho sakta hai aur iske ilava gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se bhi cancer jad se khatam kiya ja sakta hai. Pursho me lung, throat, mouth, jeebh, prostate, neck, liver cancer jada hota hai aur mahilao me stan (breast), thyroid, garbhashay aur brain cancer hone ki sambhavna adhik hoti hai. Aaj is lekh me hum janenge cancer kaise hota hai aur cancer ke lakshan karan aur upay in hindi.
कैंसर किस कारण होता है – Cancer hone ke karan kya hai
- Cancer kaise hota hai ye samjhne ke liye hame sharir me cells banne aur khatam hone ke process ke bare me janna hoga. Hamari body me 100 se 1000 tak kharab koshikaye (cells) hoti hai aur har samay hamare sharir me naye cells bante hai aur purane kharab cells khatam hote hai.
- Red aur white blood cells ka balance bigadne aur cells ka banna control se bahar hone ke karan cancer ka rog hota hai.
- Khane pine ki galat aadte, sharab aur smoking ke karan cell ke genetic order me badlav aane lagta hai jisse sharir me cancer failta hai.
- Cancer ke cells sharir me sahi cells ke kaam me rukawat dalte hai aur ye bimar cells body me ghumte rehte hai aur sharir ke dusre ang me ja kar naye bimar cells banate hai jis wajah se us ang ke kaam me bhi problem aane lagti hai.
- Kya khane se cancer hota hai – tambaco, bidi cigret, sharab, charbi badhane wale food, jada namak, aese foods jo digest hone me jada samay le.
- Mahilao me cancer hone ka karan jada garbh nirodhak dawa ka istemal, bacche ko apna doodh nhi pilana hai.
कैंसर के लक्षण – Cancer ke lakshan
Symptoms of Cancer in Men and Women in Hindi
1. Cancer ke early symptoms me achanak se kafi weight loss hona ek bada lakshan hai. Jin logo ko cancer ki bimari hoti hai unka vajan teji se kam hone lagta hai.
2. Thakan aur sharirik kamjori cancer ka ek parmukh lakshan hai. Is bimari me rogi bina kuch kiye bhi thaka thaka rehta hai.
3. Bukhar hona bhi cancer ka lakshan hai. Is rog me sharir ki rog pratirodhak shamta kam ho jati hai jis karan rogi ko bukhar rehne lagta hai. Blood cancer me aksar bukhar ke lakshan dikhte hai.
4. Skin kaali padna, bewajah sawlapan aana aur tvacha ka pila padna bhi cancer hone ke lakshan hai.
5. Lambe samay tak kabj ki shikayat rehna ya fir lambe samay tak diarrhea (dast) ki samasya rahe to ye pet ke cancer ke symptoms ho sakte hai.
6. Cancer hone par pachan kriya kamjor ho jati hai, agar khana thik se digest na ho rha ho to ye bhi stomach cancer ho sakta hai.
7. Brain cancer me rogi ko aksar sir dard ki shikayat rehti hai jo upchar aur dawa se bhi thik nhi ho pata.
8. Peshab karte waqt agar dard ho ya peshab me blood aa rha ho to ye prostate cancer ho sakta hai.
9. Breast me ganth hona stan cancer ke lakshan hai. Breast cancer ki shikayat kewal mahilao me hi nahi pursho me bhi ho sakti hai.
10. Sardi aur jukham me cough aana normal hai par agar ye cough lambe samay tak rahe to ye cancer ki pehchan ho sakti hai.
11. Khate pite samay dard hona aur kuch bhi nigalne me taklif hona throat cancer ke lakshan hai.
12. Khansi, peshab aur mal tyag ke samay khoon aana bhi cancer ho sakta hai. Aesi jagah se blood aana jaha se blood aane ki sambhavna naa ho to vo cancer symptoms me se ek hai.
13. Jab hame chot lagti hai to vo kuch samay baad thik ho jati hai par agar lambe samay tak treatment ke baad bhi ghav thik naa ho ya fir ghav ki jagah koi ganth ban jaye aur isme koi dard naa ho to bhi cancer ke sanket ho sakte hai.
14. Cancer ki pehchan jitni jaldi hogi iske ilaj me utni hi aasai hogi. Cancer ke lakshan dikhte hi turant dictor se milna chahiye.
स्तन कैंसर के लक्षण – Breast Cancer Symptoms in Hindi
- Stano me dard hona, khujli ya dhabbe padna.
- Breast size me badlav dikhna.
- Kisi breast ka size achanak se kam ho jana.
- Breast me doodh ke ilava koi aur taral pdarth nikalna.
- Stan me ganth banna ya breast ki ek side par sujan aana.
मुंह के कैंसर के लक्षण – Mouth cancer information in hindi
- Munh me kahi dard ya sunn hona.
- Jeebh hilane par bhi dard hona.
- Munh me koi jakham ya fir koi ganth hona.
- Jaabh, honth ya munh me kisi jagah par rang laal ya safed hona.
गले के कैंसर के शुरुआती लक्षण – Gale ka cancer in hindi
- Kuch bhi nigalne me pareshani honaa.
- Lambe samay tak khansi, kharash ya gale me dard rehna.
- Gale me sujan rehna.
- Teji se vajan kam hona.
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
- Baba Ramdev Patanjali ki Ayurvedic Dawa
Dosto Cancer ke lakshan karan aur upay, Symptoms of cancer in men and women in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass breast, mouth, throat, blood, cervical, neck, stomach, lungs, liver cancer ke early symptoms se jude sujhav hai to hamare sath share kare.