Gharelu nuskhe for glowing face in hindi: Chehre ka nikhar vyakti ki personality aur bhi bdha deta hai. Chehre par nikhar aur chamak ho to sanwle rang ke log bhi sundar dikhte hai. Aaj ki is busy life mein hamare pass itna time nahi hai ki hum ghar par gharelu tarike aur desi nuskhe se face pack banane mein kai ghante lagaye, isliye aaj hum aap ko kuch aasan aur jaldi hone wale face glowing homemade beauty tips bta rhe hai jinke paryog se aadhe ghante mein hi aap ke chehre par nikhar lane aur chamak ke upay kar sakenge.
Chehre par glow lana ho ya rang gora karna ho hum kai parkar ki beauty cream aur lotion try karte hai par inse umeed mutabik fayda nahi mil pata aur kai baar to in crèam ke paryog se skin aur bhi kharab ho jati hai. Bejan tavacha par keel muhase, wrinkles, chote chote dane, gadde aur rang kala padna jesi pareshaniya aana sawbhavik hai. Isliye face ki beauty bnaye rakhne aur pimples, dry, oily skin jesi samasyao ke ilaj ke liye gharelu tarike apnana behtar hai.
Chehre Par Nikhar Lane ke Upay
Gharelu Nuskhe for Face in Hindi
Kai bar hame kisi function ya party mein jana hota hai aur hamare pass ready hone ka jada time nahi hota, aese mein hame kuch aese upay aur gharelu face pack ki jarurat hoti hai jisse chehre par nikhar jaldi aa jaye. Yha likhe hue glowing face ke liye gharelu nuskhe aap ghar par paryog hone wali cheejo se jaldi kar sakte hai.
1. Aaloo (Potato)
- Face par glow lane ke upay me jadatar bleach cream ka sahara liya jata hai par aap iske liye natural tarike bhi kar sakti hai. Aaloo mein bleach ke gun hote hai jo skin tone ko halka karne mein madad karta hai.
- Face clean karne aur glow lane ke ilava is upay se chehre ke muhase (acne) hatane mein bhi madad milti hai.
- Glowing face ke liye aaloo ko pees le aur iska paste bana kar face par lagaye aur 20 se 25 minute baad chehra dho le.
2. Haldi aur Malai
- Haldi ko malai mein milakar chehre par ragde aur kuch der ke liye chod de. Lagbhag 5 minute baad face dho le aap ke face ki skin par ronak dikhne lagegi.
- Glowing skin ke liye haldi besan aur chandan ka face pack chehre par malne se tvacha saaf hoti hai.
3. Tamatar (Tamato)
- Tamatar mein antioxidant bharpur maatra mein hote hai. Aaloo ki tarah tamatar main bhi natural bleach ke gun hote hai.
- Tamatar ko ache se pees kar paste bana le, chehre par lagaye aur 15 se 20 minute ke liye aese hi chod de aur baad mein thande paani se face wash kar le. Is upay se face ke daag aur dhabbe bhi saaf hote hai.
4. Tarbuj
Tarbuj kaat kar iske gudde ko pees kar paste bana le aur chehre par lagaye, iske ilava tarbuj ke chilko ke aandar ke hisse ko chehre par malne se bhi skin fresh ho jati hai aur chehre par glow aane lagta hai.
5. Papita (Papaya)
- Chehre par chamak aur nikhar lane ke liye kachhe papite ka face pack bhi paryog kar sakte hai. Papita pees kar isme kuch boonde gulab jal ki mila le aur ek paste bana le aur face mask ke jese chehre par laga kar chod de aur 15 minute baad chehra dho le.
In nuskho ke ilava aap ghar par kuch aur gharelu upay apna kar sundar aur bedaag chehra pa sakte hai.
Glowing Face Tips in Hindi
- Shahad aur doodh milakar lagaye.
- Tulsi ke patte pees kar face par lagaye.
- Nimbu ka ras aur shahad mila kar lagaye.
- Besan aur haldi rai ke tel mein milakar lagaye.
- Nimbu ka ras dahi mein mila kar face par lagaye.
- Shahad aur masoor ki daal ka paste bana kar paryog kare.
Chehre par Nikhar Kaise Laye
- Pani adhik matra mein piye.
- Junk food khane se parhej kare.
- Pet saaf rakhe aur kabz hone se bache.
- Hari sabjiya aur fruits khaye taki skin healthy rahe.
- Khaan saaf karne ke upay kare aur sharir ki pachan kriya darust rakhe, body detox karne ke liye 2 din ka upwas rakh sakte hai.
Gharelu Beauty Tips for Face in Hindi
Yha btaye hue face glow karne ke gharelu nuskhe mens aur womens koi bhi paryog kar sakte hai par agar aapki skin sensitive hai to pahle ise body ke kisi aur hisse par lga kar check kare uske baad hi chehre par lagaye.
Dosto Chehre Par Nikhar Lane ke Upay, Gharelu Nuskhe for Face in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa lga hame comment kar ke btaye aur agar aapke pass chehre ki chamak lane ke tarike ya face glow ke beauty tips ka desi ilaj hai to hamare sath share kare.
Dear sir….. mere body me mole aarhe he… means…til nhi me wo…. dusre mole he… plz help me sir….
maine aapke btaie sabhi upay kiya lekin mera scar theek nhi hua koi ilaj btaie
Mai apne face me kya lagau itana time nahi milata mujhe so kuch khane se mera pimples aur iska daag thik ho sake aisa upay bata dijiye sir plz….
दोस्त पिम्पल्स और उसके दाग हटाने के घरेलू उपाय यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/chehre-se-kale-daag-dhabbe-nishan-pimples-hatane-ke-upay-nuskhe-hindi/