More

    लकवा का देसी इलाज,पैरालिसिस ट्रीटमेंट इन हिंदी

    Disease - बीमारीलकवा का देसी इलाज,पैरालिसिस ट्रीटमेंट इन हिंदी

    दोस्तों हम सभी जानते हैं कि लकवा यानि कि पक्षाघात एक जानलेवा बीमारी है। कई बार पक्षाघात से पीड़ित रोगी की सही समय पर सही इलाज न मिलने से मौत भी हो जाती है। आज हम इस लेख में पक्षाघात के सभी पहलुओं को देखेंगे। साथ ही हम इस लेख में बताएंगे कि लकवा पीड़ित व्यक्ति को प्राथमिक उपचार में क्या देना चाहिए। पक्षाघात का मुख्य कारण क्या है? ऐसी खतरनाक बीमारी से खुद को कैसे बचाएं?

    Lakwa Ka Desi Ilaj: Lakava ko paralysis bhi kaha jata hai. Jiski wajah se laqwa garasit vyakti chalne firne aur shareer ko mehsoos karne ki shakti kho detaa hai. Jab hamari body ke kisi ang ya fir puri body ki maanspeshiyaa kaam karna band kar deti hai to us avastha ko pakshaghaat, faalij ya lakava kehate hai. Shareer ke jis hisse par laqwa(paralysis stroke) hua hai us ang ka uthana, aur chalana firana lagbhag ruk jaata hai.

    Vese to laqwa kisi ko bhi ho sakta hai par jadatar ye sthiti jada umar ke logo mein hi dekhi jaati hai. Is rog se ubarane mein bahut vakt lag sakta hai aur kai baar ye bimari lailaj bhi ban jaati hai.

    Lakwa Hone Ke Lakshan Kya Hai (Paralysis Symptoms)

    • Sharer mein akdan aana, dody ka koi hissa bar bar sun pad jana aur haath pair uthane aur chalane mein pareshani aana.
    • Sir dard karna, chakkar aana ya behosh hona.
    • Baat karne mein attakna, tutlana ya fir bolne mein koi problem hona.
    • Dekhne me pareshani hona. Dhundhla dikhana ya fir koi cheej 2-2 dikhayi dena.

    Lakava Hone Ke Kaaran (Causes)

    Shareer mein paralysis kai kaarano se ho sakta hai.

    1. Paralysis Attack: Paralysis ka attack pure shareer par bhi aa sakta hai aur aadhe par bhi. Shareer ke kisi ek ang par bhi lakwa ho sakta hai, jaise ki chehre par lakwa hona ya fir kisi ek haath aur pair ko laqwa lagna.
    2. Spinal Cord Injury: Reedh ki haddi par chot lagane se jab spinal cord par iska parbhaav padta hai to bhi paralysis ho sakta hai. Agar kisi ke kamar ki taraf se spinal cord ko chot lagti hai to rogi ke pairo ki sensation aur pair uthane, hilane aur chalane ki shamta par parbhaav padta hai. Aur agar injury gardan se cervical wali jagah par chot lagi to ye parbhaav pairo ke sath sath haatho par bhi padta hai. Spinal cord injury mein vyakti ko mal-mutar karne ki samsya bhi uthani padti hai aur parjnana shakti bhi chali jaati hai. Spinal cord injury ka abhi tak koi treatment nhi hai, ye chot lagane par rogi ko jada se jada physiotherapy karni chahiye. Excsersise aur yoga karke khoyi hui power kuch had tak wapis aa sakti hai.
    3. Muscular Dystrophy: Is bimari se parbhavit vyakti ke sharer ki nasse kamjor padne lagti hai jisse vyakti dhere dhere chalne firne mein asmarth hone lagta hai.
    4. Kai baar hame sleep disk aur cervical ki takleef hoti hai jisse hame bahut teej dard hota hai aur haath pair sun padne lagte hai. Aise mein kai log dard se chutkara pane ke liye reedh ki haddi ka operation karwate hai, aur operation ke dauran jadatar logo ki spinal cord par parbhaav pad jata hai jisse vo chalne firane ki shakti kho dete hai. Agar kisi ko aisi koi takleef hai to hamari yahi salah hai ki surgery karwane se behtar hai aap physiotherapy karne par dhyaan de.
    5. Hamari body ke sabhi ango ko kaary karne ke liye blood ki jarurat padati hai lekin jab achanak mastishk(dimaag) ke kisi hisse me khoon ka dauraa ruk jaata hai ya fir dimaag ki koi nas fatt jaati hai aur mastishk ki koshikao ke aas-paas khoon jama(stroke) ho jaata hai to aisi avastha mein body ke kisi bhi hisse mein lakwa ho sakta hai.
    6. Aksar kam umar mein ki hui bahut si galatiyaa jaise bhog-vilaas karna, smoking aur drinking karana, maaspeshiyo ki kisi chot mein laaparwaahi karna ya bahut aalas karna aadi kai kaarano se shareer ki karya karne ki shakti kamjor padane lagti hai isiliye umar badhane ke saath saath is rog ki sambhavana bhi adhik ho jaati hai. Demaag ke kisi nass mein khoon ka thakka banane ke kaaran blood circulation band ho jata hai jisse body ke us hisse mein laqwa ho jaata hai.

    Paralysis attack aane par agar rogi ko turant treatment mil jaye aur blood circulation fir se shuru ho jaye matlab khoon ka thakka theek ho jaye to rogi ki sthiti mein sheeghr sudhaar ho sakta hai aur jald hi bilkul theek bhi ho sakta hai, par agar khoon ka pravaah shuru na ho sake to sthaayi lakava bhi ho sakta hai.

    Parheej Kya Kare (Precautions)

    • Lakave ke mareej ko kisi bhi prakaar ki nashili cheejo se parahej karna chaahiye, aur bhojan mein tel, ghee, maans, machhali ka upayog nahi karna chahiye.

    Lakwa Ka Desi Ilaj: Paralysis Treatment At Home

    Is leekh mein ham aapko lakwa dur karne ke gharelu upchar ki kuch jaruri jaankaariyaa aur upay bata rahe hai jisko apnakar lakwe mein jald hi bahut aaraam milne lagega.

    1. 250 graam tel me 50 se 60 gram kaali mirch mila kar kuch der tak pakaye. Ab is tel se lakave se prabhaveet ang par patla-patla leep kare. Dhyaan rahe ki is tel ko usi samay bana kar gunguna karke lagaya jaata hai. 30 din tak har roj iske upyog se laqwa door hota hai.
    2. Lakwa mein maalish: Lakwa ka desi ilaj mein maalish karne se bhi fayda milta hai. Lakava hone par kalaunjee ke tel ko halka garam karke malis kare aur din mein 3 baar ek bada chammach tel ka sevan kare.  Ek mahine mein hi aaraam milne lagega.
    3. Lakawe ka attack padane par turant 50 se 100 gram til ka tel garm karke pee jaye aur saath mein thoda lehasun bhi chaba chaba kar khaye. Attack aate hi lakave se prabhaavit ang aur sir par senk karna shuru kar de aur 8 din ke baad malis kare.
    4. Lakava hone par lahasun ki 5 kaliyo ko pees kar use 2 chamach shahad mein mila kar chaate. 30 se 40 dino mein hi lakave mein fayda milne lagega.
    5. Iske ilaava lehasun ki 5 kaliya doodh mein ubaal kar uska sevan kare. Isse blood pressure bhi theek rahega aur lakava se grast ang mein jaan bhi aa jayegi.
    6. Lehasun ka thik se upyog lakave ke ilaj mein bahut hi kargar hai. Lahasun se upchaar karne mein pahale din lahasun ki ek kalee paani ke saath nigal le, fir har roj 1-1 kali badhaate rahe. Matlab dusre din 2 kali, tisare din 3 kali fir 21ve din puri 21 kaliyaa paani ke sath nigale, uske baad har roj 1-1 kali ghataate hue nigale.  Lehasun ke is prayog ko karne se laqave mein sheghr hi aaram milata hai.
    7. Desi gaay ke shudh ghee ki 2 boondo ko har roj subah shaam naak mein daalne se migraine ki samasya jad se khatam ho jaati hai, baal jhadne band hote hai, deemag tej hota hai, koma ke mareej ki chetana lautane lagti hai aur paralysis ke ilaaj mein bhi bahut aaram milata hai.
    8. Rojana udad aur saunth ko ubaal kar iska paani piye. Har roj iske paryog se lakave mein bahut sudhaar hota hai.
    9. Har roj doodh mein bhigo kar chhuhaara khane se lakave ke rog mein bahut fayda hota hai. Ek baar mein 4 se jada chhuhare nahi khana chahiye.
    10. Shareer ke jis hisse par laqwa hua ho, us ang par khajoor ka guda malne se bhi lakave mein aaram milta hai.
    11. Khaane ke tel mein kaali udad ki daal ko garm kar ke us tel se lakava grast ang par malis karane se laabh milata hai.
    12. 5 gram baareek pisi adarak aur 10 gram kaali udad ki daal ko 50 graam saraso ke tel mein 5 minute tak garam kar ke isme 2 graam pisa hua kapoor ka choora daal de. Ab is tel ko halka garm rahne par jodo ki malish karne se usme dard mein aaram milata hai. Is tel ke rojana isteemaal karne se lakave aur gathiya ki samasya mein gajab ka fayda milta hai.
    13. 50 graam shahad 2 mahine tak lagataar khaane se paralysis se grast ango mein fayda milata hai.
    14. Lakave ki samasya mein karela jabaradast faayda karta hai. Lakave ke rogiyo ko karela jada se jada khana chaahiye aur ho sake to kacha karela bhi khana chaahiye.
    15. Raat ko sone se pehle taanbe ke jug ya loote mein 1 litre paani bhar kar rakhe aur usme ek chaandi ka sikka bhi dale. Subh uth kar khaali pet ise piye aur aadhe se poone ghante tak kuch khaye piye nahi. Iske paryog se lakwa ki bimari mein kaafi fayda milta hai.

    Dosto agar aap kisi aise vyakti ko jante hai jo lakave ki bimari se parbhavit hai to unke sath lakwa ka desi ilaj karne ki ye jankariya share kare taaki vo is rog se chutkara pa sake. Aur agar aapke pass koi anubhav ya gharelu upay hai to hamare sath bhi share kare.

    Gharelu nuskhe, ayurvedic, homeopathic upchaar aur desi ilaj ke sath sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.

    Recent Articles

    229 COMMENTS

    1. Hi sir
      My dad is suffering from this diseases from sence last 6 year right hand and right leg what is the process to do normal

      • Hi Roaf,

        Very sad to know about your dad health. my friend its very long time period, along with homeremedies or other treatment, try to focus on physiotherapy and some yoga. Make sure your dad do all these in supervision of some expert. Also contact wd ayurvedic vedh.

    2. Mere dada ji 3 mnth se paraliyesed h bed me h nd bed sole v ho gaya h sir kuch ilaj btaye plz doc ka kehna h ki o ni thk hoge medicine respond ni kar rha h

      • Hena agar dada ji ko lakwa ka attack aaya hai to upar bataye hue upay try kare aur agar unhe spinal cord injury hui hai to unka physiotherapy start karwaye. Aesi condition mein body ka dhyaan na rakhne ki wajh se bed sore ho jata hai. Abhi bed sore ka treatment karna bhut jaruri hai nahi to ye aur bhi critical ho sakta hai aur kai pareshaniya aur aa sakti hai.
        1. Most important: Bed Sore par bilkul bhi pressure nahi aana chahiye. Agar bed sore par dabav rahega to ye thik nahi ho payega. Agar bed sore kamar par hai to dadi jo ko ulta leetne ko kahiye aur jab seedhe leete tab bhi side le kar letna hai aur har 2 ghante mein side change karna hai.
        2. Kamar par har roj powder ya nariyal ke tel lagaye taki kisi aur jagah sore na ho jaye.
        3. Khane peene mein egg aur daal jada khane ko de. Aur kuch aesi cheeje diet mein add kare jo ghaav bharne mein madad kare.
        4. Sore ki dressing rojana kare. Agar sore jada bada ho gaya hai to kisi doctor ko dikhaye.
        5. Kuch aise ointment aate hai jo sore ko heal karne mein madad karte hai aap kisi doctor ki advice le kar koi ointment ya gel shuru kar sakte hai.

        • Sir me ek faujii huu….training kk dauran runing time me gira tha aur per k unglii me moch aaaya thaa…avi tk moch hh..thik ni huaa…aurr mera right side sar se le kr k per tk sun hotaa hh..aur thodha dard hota hh……continue physotherapy chl rha h koi aaraam nhii..MR I report me gardan kaa ven daba hua hh…….kya ye peralise ka lakhyan h….kya kru …sir tell me…..

          • Gangadhar ji manko par pressure aane se spnial cord par dabav aane lagta hai jisse hath pairo mein dard aur sunpan jese lakshan dikhte hai, ise exercises se thik kiya ja sakta hai, jada jankari ke liye neuro specialist se consult kare.

    3. Sir mere papa ko shyad lakwa ka laksan hai avi 4 din pahle left pair kaam krna band hua tha fir dhree dhree haat kaam krna band ho gya abi wo bol bhi nhi paa rahe , lekin jo pais haat kaam krna band hua us pair haat me dard feel hota hai unki age 68 Hai , kya lakwa me jis site hota hai dard feel hota hai kyo ki unhe dard feeel hota papa avi hospital me hai neuro sergen k pass kya papa thik ho jyenge kya ye lakwa hai ye brain se problm hai pls suggest us sir

      • Sahil lakwa, spinal cord aur brain problems ke lakshan sab mein same ho esa jaruri nhi, lakwa ka attack aane par kuch logo ke ang sun ho jaate hai aur kuch logo ko mehsoos hota hai. Ye lakwa h ya brain ki koi problem ye doctor hi ache se bta sakte hai. isliye diagnose thik se hona jaruri hai. CT Scan aur MRI jese test body diagnose mein kafi help karte hai. Agar ye lakwe ka attack hai to in upayo ka isteemaal karne se pahle doctor ki salah jarur le aur apne papa ka dhyaan rakhe shareer par koi bed sore na hone de.

    4. Thanku sir ,
      but dr. Neuro surgen hai , n mri report me bhi bol rahe ki kuch pata nhi chl raha hai , unka khana hai agar left side me lakwa maarta v hai to awaj nhi jaati hai , but sir papa bolte bhi nhi , aur ab to kud se baith bhi paa rahe , papa ko ye chij pata hai kya kb krna , isara karte hai but hmlog samj nhi pate hai bahut gussa se kuch kuch bolne lagte hai , aur agar wo jo bolna chate hai samj jaane k baad normal ho jaate hai fir aur so jaate , kya is traha ka koi case aapne dekha suna hai agar dekha suna hai sir to pls guide kre sir ki kya prblm ho sakta hai , dr. Jo bolnge wo to hoga hi but aapka suggestion mere family k bahut helpfull ho sakta hai

      • Sahil agar koi insaan ek dum se bed par aa jaye to unke savbhaav mein gussa hona aur chidchidapan aana sawbhavik hai. Aap unse bilkul pyaar se pesh aaye aur unhe ehsaas dilaye ki aap unke dard aur takleef ko samjhte hai aur is mushkil mein sab aapke sath hai. Sahil jesa aap bta rahe h esa lagta hai ki lakwa hai(not sure) fir bhi proper diagnose jaruri hai.
        Agar doctor bhi aapko sahi diagnose nhi kar pa rha to jaruri hai ki 2nd opinion le aur kisi doctor ko dikhaye. New delhi ke vasant kunj mein ek hospital h indian spinal injury center aur south india ke vellore mein CMC naam se ek hospital h jo spinal specialist hai, aap chahe to yaha bhi visit kar sakte hai.

    5. Thnkss sir , dr. Ne cnf kra ki lakwa hai aur sir saat me sugar v nikla , kya sugar k karna bol nhi paa rahe kya sir kyoki level bahut jyda hai 350 Hai , kyoki dr. Ka khna hai lakwa me bolna band nhi hota hai

    6. Hi mere fiancee ka 1 sal phle accident hua tha unke mind me injury hui thi us tym wo semi concious the fr hosh me aa gye tb kisi nas k dab jane se wo chl aur bol nhi paate the ab halka halka chal lete hai aur bolna b halka halka hi hai unka ek side weak hai doctor ne kh diya k ab medicine jitna thk kr skti thi kr diya baki physiotherapy karao..daily exercise krte hai wo bt ab wo phle jaise kb tak bol n chal payenge…kya ye gharelu nushke unke liye beneficial honge

      • Shallu head aur spinal cord injury ke case mein physiothearpy karna hi sab se better hai, jitna ho sake unse baat kare aur postive kare isse unhe confidence milega. Delhi mein kailash colony ke pass jamrudpur mein indian head injury foundation hospital hai jise DCWA bhi kehte hai, yha par head injury ke patients ko rehablition aur physiothearpy karwate hai. Is leekh mein bataye kisi upay ko apnane se pahle doctore ki salah jarur le.

    7. Meri ek frnd ko achank face k left side sujan feel ho rai h,aur left ankh ki palak jhapakne me v prblm ho rai h,aur kehti h jaise chehra,right side ghum hua lagrha h pani pine par left side se gir jata h.kya ye lakwa h,uski age 29 h,kya kre plz.sujjest.

      • Sharma Ji jese aapne bataya hai ye lakshan chehre par lakwa hone ke hai…aap ssbse pahle kisi doctor ko dikha kar pura diagnose karwaye aur agar ye lakwa hi hai to docot ki salah se is leekh mein bataye upay apna sakte hai.

    8. Thanks sir g ! To aap kya sujjest krte h sir,upar likhe nuskhe se kaunsa nuskha zada helpful hoga,face kelie.

      • Kisi bhi bimari ke upchar ke tarike bahut hote hai par hum vo tarika isteemaal karne ki koshush karte hai jo suit kare, aasani se available hu aur result acha mile..Gharelu nuskhe ke isteemaal mein bhi kuch esa kar sakte hai aap.

    9. Mgr use left side sb feel horha h jaise pinch krne par ya marne par pain .bs us side ke face k parts r nt wrkng .lakwa hi h kya ?

      • jese mene aapko bataye ye lakshan lakwa ke hi hai. par dost kisi bhi bimari ke ilaj ke liye puri tarah bimari ka kaaran pta hona jaruri hai, isliye kisi doctor se proper diagnose karwaye fir iska ilaj shuru kare.

        • Dr shab pur naam mera Nam Aquil Hi mera baye pear sukhgiya hi khun ki dowra bahut kaam hi me pear me hath lagakr chal ta hu mera umar 23 Hi 8 saal ki umar me huwatha dr shab aap koi upaye btaye

          • Aquil hum doctor nahi hai, hum yha bimariyo ke upchar ke liye gharelu nuskhe promote karte hai. Aap apne najdiki kisi ayurveda vaid se mile vo aapko dekh kar bata sakenge ki kon sa upay karna chahiye.

    10. Ok thanks,par kya is age me paralysis hote h,kya reasons ho skte h,b.coz nato use koi buri adat h,na chot lagi,fr atonce? ? ?.chehra uska dekhne se to bilkul nai lgrha.

      • paralysis ek nervous system aur spinal cord se judi hui judi samasya hai..ye kisi ko bhi kisi bhi age mein ho sakti hai bas kaaran alag hote hai. kuch logo ko inury ki wajah se aur kuch ko blood clot ki wajh se.

    11. My father suffering from “Nimnang Lakwa” ( unka left lag & Ungliya work nahi kar Rahy hy) just 15 days , unaka L4 L5 ke Bich me fibroid hone se left leg ka panja kaam nahi kar raha tha, operation kar fibroid ko nikal kr biopsy test ko Beja hy, but….still same situation not work …Wt we do…

    12. My son suffering from paraplegia from six months after soinal injury at D12, undergoing physiotherapy but results are not visible at all, please suggest what shud we do, he is just 20 yrs

      • Miky JI, At present there is no such treatment available for spinal cord injury..My suggestions are to focus on physiothearpy and rehabilitation part, through this way he can get recovery…

    13. Hello Sir, meri mother ko 23.04.2016 ko high blood pressure ki vajah se paralysis hua hai. Doctor’s ko dikhane se aur CT Scan karwane se pata chala hai ki unhe thelamic hemarhage hua hai. Doctor ka kehna hai ki dimag ki nas fatne se blood ka clot ban gaya hai. Jis ki vajah se unki right side me paralysis ho gaya hai. Wo 8 din tak hospital me treatment lekar an ghar par hai. Wo hamari sari baaten samajh rahe hai aur thoda thoda bolte bhi hai. Unki Arm aur Leg & Feet ko jab dabate hai to unhe dard mehsus hota hai. Khana bhi kha lete hai. Please mujhe bataein ki unhe thik hone me kitna time lag sakta hai aur thik karne ke upaye bhi suggest karen. Sir mera unke ilawa koi nahi hai. Please main bahut hi pareshan hu.

      • Rakesh paralysis ki samasya bahut gambhir hai, is mein sirf rogi hi nahi balki pure parivaar ke log takleef mein rehte hai. Dost abhi aap doctor ke samapark mein jarur rahe or jo recovery aapki mother ko mil rahi hai uske baare mein doctor ko jarur bataye. Abhi aap unki puri deekhbhaal kare unhe bed sore ya koi or pareshaani se bacha kar rakhna hai. Sath hi kisi expert ki dekh rekh mein physiothearpy karwaye. Rakesh humne esi situation mein bhi bahut se mareejo ko thik hote dekha hai. Agar aap gharelu upay shuru karna chahte hai to apne doctor se jaruyr salah le kyuki har bimari mein patient ki condition alag hoti hai.

    14. Kal 11 am se meri bhabi k 2no legs Kaam nahin kar rahe hain
      Unko Kal dikha k laye vad par
      Abhi tak koi sudhar nahi. Hai haalat me

      First time aesa hua hai unke Sath achanak hi bethe bethe

      • Parvez agar abhi bhi unke pair kaam nhi kar rhe to kisi neuro specilaist ko dikhao aur sare test karwao taki problem sahi se pta lag sake aur uska ilaj kiya ja sake.

    15. sir maine physiothearpy shuru karwa di hai. Physiothearpist ghar par hi aa kar physiothearpy karte hai. sir ek aur baat bataye kya main unki malish shuri karwa sakta hu ya nahi. sir wo hamari saari baaten ache se samajh rahe hain. lekin haath aur pairon me abhi koi movement nahi ho rahi hai, lekin jab hum unhe dabate hai to unhe puri tarah mehsus hota hai. Unke pairon me gudgudi karne se bhi unhe mehsus hota hai. Please batayen ki kitni der me recovery ho sakti hai.

      • Rakesh shareer mein sensation hona ek achi baat hai. Recovery kab tak ho jayeginiske baare mein kuch nhi keh sakta kyuki har patient ki problem alag hoti hai aur uski recovery bhi. Maalish karna chaho to halke haatho se kar sakte hai. Physiothearpy jaari rakhe.

    16. sir ,mera bada ladka hai jo 5 saal ka hai dilwari ke samaye rooya nahi hai oh hospital se dusre hospital le gaye waha use ICU me rakhe 1month 15 din uske baad se uska sonography ki too Dr.kahte hai ki eshki berain ki naas nahi bani eske karan ye problame hai Dusre Dr.ka kahna hai ki naas bani hai par khoon ka sanchar nhi horaha hai Problame-gardan, haat ,pair,or kamar ye akdti hai $ haat pair chlata nhi hai $ nahi bolta hai,nahi khud se khata hai $ dard deta hai too rota hai $ shidhe bed me pada rahta hai SIR JI AGAR KOI ELAJ HAI TOO BATAIYE GA

      • Jogender ji brain aur spinal ki problem esi hi hoti hai, jisme shareer ke ang kaam karna band kar dete hai aur brain ka reaction time slow ya zero ho jata hai. Ye bhi sach hai ki jahan allopathy mein result nhi mil paate waha bhi ayurveda aur naturopathy ne result nikale hai. Aap kisi ayurvedic hospital mein jaaye.

    17. sir I’m deepak.mere mousa Ji ke right leg kal evening se kaam nai kar rahe hai pehle unko kamar main pain hua tha tabhi se aisa hone laga Dr bole Ki cuttack le kar jao aap hi btao hum kya kare

      • Deepak kahi bhi jaane se pahle bimari ka thik se pta hona bahut jaruri hai. Agar aapko lagta hai ki ye lakwa ho sakta hai to sabse pahle kisi neuro specialist ki salah se test karwaye..aur deri na kare..

        • Last month my mother got a head injury in a accident . after one month she opned his eyes now she not able to speak and his right side body part do not work. Is a paralise ? or any other disease. Please suggest something.

          • Mohit head injury ke dauran barin ki kuch naso par effect pada hai jiski wajah se body ki right side par paralysis ho gya aur bolne par asar hua hai. Aap doctor se salah le kar physiothearpy shuru karwaye jisse recovery milegi. Agar aap delhi ya delhi ke aas pass rehte hai to south delhi mein jamrudpur, kailash colony ke pass indian head injury foundation naam se ek hospital hai, wahan par ache physiothearpist hai jo aap ko sahi guide bhi karenge aur physiothearpy mein bhi madad karenge.

    18. Hi sir my name Shaik Ziyauddin
      Sir meri ma ko paralysis attac aya hi o baat bhi nahi kar rahi hi ,sir me bahut khujate hi haath fira the hi sir par him loog Ku kuch samaj nahi ata sir ,him logo be neurologist Ku bataye o bole ghar par thik ho jayenge sir much batai sir o baat Kay nahi kare

      • Shaik sabse pahle to meri salah ye hai ki aap kisi dusre doctor ko dikhaye, kyuki ye bimari aese hi thik hone wali nahi. Bina upchar ke to sir dard bhi thik nahi hota. Kisi dusre doctor ko dikhane ke baad aap kisi ayurveda vaid se mile aur in nuskhe ki salah le. Is article mein dusre comments bhi padhe aur jane ki lakwa ke ilaj me kin baato ka dhyaan rakhna jaruri hai taki ilaaj karte samay koi aur pareshani na ho aur sath mein ye upay bhi kare.

    19. goodevening sir mera naam PREM hai muje left handaur feet mai lakva ho gaya hai hath kaam karte band ho gaya hai paav me polio bachpan we hi that par me normal kam kar Santa tha me marketing wala person hu air achanak hue is bimari me chalte muje bahot paresani ho rahi hai mentaly aur financial Dinomeri age 36 air is bimari ko 2 month ho chuke hai

      • Prem lakwa ka attack aate hi turant doctor ke pass jana bahut jaruri hai. Aapm logo ko bhi iske liye jagruk kare. Lakwa ka ilaj ayurveda se kiya ja sakta hai, aap is article me bataye hue upayo ko niyamit roop se kare aur sath mein exercise bhi kare aapko fayda milega.

    20. father ki 70 saal h ek hath ek pair left side ka kaam nai kar rha h 15 din ho gya h aur ayurvedik ilaaz chal rha h aur ved g ne koi ct scan nai kar waraya kaha ki ye lakwa h aur dawai di thik ho gye jaenge abhi 15 din ho gya zyad fark nai hua thoda fark h aur kamzori bohut zyada ho hi ho aur hain sir jis din lakwa hua uske teen din bad blood pressure 200 ho gya tha doctor k paas lekar gye doctor ne blood preasure ki dawai di blood pressure to normal ho gya lekin unhe 5 mint k baad chakkar aaye chakkar aane pe unhe hos nai raha aur behosh ho gye uske bad doctor ne dil pe pressure aur mene saans diya uske bad hosh aaya koi suggestion dijiye khane me kia khilaya jaya aur
      Lakwe wale ko nahana chahiye ya nai aur hawa me baitha chahiye nai??

      • Mohd Shamim lakwa ki problem spine par attack ki wajah se hoti hai jiska asar shareer ke parbhavit ango par padta hai. Isse patient bed par aa jata hai to shareer mein kamjori hona sawbhavik hai. Aap khane pene ka pura dhyan de taki body ko jaruri nutritions milte rahe.
        Lakwa ka ilaj ayurveda medicine se kiya ja sakta hai par fir bhi meri ye salah hai ki ek bar doctor ko jarur dikhaye aur sabhi test karwaye jissi pura diagnose ho sake aur ye malum ho sake ki spine ki kis jagah par aur kitna asar hua jisse aapko treatment karne mein aasani hogi.
        Aesi situation mein aap patient ko jab bhi koi medicine de tab ya to kisi neuro specialist se ya fir ayurveda vaid se salah jarur le.
        Jaldi recovery ke liye physiothearpy par jarur dhyaan de.
        Nahane aur hawa mein baithne se koi bura asar nahi padta, agar aapko is bare mein koi aashanka hai to apne ayurveda vaid se bhi salah le.

    21. Sir. Mare papa ko lakwa hua hai 20 din pahlai wedh ji sai ilaaj chal raha hai fyda to hua hai laikin dono pairo par waram hai kamjori bhi bahut hai sir koi upai bataiyai Lakwa sidai hath or pair par hai haath to puri tarah sai kaam karraha hai pair thoda kum kam karraha hai

      • Mohd Shamim is problem mein body mein weakness aa jati hai, aap isse ghabrsye nahi. Jo ilaaj chal rha hai use sahi tarike se aur regular karte rahe, aapke father ko recover mil jayegi. Weakness dur karne ke liye khane pene par dhyan de aur physiothearpy bhi shuru kare. Agar kabhi koi extra complications hoti hai to turant doctor ko dikhaye.

    22. Hello sir,, mera naam Nadeem hai… Actually sir mere father sahab ko 4 mahine pehle high blood pressure ki wajah se dimaag ki nas fatne k karan right side paralysed ho gya 15 din ICU me rakhne ke baad unhe general ward me b 18-20 din rakhna pada about 35-40 din me unko discharge kar diya gya aur jb unko ye hua tha tab unka right side sunn tha aawaz b totally band thi magar ab wo uthkar baith jaate hai bolte bhi hai aur stick k sahare do chaar kadam chalte bhi hai magar haath kaam nhi karta bilkul bhi.. Aisa kyun sir???
      Aur sir achanak unke usi haath pair me 10 dino se bhut dard hota hai sir aap bta sakte hai aisa kyun ho rha hai??? Aapki bhut meherbaani hogi sir

      • Nadeem sabse pahle to ye achi khabar hai ki aapke father stick se chalne lage hai.
        Dimag ki nas fatne par hath ki nasso par jada effect pda hai, isliye haath ki movement aane mein time jada lag sakta hai. Aap exercises karwate rahe. Hath mein sensation aana achi baat hai, haatho ki physiothearpy karte rahe pain thik ho jayega aur agar thik nahi hota hai to apne doctor se consult kare.

    23. Aur sir aawaz family waalo ko to samajh aa jaati hai lekin clear na hone ki wajah se bahar k logo ko pareshani hoti hai sir aawaz saaf karne k liye koi nuskha ho to plzzz batayein sir

      • Nadeem jese jese recovery milti jayegi aawaj bhi thik ho jayegi, aap unse baate kiya kare aur koi news paper padhne ko de jise vo bol bol kar padhe.

    24. Thank u so much sir…. Actually sir ab wo chalne lage hain to kya 3-4 mahine ke ander recovery mil jayegi…. Actually wo hmesa ek hi sawal puchte hai ke kab tak theek ho jaunga??
      Unko confidence dilane ke liye 2-3 mahine bta deta hu to kya 2-3 mahine me recovery mil jayegi sir.??? ..
      N sir kya paralysed part mein dard hone par hum Unko dard ki dwa (e.g paracetamol) de sakte hain isse koi effects to nahi padega sir??? Kya paralysed part me dard hona acchi baat hai sir???

      • Nadeem jis tarah se recovery mil rahi hai aapke father jaldi thik ho jayenge, kitna samay lagega ye to aapki mehnat par depend karta hai.
        Aap apne father ko hamesha protsahan de aur kahe ki aapne bahut acha recover kiya hai aur agar isi tarah se mehnat karte rahoge vto bahut jaldi thik ho jaoge. Unhe hamesha positive thoughts de aur ho sake to subh shaam bahar kisi park mein ghumane bhi le jaye, isse unka mood fresh rahega aur ache vichar aayenge.

    25. Sir mujhe ye bhi pta hai ke is case mein koi doctor recovery kb tak ho jayegi ye confirm nhi bta sakte magar sir kya jald hi recovery milne ki umeed hai sir kyunki unka paralysed part totally sunn tha magar ab wo stick ke sahare chalte hai aawaz b nikalne lgi hai aur samajh me b aati hai to kya sir ye acchi recovery hai…
      N sir aapne bataya k haath me samay lag sakta hai…. Lekin haath me dard feel hota hai sir aur abhi 10 din se to usi haath pair me bhut dard ho rha hai log ye bhi kehte hai ke dard hona theek hone ke lakshan hai kya aisa hota hai sir???

      • Nadeem jis jagah sensation bilkul na ho wha kisi bhi parkar ki feeling aane lage ye achi baat hai, par hame ye bhi pta karna chahiye ki kya ye pain kisi aur problem ki wajah se to nahi. Is liye aapko yahi salah hai ki ek baar apne doctor se checkup jarur karwaye.

    26. Helo sir Mere Ancle ko Polio hai ! Jo ki bachapan me hi is bimari ke shijar ho gayi dawa huee uske bad dawa chhut gayi ,
      Ab O sab kam karte hai Lekin Unks pai Patla Hai , to Aap koi Upay bata sakte hai jise ki Mere Ancle ki Pair Me Mans Aa jaye Unka pai me manspesiya ki kami h.

      • Viraj polio mein hath pairo ko patla hona sawbhavik hai iska kaaran hai polio grast ango mein blood circulation na hona. Exercise aur healthy diet is problem mein kuch had tak help kar sakti hai.

        • HARE KRISHNA sir mere papa ka left side bilkul b kaam n kr rha h..papa ka ilaj aiims hospital se chal rha j.. sir report b sab normal h..par hme smjh n aarha k papa ko kya hua h achank se..or papa ki eyes se b dikhna bnd hogya th,,but ab thoda e dkhta h..aap pls aesa kuj ilaj btae jisse papa ka left side hath per kaam krne lag jae

          • Hare Krishna, Shivani aapke father ko ilaj se pahle diagnose ki jarurat hai, jab tak problem ka karan pta nahi hoga tab tak ek effective treatment nahi ho payega. Hath pairo ka response dena band hone ke kafi karan ho sakte hai. Dimag ki koi nas fat jana, kisi nas mein blockage hona, spinal cord par koi effect padna. Kisi dusre doctor ko report dikhaye aur 2bd opinion le. Sath hi apne father ki exercise kare aur unki body ka bhi dhyan rakhe kahi koi jakham na hone de.

    27. Sir ji kabhi kabhi bolte samay muh tedha tedha sa feel hota h aur sharir mein thakaan aur kamjori bhi rehti h
      Jyada der tak kahi haath ya pair rok le toh jhanjhanahat si hone lagti h
      Yeh kya h pls suggest kare

      • Mannu jesa aap bta rahe hai is problem ke bahut se karan ho sakte hai, aur ye bhi ho sakta hai body ko rest nahi mil pa rha ho aur weakness aa gyi ho. Aap samay rehte kisi neuro doctor se mile aur test karwaye. Test report se hi sahi diagnose ho payega.

    28. Lakwa ka marez theak hojaney Kay bad kiya karna hoga.phareez kab thk kanapadhay ga.aur hamesha food kaisa layna hoga.kiya hamesha like warm pani pina hooga.plz give me answer

      • Syed lakwa se recover hone ke baad sabse jaruri hai ki healthy life style apnaye jisme din ki shuruat halki fulki exercises aur yoga se kare aur healthy food khaye. Iske ilava kisi bhi parkar ka mansik tanav na le aur koi bimari hone par laparwahi na karte hue turant uska ilaj karwaye. Smay smay par sugar aur blood pressure ke test bhi karwate rahe.

    29. 22 July 16 ko mere left face k side feelings kam Ho rahi h.. Jese Ki aankhe na band hona hoth na band hona jban ldkhrana .. Kya kru DR. Ne confirm Kia Ki paralysis Hua h. Treatment chal rahi h. Kya Mai gharelu upchar bhi kar skta Hu..?? Pls revert me….

      • Sunil jo treatment aapka pahle se chal rha hai use chalne de aur sath hi gharelu upay bhi kare aapko jaldi aaram milega. Iske ilava chehre ki exercises bhi kare.

    30. Sir 3 jan ko meri ma ko lakwa ho gaya tha dct ka kahna hai ki dimag ki nas fat gai hai or cilotig dimag me ho gaya hai hath pairo ko dabane se dard to hota hai per movment bilkul ni hai kya kare

    31. Bhai,
      Mere baba parso admit hue h aur unhe
      Sir me khun ka thakka jamne ke karan paralysis ho gya h
      Unka pura left hissa kaam nhi kr rha h
      Lekin unki left body ko touch krne pe unhe pta chal rha h
      Aur parso morning se hi hum hospital me hai
      Unki age 58 ke karib h
      To unhe recover hone me kitna time lag sakta h

      • Nilesh abhi sabse pahle jarurat hai ki aapke baba ka pura khyal rakha jaye, kyuki vo pure samay lete rehte hai isliye aesi condition mein bed sore hone ke chances badh jate hai, isliye unki body par powder lagate rahe aur khayal rakhe kisi parkar ka jakham na ho. Dost paralysis se recover karne mein physiothearpy ka role sab se bada hoga isliye doctor se salah kare ki kab baba ji ki exercises shuru kar sakte hai. Thik hone mein kitna samay lagega ye bahut baato par nirbhar karta hai, jese nasso par kitna parbhav pda hai aur kitne ache se aap exercises karte hai.

    32. Mere maa ko 7 mahine se lakwe ki samsya hai unke right side pe effect pada hai pair me to movement aagaya hai par haith me halka movement hai exercise karawate hai par sudhar nhi ho raha Dr. Ne kaha 5 mahine tk jitana sudhar hona hai hoga nhi to nhi meri maa chintint rahati hai

      • Prashant agar pair mein improvment aaya hai to haath mein bhi aayega, ho sakta hai haath ki nasso par jada asar pda ho. Exercises continue rakhe aur chinta mat kare. Be positive.

    33. Sir maa ka ilaz to bikul kara rahe hain aur exercise v karate hai pair me movement v hai aur chal v leti hai hanth me koi jada movement nhi hai abhi tak hanth me dam laga ke uthane ki kosis karati hai to halka uthata hai aur ungaliyo me koi movement nhi hai aur ungaliya akadhane jaisi ab hone lagi hai hanth me dard rahata hai

      • Prashant aesi condition mein hath mein akdan aati hi hai, dost iska ilaj sirf physiothearpy hi hai, jitni exercises karoge utna benefit milega. Exercise 2 tarike ki hoti hai active aur passive, active mein patient khud aapni body ki movement karne ki koshish karta hai aur passive mein koi dusra vyakti patient ki madad karta hai. Aap dono tarike apnaye aur maa ji ko hamesha khush aur positive rakhe taki vo ache man se pryas kar sake.

    34. Hi Sir kayi dino se mere left side ke lips fadak rahe hai. Aaj subah se left muh heavy aur teda teda sa feel ho raha hai. Headache bhi bohot zyada hai. Kya cause ho sakta hai krupya bataye Thanks!

    35. Sir,
      Mere dad 64 yrs ke hai. Abhi 22 din pehle unhe high BP aur sugar ki wajah se paralysis stroke (right ACA acute infarct with type 2DM with HTN) hua jiske karan unka left hand and leg ka movement ruk gaya. Diagnose aur treatment PGI Lucknow se hui aur ek week se 2 time Physiotherapy chal rhi hai..
      Sir mai bahut dukhi aur pareshan Hun kyunki doctors ka kehna hai improvement bahut slow hoga shayad chal sake..
      Sir bas mai chahta Hun mere dad chal sake chahe jitni bhi seva karni pade..kya is tarah ke patient chal pate hai..
      Sir please please kuch suggest kijiye..
      Kya mujhe Ayurveda ka sahara Lena chahiye.. Agar haan to kya alopathy aur Ayurveda dono chal Sakti hai

      • Himanshu haa lakwa hone ke baad kaafi patient chal paate hai, ye depend karta hai ki nasso par kitna effect pda hai. Dost abhi jo physiothearpy chal rhi hai use continue kare, exercises recovery karne me sab se jada help karengi, aur apne father ko hamesha khush rakhe taki vo apni exercises ke liye positive rahe aur dil se mehnat kare. Iske ilava agar koi treatment chal rha hai to aap use bina band kiye ayurveda nuskhe bhi apna sakte hai.

        • Thank you Sir for your advice.
          Father me improvement ho rhi hai.
          Sir suna hai jinko ek attack aa gaya unke second attack ke chances high rehte hai.. To firse attack Na aye uske liye kya kya precautions rakhne chahiye?

    36. sir ji mere face pr lakhwa laga he 🙁 uske lie konsa ilaj best he mere lips 1 taraf work kr rhe h eys me bhi dard ho rha h abi 2 din s ho rha h esa plzz tell me

      • Manjeet agar aap ko ye samasya abhi hui hai to turant kisi neuro specialist se mile aur proper test karwaye taki ise badhne se roka ja sake aur sahi treatment shuru kiya ja sake. Iske ilava exercises aur yoga lakwa ka ilaj karne mein kafi helpful rahegi aur aap upar bataye hue upay bhi kar sakte hai.

    37. sir,
      mere badepapa ji ki age 59 hai, 25july ko vomiting hui aur phir 1-2 din kuch na bole na khaye doctor ko dikhaya ct scan hua aur pta chala halka sa clot hai brain me lakwa hai phir medicine chalne lagi aur dheere dheere 2 mahino me bahut sudhaar dekhane ko mila 60-70 % recovery hui phir haath bhar nahi uthta tha naadi ke aage swelling thi lekin phir dusre doctor ko dekhaya jo neurophysician the unhone physiotherapist ko recommend kiya aur phir physiotherapist ke yaha jaane ke baad dheeme dheeme boolna bnd hota ja raha hai ab unki koi baat samaj me nahi aati hai sirf haa or naa issare se samjh paate hai kripya aap iska nivaaran v apni bahumulya rai jaroor de mai apka jeevanparyant aabhari rahunga

      • Piyush is case mein patient ki recovery blood clot ki recovery ke sath sath achi hoti hai, aap kisi ache neuro specialist se mile aur sari detail discuss kare, ho sakta hai present condition janne ke liye fir se sabhi test karwane pade. Agar doctors ka manana hai ki sirf treatment aur physiothearpy se recovery mil jayegi to aap usi par focus kare aur apne papa ji ko exercises ke liye positive rakhe.

    38. mere papa ko muh par laqwa aaya hair jisse wo kuch bhi ka nhi pate hai na hi kuch bol pate hai doc. ko dikaya usne naak me nali dali hai jisse ki pay padarth dia ja hai . kya ye roog bilkul sahi ho jayega matlab ki papa dobara bol or kha payenge or ye bimari ko thik hone me kitne din lag sakte hai

      • Ajay ye rog kab tak thik hoga aur kitna thik hoga ye depend karta hai ki nasso par kitna asar pda hai aur recovery ke liye kitni mehnat ki hai. Dost aap apne papa ji khush rakhe taki vo positive rahe aur man mein negtivity nahi aaye. Positive mind se jab vo exercises karenge tab unhe behtar result milenge.

    39. Sir agar face ki ek side latak jaye to kya wo bhi lakwa ki nishani hai? My father has this problem but doctor say he is fine.

      • Bhawna its one of the syptoms of facial paralysis (chehre ka lakwa) but if doctor is saying its fine then nothing to worry about…In case you have any doubt in mind then i suggest you to take 2nd opinion and checkup with other doctor.

    40. sir
      mere badepapa ki age 59yrs hai ,25 july ko vo akele the to unhe vomiting hui aur phir kuch na bol rahe the phir doctor ko dikhaya to. 1-2 din kuch na bole phir 3-4 din me dheeme 2 bolne lage phir doctor ke medicine se kafi recovery dekhne ko mili 60-70%recovery bus left hand me aangulio me swelling thi aur haath bhi na uthta tha khana bhi dusre haath se khana lage the lekin 2 mahine beet jane ke baad dusre doctor ko dekhaya neurophysician the unhone physiotherapist ko refer kiya aur medicine bhi likhi abhi take 7-8 din ho gaye jaate physiotherapist lekin sir ab baat karna bilkul bnd ho gaya hai sirf ishro se hi haa or naa bta paate hai purane wale doctor ki hi medicine chal rahi hai abhi tak naye doctor ki medicine nahi di hai ,sir to please aap kuch btaye yeh aawaz hi bnd ho gayi aap apne bahumulya rai jaroor de ki mujhe kya karna chahiye

    41. Sir meri aunty bhi paralise ho gayi h unko aaj 3 month ho gaye h wo ab chal to leti h mgr na to hath kaam krta h na hi bol pati h smjti sab kuch h
      Sir plz koi upay batayie

      • Savita bolne mein bhi exercises hi fayda karegi aap speech thearpy ka sahara le, patient ko news paper padhne ko de aur jitna ho sake bol bol kar padhe, patient se baate kare aur unhe ehsaas karaye ki wo kaafi ache se recover kar rhe hai taaki patient positive ho aur confidence badhe.

    42. Sir namste mere papa ko 6 mahine pehle unki dimag ki nas fat gyi thi aur unka left pair aur haath kaam karna band kar diya ab unko dard bhi hota hai aur haath pairo ko hila bhi lete hai par wo chal nhi pate ..please guide

    43. sir, wife ko bp ki wajh se lakwa hua h unki age 24 year h. left hath khohni ke niche n left par gutno ke niche kam ni kr rha h 10 day phle gira h lakwa ct scan n doctor ne two day admit rkh ke kha ki Ghr pr exercise krwao .phir hum ne kuch aurvedic dwai dilai h.sir kb tk recvor ho jayega parmant to ni rh jayega or kitne time tk chance h recover hone ka…. koi or bhi ilaj ya tarika. ho to btaye

      • Anil jo ayurvedic upchar shuru kiya h use kare aur sath exercises par jada dhyan de, exercises se hi jaldi recovery hogi. Kitna time lagega ye to aapki mehnat par depend karta h.

    44. Mere umar 25 saal h or single hun…Mai 1 saal se para parlized hun mind ke sath sath left leg mai bhi clot h or sweeling bhi or pain bhi bhot hota h or legs straight nhi ho pate if u help me then i vry soon overcome from it plzzz help

      • Mohit aapki problem ko 1 saal ho gya hai, agar aap sahhi se exercises karte to aapki legs tedhi nhi hoti. Paralysis ke patient ke liye sabse jada jaruri hai ki vo apne body limbs ki active aur passive dono tarike se exercises karte rahe taki sharir ke ango ko nusksan na ho aur body recovery hone lage. Dost abhi aap kisi neuro specialist se mile aur proper diagnose karwaye. Doctor jo treatment aapko suggest kare use kare aur sath hi exercises par bhi dhyan de.

    45. Sir mujhe kuch dino se haath pair mein Jalan feel ho rahi h aur Kai baar bolte time muh Bhari bhari sa aur tedha tedha feel hota h
      Abhi pichle kuch dino se sir se gardan tak jor se dard hota h

      Pls kuch ilaz bataye

      • Manu jo aapne bataya ye bahut karno se ho sakta hai, jese gardan mein dard cervical problem ke lakshan hai muh mein tedhapan aana facial paralysis ke lakshan hai. Dost aap turant kisi neuro specialist se mile aur proper test karwaye taki bimari ko diagnose kiya ja sake aur sahi treatment kar sake. Shuruaati samay mein hi agar ise control kar liya jaye to behtar hai.

    46. hello sir,
      meri mummy ko lakwa aaya 5 din pahele, vo thik se bol nahi rahi hai, left sied demage ho chuka hai, dr. kehte hai ki left mind mai blooud nahi pahuch raha pls. reply dijiye

      • Nisha abhi to aap doctor ki baat sune aur proper treatment karwaye taki samasya ke karano ka upchar ho sake, aap chahe to kisi dusre doctor se mil kar 2nd opinion bhi le sakte hai.

    47. Sir meri bhan 13 year old h or uski right side me paralysis hua h or yh lagbhag 1 sal pehle she h vase to uska part kam krta h BT thoda weak h
      Plz advise me

    48. Sir mere frnd ko paralyse ka aatack aya h mouth me unhe Kuch din pehle seer me dard v Tha doctor ka treatment ho raha h wo thk ho jayenge na sir… I m so worried for him

      • Sikha abhi ke liye ye sab se jaruri hai ki treatment sahi disha mein chale. Kitne samay mein aapke dost thik ho jayenge ye depend karta hai ki nasso par kitna asar pda hai aur kitne ache se ilaj hota hai.

    49. Sir mere papa Ki spine Ki surgery hui thi par surgery ke bad bhi kash improvement nahi aya uske bad hamne desi ilag liya ab boker se thoda chal lets hai par unke pairo me bauth akdan rahti koi ilag nahi mil paa raha Salah de sir

      • Gaurishankar ji spinal cord ki problem hone par sharir mein akdan aati hai, vese iske liye kuch medicines bhi aati hai par agar sahi tarike se exercises ki jaye to bhi akdan ko kam kiya ja sakta hai.

    50. Sir achi Si koi desi nadicine bataye Jo akdan chali jaye pair sir pather Ki mafik Ho hate dono paro ko alag karna bhari pad Gaya hai sardiyo me ye problem aur badh jati hai

    51. Sir mere Fupaji ka sidhe side ka pura sarir kaam nahi kar raha ‘or bol v nahi rahe ek mahina Ho gaya ‘arthik istithi. Thik nahi hai Dr. Ko nahi dikaya .

      • Kailash ji abhi doctor ko dikhana bahut jaruri hai, aap kisi sarkari hospital mein bhi ja sakte hai. Dost bimari ke ilaj se pahle bimari ki jad aur iske karno ka pta hona jaruri hai tabhi sahi treatment ho sakega.

    52. hi sir mera name sharab hai or mjay 2 sal say lakwa hwa hai or mari left eye puri open nahi hoti hai main theek trha say hanas b nahi sakta hun ..plz mjay is ka koi hal btay////????

    53. Me assam ka rohne wala hu.me girne par sir mei chot logi thi,our dahine said muh se lekar pau tak peralisis ho goya.bol v nehi pata.bahut dr ko dikhaya,bolte he bassal gangulia,mujhe kia karna parega.kripa korke botaie

    54. sir mere face me halka sa lkwa aaya h..doctor ne medicine di h or 20 21 din me thk hoga..aisa kha h…kya ye parmanent to nhi h sir…sir please advised me

    55. hii sir mere frend ko 5 din pahele left sied lakwa maar diya h d.o.c ka kahena h ki unki dimang ka nashe phat gai h sir piz uska upaye batiye ..

      • Sunita ji lahwa thik karne ke gharelu upchar is article mein likhe hai in he kar sakte hai par abhi ke liye jaruri hai ki doctors ki instructions ko sahi se follow kare aur shuruaati treatment le.

      • Arman ye samasya lakwa ke attack, spinal cord injury ya brain se juda koi aur karan..karan koi bhi ho shuruaat mein doctor se mil kar sahi treatment shuru karwaye, lakwa ke upchar ke liye aap upar btaye hue tips bhi kar sakte hai. Dost paralysis se recover karne mein exercises sabse aham hai isliye exercises bhi karwaye.

    56. Sir Maine escort se operation ke baad Jo madicine dete the unse koi fyada nahi Hua harkar Maine desi nadicine lani Suri Ki ab much thoda fyada hai par paro Ki akdan nahi jati hai ab Mai kaha se iska ilag karu koi slah de desi ilag Lu ya English much samagh nahi aa raha kripya hame Salah de kya kare

    57. Govind Sir aaj morning ko pita ji ka muh toda teda hua but bolne me koi problem nahi. Dr. Ko dikhaya to BP 140-240 ke kareeb tha. Sir kya ye lakwve ki wajah se hai ya high BP se bp se bhi ye problem ho sakti hai. Medician ke baad bp to normal hua aur face bhi thik hai but bilkul thik nahi hua. Kindly help me..Age 52

    58. Hi sir main nepal se hu mere papa ko aaj subha left leg left hand aur halka muh v Dhedha hogaya hai…bolrahe hai halka halka

        • Hi sir aaj mere papa hospital se dischaj hoke ghar pe aagaye,unka brain surjery kiye hai,left leg left hand av v nahi chal rahe hai bol rahe hai sab kuch samjh v rahe hai

            • Sir,Doctor ne boldiye hai physiotheapy karne k liye av apne hanth se khate v nahi hai chamch se khilate hai,magar paani bahut jada magte hai

            • Jitendra ji aap kisi physiothearpist ki madad le taki sahi tarike se exercise ho sake, aur paani pina acha hai isse kai bimariyo aur infection se bache rahenge.

            • Sir,mere papa sote bahut hai bulane par bhi nahi bolte hai kuch khate v nahi chamcha se dudh dava thoda thoda khate hai…please sir hum logo ko kuch samjha me nahi aara hai kya kare plese help Us

            • Dost abhi jis samasya mein aapke father hai isme log kai bar himmat chod dete hai aur nirash ho jate hai par abhi nirash hone ka samay nahi aap unko honsla de taki vo andar se positive rahe aur exercises par dhyan de, aur aap bhi honsla rakhe pareshan mat ho aur exercises mein apne father ki help kare, khud bhi khush rahe aur apne father ko bhi khush rakhe.

            • sir,4 din pahle se papa bahut axe se bolte the aaj subha se kuch khate v nahi 10baar bulane par ek baar bolte hai aur jab bolte hai ghuse se bolte hai

            • Dost aesi halat mein patient ka mood badlta rehta hai aur kai bar himat har jata hai aur jivan se nirash ho jata hai fir uska kisi se baat karne ka ya kuch karne ka man nahi karta, isliye jaruri hai ki patient ko hamesha positve rakha jaye taki vo khush rahe aur apne treatment par dhyan de.

            • Sir,mere papa ko aaj 1 mahina hogya kuch khate nahi hai sirf dal k pani sup aur sada pani hi pite hai…aur lakwa bale side me mahsus horha hai aur bolte hai dard v hota hai

            • Jitendra ji agar lakwa grast ang par mehsus hone lga hai to ye ek achi recovery hai aur dard kyu ho rha hai ye aapko pta karna hoga. Aur agar aapke pita ji thik se kha pi nahi rahe hai to isse sharir mein kamjori aane lagegi aap unse baat kare.

    59. Hello sir.
      Meri naani ek heart ki patient hai.aur unko 1 week pehle lakua mar gya hai aur vo naa apni body hila paa rhi hai..naa kuch bol paa rhi hai..sir plzz kuch btayiye ki ab hum kya kre

      • Varun lakwa ka ilaj mein gharelu nuskhe kafi kargar hai par pahle jaruri hai ki doctor se consult kare. Gharelu upay karne se pahle kisi ayurvedic chiktsak ki salah bhi le taki heart ki samasyao ka upchar bhi ho sake.

    60. Sir I m avtar singh meri wife ki age 29 hai.use 16 July 2016 ko paralies attack huya that Maine uska ilaj jarh fuk dawara karvaya tha or vo thik b ho gye par unka hath achi tarha se kam nhi kr rha koi b gilas apne hath se nhi utha sakti. Kya may ye Garelu nushkhe kr sakta hu.

    61. Sir mujhe reedh Ki haddi Ki Tb h 1 saal se dawaai b kha raha Hu. Pr abhi achanak 5 mahine pehle se meri taange kaam krna band ho hai h mere chest k niche Ki body kaam nhi Kr rhi h
      Doctor ke mutaabik meri reedh Ki haddi me pus ban hai thi to abiJuly k mahine me mere reedh Ki haddi ka operation b Hua h or 2 rod b daali h kamar me ab doctor ka kehna h k tb Ki dawaai khaate raho dheere dheere apne aap theek Ho jaoge pr mujhe Zara b farq nhi lg raha apni taango me or mera weight b kam Ho raha h
      Mai kya kru k Mai thik Ho jau
      Plzzz aap hi kuch suggestions dijiye sir

      • Shadab iske liye aap apne doctor se salah le aur kisi physiothearpist ki madad se exercises shuru kare aur kamjori dur karne ke liye khane pine par dhyan de.

      • Raj please consult neuro specialist in oreder to proceed with proper treatment in right direction, you can also discuss these remedies with ayurveda vaid for fast recovery.

    62. HI sir
      Mere papa ko lkva + bren ka nas fat kr blud bhi fail gya hai but doc isko control kiye hai or but bol nhi pate hai or unka pair thik nhi huaa hai sir mere papa thik honge sir

      • Sumit aap doctor se baat kare aur jaldi recovery ke liye aap aur kya kar sakte hai iski jankari le, dost abhi aapke papa ji thik honge ya nhi ya fir kab tak thik honge ye sab treatment aur bimari ke effect par nirbhar karta hai, asp ye paryas kare ki treatmet sahi disha mein ho.

    63. Sir Mara naam nitu hai.mein apni mammy ko taklif mein nhi dekh sakti.mari mammy ko bp high hua uske baad unke red ki haddi mai dard hua unka pair v kam karna band kar diya aur ab pura body kaam nhi Marta hai doctor be kaha paralysis hai. Aap much upay btaye.

      • Nandani ji sabse pahle doctor se checkup karwaye taki treatment sahi disha mein ho sake iske sath aap doctor ki salah se yha likhe hue nuskhe bhi apnaye taki recovery jaldi ho sake.

    64. Sir.. Mere papa ko 5 sal se lakwe be jakda hai .. Desi nukse bhi apnaye hai … Lekin abhi tak kuch bhi nhi hua .. Kya unka lakwathik ho jayega .. Our uski dwai konsi hai ..pl…

      • Dost physiothearpy continue rakhe aur aesi koi dwa nahi jo ise turant thik kar de aap yha btaye hue nuskhe padhe aur kisi ayurvedic chiktsak ki salah se ye upay apnaye.

      • Dost pahle aap doctor se mile aur checkup karwaye taki iske karano ka pta chal sake aur sahi tarike se ilaj ho sake, iske satth yha btaye hue nuskhe bhi padhe aur kisi ayurveda chiktsak ki madad se jane ki aap ke liye kon sa upay karna behtar hoga.

    65. kya ye ghrelu nuskhe kam ke hai means kisi paralise pateint pr ye ghrelu upaye appli krne pe koi problem to nhi aayegi… pls reply me

      • Asha ji gharelu nuskhe sahi tarike se karne par side effect na ke brabar hote hai, paralysis patient par in upayo ko karne se pahle aap ayurvedic chikitsak se salah jarur kare.

    66. Sir meri bua g ka cancer ka opretion hua tha.breast ka.ab cancer normal aara h.but half body me falish pd gya.ve bahut preshan h bahut roti h.plz kuch ilaz bta dijiye

    67. My father is sugar and Bp patient since from 20 years and he got paralysis attack on his left hand and left. We’re giving him regular massage and treatment of physiotherapist. If any suggestion is there then please let me know.

    68. Sir good morning meraa nam gourav prasad he sir mere mu ke baye tarf lakwa hu aa he..yhaa 1sal se ho raa he or sab thik he Sir pr me jab hasthaa hu to meraa mu ek sait se todaa tedaa ho zathaa he or meri bayi ank bi hal ki band ho zati he or sir muje kuc paryesan I vi nhi hoti he agr aap es kaa elag muje batoge to syad meraa mu fir se thik ho zaye

    69. Ok sir me raa mu thik ho saktà he ya nahi idar ke doctor bol re he ki aap ko terypi (karnt )lagni padyegi muje aap bto ki me kyaa karun sir pilzz yaa fir wapas India ajwon

    70. meri ma 70 sal ki hai use 3 sal ki thi tab kamar aur per me polio hua tha treatment ke bad chalti thi abhi wo jada nahi chal sakti hi uske per me bilkul takat nahi hi per thande rahte hi niche baithati hi to uthane k liye bohot taklif hoti hi uska kuch homemade treatment batayiye

    71. Dear sir.
      Meri mom ko gale m lakwa Hua h.jiske Karan wo bol nahi pa rahi h and unhe bahug cough aa raha h.gale Ki nas m lakwa aa Jane se unki sari naso m problem h.jis se wo chal bhi nahi pa rahi h na hi kuch kar pa rahi h.Doctor ka kehna h operation se bhi fayda nahi h BAs unhe dawai diye ja rahe h.ye problem last 7 months s he.apke sare upay padhe Maine but agar ap inme se koi ek ya sabse best option Bata de to kya pata wo theek Ho jayen. Pls share your answer on my mail as well.

      • अर्जुन आप आयुर्वेदिक वैद से मिलकर सलाह ले और जाने कौन सा उपाय आपके लिए बेहतर होगा.

    72. Nmste sir mere dady ko 1month ho gya h right side pe paralyzed huey.unky brain surgery bhi hui h.kya aap bta skte h k unhe kb tk aaram aana shuru hoga kya ve poori tra se theek ho jayenge please btaiye.

    73. hy sir meri Dadi ki es paralysed k attack se death ho chuki h uske bad se mujhe or dar h kahi ab meri family me kisi or ya khud mujhe na aye ye attack .esse kese bacha ja skta h

    74. Dear sir
      Mera name jitendra
      Mai 3 year ka tha poliyo ho gaya tha mera right per patla hai aur kamjor hai .ab meri age 22 year ki hai . Ab kya mere per mai khoon sanchar ho sakta hai koi upay bataye pls sir

    75. Mere dad ke pairo me paralysis ki shikayat hai wo jab chalte hai toh pair aage ki or phekta hai jisse chalne me kafi pareshani hoti hai ,if you have some idea to do better tell me urgently

    76. hi sir mere papa ko pralysis ho gya hai 2 month ho gye ab chal rhe hai par hat kam.nhi kar rha aur ab pair m bari pan a raha to kya ye shi ho rha hai pls btiye

    77. Sir.. Mere maa ko 3mahine ho brain me paralysis ho gya kya kare. Ilaj continue ho rha h par koi fayda nhi ho rha.. Wo sab kuchh bol rhi h par. Uske name k jagah koi name bol rhi h. Aur pahchan bhi h but naam lekar nhi bula pati dusra kuchh bolti h.. Kya kre doctor sahab pls koi upay btaye

    78. Sir meri bhanji jb 1.5 saal ki thi tb use bells palsy hua jiska humne treatment kraya or wo thk ho gai lekin abi fr se usko same problem ho gai h ab yski age 2.5 saal h uska MRI kraya tha pehle to dr ne kaha isk kaam k piche ki nerv me virus aa gaya h i think ise hi paralysis kehte h lekin ab jb use dybara ye hua to polio dr ne ghar pe visit kiya usne kaha ki ise jb jb khadi jukam higa use ye dubara ho sakta h or kuch time me thk b ho jayega use bells palsy nhi h sur plz kuch suggest kre kisi age delhi k dr k bare me suggest kre 1 hafta ho gaya h use dubara se jb se hua h

    79. मेरी मां की रीढ़ की हड्डी में T10, T11, T12 में TB बताई है उसका इलाज चल रहा है उसके कारण तीन महीने से बेड रेस्ट करने पर अब खडे़ होने पर उनके पैर सुन्न हो जाते है उसमें क्या करना चाहिए.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles