More

    Khoon ki Kami Kaise Door Kare- Blood Badhane ke 10 Upay Hindi Me

    UncategorizedKhoon ki Kami Kaise Door Kare- Blood Badhane ke 10 Upay Hindi Me

    Khoon ki Kami Door Karne ka ilaj aur Upay: Hamare blood mein 2 tarah ki koshikaye hoti hai laal aur safed (red or white). Lal rakt koshikaye kam hone par body mein blood ki kami hone lagti hai, jise anemia rog bhi kehte hai. Sharir mein iron ki matra badha kar hemoglobin ko pura kiya ja sakta hai. Body mein blood kam hone par kai parkar ki bimariya hone ka khatra hota hai, iske ilava sharer ki bimariyo se ladne ke shakti bhi kam ho jati hai.

    Chote bacho mein blood kam hone par bache ka sharirik aur mansik vikas thik se nahi ho pata. Mahilao mein khoon ki kami ho to unhe sahi samay par mahwari(periods) nahi hote. Ek research ke anusar pursho ke mukable mahilao mein anemia ki problem jada hoti hai. Is article mein hum padhenge shareer mein blood badhane ke upay kaise kare, how to increase hemoglobin tips in hindi.

    Hemoglobin ki Kami ke Karan Kya Hai

    • Body se adhik matra main khoon nikalna.
    • Khane mein poshak tatvo ki kami hona.
    • Pet mein koi infection hona.
    • Kisi gambhir bimari ki wajah se shareer mein khoon ka na banna.

     

    Khoon ki Kami ke lakshan – Anemia Symptoms in Hindi

    • Jaldi thakan hona aur sharer mein kamjori aana.
    • Tavacha ka rang pila padna.
    • Hath pairo mein sujan aana.
    • Bhukh na lagna.

     

    Khoon ki Kami ka ilaj Kaise Kare – How to Increase Hemoglobin

    Body mein blood pura karne ke liye doctor vitamin aur iron ki goliya ya supplement lene ki salah dete hai par hum apni diet mein kuch aese healthy foods shamil kar sakte hai jo natural tarike se body mein khun badhate hai. Aaiye jante hai shareer mein khoon badhane ke gharelu aur ayurvedic nuskhe kya hai.

    1. Palak anemia ke rog mein dawa(medicine) ka kaam karti hai. Isme vitamin A, E, B9, C, calcium, fiber aur iron bharpur matra mein hota hai. Ek baar mein hi palak sharer mein 20% tak iron badha sakti hai. Palak ki sabji khaye aur palak ka soup bhi bana kar pi sakte hai.

    2. Hemoglobin badhane ke liye makke ke dane bahut poshtik aur kargar hai. Inhe bhun kar ya fir ubaal kar khaya ja saklta hai.

    3. Soyabean mein iron aur vitamin bharpur matra mein hote hai. Anemia ke patients ke liye soyabean bahut faydemand hai. Ise ubaal kar khaya ja sakta hai.

    4. Ek glass pani mein ek nimbu nichod le ab isme 1 chammach shahad mila kar piye. Rojana ye upay karne se jaldi khoon badhta hai.

    5. Ek gilaas chakundar ke ras mein thoda shahad mila kar piye, isme iron ki matra adhik hoti hai jo sharer mein blood banata hai.

    6. Khoon badhane ke upay kar rahe hai to rojana 1 glass tamatar ka juice piye, aap tamatar ka soup bana kar bhi pi sakte hai aur chahe to tamatar aur seb (apple) ke juice ko mix kar ke bhi pi sakte hai.

    7. Aanar ke juice mein sendha namak aur thodi kali mirch daal kar pine se body mein iron ki kami door hone lagti hai.

    8. Mungfali ko gud ke sath khane se bhi shareer mein iron ki matra badhti hai.

    9. Agar sharir mein khun ki kami ho to raat ko sone se pahle doodh mein khajur daal kar doodh piye aur baad mein khajur kha le.

    10. Body mein kam hemoglobin ka ilaj karne ke liye lehsun mein thoda namak milaye aur pees kar chatni bana le aur is chatni ke sevan kare.

     

    Anemia ka ilaj ke Ayurvedic Nuskhe

    • Jamun ka ras aur aanwle ke ras ko barabar matra mein mila kar pine se body mein hemoglobin badhta hai.
    • Kache singhade khane se body mein takat aati hai aur body mein khun pura hota hai.
    • Giloy ka ras khoon badhane ka sabse badhiya ayurvedic upay hai. Aap ye juice ghar par bhi bana sakte hai nahi to apne aas pass baba ramdev ki kisi pantjali ki shop se le sakte hai.
    • Kishmish, munakka, dale, aanaj aur gajar ko apni diet mein shamil kare. Rojana inke sevan se body mein blood badhta hai.
    • Pakke hue aam ke gude ko mithe doodh ke sath lene se bhi hemoglobin badhta hai.
    • Do chammach tilo ko pani mein bhigo kar rakhe aur 2 se 3 ghante baad paani nikal kar tilo ko pees le aur paste bana le. Is paste ko 1 chammach shahad ke sath mila kar din mein 2 baar khaye. Is upay se sharer mein teji se khoon badhne lagta hai.

     

    Sharir Mein Khoon Badhane ke Liye Kya Khaye

    Body mein blood kam hone par vitamin B, folic acid aur iron ki maatra kam hone lagti hai. Swasth jivan shelly aur healthy diet apna kar anemia ke rog se bacha ja sakta hai. Aaiye jane khoon badhane ke liye diet mein kon se foods khaye.

    • Palak, sarso, pudina aur hara dhaniya ko apne aahar mein shamil kare.
    • Fruits mein apple, chiku, papita, amrud aur nimbu ka sevan jada kare.
    • Khane mein gehu, mung, moth, aur chane ko anukrit karke usme nimbu milaye aur subh breakfast mein khaye. Subh khali pet sprouts khane se body ko jaruri nutritions milte hai aur anemia ka upchar hota hai.
    • Akhroat aur pasta jese dry fruits khane se hemoglobin mein iron ki matra badhti hai.

     

    Health Tips in Hindi

    1. Chay coffee kam piye.
    2. Smoking na kare.
    3. Sharab se door rahe.
    4. Fast food khane se parhej kare.
    5. Exercises aur yoga se apna din shuru kare.

     

    Dostosharir mein Khoon ki Kami Door Karne ka ilaj, How to Increase Hemoglobin ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass body mein blood badhane ke tips hindi mein hai to hamare sath share kare. Jo log anemia ka treatment kar rahe hai aapki jankari se unhe fayda mil sakta hai.

    Recent Articles

    27 COMMENTS

    1. hello sir,
      mujh mey 4 gm blood hai.mera tratment chal rha hai but pvt hospital wale bhut paise maang rhe hai isliye maine online check kiya aapke page sey thank u sir mere paas tratment ke liye paise nhi hai may inhi tips ko use krugi aur hb test check krke aapko btugi kya result mila hai

    2. Sir mere khoon me kamoni hai us ilaaj batai na ?
      Doctor ne kaha is ka ilaaj nahi hai?
      Aur ye problem mere ghar me sub family member ko hai plzi ilaaj hai zaror bataaye

      • Mujhe blood sugar hai aur ki kami khun 10 parsent hai isko bafne ke upay bataye Sugar 135 parsent hai mujhe khun badne ke upay bataye aur dusri bat yah kahna chata hu mai Diprison bhi hai iska koi meficine batayega plede

        • खून बढ़ाने के घरेलू उपाय और देसी नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और डिप्रेशन के इलाज की कोई भी दवा लेने से पहले डॉक्टर की सालैह ले. शुगर कंट्रोल करने के टिप्स यहाँ पढ़े :: http://sehatdoctor.com/sugar-kam-kaise-kare-control-diabetes-in-hindi/

    3. Mere ko v blood ki kami ho gai hai av 8.1 hai mai jis karan mera opretion nahi ho pa raha hai mai in me se kon sa use karo upaye k mujhe blood jaldi ban jaye

    4. Is ka ilaaj tu hai na Sir?
      Agar ap ko kuch is ki jankari hai tu bataai na Sir
      Is ke nukhsan kya kya hai?
      aur aisa hone ki wajah kya hai?

    5. Hey sir Mera Chota Bhai Ha jo 9 sal ka ha use Dr kehta ha asthma ha Or White blood cell tu bilkul nai tu wo ASA kia khaya jise uski kami pori ho jaye??? plz Inform me as soon as possible

    6. Sir mjhy shadi se pahle koi blod ki kami nh thi shadi k bad 2 babies hui hn jinhy feed dati hn mjhy bht kami hogai h or mn pori trha kmzor hogai hn mjhy koi blood bharane or wazan bharane ki tip btaen plez..

    7. hello sir
      sir,mujhe animia h, mujhe blood ki kami hoti rhti h ,aur abhi mera HB bahut kam h ,meri age 24 h ,sir
      koi upay btaiye jisse bimar kam padu,gais ki problem bahut hoti h is wajah se masale wali sabji nhi khati.

    8. Sir, mai pahle Se padmasan sukhasn gomukhasan karti aa rahi hu, abhi mera 4 month ka pregnancy hai kya ai abhi bhi ye sab yogason kar sakti hu.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles