More

    Pathri Ke Dard Ka Ilaj: Home Remedies for Kidney Stones in Hindi

    Disease - बीमारीPathri Ke Dard Ka Ilaj: Home Remedies for Kidney Stones in Hindi

    Pathri Ke Dard Ka Ilaj: Pittashaya hamari body mein ek chota sa aang hai jo lever ke piche hota hai. Pittay ki pathri(Gallbladder Stone) hone par doctor hamesha surgery(Laparoscopy Cholecystectomy operation) karwane ko bolte hai aur iss operation mein pitt ki thalli ko pitay ki pathri ke sath hi nikal dete hai. Par dosto hum pitay ki pathri nikalne ke ayurvedic gharelu ilaj istemaal kar ke surgery karwane se bach sakte hai.

    Pathri Ke Ilaaj Mein Parhej

    1. Dosto jiske bhi sharir mein pathari hai vo chuna kabhi na khaye. Kafi log paan mein daal kar chuna kha jaate hai kyun ki pathari hone ka mukhya kaaran aapke sharir mein jada calcium ka hona hai, matalab jinke sharir mein pathari hai unke sharir mein jarurat se adhik matra mein calcium hai par vo pach nahi raha. Is liye aap pathri ki shikayat hone par chuna na khaye.

    2. Talla hua aur masaledar khana na khaye. Shakahari bhojan hi le, jab tak pathri ka ilaaj na ho jaye masahari khana khane se bache.

    Gurde ki Pathri Nikalne Ke Gharelu Nuskhe (Home Remedies for Kidney Stones)

    1. Pathri Ke Dard Ka Ilaj Mulli Se: Mulli ki shakha ka 100 gram ras nikal le aur din mein 3 baar pine se pathri mein aaram milega.
    2. Pakhaanbeed naam ka ek paudha hota hai jise patharchatt bhi kehte hai, uske patto ko paani mein ubaal kar kaadha bana le. Sirf 7 se 15 din mein puri pathari khatam ho jayegi .
    3. Patharchatta ka 1 patta pees le aur sath mein 4 dane mishri bhi pees kar 1 cup paani ke sath khali pet piye.
    4. Pathri ka ilaaj aap paani se shuru kar sakte hai. Din me 5 se 7 litre paani piye aur agar aap beer pi sakte hai to beer peene se pathri  ka ilaaj sambhav hai.
    5. Papite ki jad 6 gram le kar pees le fir isse 50 gram paani mein ghol kar chaan le aur rogi ko pila de.  Har roj subh 21 din tak ye ghol mareej ko pilaye. Pathri gal kar nikal jayegi.
    6. 20 gram kulthi ko 250 gram paani me daal kar ubaale. Jab paani ka ¼ hissa reh jaye tab utaar kar chaan le aur gunguna sa rogi ko pila de. Ye ghol din me 2 baar lene se pathri gal kar pesshab ke raste nikal jayegi. Isse 20 din lgataar le.
    7. Pathri ke gharelu upchar mein haldi sabse utaam hai. 1 gram haldi aur 2 gram gud gajar ki kanji ke sath khane se pathri gal jayegi. Sirf 1 chamach haldi hi pathri ko 80 se 85% tak khatam kar deti hai.
    8. 2 maasha neem ke patto ka khar khane se pathri gal kar nikal jayegi.
    9. Pudine ki pattiyo ko paani mein ubaal kar pena pathri nikalne ka acha gharelu upay hai.
    10. Jamun khana bhi pathri ke rogi ke liye faydemand hota hai.
    11. 6 gram Papite ki jad le kar pees le fir 50 gram paani me ghol kar chaan le aur mareej ko pila de.  Har roj subh 21 din tak ye ghol peene se pathri gal kar nikal jayegi.

    Jane Baba Ramdev Ayurvedic Dawa

    Gurde Ki Pathri ka Ilaj Baba Ramdev (Baba Ramdev Medicine for Kidney Stones)

    Divya Ashmarihar Ras gurde ki pathari ke ilaaj mein ek ayurvedic upay hai. Yeh gurde ki pathari ke liye harbal upchar hai.

    Baba Ramdev ji dwara bataya gaya ye ras pathri ke tukde karke use mutar marg se bahar nikalne me madad karta hai. Alupathy mein gurde ki pathri ka koi ilaaj nhi hai log pathri ko nikalne ke liye operation karwate hai. Par Divya Ashmarihar Ras ke sevan karne se aap pitay ki pathri ke dard ka ilaj bhi pa sakte hai aur kyuki ye pathri nikalne ka ek ayurvedic ilaaj hai to iska koi side effect bhi nhi hai.

    Pathri Ke Dard Ka Ilaj By Rajiv Dixit

    Lal Rang Ki Khatti Berry(Cranberry Juice): Cranberry juice pina pathri ke dard ke ilaaj mein bhut faydemand hota hai. 1 se 2 chamach nimbu ka ras 1 gilas cranberry juice mein mila kar piye aap ki pathri peshaab ke raste bahar aa jayegi.

    Seb Ka Sirka(Apple Cider Vinegar): 2 chammach seb ka sirka le usme mein 1 chamach nimbu ka ras mila kar piye. (Apple cider vinger is very good home remedies for kidney stones).

    Angoor Ka Ras(Grapefruit Juice): 1 gilass angoor ka ras har roj subh nashta karne se pahle le.

    Aanaar Ka Ras(Pomegranate juice): 1 gilass aanaar ka juice roj pine se kidney ki pathri tut kar peshab ke raste bahar nikal jayegi.

    Tulsi Ke Patte(Basil or Tulsi Leaves): Kidney ko swasth rakhne ke liye tulsi ke patto ko paani me ubaal kar piye ya aap kidney stone hone par tulsi ki chaye bhi pee sakte hai.

    Pitay Ki Pathri Ka Homeopathic Ilaj (Homeopathic Medicine for Kidney Stone)

    1. Dosto homeopathy mein pathri ka ilaaj karne ki ek dava hai BERBERIS VULGARIS jo aapko kisi bhi homeopathy ki dukaan par mil jayegi aur iss dava ke aage likhna hai MOTHER TINCHER ye uski patensi hai.
    2. BERBERIS VULGARIS dava bhi patharchatt ke podhe se bani hai bas fark itna hai ye dilutions roop mein hai.
    3. Ab is dava ki 10-15 boodo ko 1/4 cup gungune paani mein mila kar din mein 4 baar (subah, dopahar, sham aur raat) ko lena hai. Isko lagataar ek se dedh mahine tak lena hai.
    4. Iss se pitay ki pathri (gallbladder stone) ho ya gurdey ki pathri(kidney stone) mein ho, ya fir mutarpind mein pathri ho vo sabhi pighal kar bahar nikal jati hai. Yeh dava ka side effect nahin hai.
    5. Kayi logo ko baar baar pathari hoti hai. Ek baar patthari toot ke nikalne ke baad dobara ye na bane uske liye ek aur homeopathic medicine hai CHINA 1000. Is dava ke ek hi din subah,dopahar,shaam mein 2-2 boond sidhe jeebh par daal dijiye. Sirf 1 hi din me 3 baar le lijiye fir kabhi bhi stone nahi banega.

    Pathri ke upchar ke liye subh aur shaam ko ek glass paani mein thodi si fitkari ghol kar piye. Fitkari itni jarur ghol le ki paani khara ho jaye. Is upay se 15 din mein hi pathri gal kar nikal jayegi.

    Dosto aap ko Home Remedies for Kidney Stones ki yeh post kasi lagi hme jarur btaye aur sath hi apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass pathri ke dard ka ilaj ke ayurvedic gharelu upay hai to yha hamare sath share kare.

    Recent Articles

    49 COMMENTS

    1. Sir maine ashmrihar ras ka aur do ya virkkdoshhar kwath ka sewan bhi kiya lekin mujhe iske sath koi aaram nhi mila aur khana bhi pachta nhi h mujhe iska koi u pay btaye

      • Rakesh aap upar bataye hue kisi upay ko apna kar dekhe aur sath mein paani ki maatra jada le. Raat mein tanbe ke jug mein paani bhar kar rakhe aur subh khaali pet 3 se 4 gilass piye.

    2. Sir !!!
      Mere gurdey me pathri h
      Ek pathri 14 mm ki h
      Or dusri or h kaafi sari we choti h
      Please mujhe koi esi dawayi ya ilaaj batayiye jisse meri wo 14 mm ki pathri gal kar nukal jaaye kat kat kar nikal jaye
      Please sirr

      • Shoaib agar aap ayurvedic tarike se pathri ka ilaj karna chahte hai to kisi avurveda vedh se salah paramarsh karke is leekh mein bataye hue upayo ka paryog kar sakte hai, in nuskho ke isteemaal se aap ko aaram milega. Agar aap ko aaraam na mile to kisi doctor ko dikhaye.

    3. sar mera mut marg me pahtri hogya h kirpy baty kya se thik hoga aur mera agryji dawa chal rha hai kya ey faida hoga ey muhje apresan krna hoga ey koi ghrulu ilaj baty dar v bhut hota h

      • Pappu jesa aapne bataya hai usse lag rha hai ki aapke bladder mein stone hai, agar ye pathri choti hai to aap ko operation ki jarurat nahi aap is leekh mein bataye hue upay niiyamit roop se kare aur khub sara paani pijiye, aapki pathri ghul kar nikal jayegi.

      • Rajesh sabse pahle is baat ki jankari hona jaruri hai ki pathri shareer ke kon se hisse mein hai. Aap proper test karwaye aur agar doctor kehte hai ki bina kisi operation ke iska ilaj ho sakta hai to yha bataye hue upay apnaye.

    4. Sir mere right kidney me 3:stone hai largest 12 mm ka hai plz bataiye, dare bhi hota hai 4 machine ho gaye hai…

    5. Sir mai ston.se itna presan hu ki naai kha sakta hu aur na hi khel skta hu maine himiopaith aur yelopathe me bhi ilaj krwaya pr koi fayda nhi h mai patharchatta 3 Month se us kr rha hu pr smjh nhi a rha h ki kya kru 12 &9 Ki h

      • Ratnesh aap dubara se checkup karwaye aur sab se pahle pathri ki position pta kare ki ye kon se hisse mein hai. Doctor aur ayurveda vaid ki salah le agar vo kehte hai ki bina operation ke ye nikal sakti hai to yha bataye hue nukhe sahi tarike se kare.

    6. sir mera dono side me kidney stone he 3.9mm/4.3mm.bht dard hota he wese deshi dawaiya 1 bar dya he kha liya 3 din ho gaya.kuch nahi huwa dard ka medicine kuch bhi nahi liya dar lagta he deshi dawaiya khaya he medicine khanese sidefect ho jayega isliye kuch bhi medicine nahi liya.plz upay bataiye kya kru bht dard seh raha hu turant dard kam hone ka aur stone bahar nikalne ka upai plz plz plz

      • Raju sabse pahle to aap doctor se mile aur proper diagnose karwaye. Aur aap jo bhi upchar kare use regular kare beech mein chod dene se fayda nhi hoga. Agar aapka koi treatment chal rha hai to use bina band kiye bhi aap yha bataye hue nuskhe kar sakte hai.

      • Santosh ye pathri ke lakshan ho sakte hai aur pet ki kisi bimari ke bhi, dost aap ek bar kisi doctor se mile aur proper checkup karwaye taki bimari ka pta lag sake aur sahi se iska ilaj ho sake.

    7. Govind Ji mere Piche 4 saal se stone hai right or left side dono me right me 8mm ki or left me 12 mm ki hai or sath me chote chote stone bhi hai or is ke aalava pith ki theli me bhi thi par wo to nikal Gyi hai or aapye Jo patharchitt ka bol Rahe ho uska use Abhi me 5 din se Kar Raha hu or uske use ke baad se left side me pain bhi hone laga hai ap koi uska ilaaj bataye plz or iska koi or bhi ilaaj ho to Mike mail Kar skate h aapye plz help me

      • Rohit vese to pathri ke ilaj mein pain ki samasya aati hai, par aap ek bar doctor se mile aur checkup karwaye taki present condition ka pta chal sake. In upayo ko karne se pahle kisi ayurvedic chikitsak se mile vo aapko sahi se bta sakenge ki aapke liye kon sa upay behtar hoga.

    8. Sir mery right side ki kidney me 20 mm ki stone hai me three month se berberis vulgaris le raha hu mere dard nahi hai per stone gal nahi raha hai sir please khuch upay batain

    9. Shir mere left kidney me 7.3 mm ka stone tha jo 5mm ka hogaya hai sir main kidney profile ka chekup karaya tha abhi jisame uria 23 mg/cl, creatinine 1.01 hai uric acid 8.15 hai kya ye saaare range sahi hain mujhe kya karana chahiye plz salah de koi ghabaranee wali baaat to Nhi hai na

    10. sir meri mom ke gall bladder me 3mm ki stone hai or kydney me bhi 3 mm ki stone hai ye kaise thk hogi bina surgery gall bladder ki

      • पथरी का इलाज घरेलू तरीके से करने के नुस्खे और उपाय ऊपर लेख से पढ़े.

      • पथरी का इलाज के घरेलू नुस्खे और दर्द दूर करने के उपाय ऊपर लेख में बताये गए है.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles