More

    Dimag Tez Kaise Kare 5 Gharelu Nuskhe Aur Tarike Hindi Mein

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेDimag Tez Kaise Kare 5 Gharelu Nuskhe Aur Tarike Hindi Mein

    Dimag Tez Kaise Kare: Aaj ke yug mein hamari lifestyle, khan paan aur rahan sahan ke sath hamari vichardhara bhi badal rahi hai. Chahe chote bacho ka class room ho ya bade logo ki naukri har jagah competition hai, aur koi bhi piche nahi rehna chahta, har koi ek dusre se aage nikalne ki koshish mein pryaas karta hai aur sachayi ye hai ki sirf sochne se kuch nahi hota mehnat se hi saflta milti hai aur agar mehnat sahi tarike se sahi disha mein ki jaye to success milna sawbhavik hai.

    Dosto class room mein sabhi bacho ko ek hi teacher padhata hai fir bhi kuch hi bache aese hote hai jo sharp aur active hote hai aur umeed se behtar result late hai, thik isi parkar se job mein sabhi employees ko kaam karne ke liye ek jesa mahol milta hai fir bhi kuch hi log aese hote hai jo extra ordinary perform karte hai, abhi aap soch rahe honge ki jab sab kuch ek jesa hi milta hai to koi dusra aap se behtar kese perform kar pata hai. Dosto farak hai soch ka, yaddasht (memory) ka, kisi bhi kaam ke liye aapke attitude ka aur dimag (mind) par control ka. Jo log acha result late hai unka dimag dusro se tej hota hai aur unka najariya bhi alag hota hai.

    Jis vyakti mein ye sabhi gun ho uska self confidence bhi adhik hota hai jisse vo mushkil kaam ko bhi aasani se kar paate hai. Aaj is lekh mein hum dimag tez karne ke gharelu aur ayurvedic nuskhe janege jisse aap bhi average se behter ban sakte hai.

    Dimag Tez Kaise Kare, Gharelu Nuskhe Aur Upay

    Dimag Tez Kaise Kare : Brain Boost Tips in Hindi

    Dimag Tej Karne ke Gharelu aur Ayurvedic Nuskhe

     

    Jadatar log brain power badhane ki medicine lene ki sochte hai, par agar hum ghar par hi kuch nuskhe sahi tarike se kare to kisi parkar ki medicine liye bina bhi apna aur chote bacho ko mind active aur sharp bana sakte hai, in gharelu upayo ko karne se mansik tanav (tension) bhi kam hoti hai.

     

    1. Haldi Powder

    Haldi ka paryog har ghar mein hota hai, isme mein curcumin naam ka rasayan hota hai jo na kewal cancer jesi bimari ke ilaj mein kargar hai balki brain ko bhi healthy aur active rakhta hai. Haldi dimag ki mari hui aur inactive koshikao ko active karne mein kaafi helpful hai.

     

    2. Brahmi aur Kesar

    Brahmi dimag tej kearne ki utam ayurvedic ashhudhiyo mein se hai, har roj iske sevan se memory boost hoti hai. Aadha chammach brahmi ko 1 chammach gungune paani mein mila kar pine se dimag ki shamta badhti hai aur dimag tez hota hai, chote bacho ka mind sharp karne ke liye ye upay utam hai.

    Kesar ka paryog depression, tension, jada gussa aana aur neend na aana jesi samasyao ko door karne mein hota hai. Ye sab pareshaniya dimag ko kamjor karti hai aur jab aap in sab samasyao se door jaoge tab aapka mind relax ho jata hai aur memory badhti hai.

     

    3. Daalchini Powder aur Tulsi

    Vese to daalchini hamari kitchen mein paryog hone wala ek masala hi hai par ye ek ayurveda aushdhi bhi hai. Raat ko sone se kuch der pahle 1 chutki dalchini powder ko shahad mein mila kar sevan karne se mansik tanav kam hota hai aur dimag tez hota hai.

    Tulsi mein antioxidant aur antibiotic gun hote hai jo dil aur dimag mein blood ka circulation acha karte hai.

     

    4. Shankh Pushpi

    Shankhpushpi dimag ki shakti badhane ki achi jadi buti hai. Rojana 1 cup gungune paani mein ½ chammach shankh pushpi mila kar lene se dimag mein blood circulation sahi rehta hai jisse brain ki capacity badhti hai.

     

    5. Jatamansi (Spikenard)

    Jatamansi ayurveda ki utam dawa hai jisme anek parkar ke aushdiya gun hote hai jo anek bimariyo ke upchar mein paryog hoti hai. Iske ilava dimag tej karne aur dimag ki kaary shamta badhane mein ye ramban ilaj ka kaam karti hai. 1 cum gunguna doodh le aur usme 1 chammach jatamansi ko ache se mix kar ke piye. Din mein 2 baar is upay ko kare, dimag tez hone ke sath aapki yaddasht bhi badhegi.

     

    Upar likhi hui kuch home remedies to hamari rasoi mein maujood hoti hai, aur kuch aap ko Baba Ramdev patanjali ya pansari ki shop se mil sakti hai.

     

    Hum sabhi chahhte hai ki hamare bache study mein aur sports jesi activities mein behtar perfom kare aur agar aap school, college mein padhte hai ya fir kisi job ke liye exam ki tyaari kar rhe hai aur aapko kisi bhi answer ko yaad rakhne mein mushkil hoti hai to yha bataye hue memory boost karne ke tips aapko lessons yaad rakhne mein madad kar sakte hai. Inke ilava yoga, exercises aur healthy food bhi aap ko fit aur active rahne mein madad karenge.

     

    Dosto Dimag Tez Kaise Kare, Brain Boost Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass memory tej karne ke gharelu upay aur desi nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    15 COMMENTS

    1. sir mera dost hai ankit usne mujhe bataya ki govind sir ki ek website hai motapa ghatana ho ya lambai badhani ho aur anya bimari ka sahi upay hai unke paas aur sir ye baat shi hai to mere daat ek dam white nhi hote aap upay batao ya fir koi tooth paste batao please sir

    2. Sir agar hum kuchh bhi yaad karte hai to wah bahut der se yaad hota hai aur kuchh hi samaya baad jaise ek ya do din baad mai sab kuchh bhul jata hu yah mere’sath kyu hota hai.

    3. Ankho ko kese white rhkna chahiye me jb b bahar jati hu to eyes red hojaty or vo mujhy bahut jalti h me Dr. Se b dikhayi hu pr faida nhi h

    4. बहुत-बहुत धन्यवाद इस लेख को लिखने के लिए काफी अच्छी जानकारी दी आपने।

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles