More

    Chikungunya ka ilaj ke 5 Gharelu Nuskhe aur Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीChikungunya ka ilaj ke 5 Gharelu Nuskhe aur Upay Hindi Mein

    Chikungunya ka gharelu upchar in hindi: Aajkal dengu, chikungunya aur viral bukhar bahut faila hua hai aur yahi wajah hai ki normal fiver hone par bhi log ghabra jate hai aur mehnge mehnge test karwane ke liye bhi tyaar ho jate hai. Vese to ye bimari dengu ki tarah khatarnak nahi hai par agar sahi samay par iska ilaj na kiya jaye to ye rog bhayanak roop le sakta hai. Isse pahle humne dengu aur viral fever ke lakshan aur upchar ke gharelu nuskhe bataye hai, kya kyu kaise ke is lekh mein hum padhenge chikungunya ka ilaj aur isse bachne ke liye kya upay kare, home remedies for chikungunya treatment in hindi.

     

    Chikungunya ke Karan aur Lakshan : Causes and Symptoms

    Kisi bhi bimari ke sahi upchar ke liye uske karno aur lakshano ki jankari hona bahut jaruri hai. Chikanguniya ka bukhar vyakti se vyakti mein nahi failta ye bimari adiz machar ke katne ki wajah se hota hai. Is bimari ka sabse bda symptom hai jodo mein dard aur tej bukhar hona, machar katne ke lagbhag 10 se 12 din mein iske lakshan dikhne shuru hote hai.

    1. Sir dard, Ulti hona.
    2. Haatho, chehre aur talvo par daane nikalna.
    3. 2 se 3 dino tak bukhar aana, jodo mein sujan aur dard hona.
    4. Kapkapi lagna aur thand lagne ke sath tej bukhar hona.
    5. Kuch logo ko masudho aur naak se khoon nikalta hai.

    Kuch afwaho ki wajah se hum normal bukhar mein bhi chikangunya ke test karwane lagte hai jo bahut mehnge hote hai. Agar aap ko bimar hone par ye lakshan dikhe to test jarur karwaye.

     

    Chikungunya ka ilaj ke Gharelu Nuskhe aur Upay

    Home Remedies for Chikungunya Treatment in Hindi

     

    1. Papite ke Patte (Papaya Leaf)

    1. Bukhar hone par body mein platelets ki matra kam hone lagti hai. Papite ke patte 3 se 4 ghante mein blood mein platlets bdha deta hai.
    2. Papite ke patto ki danthal ko alag kar le aur patto ko pees kar inka juice bna le. 2 se 3 chammach juice din mein 3 baar pine se jaldi aaram milne lagega.
    3. Papite ke patto ka ye upay dengu ke ilaj mein bhi asardar hai.

     

    2. Gajjar aur Angur

    • Chikungunya ka ilaj mein kachi gajar khane se fayda milta hai, isse marij ki immunity badhti hai.
    • Gaay ke doodh ko halka gunguna kar ke piye aur sath mein bina beej wale angur khaye, isse chikungunya ka virus khatam hota hai.

     

    3. Lehsun

    Chikanguniya mein jodo mein kaafi pain hota hai aur isse rahat pane ke liye sajwaine ki fali aur lehsun ko kisi tel mein mila kar garam kar le aur is tel se marij ke jodo ki halke hatho se malish kare, dard mein aaram milne lagega.

     

    4. Laung

    Lehsun pees kar laung ke tel mein daal de fir ise kisi kapde mein daal kar jodo par baandh de. Is upay se jodo ke dard mein aaram milega aur bukhar bhi control hoga.

     

    5. Ajwaine

    Ajwaine, tulsi, kishmish aur neem ki sukhi pattiyo ko 1 glass paani mein ubaal le aur din mein 2 se 3 baar piye.

     

    Chikungunya ka Upchar ke Jaruri Tips

    Agar aapke test mein is bimari ki pushti ho gyi hai to sabse pahle doctor ki salah le.

    1. Paani ki matra adhik le, ho sake to paani ko gunguna kar ke piye. Nriyal pani pina bhi acha hai.
    2. Sharir ko thaka dene wala koi bhi kaam na kare, jitna ho sake aaram kare.
    3. Patient ke room, bistar aur kapdo ko saaf suthra rakhe.
    4. Karela, papita, doodh dahi ka sevan adhik kare.
    5. Jodo ke dard se rahat pane ke liye koi pain killer le sakte hai, par job bhi medicine le doctor ki salah se hi le.

     

    Ayurveda Medicine se Chikungunya ka ilaj

    Chikugunya ke upchar mein vilvadi gulika, amritrishtav aur sudarshanam gulika jesi ayurvedic medicine di jati hai. Aapko ye medicine baba ramdev patanjali store se mil jayengi, par hamari salah yahi hai ki inke sevan se pahle kisi ayurveda vaid se salah le aur ye bhi jane ki in dawao ka sevan kaise aur kitni matra mein karna hai.

     

    Rajiv Dixit ke Ayurvedic Upchar Kaise Kare

    Neem ki giloy, tulsi, thodi si saunth aur thodi si choti pipar mila kar ek kadha banaye aur din mein 3 baar piye. Agar jada kadwa hone ki wajah se ye kadha na piya jaye to isme thoda sa gud mila le.

     

    Chikungunya Homeopathy Treatment in Hindi

    Chikanguniya ka treatment homeopathy se bhi kiya ja sakta hai. Ocimum 200 ki 2-2 boonde din mein 3 baar rogi ko pilaye. Is upchar ko shuru karne se pahle homeopathic doctor se salah jarur le.

     

    Chote Bacho ko Chikungunya se Kaise Bachaye

    Chikungunya mein chote bacho ka khas khayal rakhe kyuki bacho ki immunity kamjor hoti hai jis wajah se unhe bimariya hone ka khatra jada hota hai.

    Bache aksar khule mein khelte hai to machhar ke katne aur infection hone ki sambhavna adhik hoti hai, isliye jaruri hai ki bacho ko pure kapde pehnaye, raat ko machardani mein sulaye aur machar bhagane wali creame ka paryog kare.

    Bukhar, ulti – dast, neend na aana ya fir jada neend aana aur body par rashes hona, agar bacho mein aese lakshan dikhe to turant doctor se checkup karwaye.

     

    Dosto Chikungunya ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies Treatment in Hindi ka ye leekh aap ko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass chikungunya ka upchar ke desi nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    9 COMMENTS

      • Dost kisi bhi bimari ke treatment ke liye hame bahut si dawaye khani padti hai jiki wajah se bhukh na lagne jesi pareshaniya aa jati hai. Aap abhi daliya khicdi jese halke bhojan kare aur paani adhik piye dhere dhere farak padne lagega.

    1. meri sister ko chikungunya ho geya tha… 3 days me bukhar to uttar geya par uske 3 din baad boy par rashes nazarr aaye …phir rashes bhi 2 days me theek ho gye aur uske 1 week baad joint pains start ho gyi hai jo k abhi tak (3 weeks) tak ho rhi hai… ab to right eyes me redness aur irritation bhi hoti hai… kya karein.? lekin bukhar nhi hai.. aur ye bhi batayein pls k immune system kaise improve karein?

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles