More

    Ruk Ruk Kar Peshab Aane ka ilaj ke 10 Desi Nuskhe Hindi Mein

    Disease - बीमारीRuk Ruk Kar Peshab Aane ka ilaj ke 10 Desi Nuskhe Hindi Mein

    Ruk ruk kar peshab aane ya fir na aane ki wajah se bladder mein peshab ki vedna hone lagti hai aur jab adhik samay tak bladder khali na ho to tej dard bhi hone lagta hai. Urine mein blockage ho ya fir drop drop aaye to rogi puri tarah bladder khali nahi kar pata jisse bladder mein bacteria jama hone lagte hai aur urine infection hone ka khatra badh jata hai. Sahi samay par peshab na kar pane ki wajah se bladder kanp kar fool jata hai jisse rogi ko baicheni hone lagti hai, ye pareshani kisi bhi male aur female ko ho sakti hai. Is article mein hum peshab ruk ruk kar aane ka ilaj ke desi gharelu nuskhe janenge.

    Peshab Rokne ke Nuksan : Side Effects

    Peshab sharir se gandagi bahar nikalne ki ek parkirya hai jise mehsus hone par 1 se 2 minute mein karna jaruri hai. Bladder ke bharne par dimag ko bathroom jane ke sanket milne lagte hai. Peshab mein kai parkar ke vishale padarth aur becteria hote hai jise jada der tak bladder mein rokne se kai parkar ki samasya ho sakti hai. Aaiye jane peshab rokne par body par kya parbhav pad sakta hai.

    Bladder mein urine kidney ke dawara bheja jata hai aur urine rokne se bladder ki manspeshiya kamjoor hone lagti hai, agar sahi samay par bathroom na kiya jaye to urine wapis kidney mein jana shuru kar deta hai jisse peshab mein maujood vishali chije khoon mein mil kar sharir mein vikar lane lagti hai. Peshab mein amino acid aur uriea hota hai jo kidney ko nuksan pahuncha sakta hai jisse kidney mein pathri hona, infection aur kidney failure hone jesi aur bhi kari bimariya ho sakti hai.

    Peshab ko adhik der tak bladder mein rokne se urinary tract infection hone ka khatra adhik ho jata hai jise hum UTI bhi kehte hai, ye samasya mahilao mein adhik hoti hai. Vese to urine infection (UTI) hone ke aur bhi karan hote hai par adhik der tak urine pass na karna ek bda karan hai.

     

    Urine Ruk Ruk ke Aane ka Karan

    • Gurde mein koi kharabi hona.
    • Gurde ya bladder mein pathri hona.
    • Bladder mein infection hona.
    • Urine tract infection hona.

     

    Peshab Ruk Ruk Kar Aane ka ilaj : 10 Desi Nuskhe in Hindi

     

    1. Kidney mein infection ya kisi bimari ki wajah se peshab ka banna band ho jaye ya fir peshab mein koi rukawat aaye to muli ka ras piye, is upay se pesab mein hone wali vedna bhi thik hoti hai.

    2. Urine drop drop aata ho ya fir nahi aa rha ho to 1 litre paani mein 50 graam pyaaj daal kar ubaal le aur thanda hone par chaan le. Ab is paani mein thoda shahad daal kar din mein 3 baar piye. Agar urine pass karne mein dard ya jalan hoti hai tab bhi is upay se aaram milega.

    3. Garam doodh mein thoda gud mila kar pine se bhi pessab mein aane wali rukawat door hoti hai. Agar pareshani jada ho to ye gharelu upay din mein 2 bar kare.

    4. Nimbu ke beejo ko pees kar pet ki nabhi par rakhe aur upar se thanda paani dale, is upchar se ruka hua peshab aane lagega.

    5. Peshab ka rang pila aa rha ho to shehtut ke ras mein thodi shakar mila kar piye, isse urine ka color saaf hoga.

    6. Jeera aur chini ko brabar matra mein pees kar 2 chammach le, isse ruka hua urine khul kar aayega.

    7. Shalgam aur mulli khane se bhi peshab ka boond boond aana thik hota hai.

    8. Kakdi ka ras pine se paisab adhik banta hai, kharbuja khane se bhi peshab adhik matra mein banta hai. Jin logo ko urine na banne ki problem ho unhe inka sevan karna chahiye.

    9. Kele (banana) ke tane ka ras 4 chammach aur 2 chammach ghee mila kar din mein 2 bar pine se peshab khul kar aata hai.

    10. Peshab ruk ruk kar aa rha ho ya fir urine ki koi aur problem ho to treatment ke liye gunguna paani pina sabse behtar aur utam upay hai, isse peshab ki vedna mein bhi aaram milta hai.

     

    Peshab Mein Khoon Aane ka Upchar Kaise Kare

    Peshab karte hue khoon nikalna, ye samasya janelva nahi hai lekin iska sahi samay par upchar na kiya jaye to ye ek gambhir samasya bhi ban sakti hai. Peshab mein khoon aane ke kaafi karan ho sakte hai, isliye jaruri hai ki turant doctor se mile aur checkup karwaye taki sahi karan ka pta lgaya ja sake aur ilaj kiya ja sake. Yha hum blood rokne ke gharelu nuskhe bta rahe hai jo is samasya ke ilaj mein asardar hai.

    • Peshab karte waqt agar khoon aata ho to saunth (sukhi adarak) pees kar chan le aur doodh mein mishri ke sath mila kar din mein 2 bar le.
    • Peshab mein blood aata ho ya fir koi rukawat ho to raat ko kisi mitti ki handi mein aadha litre ubla hua paani aur 30 graam kata hua dhaniya daal kar chod de. Agle din is paani mein dhaniya ko masal kar paani chaan le aur isme 30 graam btaase daal le. Is paani ke  5 hisse kar le aur din mein 5 baar piye. Urine se judi koi bhi samasya ho ye tarika ramban ilaj ka kam karta hai.

     

    Dosto Peshab Ruk Ruk Kar Aane ka ilaj ke Desi Nuskhe in Hindi ka ye article aap ko kaisa laga hame comment ke jariye bataye aur agar aap ke pass urine ke upchar ke gharelu aur ayurvedic nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    14 COMMENTS

    1. Mujhe jagah badalne se paani ki problem ke karan constipation hone Lahti h jiske karan jyada pani peena padta h to usse baar baar peshab hoti h kya yeh koi naya rog h

    2. mata ji to peshab nahi aya 14 ghante se. jeera aur china dene ja raha hun. isse blood pressure to nahi badhega. wo high blood pressure ke mareej hain.

    3. My baby boy is one and half month old. Cries with pain before and after the pee. Sometimes pees in drops… Doctor said it normal. Any remedies for the same.. Please suggest.

    4. Hello sir
      Mujhe ruk ruk ke pehsab aata hai esse mujhe bahut prblm hoti hai,fir maine ultra sound karaya tu kidney Mai Stone tha fir Maine stone kids tablet khayi kafi din tak ,fir Maine ultra sound karaya tu stone nhi batyaa kuch dino baad fir yahi prblm aane laagyi fir again consult a doctor unhone bataya ki aapki urine jo sukad gayi hai unhone tablet bhi di khayi fayada bhi raha but again yahi prblm as jaati hai kabhi kabhi bahut pareshan hai kya kare kuch samjh nhi aa raha plz solve my prblm

      • Spinal injury me peshab karne ki samasya hoti hai iske liye alag tarike apnane padte hai jese bladder me pipe lgana. Jaada jankari ke liye aap doctor se mile.

    5. Sir mujha bhot tej feeling hoti hai toilet ki but ata nhi plz kuch help kijiya bhot parshan hun har 4 5 din mai ye hota hai jara jara sa urin ata hai

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles