Agar aapke hath pair mein dard hota hai aur aap us dard se chutkara pane ke liye painkiller medicines ka sahara lete hai to aap is lekh ko dhyan se padhe kyuki pain killers ke paryog se dard to kam ho jata hai par ye hamari kidney par bura asar dalti hai. Kya kyu kaise ke is article mein hum aese gharelu upay aur desi nuskhe padhenge jinke paryog se hatho aur pairo ke dard, jalan, sujan aur sunpan (numbness) se rahat pane mein madad milegi. Aaiye jane home remedies tips for hand and leg pain treatment in hindi.
Hath aur Pairon Mein Dard ke Karan : Causes
Legs mein pain fingers, talvo aur takhne ya fir pindiyon par kisi bhi jagah ho sakta hai aur is dard ke kai karan ho sakte hai.
- Umar ka badhna
- Jada der tak chalna
- Lambe samay tak khada rehna.
- Body mein nutritions ki kami hona.
- Sugar (diabetes) ka rog hona ya fir koi aur health problem hona.
- Jo log sports khelte hai ya gym jate hai unhe bhi aksar pain se jujhna padta hai.
Cervical problem hone se bhi garden, hatho aur kandho mein dard aur sunn (numb) ki shikayat hoti hai aur disc problem se kulho aur pairo mein dard hone lagta hai jisse uthne baithne aur chalne mein kafi pareshani hoti hai. Cervical aur disc reedh ki haddi (spinal cord) ke kuch manke hai jinme nas dabne se dard hone lagta hai. Agar aap bhi isi wajah se pareshan hai to doctor se consult kare.
Hath Pair Mein Dard ka ilaj ke Gharelu Nuskhe
Home Remedies for Hand Legs Pain Treatment in Hindi
1. Laung ka Tel
Sharir mein kahi bhi jodo par dard ho ya fir dant mein dard ho to laung ke tel se malish kare, isse body muscles relax hoti hai aur pain mein relief milta hai.
2. Garam aur Thanda Pani
1 bade bartan mein thanda paani bhare aur ek bartan mein gunguna paani. Ab apne pairon ko 2 se 3 minute ke liye gungune pane mein daal kar rakhe aur uske ke baad 10 se 15 seconds ke liye thande paani mein dale. Is kriya ko 2 se 3 baar kare aur iski shuruat hamesha gungune pani se kare aur khatam thande paani par kare. Is kriya ko cold and hot water therapy ke naam se bhi jante hai jo hands aur legs pain ke upchar ka acha gharelu tarika hai.
3. Ice Therapy
- Dard aur sujan (swelling) ka ilaj ke liye ice therapy ka paryog kafi asardar upay hai. Ek plastic ka bag le usme burf ke tukde dale aur dard wali jagah par isse massage kare. Ice pack ko ek bar mein 10 minute tak hi paryog kare.
- Pairo ki naso mein sujan aayi ho to burf ka paryog suji hui naso par kare isse sujan utarne lagegi.
4. Sendha Namak
Haath pair ke dard se jaldi relief pane ke liye ek baalti mein garam pani daal kar isme 2 se 3 chammach sendha namak milaye aur is paani mein 10 minute ke liye apne pair rakhe.
5. Sarso ke Beej (Mustard Seeds)
Sarson ke beejo ko pees kar unhe garam paani mein mila kar kisi balti ya bade se bartan mein dale aur is paani se 10 – 15 minute tak apne pairon ki sikayi kare. Is upay se khoon ke parvah mein sudhar aata hai aur dhere dhere swelling kam hoti hai aur dard bhi door hota hai.
Hand aur Leg Pain ka Upchar ke liye Baba Ramdev Yoga
Hath pair mein dard se chutkara pane mein yoga karna best solution hai. Yoga mein kandharasana karne se hath paon ke dard ke sath sath kandho, kamar aur ghutno ke dard se bhi rahat milti hai.
Kandhrasan yoga mein aap ko jameen par shavasan ki mudra mein leet kar pahle apne dono ghutne modne hai aur pairo ke panjo ko jameen se lagaye rakhna hai iske bad aapko bina apni gardan aur sir ko hilaya kamar ko upar ki aur uthana hai aur apne hatho se pairo ke tankhno (ankles) ko pakadna hai. Is aasan ko karne se pahle ise puri tarah sikhe iske liye aap baba ramdev ki videos dekh sakte hai ya kisi yoga guru se mil kar sikh sakte hai.
Hath Pair Mein Jalan ka ilaj Kaise Kare : Burning Sensation
Pairo mein jalan tab hoti hai jab legs mein blood circulation slow ho jaye ya fir pairo ki manspeshiya kamjor ho gyi ho. Ye pareshani sugar ke patients aur bade budho mein adhik hoti hai. Iske ilava kisi dawa (medicine) ke side effects, blood pressure aur vitamin ki kami se bhi talve mein jalan ho sakti hai.
- Burning feet problem se rahat pane ke liye aese foods khaye jinme vitamin B3 bharpur matra mein ho.
- Jaitun ya fir nariyal ke tel mein thoda adrak ka ras mila kar ise halka gunguna karke pairo ke talvo aur aediyo par 5 se 10 minute ke liye malish kare.
- Lauki ka ek tukda kaat kar pairon par male isse pairon ko thandak milegi.
- Blood ka circulation badhane ke liye adarak ka ek tukda bhi chba sakte hai, is upay se pair ke dard ke sath sath puri body ko aaram milega.
Hands aur feets mein jalan kisi bhi umar mein ho sakti hai, vese to ye jalan kabhi kabhi hoti hai par agar ye aapko har samay hoti hai to doctor se salah le.
Hath Pair Sunn ka Upchar ke Gharelu Tarike
Hath paon so jana ya sunn hone ki samasya normal hi hai aur hum sab kabhi na kabhi isse rubru ho chuke hai. Galat posture mein baithne aur letne se kai bar hamare haith paon numb ho jate hai aur inme jhanjhanahat, kamjori mehsus hoti hai.
- Hath pair sunn pad jaye to ise thik karne ke liye massage karna sabse aasan ilaj hai, isse blood circulation badhta hai aur sunpan dhere dhere kam hone lagta hai.
- Jis hath ya pair mein sunpan aaya ho uski exercises kare isse bhi dhere dhere sunpan khatam ho jayegi.
- Ek glass gungune doodh mein aadha chaamach haldi aur thoda shahad mila kar pine se bhi blood circulation mein sudhar aata hai.
Nas Par Nas Chadhna (Muscular pain)
- Nas par nas chadhna jesi samasya hone par jis pair ki nas chadh gayi ho us side ke hath ki beech wali ungali ke nakhun ke neeche wale hisse ko dabaye aur chode.
- Jis hath ya pair ki nas chadh gyi ho us par thandi paani ki sikayi karne se bhi aaram milta hai.
Jodo aur Ghutno mein Dard ka ilaj
Rajiv Dixit Ayurvedic Tips in Hindi
Dosto Hath Pair Mein Dard Jalan Sujan ka ilaj, Hands and Legs Pain Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment kake bataye aur agar aapke pass hatho aur pairo ke dard ka upchar ke tarike, gharelu upay ya desi nuskhe desi upay hai to hamare sath share kare.
sar mere maa ke pero ki pindliyo me dard hota hai betna aur utane me dard hota hai. nas pe nas chad gaye ya nas me kichav ho gya pata nahi. Dr. ki dawai leti hai to dard nahi hota. dawai khtam hone par 2-3 din me phir dard hota hai. ye samsya 3-4 saal se hai. 3-4 Dr. ko dikha diya. dard sirf pindliyo me hota hai joro me nahi hota hai.
Munan ji aap upar article padhe aur upay kare.
sir,
mai ese hi dard ke liy upay dundh rha tha ki aapka ye page mere samne aya to maine ise dhyan se pdha to paya ki ye shi jgh hai to sir please meri puri pdh iska sujhaO de
meri maa ko pichle 2-3 mhine se achank se kmar or pair dono dard hona suru ho gya hai.or wo dard se paresaan ho rhi hai ,yhe nhi dard dheere- dheere bdh rha hai ab right hand me v dard jlka ehsas hone lga hai,
hmne use dr. se v dikhaya pr kuch nhi hua.
mujhe iske liy kuch upay btay sir
ThAnX
Deepak ye lakshan slip disc ke ho sakte hai, dost aap ek bar neuro specialist se consult kare taki bimari ko sahi diagnose kar sake aur sahi disha mein ilaj badh sake.
Mere Papa k hath bht sun ho jate h kya kre
Sir ji
Good morning
Sir ji meri mami ko hath aur pair me kafi jalan aur Dard hota hi aur Sun ho jata hi aur naso me bhi Dard hota hi kamar me Dard hota hi x Ray ke report me aaya hi ke naso me sukaran pan us wajah se pure tang me Dard hi sir ji kirpa kar ke koi upchar batai
Ap ke ati kirpa hogi
Thanks
Pawan Kumar
Helo sir mere pay on air leg k nichy dard rehta hai kabi khud khtam ho jate hai
Hello sir. Meri mom ke pair mein dard, jalan or sujan teeno h.. Plz tell me any home remedies..
हाथों और पैरों में दर्द सूजन का इलाज के लिए घरेलू उपाय व नुस्खे ऊपर लेख में पढ़े.
sir mere hatho me bahut kamjori hai hath seedhe nahi hote or na sahi se working karte hai or kapte bhi bahut hai please mehrabani farama kar mujhe is ka ilaj bta de.
Mere hatho me jalan ho rahi hai aisa lag raha hai hatho me mirchi lag gayi ho agar aap ko kuch pata hai so tell.