More

    चेहरे से काले दाग निशान मुंहासे हटाने के उपाय

    Face - चेहराचेहरे से काले दाग निशान मुंहासे हटाने के उपाय

    हमारे बीच शायद ही कोई ऐसा होगा जिसके चेहरे पर कभी पिंपल्स न हुआ हों। हमें सभी लोगों को चेहर पर कभी ना कभी पिंपल्स तो जरूर हुआ होगा। आज बाजार में मुंहासों को दूर करने के लिए हजारों दवाएं उपलब्ध हैं, इन दवाओं की कीमत एक सौ से हजारों रुपये तक है। हजारों रूपये खर्च करने के बाद भी चेहरे से पिंपल्स नही जाते हैं। कई घरेलू उपाय करने के बाद भी चेहरे से मुंहासे जल्दी खत्म नहीं होते हैं।

    लेकिन आज हम ऐसे घरेलू नुस्खों के बारे में बताने जा रहे हैं जो बहुत कम लोगों के लिए मामूली होते हैं। यह घरेलू उपाय न सिर्फ चेहरे से मुंहासों को दूर करता है बल्कि चेहरे पर एक अलग तरह की चमक भी लाता है। जो आपको सौ लोगों के बीच भी एक अलग पहचान बनाता है। इस घरेलू नुस्खे के बारे में जानने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Chehre par kisi tarah ke nishan aur daag dhabbe face ki khubsurti ko bigad dete hai. Jadatar kil muhase ki wajah se face par black marks pad jate hai. Badhta hua pollution aur hamari khane pine ki galat aadto ke karan aksar face par kil muhase aur funsi nikalne lagte hai jo thik hone ke baad ek nishan chod jate hai. Kuch log in daag dhabbo se chutkara pane ke liye cosmetic yukt beauty products ya medicines (dwa) ka paryog karte hai jo kai baar side effect kar jate hai aur hamari samasya kam karne ki bajay badha dete hai. Is article mein hum janenge chehre se kale daag dhabbe ke nishan gadde aur pimples hatane ke gharelu upay, natural home remedies for acne scars dark black spots marks remove tips in hindi.

    Aksar chot lagne ke karan bhi ghaav ban jata hai jiske thik hone ke baad ek nishan reh jata hai aur agar ye nishan face par ho to aur bhi kharab dikhta hai.

    Chehre se Kale Daag Dhabbe ke Nishan Hatane ke Upay

    Home Remedies for Acne Scars Marks Tips in Hindi

    1. Nimbu se Kale Daag Kaise Hataye

    Face ke acne scars hatane ke liye nimbu natural bleech ki tarah kaam karta hai aur chehre ke nishan ko kam karta hai. Nimbu ke ras mein cotton bhigo kar daag dhabbo par halke hatho se lagaye aur 10 se 12 minute baad dho le. Is upay se chehre ke nishan dhere dhere halke padne lagte hai.

    Chehre par nikhar lane ke liye nimbu aur santre ke chilko ko pees le aur isme doodh mila kar face par lagaye. Isse face glow karne lagega.

    Kil muhase ke nishan face se hatane ke liye nimbu aur dahi ka paryog kare. Dahi mein thoda nimbu ka ras mila kar iska paste kale daag dhabbo par mask ke jese lagaye aur 20 se 25 minute baad dho le. Is upay se bhi chehre ke nishan saaf hone lagte hai.

    2.Gulab jal aur Chandan Powder

    Thoda sa gulab jal chandan powder mein daal kar ek face pack bana le aur chehre par lagaye. Paste lagane ke 45 se 50 minute baad chehre ko dho le. Is gharelu nuskhe se face glow karne lagta hai aur daag dhabbe kam hone lagte hai.

    3. Anda (Egg) se Black Spots Kaise Mitaye

    Ande mein protein hota hai jo tavacha ke rom chidar bharne mein madad karte hai. Pimples ke karan jo daag dhabbe pad jate hai unhe hatane mein bhi anda ka paryog ek asardar upay hai.

    Is upay ko karne ke liye ek kacha anda le aur ise tod kar iska safed hissa alag kar le, ise acne marks wali jagah par lagaye aur 10 minute baad chehre ko thande pani se dho le. Is upay ko hafte mein 2-3 din karne par daag dhabbo ke nishan halke hone lagte hai.

    4. Aloevera Gel se Gadde Mitane ke Upay 

    Aloe vera daag dhabbe, funsi aurv gaddo wali skin se dead skin hatane mein upyogi hai. Aloevera gel se massage karne ke 30 se 45 minute baad saaf paani se dho le. Aloevera skin ke liye ramban ilaj ka kaam karta hai.

    5. Shahad se Acne Scars Remove Kare

    Chehre se kale daag dhabbe saaf karne mein shahad (honey) ka paryog utam upay hai. Shahad natural moisturiser ki tarah kaam karta hai jo dead skin tissues mein nayi jaan dalta hai.

    1 se 2 chammach baking soda 2 chammach shahad mein milakar kar massage kare. Pimples aur funsi thik hone ke baad ke nishan hatane ke liye is upay ka paryog kiya jata hai.

    Shahad mein dalchini powder mix karke iska paste lagane se bhi kale daag dhabbo ka ilaj kar sakte hai.

    6. Kachha Aaloo se Nishan Kaise Hataye

    Kale daag dhabbe ke nishan (dark black spots) hatane ke liye kachhe aaloo ka bhi paryog kar sakte hai. Kachha aaloo pees kar iska paste face par lagaye aur 15 se 20 minute baad gungune paani se face wash kar le. Is gharelu tarike se daag dhabbe saaf hone laagte hai.

    Aaloo ko kaat kar iski slice se daag dhabbo wali jagah par massage karne se bhi daag halke hone lagte hai.

    7. Haldi se Daag Dhabbo ka ilaj

    Haldi ek natural antibiotic hai jo pimples aur daag dhabbe hatane mein asardar hai. Thoda sa haldi powder le aur isme kuch boonde nimbu ke ras ki milakar lagane se daag dhabbe ke nishan dur hone lagte hai aur face clean hone lagta hai.

    8. Jaitun ka tel (Olive Oil)

    Jaitun ke tel mein vitamin K aur E hota hai jo tavacha ko healthy banane mein asardar hai. Olive oil chehre ke black acne scars marks ko teji se saaf karne mein asardar hai. Thoda sa olive oil le aur gaddo par 5 minute tak massage kare. Is upay ko karne ke 10 minute baad kisi saaf kapde se ise ponch le.

    9. Aawla Powder se Pimple ke Daag Kaise Mitaye

    Aawla mein vitamin C paryapt matra mein hota hai jo nishan banane wale kaarko ko ubharne se rokta hai. Paani ya jaitun ka tel aawla mein daal kar paste bana le aur daag dhabbe wali jagah par halke hatho se massage kare.

    10. Kheera, Doodh, Tamatar se Daag Dur Karne ke Tarike

    Pimples ka ilaj karne aur ise hone se rokne ke liye kheera ka paryog bhi kar sakte hai. Ek kheera le aur ise kaddukas karke iska paste chehre par lagaye aur 10 minute baad face wash kar le. Is nuskhe se chehre ki skin mulayam aur healthy rehti hai.

    Daag dhabbe, gadde aur kale nishan se chutkara pane mein doodh bhi asardar upay hai. Ek cotton le aur doodh mein bhigo kar chehre par 10 minute tak paryog kare aur baad mein face ko gungune paani se dho le.

    Chehre se kale daag dhabbe ko saaf karne ke liye tamatar ka ras le aur isme cotton bhigo kar daag dhabbo par lagaye, tamatar ke is upay se bhi kale dhabbe thik hone lagte hai.

    Agar aap ke chehre par funsi, gadde ya kale daag dhabbe adhik hai aur desi nuskhe karne ke baad bhi thik nahi ho rahe to aap skin specialist doctor se mile. Doctor operation/surgery ke dawara pimples ke daag aur chehre ke nishano ka ilaj karte hai.

    Pimples ke Daag Hatane ke Ramban Gharelu Nuskhe

    • Ubale hue aaloo ko cheel kar uske chilko se chehre ko ragdne se pimples dur hone lagte hai.
    • Pimples aur funsi nikalne se rokne ke liye jaiphal ko ghis le aur isme kaccha doodh aur kali mirch daal kar ek paste bana le aur face par lagaye.

    Kale Daag Dhabbe Rokne ke Upay

    Chehre par daag dhabbe ke nishan ya to kisi ghaav ke karan ho jate hai ya fir pimples kil muhase aur funsi ki wajah se nishan reh jate hai. Hum in nishano ko puri tarah nahi rok sakte par kuch upay karke hum iske asar ko kam kar sakte hai.

    Ghaav ya pimples jab thik hone lagte hai tab ek papdi banne lagti hai, hum mein se bahut se log aksar is papdi ko khinch ke nikal dete hai par aesa bilkul na kare. Agar aap aesa karenge to us jagah daag jada gehra ban jayega isliye papdi ko natural tarike se hi girne de.

    Acne Scars and Black Spots Removal Tips in Hindi

    • Kuch logo ke pimples thik hone ke baad fir se nikal aate hai aese mein is pareshani se chutkara paane ke liye khane pine mein healthy food khaye taki tavacha ko bharpur poshan mil sake aur sath hi khane pine ki galat aadto se parhej kare.
    • Daag dhabbe par suraj ki dhoop na padne de, suraj ki kirne padne se daag ka rang badlne lagta hai aur pahle se jada dikhne lagta hai.
    • Aap ko kisi function mein jana hai aur chehre par nishan ki wajah se pareshan hai to aap nishan chipane wala makeup kar sakte hai.
    • Face ko saaf rakhe, bahar se ghar aane ke baad chehre ko dhoye taki tavacha mein chupe dhool mitti ke kan bahar nikal jaye.
    • Paani adhik maatra mein le. Har roj 3 se 4 litre pani pina acha hota hai.

    Har vyakti ki skin sensitivity alag hoti hai isliye koi bhi gharelu upchar karne se pahle use sharir ke kisi dusre hisse par lga kar dekhe uske baad hi chehre par paryog kare, aap upay karne ke sahi tarike ayurvedic chiktsak se milkar bhi sikh sakte hai.

    Dosto Chehre se Kale Daag Dhabbe Hatane ke Upay, Acne Scars Marks Home Remedies in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass funsi gadde kil muhase pimples ka ilaj ke gharelu tips, nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    33 COMMENTS

    1. hi,meri19yrs old ki hu …meri face pe bht Sara chhota chhota pimples hogya or kvi kvi ek ek tho bht bda pimples hojata h or dag dhhabbe b bht h ..or ek achhe wala or jaldi to k hone ka upae btae

      • Sahista ji koi bhi upay karne se pahle aap apne khane pine mein achi aadte apnaye, tla hua aur masaledar khane se parhej kare, paani adhik piye taki aapki skin ko jaruri poshan mile aur bar bar kil muhase na nikle. Pimples ke gharelu upay upar lekh mein bataye gaye hai aap inhe bhi padhe.

    2. Hi ,meri umar 33 saal ki hai.mera 11 sal ki umar se four head black hua hai abhi tak bahut davai ki per vo jata hi nahi.pls aapke pass uske liye kuch upay hai kya to batai ye.pls

    3. Sir Mai 27 saal Ki Hu.. Aur mere face me pimple aur white heads aate h.. Ye saalo se aate hi ja rhe h.. Face me koi pack lagane se usme aur v pimple aate h.. Mai kya karu upaye bataye..

    4. Hi sir mera face 4 din pehle
      garam pani se jal gya tha jis ki wajeh se face pe jakham to nhi h pr dag ho gya h or halka tna hua mehsoos hota h AGE 18 h mera
      Kya ye dag jald hat sakta h

      • ललित चेहरे के काले दाग धब्बे और गड्ढे हटाने के उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    5. Sir Jab mein India mein this mere face par ek bhi pimple nhi tha lekin Canada mein aane ke baad mere face oar daily pimple nikl aate hain.ek thik hoja hai to dusra nikl ata hai..plz help me

    6. Mere chehare ke upari or pe nimbu ki wajah se mera Mattha Kala ho gaya h…..kisi ne kaha tha ialiye me raat bhar nimbu k rass ko nichod kar apne matthe par lagaya jiski wajah se mera Martha Kala ho gaya h……..pleas batao ki me o Kala pann kaise hatau. ..please batao sir/mam…….pleass

      • दोस्त अगर आपकी त्वचा अधिक संवेदनशील है तो कोई भी उपाय और क्रीम प्रयोग करने से पहले कहीं और लगा कर चेक करे उसके बाद ही चेहरे पर लगाए। नींबू के इस्तेमाल से चेहरे पर कालापन आने की संभावना कम है अगर आप कोई और क्रीम इस्तेमाल करते है तो एक बार उसका प्रयोग बंद करे।

    7. meri age 26 hai mere chehre pe pahle bahut pimples the 2years pehle mai doctor ke paas treatment kiya tab se kam hogaye hain. but Abhi thode thode pimples hain aur jaha pimples Gaye hain waha gaddhe hue aur mera face bahut black ho raha hai day by day please mujhe koi treatment bataye Jo mere chahra sundar aur mere chehre see pimples aur pimples ke ghadde door ho Jaye please help me mai chehre see bahut pareshan ho,

    8. Sir,mere chehre par lagvag 4 saal pehle pimples aur blackheads nikle the…
      Pimples toh thik ho gaya par usse chorey gaye daag dhabbey avi tak chehre par he….daag ka rang waqt k saath bartaa hi jaa raha he….
      Aur chehra v murjhaaya huwaa jesaa ho gaya he….kripaya koi upaay ho toh bataaye…

      • चेहरे पर पिम्पल्स के काले दाग धब्बे हटाने के उपाय ऊपर बताये गए है आप लेख पढ़े।

    9. Mere face Mai kale daag or pimpels bahut jyda h ye problem bht saal se h Kai dawai kha li but abi tak koi fyda nai hua .. or face Mai chote chote Dane nikal jate h jisse ke face Mai nishan pad jata hai.

    10. pimples problem koi solution bataye and koi ek asardar batye jise karne se ek bar me khatam ho jaye daag dhabbe nishan.

      • दाग धब्बे और पिम्पल्स हटाने के उपाय और नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप को जो उपाय करना आसान लगे वो करे.

    11. Hello,
      Mere face Aur pure sarir Mai chhote chhote fode ho Raha hai .iska reason Kya hai or to or usme se bahut mawad nikalte hai.please mujhe iska reason batao.

      • पिम्पल्स के दाग धब्बे और निशान हटाने के लिए उपाय और घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में पढ़े.

    12. sir mere chahre ke daag nahi ja rahe hai main bahut paresan hu bahut se tube laga chuka hu koi fayda nahi mil rha hai koi upay btao.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles