रात में बच्चों का बिस्तर पर पेशाब का इलाज इन हिंदी: Chote baccho ka raat ko sote samay bistar par peshab kar dena aam baat hai par 5 saal ki age ke baad bhi agar bacha neend mein bed gila karta hai to ye ek bimari bhi ho sakti hai. Bade logo ke comparison mein chote bacho ka bladder kafi chota hota hai jis wajah se ve jada der tak peshab rok nahi paate jisse raat ko bed wetting problem ho jati hai. Kuch gharelu upay aur desi nuskhe apna kar aap apne bache ko bistar par peshab karne ki aadat chudwa sakte hai. Aaiye jane bistar gila na karne ka upchar, natural ayurvedic home remedies for bedwetting treatment in hindi.
बिस्तर पर पेशाब का इलाज के घरेलू नुस्खे और उपाय
Bistar Mein Peshab Karna Gharelu Nuskhe aur Upay
1. Nind mein bistar gila karne ki samasya ka samadhan karne ke liye raat ko sone se pahle 1 gram ajwaine churan khilaye ya fir paani mein ajwaine milakar kadha bana kar bacche ko de.Kuch din lagatar ye upay karne se bed wetting problem door hone lagti hai.
2. Jayfal paani mein ghis le aur ab ¼ chammach 1 cum gungune doodh mein milakar subah aur sham child ko pilane se bistar par peshab karne ki samasya ka ilaj kar sakte hai.
3. Ayurvedic dawa se upchar karne ke liye navjivan ras ki 1 – 1 goli din mein suabh sham doodh ke sath de. Kuch din ye dawa nirantar lene se farak dikhne lagega.
4. Kai bar thand lagne ki wajah se bache raat ko bed par peshab kar dete hai. Aese mein jaruri hai ki bache ki body ko andar se garmi mile. Gud khane se sharir mein garmi aati hai jisse bache bistar gila nahi karenge. Iske liye rojana subah halke garam doodh ke sath gud khane ko de.
5. Bacho ke bistar gila karne ka upchar gharelu tarike se karne ke liye har roj subah 1 chammach shahad 1 cup thande doodh mein mila kar bache ko pilaye aur sath hi til gud ka 1 laddoo khane ko de. Dhyan rahe doodh mein chini na dale aur laddoo khane ke baad hi doodh pilaye.
6. Kidney aur bladder mein problem hone ke karan bhi bedwetting hone lagti hai. Cranberry juice kidney aur bladder ke liye faydemand hai. Raat ko sone se 1 ghanta pahle cranberry ka juice pilaye.
7. Neend mein bistar par peshab karne ki samasya se chutkara pane ke liye bache ko din mein 2-3 kele khilaye.
8. Akhroat khane se bhi bed wetting problem ka solution milta hai. Akhroat peshab aane ki matra kam karta hai.
9. Raat ko sone se pahle kuch daane kishmish paani mein bhigo kar rakhe aur subah khali pet khaye. Is upay se bhi bistar geela karne ki samasya door hoti hai.
10. Daalchini ke sevan se bhi sharir mein garmi aati hai jisse bed par peshab karne ki problem door hoti hai.
बिस्तर पर पेशाब करने की दवा : Bistar gila karne ka ilaj
Gharelu nuskhe karne ke ilava is samasya ke upchar ke liye aap doctor se bhi treatment le sakte hai. Agar aap neend mein bistar par peshab karne ki samasya ke ilaj ke liye medicine lena chahte hai to doctor ki salah se hi le.
Ayurvedic ilaj ke liye baba ramdev patanjali store se ayurvedic dawa bhi le sakte hai.
बच्चों का बिस्तर पर पेशाब करना घरेलू उपचार : Raat ko bistar gila na karne ke upay
Bistar gila karne ke samasya kai bar kuch bade logo mein bhi hoti hai jis wajah se unhe kai bar sharminda bhi hona padta hai. Agar aap bhi bed wetting ki problem se pareshan hai to ghabraye nahi balki iska ilaj kare. Is bimari se bachane ke liye kuch baato ka dhyan rakhna bhi jaruri hai.
- Sone se pahle bache ko peshab karana chahiye.
- Sham ko 8 baje ke baad bache ko jada paani nahi pilana chahiye.
- Raat ko 1 se 2 baje ke dauran bache ko dhire se uthaye aur bathroom le jakar peshab karwaye.
- Bache ke sone wale room mein raat ko halki roshni rakhni chahiye taki raat ko peshab lagne par bacha khud bathroom ja kar peshab kar sake.
- Agar agli subah ko aapko bache ka bistar gila na dikhe to bache ki taarif kare.
- Kuch bacche raat ko peshab lagne par dar ki wajah se bathroom nahi jate jis karan ve bed par hi peshab kar dete hai, aesi situation mein aap bache se baat kare aur unka dar door kare.
- Agar aapka baby raat ko nind mein bar bar bistar par peshab kar deta hai to use daante nahi aur na hi use sharminda mehsus karwaye balki use pyar se baat kare.
- Agar 10 se 12 saal ki age mein bhi bacha bistar geela karta hai to aap ek bar kisi doctor se milkar bhi salah le. Sahi samay par sahi tarike se treatment karne par bed par peshab karne ki samasya ko roka ja sakta hai.
Terms: बिस्तर पर पेशाब का इलाज इन हिंदी, बच्चों के बिस्तर गीला ना करने के उपाय, बच्चों का बिस्तर गीला करना, रात में बिस्तर गीला करना, बच्चों का बिस्तर में पेशाब करना, बिस्तर पर पेशाब करने की आयुर्वेदिक दवा, बिस्तर गीला के लिए घरेलू उपचार, बच्चों को रात में बार बार पेशाब आना, पेशाब की समस्या का इलाज के घरेलू नुस्खे और उपाय, Bistar mein peshab karna gharelu nuskhe aur upay, bed wetting treatment in hindi, bacho ke bistar gila karne ke upchar.
Good prevention
Thankyou
But if there are more preventions then Please add in this.