More

    चीनी (मधुमेह) कैसे कम करें, पांच घरेलू उपाय

    Disease - बीमारीचीनी (मधुमेह) कैसे कम करें, पांच घरेलू उपाय

    आज दस में से आठ लोग मधुमेह से पीड़ित हैं। इस लेख में हमने मधुमेह को कम करने के पांच घरेलू उपायों के बारे में बताया है। इस उपचार की सबसे बड़ी विशेषता यह है कि इसका किसी भी प्रकार का कोई साइड इफेक्ट नहीं होता है।

    Sugar Kam Kaise Kare (Diabetes Control Karne Ke Gharelu Nuskhe Hindi Mein)

    Diabetes(Sugar) ko madhumeh bhi kaha jata hai jo aaj ek aam samasya ban gayi hai. Aaj ke smay me hmara khan paan par niyantran na hona bhi sugar hone ke liye jimeedar hai. Madhumeh mein blood me sugar ki maatra badh jaati hai. Abhi tak sugar thik karne ka koi upchaar nhi mil ska hai par aap apna blood sugar level (Rakt sharkra) control kar ke ek normal life jee sakte ho. Bharat mein 5 crore 70 lakh se jada logo ko sugar ki bimari hai aur aaj har koi yahi janna chahta hai ki sugar kam kaise kare. Aap ghar bethe kuch ghrelu nuskhe isteemaal kar ke apni diabetes ko control kar sakte hai. Diabetes 2 tarike ki hoti hai

    • Pehla – Is mein hamari body insulin nhi banati hai.
    • Dusra – Is me hamari body mein insulin paryaapt maatra me nhi banta ya fir jo insulin banta ho vo thik se kaam nhi karta.
    • Jane Cholesterol Kam Karne ke Upay

    Sugar Ke Lakshan (Common Symptoms of Diabetes)

    Thakaan, Vajan kam hona, Jada pyaas lagna, Baar baar peshaab aana, Kat aur chot dhere dhere thik hona diabetes ke lakshano mein se kuch hai.

    Yahan hum aap ko sugar kam karne ke kuch gharelu upchaar bta rahe hain.

    1. Gehu ke Jvare (Wheatgrass) se Sugar Kam Kaise Kare

    Gehu ke jvare matlab wheatgrass ko dharti ki sanjeevni buti bhi kha gya hai. Purane smay me bharat me wheatgrass juice ko alag alag bimariyo ke iilaj me istemaal kiya jaata tha. Jab gehu ko achi upjaau jameen me boya jata hai to kuch hi dino me iski pattiya nikalne lagti hai jise hum gehu ka jvara kehte hai 5-6 din ki pattiya bhut labhdayak hoti hai jo body ko ache tarike se kaam karne k liye taakat deti hai.

    Wheatgrass diabetes ke logo ke liye bhut faydeemand rha hai kyuki yeh carbohydrate me rakt sharkra ke star ki viniyamit karne me madad karta hai aur is trah yeh bade charan ki sugar ko bhi niyantrit kar sakta hai.

     

    2. Karela (Bitter Gourd) isteemaal kar ke apni diabetes ko control kaise kare.

    Karela ek kadve tarbooj ke roop mein jaana jaata hai, yeh rakt sharkra (blood sugar) ke kam prabhav ke karan diabetes ko control karne mein sahayak ho sakta hai. Karela insulin ke sraav mein madad karata hai aur insulin pratirodh se bachaata hai, is prakar, karela donon tarike ki diabetes ke liye faayademand hai.

    • Karele ke juice ko subh subh khaali pet peena chahiye. Sab se pehle do se teen karele ke beej nikaal de aur unka ras nikale. Fir usme thoda paani dale aur piye. Kam se kam do mahene tak ye juice subh khaali pet piye.
    • Iske alaava, aap apne aahaar mein bhi karela ka bna ek dish shamil kar sakte hain.
    • Jane Sugar me kya khaye aur kya nhi

    3. Daalchenee (Cinnamon) isteemaal kar ke apni diabetes ko control kaise kare.

    Daalachenee ke paudar me rakt mein sharkra ke star ko kam karne ki shamta hai.

    • Garm paani ke ek cup me daalchenee ka ek chammach daal kar roj piye.
    • Ya fir ek cup mein paani mein do se chaar daalchenee ke lathe dal kar ubaale aur 20 minute ke liye chood de or piye.

    4. Methi Ke Daane (Fenugreek) se Sugar Kam Kaise Kare.

    Methi ek esi jadi buti hai ki yeh bhi sugar ko control karne aur rakt sharkra ke star mein sudhaar karne ke liye istemaal kiya ja sakata hai. yeh bhi glukoj par nirbhar insulin ke sraav ko uttejit karta hai.

    • Methi ke beej ke do bade chammach le aur raat bhar paani mein bhigoye aur fir subh khaalee pet beej ke saath-saath paani piye.
    • Ya fir doodh ke saath methee ke beej ka paudar ke do bade chammach khaye.

    5. Amla (Indian Gooseberry) se Sugar Kam Kaise Kare.

    Amla me Vitamin C hota hai jo aapke agnashay ko thik se kaam karne mein badhaava deta hai.

    • 2 se 3 amla le uske beej nikaal den aur ek theek pees kar paste bna le. ek kapde mein paste daal kar ras nichod le. Fir isme ek cup paani milakar har roj khaali pet piye.
    • Ya fir ek cup karela ke juice mein amla ke ras ke ek do chammach milaye aur har roj piye.

    Jane Sugar ki ilaj ki dawa in hindi

    6. Jaamun (Black Plum or Indian Black Berry)

    Jaamun bhi rakt sharkara ke star ko niyantrit karne mein bahut madad kar sakata hai. Jaamun ke paudhe ke patte, ber aur beej har cheej sugar se peedit logon dvara istemaal kiya ja sakata hai.

    • Jaamun agnyaashay ke liye bahut kaaragar ho sakata hai ho sake to aap isse apne aahaar mein shaamil karne ke prayaas karen.
    • Ya fir jaamun ke sukhe phal ke beej ka paudar bna le aur paani ke saath isse din mein do baar khaye.

    7. Aam ke Patte (Mango Leaves)

    Aam ke patto ko bhi diabetes ke ilaaj ke liye istemaal kiya ja sakata hai.

    • Raat bhar ek gilas paani mein 10 se 15 aam ke patto ko bhigoye aur subah mein paani chaan kar khaali pet piye.
    • Aam ke patto ko chhaaya mein sukhaye aur unhe pees kar paudar bna le aur har roj aadha chammach din mein do baar khaaye.

    8. Aloevera se Sugar Kam Kaise Kare.

    Aloevera bhi sugar control karne me kafi faydemand ho sakta hai.

    • Aloevera ke patto ko raat mein paani me bhigoye aur subh khaali pet iska paani piye. Har roj aloevera ka sevan karne se diabties kuch hi dino mein control kar sakenge.
    • Aloevera ke patto ko cheel kar uske ras ko pi sakte hai.
    • Aloevera ki sabji bna kar bhi kha sakte hai.

    Jane Diabetes Diet Tips in Hindi

    Sugar Ka ilaj Karne ke Ayurvedic Nuskhe

    1. Genhu – 100 gram
    2. Ped se nikali gond – 100 gram
    3. Joo – 100 gram
    4. Kalunji – 100 gram

    In sabhi samagriyo ko 5 cup paani mein daal kar 10 minute ke liye ubaal le aur uske baad ise thanda hone ke liye chod de. Jab paani thanda ho jaye tab ise chaan kar kisi bottel ya jug mein bhar kar rakh le. Ab 7 din tak 1 chota cup paani subh khaali pet le. 7 dino ke baad 1 din chod kar ye paani piye. 2 hafte is upay ko lagatar kare aap ki sugar normal ho jayegi. Type 2 sugar ke patient aur jo insulin ke injection lagate hai unhe is ilaaj se bahut aaram milega. Agar aap sugar ka ilaj ayurveda se karna chahte hai to ye upay kare aur apne anubhav bhi hame bataye.

    Share your love and support with www.https://sehatdoctor.com/ – Agar aap ko Sugar Kam Kaise Kare (How to Control Diabetes in Hindi)  ka ye article acha lage to apne dosto ke sath jarur share kare aur agar aap ke pass koi sujhaav ya upaay hai to hme jarur likhe.

    Recent Articles

    96 COMMENTS

      • Tushar.. is leekh mein bataye gaye kisi bhi upay ke isteemal se sugar ka ilaj kar sakte hai, par hum aapko yahi salah denge ki pregnancy mein koi bhi upay ya treatment paryog karne se pahle doctor se salah jarur le.

          • Tushar abhi tak hum ne kisi doctor ko gharelu upchaar ka virodh karte nahi dekha, par pregnancy mein situation alag hoti. Aap ya to koi second opininon le sakte hqai aur kisi ayurveda vedh se bhi salah le sakte hai.

        • Sir meri dad ka sugar 300 hai without breakfast aur khane ke baad 490 hai mujhe kya karna chaheye mein soch raha tha ki yeh madhu mein nasak powder use karu ya dana meethi use karu.

      • Akhtar Ji, is article me bataye hue nuske niyamit roop se kiye jaye to sugar normal ho jati hai, kitne din mein hogi ye to patient par hai ki vo kitne ache aur sahi tarike se upay karta hai.

      • Suresh aap Maa ji ko is article mein bataye hue upay bataye aur unse inhe niyamit roop se karne ko kahe. Ye upay sugar kam karne se le kar suga ka ilaj tak karne mein asardar hai.

      • Pappu Ji Baba Ramdev ki medicines ayurvedic jadi buttiyo se bani hoti hai aur agar aap ayurveda ko sahi tarike se apnate hao to aap kai parkar ke rogo se bhi bache rahenge aur agar koi rog hai uska treatment bhi kar sakte hai.

      • Umesh agar aap medicine lena chahte hai to le sakte hai par sath hi yha likhe upay bhi kare.Ayurvedic nuskhe sugar ko control mein rakhne mein kafi faydemand hai.

    1. Sir agar kisi ke ghar me sugar ka pesent ha to kya uashake sath khana khane se bhi sugar ho saktA hai ya uashka jutha pani pine se koi khatra to kya sugar chhuachhut bimari to nahi hai. Plz suggest me

    2. Sir ji mere ek mitra ke sharir me sugar leval kam hai 55/65 doctor se ilaz bhi karaya lekin control nahi ho raha hai. Kya kare koi upchar batayen

      • Krunal in upayo ko nirantar aur sahi tarike se apnaye aap ko kuch dino mein hi farak dikhne lagega, aap kuch mahine in upayo ko kare sugar aapke control mein aane par aap inhe band kar sakte hai, fir ek healthy lifestyle apnaye jisme khane pine ki achi aadte shamil kare, parhej kare aur yoga exercise kare.
        Dost yha btaye hue ayurvedic nuskhe se type 2 sugar bhi 2 se 3 hafte mein normal hui hai, baki kis upay se kitna behtar fresult milta hai ye aap par depend karta hai.

    3. Mere papa ko bahut dino se diabeties hai. Ab unka achnak se tummy bahar aa gayi hai aur hath pair matha uski apeksa patla hai . Parhej bilkul bhi nahi karte. Aap reson bataoye achnak se tummy ke bahar aane ka karan

      • Manisha karan to aap khud bta rahi hai ki vo parhej nahi kar rahe. Agar aapke father khane pine mein parhej nahi kar pa rahe to koshish kare ki vo jo bhi khaye vo sugar free ho taki unki diabetes na badhe iske ilava unhe yoga aur exercises shuru karne ki salah de taaki pet control mein rahe.

    4. Hello sir mera 107 ‘/, blood sugar muje ise badne se control karna koi mere liye asaan tarika bataiye or khane me ghee khaye to koi problem h kya plz tell me

    5. Mahasay ji…nuskhe apne diye wo sab sahi hai lekin kya hum cirayta naam ke patto ka sevan kar sakte hai?ye laav kari hai ya nahi?(manoj)

    6. Hi sir
      Meri mom ki SUGAR low rhti hai…. N woh insulin bhi lgti h…. Uske liye kya Kare sir…. It nd unko GAS ki bhi problem hai kisko wajah se unko vomiting hoti….

      • Karan ji low sugar ke marij ko har samay apne pass kuch mitha khane ke liye rakhna chahiye jisme carbohydrates ki maatra 10 se 15 graam ho, taki jab bhi sugar kam ho vo use thik kar sake. Upay karna hai to rojana raat ko 2 pise hue kaaju, thoda shahad 1 glass halke garam paani me mila kar piye.(Is upay ko karne se pahle kisi ayurveda chakitsak ki salah bhi le.)

      • Halka fulka vyayam aur yoga kar sakte hai. Sugar ke ilaj ke yoga aasan janne ke liye baba ramdev ke videos dekh sakte hai. Agar gym jate ho to apne trainer se apni sugar ke bare mein discuss kare taki vo aap ko sahi workouts hi reccomend kare.

      • Sugar ke patient ko adhik der tak bhukha nahi rehna chahiye, khana aap apni icha se kha sakte hai aur kisi parkar ki shanka hone par apne doctor se bhi consult kare.

      • Yash normal vyakti ke liye blood sugar level 70 se 120 milligrams/deciliter tak hota hai par ek diabitic patient ke liye ye level 8 se 180 tak hota hai, is range se upar jo level hai usme sugar badhne lagti hai, 240 ka level kafi high hota hai aur agar ye 300 se upar ho to danger zone mein aa jata hai. Dost ye humne apni jankari ke anusar btaya hai aap ek bar in levels ko doctor se bhi confirm kare.

    7. Sir ye Jo nuska bataya hai apne isse koi side effect to ni hoga….or kitna ml. Pani me ubale cup se samjh ni aaya. Or ek bat use chan k piu ya nahi. Or 7 din me pani kharab to ni hoga?

      • Dost ayurvedic tarike se upchar mein side effects na ke brabar hi hote hai, fir bhi hamari yahi salah hai ki koi bhi upay karne se pahle kisi ayurvedic chikitsak se salah jarur kare. Is upay mein paani ko chan kar piye.

    8. sir mere father ko abhi UTI infection hua hai to dr ne insulin k injection lagane kae lea kaha hai aftr treatment for one month jbki yai diabetiez 150-250 tak fluctuate re hai.ky yai insulin k injection ek mahine k baad band ho jaenge ya lyf long lena padega..

      • Rishi sugar level jab high ho jata hai tab foctor insuline injection ki salah dete hai, agar sugar control mein rahega tab injection lagane ki jarurat nahi padegi.

    9. Sir Mera meri age 33 h aur Mera diabetes test me 270 aaya h mujhe dr ne ek dwa likhi h .Mai puchhna chahta hu ki agar diabities ki dwa ek baar Kha li to kya use continue khane honge aur agar band kr diya to kya ho sakta h

    10. Hello Everyone
      aaj aap sb ko ye pta hona chahye ki
      Ye diabetes kch nhi hota. agr isse zindagi bhar k lye chhutkara pana hai to apko zindagi k 100 din meri baat ko follow kr k chalna hoga otherwise puri life medical science ki medicines use kijye.

      kaha gya hai.
      if the diet is wrong, there is no use of medicines.
      if the diet is right, medicines are of no need.

      means:
      agr apka aahaar galat ho polluted ho to apke andr dawa kaam ki nhi rhegi..
      or agr apka aahaar sahi ho to apko dawa ki jrurat nhi.

    11. Sir koi aisa nuskha Bataen Jisse mujhe type 1 diabetes main insulin na Lagana page ya din mein Keval ek bar insulin Lagana pade

    12. Sir mere papa ka suger 307 hai aur pair me phoda ho gaya hai karke ka nukes chal hai aur infection ke vajah se bhi. Boys hai kya

      • अभी के लिए जरुरी है की शुगर लेवल कम किया जाये,शुगर 500 है तो बिना देरी किये डॉक्टर से मिले. शुगर कंट्रोल करने और इसके इलाज के घरेलू उपाय और आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर लेख में पढ़े.

    13. Sir mujhe aaj pata chla hai ki mujjhe 3 sal se suger tha avi 262 aya hai kya meri suger control ho sakti plz reply

      • शुगर कंट्रोल करने के घरेलू उपाय और देसी नुस्खे ऊपर बताये गए है आप इन्हें पढ़े।

    14. Sr mumy ko sugar h bhut time se ek din 600 ho gya tha hospital 8 din the ab aane k bad unki suger 400 – 450 badh jati hai main kya karu karela ke juice bhi lete hai medicine bhi insulin bhi le rahi hai kya kru plzz

      • शुगर कंट्रोल करने के लिए इलाज के साथ साथ परहेज करना भी जरुरी है, हम कितना भी ट्रीटमेंट ले ले अगर परहेज नहीं करेंगे तो रोग फिर बढ़ने लगेगा.

      • शुगर कंट्रोल करने के घरेलू उपाय व आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर लेख में पढ़े.

    15. Meri maa ko sugar 396 hai uska kaise ilaj kare ki unka sugar level bikul normal ho jaye.
      Aur kya sugar ko normal kiya ja sakta hai.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles