Pathri ke dard ka ilaj in hindi: Galat khaan paan aur aniyamit jivanshelly ke karan aaj kal logo me pathri ke rog ki samasya badh rhi hai. Kuch log pathri nikalne ke liye dawa lete hai to kuch log operation karwate hai. Pathri ki medicine liye bina aap gharelu nuskhe aur desi ayurvedic upchar se pathri ke upay kar sakte hai. Pathri vese to sharir me kahi bhi ho sakti hai par jadatar logo me gurde ki pathri (kidney stone), pitay ki pathri (gallbladder stone) aur urinary me stone ki shikayat hoti hai. Aaiye jane natural home remedies and ayurvedic treatment for kidney and gallbladder stone pain in hindi.
Pathri ka size alag alag ho sakta hai, kuch logo ko 1 mm se 3 mm tak hoti hai to kuch logo ko 8 mm se bhi badi size me pathri ho jati hai. Choti pathri peshab ke raste bahar nikal jati hai par bade size ke stone peshab se bahar nahi nikal pate isliye dawa se inhe chote size me tod kar bahar nikalne ke upay kiye jate hai.
Pathri hone ke karan – Causes
- Pathri hone ka parmukh karan hai body me calcium adhik matra me hona, matlab jinko pathri hui hai unke sharir me calcium jarurat se jada matra me hai aur vo body me digest nhi ho rha.
Pathri ke lakshan hindi me – Symptoms
- Pathri sharir me kahi bhi ho sab se pahla lakshan tej dard hona hai.
- Kuch logo ko stone ki problem hone par ruk ruk kar peshab aata hai aur kuch ko bar bar peshab aata hai.
- Pathri hone par kuch logo ko peshab me khoon ya peeb ki shikayat bhi hoti hai.
- Lagatar ulti aur dast hona, sath hi ulti ke karan becheni aur thakan mehsus hona.
- Urine infection hona aur rogi ko bukhar aur kapkapi lagna.
- Dard ke ilava agar peshab me jalan mehsus ho to ye kidney stone ke symptoms me se ek hai.
Pathri ke Dard ka ilaj aur Gharelu Upay
Kidney and Gallbladder Stone Treatment in Hindi
Pathri ka pain kai bar itna tej hota hai ki ye bardashat karna mushkil ho jata hai. Kuch log dard dur karne ke liye dawa lete hai. Aaiye hum pathri ke dard se aaram pane ke gharelu nuskhe aur upay jane.
- Paani me ajwaine daal kar ise ubaal le aur chaan kar piye. Is upay se pathri ka dard kam hone lagega.
- Pathri ke dard ka gharelu upchar nimbu pani se bhi kar sakte hai. Nimbu me citric acid hota hai jo body me calcium ki matra badhne se rokta hai. Pathri ke dauran nimbu pani pine se jaldi rahat milti hai.
- Raat ko sone se pahle 2 gilass pani me sukha dhaniya, mishri aur 2 chammach saunf bhigo kar rakh de. Subah is paani ko chan le aur khali pet piye.
- Pathri ke dard se rahat pane me aelovera juice bhi upyogi hai. Aelo vera juice niyamat pine se pathri ka dard dur hota hai.
- Kele me paye jane wale poshak tatav bhi pathri ko badhne se rokte hai. Pathri ke dard se bachne ke liye kela khana chahiye.
Kidney ki pathri ka ilaj hindi me
- Pathri chahe pitay me ho ya kidney me ho ya sharir me kahi aur ho iske ilaj me sab se aham hai paani pina. Har roj 5 se 6 liter paani piye isse pathri ghul kar peshab ke raste bahar nikal jayegi.
- Aanwla churan muli ke sath khane se gurde ki pathri khatam hoti hai.
- Kali mirch ko bel patar ke sath lene se gurde ki pathri peshab ke raste nikal jati hai.
- Kidney me pathri ka ilaj me angur kafi faydemand hai. Angur me namak, potashium aur pani jada matra me hote hai jo gurde me pathri ka upchar karne me utam mana jata hai.
- Pakke hue pyaaj ka ras kidney ki pathri me ramban dawa ka kaam karta hai. Ek bartan le kar isme 1 – 2 pyaaj cheel kar dale aur 1 gilass paani dal kar dhimi aanch par pakaye. Jab pyaaj ache se pak jaye tab ise gas se utaar kar thanda hone de fir mixi me dale aur peese. Ab ise chaan kar piye.
Pathri ka ilaj baba ramdev in hindi
Allopathy me stone treatment ke liye doctor operation ki salah dete hai, baba ramadev patanjali ayurvedic dawa se gallbladder ka stone, kidney stone nikalne aur dard se rahat pane me fayda karta hai.
- Pathri ki ayurvedic dawa lena chahte hai to patanjali se Divya Ashmarihar Ras le. Ye ayurvedic medicine pathri ko tod kar ise peshab ke raste bahar nikalti hai.
- Kulthi ki daal khane se pathri nhi hoti, pathri ke ilaj me bhi ye faydemand hai. 1 se 2 chammach kulthi 1 gilass paani me ubaal le jab ye paani 50 gram reh jaye tab ise chaan kar piye.
- Pathri ke liye yoga bhi faydemand hai. Kapalbhati pranayam har roj karne se pathri se bacha ja sakta hai.
- Pitay ki pathri cholesterol badhne ke karan hota hai, har roj kapalbhati karne se cholesterol control me rehta hai.
Rajiv Dixit Pathri ka Ayurvedic Upchar
- Mulli ke patto ka ras pathri me kafi faydemand hai. Mulli ke patto ka 100 gram ras din me 2-3 bar lene se pathri me rahat milti hai. Mulli ko salad me khane se pathri ke rog se bache reh sakte hai.
- Pathri ka ilaj rajiv dixit in hindi, Pakhanbed ek podha hai jise patharchat ke naam se bhi jante hai. Iske 10 pate ek se dedh gilass pani me ubaal kar kadha bana le. Is upay se 1 se 2 hafte me pathri khatam ho jati hai. Iske ilava aap iske patte sidhe chba kar bhi kha sakte hai.
- Seb ka sirka stone treatment ke liye acha hota hai. 2 chammach seb ka sirka le aur isme 1 chammach nimbu ka ras milaye aur piye.
Pathri me parhej kya kare
Pathri me kya khaye aur kya nahi khana chahiye is baat ki agar sahi jankari ho to pathri ko badhne se rokne ke upay ho sakte hai aur is rog se bacha bhi ja sakta hai.
- Pathri ki shikayat ho to chuna nahi khana chahiye, kuch log chuna paan me daal kar khate hai.
- Beej wali sabji aur fal jada naa khaye.
- Kela, karela, nariyal pani, gajar aur chana ka sevan kare, ye pathri banne se rokte hai.
- Non veg protein kam matra me khaye, isse calcium stone, uric acid stone hone ki aashanka badh jati hai. Maas machli me protein aur calcium jada hote hai isliye pathri hone par inhe nhi khaye.
Pathri ka Homeopathic ilaj – Homeopathy Medicine for Stone Treatment
- Agar aap homeopathic tarike se pathri ka upchar karna chahte hai to ek dawa hai BERBERIS VULGARIS. Ye dawa patharchat podhe se bani hoti hai. Is naam kea age MOTHER TINCHER likhe, ye dawa ki petensi hai. Ye medicine aap kisi bhi homeopathic store se le sakte hai. (Ise lene se pahle kisi homeopathic doctor se salah jarur le.)
- Is dawa ki 10 se 15 drop 1/4 cup halke garam pani me daal kar din me 4 bar piye. Pitay ki pathri ho ya gurde ki pathri is dawa ke ek se dedh mahine me pathri nikal jayegi.
- Kuch logo ko ek bar pathri thik hone ke bad dubara ho jati hai. Agar aapko bhi bar bar pathri hoti hai to CHINA 1000 naam ki homeopathic medicine ki 2-2 drop subah dopehar aur sham ko le. Ye dawa sirf ek hi din leni hai aur dawa ki boonde sidhe jeebh par dalni hai.
Tags: पथरी की आयुर्वेदिक दवा, बाबा रामदेव पतंजलि उपचार, पथरी का इलाज राजीव दीक्षित, पथरी का आयुर्वेदिक इलाज इन हिंदी, गुर्दे और पित्ते की पथरी के दर्द का इलाज और उपाय इन हिंदी, पथरी के लक्षण हिंदी में, गुर्दे की पथरी में परहेज, पथरी मे क्या खाये, किडनी स्टोन में क्या खाना चाहिए Pathri ke dard ka ilaj aur gharelu upay, Kidney ki pathri ka ilaj in hindi, Pathri ka ilaj baba ramdev, Gurde aur pitay ki pathri ka ayurvedic upchar, dawa, homeopathic medicine.
Sir mujhe dono kidney me stone hai 7 stone hai 3 stone to nikal gaye aur 4 baki hai koi upay bataye ki jaldi nikal jaye.