More

    गले में जलन और खराश के घरेलू उपाय – Gale Me Infection Ka ilaj in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेगले में जलन और खराश के घरेलू उपाय - Gale Me Infection Ka ilaj in Hindi

    Gale me jalan ka ilaj aur upay in hindi: Hum apne aahar me jo kuch khate pite hai vo gale se ho kar pet tak jata hai aur aesi bahut se chije hai jinke sevan se gala kharab hona, gale mein sujan, jalan, kharash, chale hona, gala pakna, tonsils, khansi aur dard ki shikayat hone lagti hai. Gale ke rog hone par aksar khana atakna, pani aur thuk nigalne me dard hona jesi samasya aati hai jiske upchar ke liye log dawa lete hai. Aap bina medicine ke kuch desi upchar apna kar gale me infection ka ilaj kar sakte hai. Aaj hum janenge gale ki kharash ke liye upay kaise kare, gharelu nuskhe for gale ki kharash in hindi.

    Aksar raat ko deri se khana khane ya fir jada tala hua aur masaledar khane se pet aur gale me jalan hone lagti hai. Iske ilava mausam me badlav aane aur jada sardi garmi ke karan gale me kharash ho jati hai jisse gale me chubhan aur khane pine bolne me taklif hoti hai. Throat infection chahe kisi bhi wajah se hua ho agar samay par ilaj na kiya jaye to samasya badh sakti hai.

    Gale Me Jalan Hone Ke Karan

    • Virus aur bacteria ke karan gale me infection hona.
    • Gale ki dono taraf chale padna ya tonsils hona.
    • Kisi cheej se allergy aur smoking ki wajah se bhi kharash hoti hai.
    • Khatte, tale aur thandi chije khane se bhi gale mein kharash hone lagti hai.
    • Gale me sujan aana, gala pakne ke karan bhi chubhan aur jalan mehsus hoti hai.
    • Pet mein jalan aur acidity hone par bhi aksar gale me jalan hoti hai.
    • Pregnancy ke dauran bhi aksar pregnant women ko gale mein jalan ki samasya hoti hai.

    Gale me Jalan ka ilaj aur Upay

    Gharelu Nuskhe for Gale ki Kharash in Hindi

    Gale ki kharash aur jalan ek hi hai bas jalan hone par chubhan jese mehsus hoti hai aur kharash hone par gale me kuch atakne jesa mehsus hota hai. Aaiye jane gale ki jalan aur kharash dur karne ka upchar gharelu tarike se kaise kare.

    1. Sujan aane se gale me dard aur jalan ho rhi hai to namak ka paani paryog karna faydemand hai. 1 gilass paani halka garam kar le aur isme 1/2 chammach namak mila le. Ab is pani se din me 2-3 baar garare kare. Is gharelu upay se gale ki sujan aur kharash dono kam hone lagengi.
    2. Gala baith jane se kharash ho rhi hai to saunf chabane chahiye, isse band gala khul jata hai aur kharash dur hoti hai.
    3. Gale me kharash ki dawa, kaccha lehsun gale ke chale aur jalan me medicine ka kaam karta hai. Lehsun ki 1 se 2 kali munh me rakhe aur ise danto se pees kar iska ras chuse. Jese jese uska ras gale se niche jayega aapko jalan aur dard se aaram milne lagega.
    4. Gala sukhne ki wajah se aksar throat infection hone lagta hai. Gale ke rog ka ilaj karne ke liye bhaap lene se bhi fayda milta hai. Ek bade bartan me pani garam kar ke toliye se muh ko dhak kar bhap le. Is upay se gale ki sikayi hogi jisse infection khatam hone lagega.
    5. Laung me antibacterial gun hote hai jo gale ki sujan aur infection ka upchar karne mein upyogi hai. Kharash dur karne ke liye laung muh me rakhe aur dhire dhire chabaye.
    6. Gale ki jalan ka ilaj karne me adarak gharelu medicine hai. 1 cup pani me thodi adarak ubaale aur gunguna hone par isme shahad mila kar din me 2-3 bar piye.
    7. Tulsi, laung, kali mirch aur adarak paani me ubaal le, ab isme chai ki patti dale aur chai bana kar garam garam piye. Gale ke rog thik karne me ye chai bahut aaram deti hai.

    Gale ke Rog ka Ramban Ayurvedic ilaj

    • Gale ka koi bhi rog ho ye upay ramban ka kaam karta hai. Gale ki sujan, dard, jalan, khasi, tonsil aur gale me infection ho ilaj ka sab se acha tarika hai kacchi haldi ka pryog karna.
    • Kacchi haldi ka aadha chammach ras gale me upar se dale aur kuch samay ke liye munh band kar ke chup baithe.
    • Jese jese ye ras muh ki laar ke sath gale se niche utrega aapko gale ki samasya se rahat milne lagegi.
    • Is upay ko ek bar karne par hi aap kafi aaram mehsus karne lagenge.

    Gale aur Seene ki Jalan ke Upay in Hindi

    • Thanda pani pine se seene aur gale ki jalan me thandak milti hai. Jab bhi jalan mehsus ho 1 gilass thanda paani piye isse dhire dhire pet me acid kam hone lagega.
    • Gale aur pet me jalan hone par khatti chijo ke sevan se parhej karna chahiye, isse samasya badh sakti hai.
    • Pet bhar jane ke baad khana na khaye, overeating se bachna chahiye.
    • Cold drinks aur soda se bane drinks na piye.
    • Smoking aur tambacoo se dur rahe.
    • Mirch masaledar khane se bache.
    • Gala Kharab Hone Par Upay
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev ke Ayurvedic Upchar

    Dosto gale me jalan ka ilaj upay, gale ki kharash ke gharelu nuskhe in hindi ka ye article kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass gale ki jalan infection aur kharash ke liye dawa aaur desi upchar hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles