More

    हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाना है और क्या नहीं – High Blood Pressure Diet in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेहाई ब्लड प्रेशर में क्या खाना है और क्या नहीं - High Blood Pressure Diet in Hindi

    High blood pressure me kya khaye aur kya nahi in hindi: Achanak se tabiyat kharab hone, kamjori aane aur chakar aane par blood pressure high ya low ho sakta hai. BP badhne aur kam hone ki samasya badi umar ke logo me adhik hoti hai. Kuch log bp control me rakhne ke liye dawa khate hai to kuch log gharelu upay aur ayurvedic nuskhe se is rog ka ilaj karte hai. Bimari koi bhi ho treatment ke liye medicine aur upay ke sath sath khane pine me parhej aur kya food khaye iski jankari hona bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge  high bp me kya kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye, list of foods for high blood pressure diet in hindi.

    हाई ब्लड प्रेशर में क्या होता है – High blood pressure me kya hota hai

    • Ek dum gabhrahat hona
    • Saans lene me pareshani mehsus karna
    • Kamjori mehsus hona aur dhundhla dikhna
    • Bolna aur kuch bhi samjhna mushkil hona
    • Chaati me dard aur bharipan mehsus hona
    • Thakan hona aur tej sir dard karna

    हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाएं

    High Blood Pressure Me Kya Khaye

    1. BP high hone par diet me calcium, magnesium aur potassium se bharpur food khaye. Doodh, dale, hari sabjiyan, lehsun, pyaaj, soyabean, badam aur santra me ye poshak tatav adhik matra me hote hai. Har roj 5 se 7 badam aur 3 se 4 akhroat khaye.

    2. Teen mahine tak subah khali pet 2 kaliya lehsun khane se bp puri tarah control me aane lagta hai.

    3. Khatte fal, soup, nimbu paani, salad, kale chane, nariyal paani, aalsi, soya khaye.

    4. Gobhi, paalak, bathua, lauki, kaddu, tinde, hari pattedar sabjiya apne aahar me adhik khaye aur inke sath nimbu aur pudeena bhi pryog kare.

    5. Falo me tarbuj, kela, aanar, angur, mausami, seb, papita, ananas, amrud khaye.

    6. Bhojan ke liye soyabean tel ka pryog karna accha gharelu upay hai.

    7. Salad me gajar, gobhi, mulli, kheera, tamatar aur pyaaj ka sevan karne se bp control karne me mdad milti hai.

    8. Chaach aur bina malai ka doodh lena bhi faydemand hai.

    9. Blood pressure ke rogi ko paani adhik peena chahiye. Din me 8 se 10 gilass paani piye.

    10. Apne aahar me omega-3 shamil kare. Badam, aalsi aur akhroat me ye paryapt matra me hota hai.

    हाई बीपी में क्या नहीं खाना चाहिए – High bp me kya nahi khana chahiye

    • BP badhne ki samasya me namak kam khaye. Din bhar me aadha chammach namak khana kaafi hai.
    • Chai aur coffee ka jada sevan karne se blood pressure badh jata hai.
    • Bhojan karte samay upar se namak naa dale.
    • Aachar, chatni, saus, ajeenamoto, baking powder khane se parhej kare.
    • Papad bina namak wala hi khaye.
    • Dibba band khana khane se bache, aese foods me preservatives hote hai aur inme namak bhi adhik matra me hota hai.
    • Aese food khane se parhej kare jisme fat adhik ho ye foods bp bdhate hai.
    • Smoking aur sharab ke sevan se door rahe.
    • Baking soda apni diet me shamil naa kare.

    बीपी हाई होने के कारण – BP High Hone ke Karan

    • Blood pressure high hone ka karan vajan badhna hai. Jo vyakti mota hota hai use bp badhne ka khatra adhik hota hai.
    • Physically active na rehna, exercise naa karne se bhi blod pressure ki samasya ho jati hai.

    Dosto High blood pressure me kya khaye kya na khaye, Foods for high bp diet in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass bp high ho to kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye aur ilaj se jude gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles