More

    पेट में दर्द होने के 5 कारण और उपाय – Pet Me Dard Ke Karan in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेपेट में दर्द होने के 5 कारण और उपाय - Pet Me Dard Ke Karan in Hindi

    Pet me dard hone ke karan aur upay in hindi: Aksar pet thik se saaf naa hone, kabj aur gas ke karan pet dard, jalan aur marod ki shikayat hone lagti hai par iske ilava bhi kuch aese karan ho sakte hai jisse pet ke left side, right side, pet ke upari hisse, nichle bhag ya fir pet ke bich me dard hone lagta hai. Kai bar gunguna paani pi kar, dawa le kar ya fir kuch gharelu upay kar ke pet ka dard thik kiya ja sakta hai par pet ke alag alag hisse par bar bar pain hona koi gambhir rog bhi ho sakta hai. Aese lakshan dikhne par khud se ilaj karne ki bajay doctor se treatment ke bare me jane. Aaj is lekh me hum pet me alag alag jagah par dard hone ke karan ke bare me janenge, causes of stomach pain (left side and right side) in hindi.

    Pet Dard Ke Kuch Mukhay Karan

    • Aesa jaruri nahi ki kisi bimari ki wajah se hi stomach pain ho, kai bar jada khana khane aur galat khane pine se bhi pet me dard ki shikayat hone lagti hai.
    • Bacho ke pet me dard hone ka parmukh karan pet me keede hona hai.
    • Pet dard hone par ultrasound, x-ray, endoscopy, ct scan jese kuch test se pet ki janch ki jati hai jisse rog ko pehchan kar uska ilaj karne me aasani hoti hai.

     

    पेट में दर्द होने के कारण और उपाय

    Pet Me Dard Hone Ke Karan in Hindi

     

    1. पेट के दाहिने हिस्से में दर्द का कारण – Pet Me Right Side Dard Hona

    1. Pet ke right side me upari taraf liver aur gall bladder hota hai aur is hisse me dard hona matlab liver ya gallbladder me koi problem hona hai, jese ki liver me kharabi ya gallbladder me stone hona.

    2. Right side me agar nichle hisse me dard ho rha hai to ye appendix ke sanket ho sakte hai.

    3. Mahilao me pet ke dayi aur hone wala pain andashay ki kharabi ke lakshan bhi ho sakte hai.

     

    2. बाईं ओर पेट में दर्द का कारण – Left Side Pet Dard in Hindi

    1. Pet ke left side pain hona kidney me pathri ke lakshan ho sakte hai. Agar aap ko left side me pet ke upari hisse me dard mehsus ho rha hai to doctor se mile taki pathri ki samasya badhne se pahle hi ilaj kiya ja sake.

    2. Shuruat me dard dur karne ke liye kuch log medicine ka sahara lete hai par dawa ka asar kam hone ke baad fir se dard hone lagta hai is samasya se bachne ke liye jaldi pathri ka ilaj aur upay karna chahiye.

    3. Gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se bhi pathri ko khatam kiya ja sakta hai.

     

    3. पेट के बीच में दर्द – Pet Ke Bich Me Dard Hona

    • Pet ke beech me nabhi ke pass dard ho rha hai to ye alsar aur gas ho sakta hai. Dard nivarak dawa ke adhik istemal aur bacterial infection ke karan ye samasya adhik hoti hai.
    • Dahi, chaach, gud aur nimbu paani ka sevan karne se is rog me rahat milti hai. Upay karne ke baad bhi agar dard se chutkara na mile to turant doctor se mile.

     

    4. पेट के ऊपरी हिस्से में दर्द – Pet Ke Upari Hisse Me Dard

    • Pet ke upari hisse me dard aur jalan ki samasya gas, acidity, badhajmi aur kharab pachan ke karan hoti hai.
    • Thanda doodh peena, adarak chbana aur paani adhik peena kuch aese gharelu nuskhe hai jo is rog se aaram pane me mdad karte hai.

     

    5. पेट के निचले भाग में दर्द – Pet Ke Nichle Hisse Me Dard

    1. Pet ke niche hisse me dard bladder me infection ya urine infection ke sanket hai.

    2. Mahilao ko periods ke dauran bhi pet ke niche wale hisse me dard mehsus hota hai.

    3. Nabhi khisakne ke karan bhi aksar pet ke bich me aur nichle bhag me dard hone lagta hai.

     

    पेट दर्द में क्या खाना चाहिए – Pet Dard Me Kya Khana Chahiye

    • Kela me potashium ki matra adhik hoti hai jo pet dard, ulti, pet me marod aur dast ki samasya se rahat pane me achuk hai.
    • Jada tala hua aur masaledar bhojan pet ki pareshani ko aur bdha sakta hai isliye halka fulka aur jaldi pachne wala bhojan khaye.
    • Pachan kriya swasth rakhne aur kabj jese rog me papita khana kafi faydemand hota hai.
    • Aadrak ka ek chota tukda chbane se pet dard aur ulti se aaram milta hai.
    • Nariyal paani pet ke kai rogo se chutkara pane me ramban upay hai.
    • Paani adhik matra me piye aur cold drink ka sevan karne se bache.

     

    Dosto Pet me dard hone ke karan aur upay, stomach pain in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass pet ke right side, left side aur pet ke bich dard hone ke karan aur ilaj ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles