More

    माइग्रेन के लक्षण कारण आसान उपाय और दवा – Migraine Treatment in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेमाइग्रेन के लक्षण कारण आसान उपाय और दवा - Migraine Treatment in Hindi

    Migraine sir dard ka ilaj ki dawa karan lakshan aur upay in hindi: Is rog me sir ke adhe hisse me tej dard hota hai jo kai bar sahan karna mushkil hota hai. Migraine ka dard koi normal headache nhi hai ye dard sar ke kisi bhi hisse me ho sakta hai aur jab aadha sir dard karne ke sath ulti bhi aane lage to ye rog aur bhi gambhir ho jata hai. Dosto migraine ke adhe sar dard ka ilaj karne me kabhi laparwahi nahi karni chahiye kyuki samasya badhne par ye lakwa aur brain se jude kai gambhir rogo ka karan bhi ban sakta hai. Kuch log is bimari ko thik karne ke liye sir dard ki dawa bhi lete hai jisse kuch samay ke liye hi aaram mil pata hai par hum bina medicine ke desi gharelu nuskhe ayurvedic upchar aur baba ramdev yoga apna kar migraine ko jad se khatam kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge migraine ko thik karne ke upay kaise kare, natural home remedies and homeopathic medicine for migraine headaches and half head pain relief treatment in hindi.

     

     

    आधा सिर दर्द का कारण – Migraine Ke Karan

    • Tension jada lena aur jadatar tanav me hi rehna.
    • Neend puri naa hona aur din bhar jada bhag daud karna.
    • Dard dur karne wali medicine ka adhik sevan karna.
    • Mausam me achanak badlav aana bhi migraine hone ke karan me se ek hai.

     

    माइग्रेन के लक्षण क्या है – Migraine Ke Lakshan in Hindi

    • Aankho me dard hona aur dhundhala dikhai dena.
    • Bar bar aadhe ya pure sir me dard karna.
    • Jada aawaj aur tej roshni me ghabrahat hona.
    • Ulti aana, ji machlana aur kisi kam me man naa lagna.
    • Bhukh kam lagna aur kamori mehsus hona.
    • Aadha sir dard hone ke sath sath agar inme se koi lakshan dikhe to doctor se mile.

     

    माइग्रेन आधे सिर दर्द का इलाज घरेलू उपाय और नुस्खे

    Migraine Sir Dard Ka ilaj Aur Gharelu Upay in Hindi

     

    1. Migraine ka attack aane par rogi ko bed par leta kar sir ko bed se niche ki aur latka de. Ab sir ke jis hisse me dard ho rha ho us taraf ki naak me sarso ke tel ki kuch boonde dale aur rogi ko saase upar khichne ko kahe. Is gharelu nuskhe se kuch hi der me sir dard kam ho jayega.

    2. Gaay ke desi ghee ki 2 boonde subh sham naak me dale. Har roj is upay ko karne par migraine headache me kafi relief milta hai.

    3. Migrain se turant rahat pane ke liye sir ke jis hisse me dard ho wha par gungune tel se malish kare aur sath me kandho, gardan, hatho aur pairo ki bhi malish kare.

    4. Subh khali pet seb khana chahiye. Migraine se chutkara pane ke liye har roj is upay ko kare.

    5. Thoda sa kapur gaay ke desi ghee me mila kar sir ki halki halki malish karna ek acha half head pain home treatment hai.

    6. Nimbu ke chilko ko pees kar iska paste banaye aur maathe par lagaye. Is home remedy se bhi aadha sir dard ki samasya se jaldi rahat milti hai.

    7. Migraine ko jad se khatam karne ke upay karne ke sath sath pani bhi adhik peena chahiye. Migraine thik karne me pani ramban ka kaam kar sakta hai. Iske ilava aap chai ka sevan bhi kar sakte hai.

    8. Rajv dixit ke desi nuskhe migraine ka upchar me gajar aur palak ka juice peena faydemand hai. 1 gilas gajar aur 1 gilass palak ka juice mila kar piye.

    9. Migraine ke liye yoga baba ramdev me anulom vilom pranayam, adho mukha svanasana, janu sirsasana, shishuasana, bhramari pranayam.

    10. Jada tension lena is bimari ka ek bada karan hai, isliye migraine se bachne ke liye jada tanav lene se bhi bache. Yoga pranayam aur meditation se aap khud ko tension se dur rakh sakte hai.

     

    माइग्रेन आधा सिर दर्द की दवा – Migraine Sir Dard Ki Dawa in Hindi

    • Homeopathic medicine for migraine in hindi – Belladonna, Spigelia, Sanguinaria Canadensis, Sepia.
    • Migraine ki dawa patanjali baba ramdev – Divya Dhara Tel, Godanti Bhasma, Patanjali Divya Praval Pishti.
    • Koi bhi homeopathic, angreji ya ayurvedic medicine lene se pahle ek bar doctor se mile aur dawa lene ka sahi tarika vistar me jane.
    • Migraine ka ayurvedic upchar me tulsi ke patte ka ras shahad ke sath mila kar chatna chahiye. Subh khali pet ye upay karne se kuch din me hi migraine pain se relief milne lagta hai.
    • Adhe sir me dard ke rogi ko khane pine ki galat aadto se dur rehna chahiye aur sahi samay par bhojan karna chahiye.
    • Har roj 10 se 12 gilass pani piye aur ho sake to raat ko sone se pahle tambe ke jug me paani bhar kar rakhe aur subh isi jug me se pani piye.
    • Tej dhoop me jane se bache aur tej khushbu wala sent lagane se parhej kare.

     

    Dosto Migraine sir dard ka ilaj dawa upay aur treatment in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass patanjali ayurvedic upchar aur gharelu nuskhe se migraine aadha sir me dard ko kaise thik kare se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles