More

    लहसुन से मोटापा कम करने के रामबाण उपाय – Lahsun Se Motapa Kam Kare

    Weight loss - वजन घटाएलहसुन से मोटापा कम करने के रामबाण उपाय - Lahsun Se Motapa Kam Kare

    Lahsun se motapa kam karne ke ramban upay in hindi: Lahsun ka paryog jadatar hum log sabji me sawad badhane ke liye karte hai par kya aap jante hai lahsun khane se motapa aur vajan bhi kam hota hai aur iske ilava bhi ye sehat ko kai parkar se fayda karta hai. Lahsun me antioxidant aur antibacterial tatav hote hai aur sath hi isme allicin naam ka ek tatav hota hai jo sharer me teji se vajan kam karne ki parkriya ko badhata hai. Agar aap lahsun se pet ki charbi ghatana chahte hai to ise khane ka sahi tarika aur sahi samay ki jankari hona bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janege lahsun se motapa kam kaise kare, garlic benefits for weight loss in hindi.

    मोटापा कैसे घटायें – Weight Loss Tips in Hindi

    • Isse pahle hum ne ek lekh me vajan kam karne ki ayurvedic dawa patanjali ke bare me jana tha.
    • Bahut se logo ka jawab mila ki unhe is dawa se koi fayda nahi mila.
    • Dosto koi bhi dawa ya upay karne ka pura fayda tabhi milta hai jab aap sath me apni diet aur exercise par bhi dhyan de.
    • Motapa ghatane me lahsun bhi ek desi dawa ki tarah kaam karta hai par agar aap iske sath yoga exercise bhi kare aur achi diet le to jaldi fayda mil sakta hai.

    लहसुन से मोटापा और वजन कम करने के उपाय

    Lahsun se Motapa Kam Karne Ke Upay in Hindi

    1. Agar aap apne motape se pareshan hai aur kai gharelu nuskhe aur ayurvedic medicine khane se bhi fayda nahi mila to lahsun ka upay kare ye body me fat jama nahi hone deta aur weight loss ki parkirya ko bhi tej karta hai.

    2. Lahsun ke paryog ki sabse achi baat ye hai ki iska sevan kai tarike se kar sakte hai jese sabji me, soup bana kar aur ise aap kacha ya fir bhun kar bhi kha sakte hai.

    3. Weight loss me lahun ka sevan karne ka best tarika hai ise subah khali pet khana. Khali pet ise khane se iska asar jaldi hota hai. Iske liye lahsun ki 2-3 kaliya chba chba kar khaye.

    4. Subh khali pet pani ke sath bhi iska sevan kar sakte hai. Lahsun ki 2 se 3 kali cheel kar rakh le aur 10 minute baad inhe chba kar khaye aur nimbu ka ras mila hua gunguna pani piye.

    5. Khane se pahle soup pine se bhukh kam hoti hai aur agar is soup me lahsun aur thodi kali mirch ka bhi paryog kiya jaye to ye motapa ghatane me mdad karta hai.

    6. Lahsun se motapa kaise kam kare, Agar aap lahsun ko kacha nahi kha sakte to ise shahad ke sath bhi le sakte hai.

    7. Har roj 3 se 4 liter paani jarur piye. Lahsun ki taseer garam hoti hai jis wajah se kil muhase nikalne ki samasya ho sakti hai. Isse bachne ke liye aur motape se chutkara pane ke liye din bhar me khoob paani piye.

    8. Is upay ke sath har roj kam se kam 45 minute koi bhi exercise jarur kare, aap chahe to running kar sake hai ya koi sports bhi khel sakte hai.

    9. Kabj na hone de. Kabj bhi pet badhne ka ek karan hai. Kabj hone ki wajah se body me fat jama hone lagta hai.

    10. Tala hua khana hamare motape ka ek bada karan hai kyuki ye deri se pachta hai jisse pachan shakti par asar padta hai, isliye tala hua khane se parhej kare.

    लहसुन खाने के अन्य लाभ – Lahsun Khane Ke Fayde in Hindi

    • Dant dard dur karne ke liye laung ke sath lahsun pees kar dard wali jagah par rakhe.
    • Lahsun me allicin naam ka ek tatav hota hai jo high blood pressure control karne me mdad karta hai. Agar high bp ka rogi niyamit roop se iska sevan kare to bp normal hone lagta hai.
    • Low blood pressure ke rogi ko khali pet lahsun nahi khana chahiye isse bp aur kam ho sakta hai.
    • Sugar ke rogi ke liye ye achuk ilaj ho sakta hai. Ye body me insulin badha kar sugar control karne me upyogi hai.
    • Lahsun ki 1 kali cheel kar subh 1 gilas pani ke sath nigal le. Is upay se cholesterol ka level control me rehta hai jisse heart se jude rogo ki sambhavna kam ho jati hai.
    • Lahsun ki taseer garam hone se thand ke dino me iska sevan karna acha hota hai isse thand dur hone lagti hai.
    • Khansi aur TB ke rog me bhi lehsun ramban upay hai. Iske ilava lahsun ke ras ki kuch bundo ko rui par daal kar ise sunghne se sardi jukam me rahat milti hai.
    • Lahsun ke sevan se hadiya majbut hoti hai. Gathiya ke rogi ko apne aahar me lahsun jarur khana chahiye.
    • Agar aap chehre ke daag dhabbo se pareshan hai to lahsun ki 1 se 2 kali gungune pani me nimbu ka ras mila kar sevan kare isse khoon saaf hota hai aur daag dhabo se chutkara milta hai.
    • Niyamit roop se iske sevn se body ki immunity badhti hai jisse cancer jese kai gambhir rog dur rehte hai.

    Dosto Lahsun se motapa aur vajan kam karne ke upay kaise kare in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass pet kam karne aur weight loss ke achuk ramban tarike hai to hamare sath share kare.

    हम आशा करते है की sehatdoctor के द्वारा दी गई जानकारी आपको पसंद आई होगी और जिस भी परेशानी के नुस्खे आपने पढ़ें है उस परेशानी में भी आपको आराम प्राप्त हुआ होगा| किसी भी अन्य बीमारी या परेशानी के लिए हेल्थ टिप्स इन हिंदी (health tips in hindi) और घरेलु नुस्खे इन हिंदी (gharelu nuskhe in hindi) जरूर पढ़ें और लाभ प्राप्त करें| आपका अनुभव कैसा रहा इसकी जानकारी कमेंट करके जरूर बताए |

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    1. Mera cesarean delivery hua hai. Mera 5 month ka baby hai to kya mai exercise kar sakti hu aur jo aapne lahsun wala post mail aaya hai mere ko kya main wo kha sakti hu. Usko kha ke feeding me koi dikkat to nhi hogi.

      • प्रेगनेंसी डिलीवरी के बाद मोटापा और वजन कम करने के तरीके और उपाय की जानकारी के लेख की जानकारी के लिए हमने एक लेख साँझा किया हुआ है आप वहां बताये गए उपाय पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles