More

    त्रिफला चूर्ण के 10 फायदे और नुकसान – Triphala Churna Benefits in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेत्रिफला चूर्ण के 10 फायदे और नुकसान - Triphala Churna Benefits in Hindi

    Triphala churna ke fayde nuksan aur sevan ka tarika in hindi: Triphala ka churan 3 falo ke mishran se banta hai aur vo hai aanwla, baheda aur harad. Is churna ko 1 bhag harad churna, 2 bhag baheda churna aur 3 bhag aanla churna ko mila kar bnaya jata hai. Ye ek ramban ayurvedic dawa hai jo kai saalo se pet ke rog aur pachan ki samasya ke ilaj me upyogi kiya jata hai. Bahut se log ye mante hai ki kabj dur karne me hi triphala kaam aata hai par iske ilava bhi iske kai fayde hai. Triphala churna weight loss karne ke liye bhi sevan karte hai. Adhik matra me iske istemal se fayda hone ki jagah nuksan bhi ho sakta hai isliye doctor ki salah se hi ise lena chahiye. Aaj is lekh me hum janenge triphala churna ka sevan kaise kare, triphala powder benefits and side effects in hindi.

    त्रिफला चूर्ण का सेवन कैसे करे – Triphala Churna Lene Ka Sahi Tarika

    • Trifla ko aadhe gram se 15 gram ki matra tak le sakte hai. Rog ke hisab se hi iski dosage li jati hai.
    • Pani ya doodh ke sath trifla ko le sakte hai.
    • Triphala ki tasir garam hone ke karan iska adhik sevan karne se nuksan ho sakta hai.
    • Subah iska sevan karne se sharir ko poshan milta hai aur vitamin, iron aur calcium ki kami puri hoti hai. Subah gud ke sath iska istemal kar sakte hai.
    • Raat ke samay triphala lene se kabj dur hoti hai aur pet thik se saaf hota hai. Raat ko ise garam doodh ke sath le.

     

    त्रिफला चूर्ण के फायदे हिंदी में

    Triphala Churna Ke Fayde in Hindi

     

    1. Har roj accha aahar khane ke sath triphala churna ka sevan kiya jaye to kabj, high blood pressure, gas, dil ke rog aur pet ki samasya dur rahti hai.

    2. Triphala churna ka sevan karne se sharir ki rog pratirodhak shamta badhti hai.

    3. Sharir ki kamjori dur karne me ye ramban ilaj ka kaam karta hai. Niyamit rup se iske sevan se yaddasht tej hoti hai aur kamjori bhi dur hoti hai.

    4. Sugar ki bimari se aajkal bahut se log pidit hai par har roj triphala lene se sugar ko control kiya ja sakta hai.

    5. Doodh ke sath trifla le to pet ki jalan se chutkara milta hai.

    6. Kamjor pachan tantar ko majbut banane me bhi triphala kaam aata hai.

    7. Kabj ke rog ke samadhan ke liye raat ko sone se pahle 1 chammach triphala churna 1 gilass halke garam doodh ke sath le. Garam pani ke sath bhi iska sevan kar sakte hai.

    8. Daad khaj khujli aur fode funsi ke ilaj me bhi triphala churna benefits dikhte hai. Din me 2 bar 5 se 6 gram churan pani ke sath le.

    9. Thoda sa shahad, 10 gram gaye ka ghee aur 1 chammach trifla churna mila kar sevan karne se motiyabind aur aankho ke rog ki samasya dur rahti hai.

    10. Weight loss karne me bhi triphala churna fayda karta hai. Vajan kam karne ke liye khana khane ke 1 ghante bad gungune pani me 1 chammach churna mila kar sevan karna chahiye. Is upay ko din me 2-3 bar bhi kar sakte hai.

    11. Motapa kam karne ke liye ise lene ka ek aur tarika bhi hai. Trifla churan ko pani me ubal kar fir shahad mila kar peene se sharir ki charbi kam hoti hai.

     

    त्रिफला चूर्ण के नुकसान – Triphala Churna Side Effects in Hindi

    • Iska paryog agar adhik matra me kiya jaye to fayde ki jagah nuksan bhi ho sakta hai. Iska adhik upyog karne se dast ho sakte hai.
    • Pregnancy ke samay aur jo maa bache ko stanpan karati hai unhe triphala ka istemal karne se nuksan ho sakta hai.
    • 6 saal se choti umar ke bache ko trifla nahi de.
    • Triphala ke adhik istemal se anidra ka rog hone ki sambhavna hoti hai.
    • Kuch logo ko iske sevan se neend jada aane lagti hai.
    • Jo log lambe sevan tak iska sevan karna chahte hai unhe ye kam matra me hi lena chahiye.
    • Triphala lene se pahle kisi doctor ya ayurvedic chikitsak ki salah jarur le.

     

    त्रिफला चूर्ण बनाने की विधि – Triphala Churna Banane Ki Vidhi

    • Sukhi hui badi harad, baheda aur aanwla le.
    • In sabhi ko alag alag pees kar kisi jaar me bhar kar rakh le.
    • 1 bhag harad churna, 2 bhag baheda churna aur 3 bhag aanwla churna milaye.
    • Ab aapka trifla churan istemal ke liye tyar hai.
    • Agar ghar par nahi bna sakte to triphala powder patanjali, dabur ya baidyanath se le sakte hai.

     

    Dosto triphala churna ke fayde nuksan sevan kaise kare in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass triphala ke benefits aur lene ka sahi tarika se jude upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles