More

    शरीर में खून की कमी के लक्षण और कारण – Khoon Ki Kami Ke Lakshan in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेशरीर में खून की कमी के लक्षण और कारण - Khoon Ki Kami Ke Lakshan in Hindi

    Khoon ki kami ke lakshan karan aur upay in hindi: Aajkal ke bhagdaud bhare jivan me hamare khan pan ka tarika aur samay kafi badal gya hai jis wajah se sharir ko jaruri poshak tatv nahi mil pate aur sharir kai parkar ki bimariyo se parbhavit rehta hai. Hamari body me iron ki kami hone par khoon ki kami hoti hai jise anemia ka rog kehte hai. Hemoglobin sharir me blood ko uska lal rang deta hai aur sharir ke sabhi hisso me oxygen pahuchane ka kaam karta hai. Agar body me hemoglobin ki kami ho jaye to oxygen ka parwah sahi nahi ho pata jisse sharir ki karay shamta kamjor hone lagti hai. Purusho ki tulna me mahilao me blood ki kami adhik hoti hai. Bahut se log sharir me khoon badhane ki medicine syrup aur tablet ka upyog karte hai par dawa lene se pahle khoon ki kami se hone wale rog aur lakshan ka pta hona jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge hemoglobin badhane ke liye kya khana chahiye aur khoon ki kami ke symptoms kya hai.

    हीमोग्लोबिन कितना होना चाहिए – Hemoglobin Kitna Hona Chahiye

    • Agar daily routine me hone wale aam kaam karne par aap jaldi thak jate hai aur jaldi aap ki saans fulne lagti hai to ye sharir me khoon ki kami hone ke sanket hai.
    • Purusho me hemoglobin 13.5 se 17.5 gram/dl tak hota hai.
    • Mahilao me iski matra 12.0 se 15.5 tak hoti hai.
    • Pregnancy ke dauran pregnant women me hemoglobin 11 se 12 ke beech hota hai.

     

    खून की कमी के लक्षण और कारण

    Khoon Ki Kami Ke Lakshan in Hindi

     

    1. Sharir me khoon ki kami hone par aakho ki samasya hone lagti hai jese aakho ki roshni kam hona, dur ka na dikhna aur neend na aana.

    2. Tvacha par peelapan aana, hoth aur nakhun ka rang bhi badlna khoon ki kami hone ke lakshan hote hai.

    3. Thoda dur chalne se hi rogi ki saans ful jati hai aur seene me dard hone lagta hai.

    4. Thoda sa kaam karne par hi agar aap ko thakan ho jati hai aur aap kisi kaam me dhyan nahi lga pate to ek bar blood test jarur karaye.

    5. Hemoglobin se chehre ko rangat milti hai. Hemoglobin kam hone par chehra feeka aur peela dikhne lagta hai.

    6. Sharir me hemoglobin sabhi ango tak sahi matra me oxygen pahuchata hai, iski kami hone par dil tak thik se oxygen nahi pahuch pati jis karan jaldi saans fulne lagti hai aur dil ki dhadkan tej hone lagti hai.

    7. Pregnancy ke dauran bhi sharir me iron ki matra me kami aa jati hai. Garbhwati mahilaye khoon badhane ki dawa lene ki bajay fruits aur hari sabjiyo ka sevan kare.

    8. Dimag ko bhi sahi matra me oxygen mila jaruri hota hai, aese me hemoglobin ki kami ho jaye to sir me dard rehne lagta hai aur dawa lene se bhi aaram nahi milta.

    9. Mahilao me periods ke dauran kafi blood nikalta hai jisse sharir me hemoglobin ki kami ho jati hai. Isse bachne ke liye periods ke waqt fruits, hari sabjiya aur dale adhik khana chahiye.

    10. Khoon ki kami ke kya karan hai, vitamin b12 ki kami, folic acid ki kami, iron ki kami, smoking jada karna, kisi ghav se jada bleeding hona aur khane me jaruri poshak tatvo ki kami.

     

    खून बढ़ाने के लिए क्या खाएं –  Hemoglobin Badhane Ke Liye Kya Khana Chahiye

    • Iron se bahpur bhojan khaye aur khane me vitamin C ka sevan bhi badhaye.
    • Apne aahar me vitamin b12 aur b9 ka sevan adhik kare. Hemoglobin ki kami puri karne ke liye vitamin ki tablet ka bhi sevan kiya jata hai.
    • Iron ki kami ko dur karne ke liye iron ki tablet aur syrup ka istemal bhi kar sakte hai.
    • Khoon ki kami dur karne ke liye har roj 1 gilass gajar ka ras piye. Isse body me iron ki kami dur hogi aur sharir bhi healthy hone lagta hai
    • Chakundar ka juice peene se sharir me khoon saaf hota hai aur khoon teji se badhta hai. Chakundar me iron ke sath sath calcium, fiber, sulfar, potassium aur vitamin bhi bharpur matra me hota hai
    • Jin logo me khoon ki kami ho unhe jada se jada dry fruit ka sevan karna chahiye, isse body ko bharpur iron milta hai.
    • Khoon badhane wale fruits me pahla naam hai aanar. Aanar sharir me blood ki kami ko bahut jaldi pura kar sakta hai.
    • Har roj 2 tamatar kaat kar kali mirch aur sendha namak chidak kar khaye, isse sharir me teji se khoon banta hai.
    • Amrud khane se sharir me hemoglobin ki kami nahi hoti. Iske ilava fruits me seb, papita, anjeer, jamun aur aawla khane se hemoglobin badhta hai.
    • Blood ki kami dur karne ke liye methi palak aur bathua ki sabhi ka sevan jada se jada kare.
    • Khajur me vitamin C aur iron adhik hota hai jo body me khoon ki kami nahi hone deta.

     

    खून की कमी से क्या होता है – Hemoglobin Ki Kami Se Hone Wale Rog

    • Depression hona, chidchidapan aana.
    • Dil se jude rog hona.
    • Saans fulna, ghabrahat hona, sir dard, chakar aana.
    • Body me energy ki kami mahsus hoti hai.
    • Aakhe, nakhun aur tvacha ka peela padna.

     

    Dosto khoon ki kami ke lakshan aur karan in hindi ka ye lekh kais alga hame bataye aur agar aapke pass hemoglobin ki kami dur karne ke liye kya khana chahiye se jude upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles