More

    Apne Ghar Ko Swine Flu Se Surakshit Kaise Rakhe

    Disease - बीमारीApne Ghar Ko Swine Flu Se Surakshit Kaise Rakhe

    Swine Flu se Kaise Bache: Koi bimari kitni gambhir aur khatarnak hai ye us bimari ke lakshano ke parbhaav se pata chalta hai. Agar swine flu ke lakshan ki baat kare to iska virus H1N1 jada khatarnaak nahi hota lekin agar sahi samay par iska upchaar na kiya jaye aur ye bigad jaye to swine flu se maut bhi ho sakati hai. Swin flu ke lakshan har insaan mein alag alag hote hai.  Bacho, vyasko, garbhavati mahilao aur any kisi rog se peedit vyakti par iske lakshan alag alag hote hai. Par sabhi mein swine flu ka sabse pehla lakshan matlab swine flu ki shuruaat ek jaisi kuch aam lakshano se hi hoti hai.

    Swine flu suaron(सूअरों) mein hone wala saans se sambandhit ek sankraamak rog hai jo influenza(इंफ्लुएंजा) virus se hota hai. Vaise to ye bimaari jadatar suaron mein hi hoti hai lekin kai baar suar ke seedhe sampark mein aane se ye insaano mein bhi fail jaati hai. Ye balagam aur chheenk ke jariye manushy se manushy mein failati hai.

    Swine Flu Ke Lakshan (Symptoms)

    Swine Flu Ke Lakshan (Symptoms)

    Jadatar swine flu ke lakshan jukaam ke lakshano ki tarah hi hote hai. Inke ilaava swine flu ke kuch aur lakshan bhi hai. Aaiye janate hai kya hai swine flu ke symptoms kya hai.

    1. Kuch logo ke naak se paani behane lagta hai.
    2. Swine flu ka asar badhane par rogi ko bhukh lagani kam ho jaati hai.
    3. Saans lene me takleef hona aur chhati mein bhaaripan mehasoos karna.
    4. Shareer mein dard ke saath bukhaar chadhna aur sir dard ki shikayat hona.
    5. Kuch logo ke gale mein infection, jalan, sujan,khansi, ultiyaa ya daayariya bhi ho jaata hai.
    6. Jee machalana aur ulti aana ya fir ulti jaisa mehasoos hona.
    7. Tez thand lagana aur gala kharab ho jaana .
    8. Kamajoi mehasoos hona, sir ghumana aur chakkar aane ki shikayat.

    Agar koi vayakti swine flu ke virus se grasit hota hai to usme in lakshano mein se kuch lakshan jarur dikhayi dete hai.

     

    Apne Ghar Aur Office Ko Swine Flu Se Surakshit Rakhne Ke Upay

    1. Swine flu se bachaav ke liye sabse jaruri saaf safayi hai. Ghar ko andar se aur ghar ke aaspass safayi par khaas dhayaan de.
    2. Agar ghar ke aaspaas kahi bhi gandagi nazar aaye to use turant saaf karwaye. Aur kahi bhi ganda paani ikaatha na hone de.
    3. Agar aapke ghar mein kisiko swine flu ya influenza ka viruselaga ho to use alag se kisi saaf suthare room mein rehane de aur us vayakti ke upyog  mein aane wali cheejo ko bhi alag rakhe.
    4. Swine flu peedit vayakti ko har samay mask pehanaye aur ghar ke baki members bhi mask pehan kar rakhe.
    5. Agar ghar mein koi smoking karta ho to is dauraan use ghar mein smoking na karne de.
    6. Swine flu se peedit vyakti ko har samay koi rumaal ya fir tissue paper rakhana chahiye aur tissue ko paryog karne ke baad foran koodedaan mein daal de.
    7. Apne ghar ke daravaajo ke handel, computer ka keyboard, table aadi saaf karte rahe.
    8. Family members ko instructions de ki ve koi bhi kaam karne se pehle aur koi bhi kaam karne ke baad apne haath saabun se dhoye.
    9. Apne chehre par baar baar bina kisi vajah ke haath na lagaye.
    10. Agar aapko jukaam ya bukhaar ke lakshan dikhayi den to uske theek hone tak ghar se bahar na jaye aur thodi thodi der mein paani peete rahe taaki aapko dehydration na ho.
    11.  7 se 8 ghante ki neend jarur le aur apne doctor ke sampark mein rahe.
    12. Din mein kuch der dhoop mein jarur baithe.

     

    Dosto ghar aur office ko swine flu se surakshit rakhne ke safety tips aur swine flu ke lakshan ka ye leekh kaam ka lage to apne dosto ke sath is jankaari ko jarur share kare aur logo ko swine flu ke baare mein jagrook karne mein hamari madad kare. Agar aapke pass koi ilaj, gharelu nuskhe upay, sujhaav ya fir koi anubhav ho to hame bataye, aap ki batayi hui jankari se dusre logo ko madad mil sakti hai.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles