More

    Garbhavastha Ke Pahle 3 Mahine Bacche Ki Dekhbhaal

    Pregnancy - गर्भावस्थाGarbhavastha Ke Pahle 3 Mahine Bacche Ki Dekhbhaal

    Garbhavastha Mein Maa Aur Bacche Ki Dekhbhaal: Aajkal ki modern life mein T.V aur internet se koi jankari lena bahut aasan ho gaya hai. lekin fir bhi kuch aisi baate hai jo janana jarui hai aur uske bare mein puri tarah se kisi ko jankari nahi hoti. Inhi mein se ek hai garbhavastha(pregnancy).  Aksar naye shadishuda jodo ko pehli baar pregnancy mein kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye iske bare mein jada janakari nahi hoti aur ve apne bado se puchne mein bhi hichkichahat mahsoos karte hai.

    Kisi mahila ka garbhavati hona uske liye hi nahi balki uske pure parivaar ke liye khushi ki baat hoti hai. Aise mein pregnancy ke pehle 3 month mein ek mahila ko hone wali pareshaniyo ke bare mein jankari hona bhut jaruri hai. Aur agar pregnant mahila apni dekhabhal theek se nahi karti to isse garbh mein pal rahe bache ko mushkilye pesh aa sakti hai. Agar month by month aap bache ke vikaas(child growth) ko dhyaan se dekhe to aapko garbhashay mein bache ke vikaas ka pata chalega jisse aap ye bhi samajh sakenge ki garbhavastha ke dauran maa aur bache ki dekhbhaal kaise kare.

    Garbhavastha Ke Pahle 3 Mahine Mein Bacche Ka Vikas

    Kisi bhi pregnant woman ke liye pregnancy ke pahle 3 mahine kaafi mushkil bhare hote hai kyuki is samay tak bacha pura viksit nahi hua hota. Isliye pehle 3 mahine mein garbhawati mahila ko jada thakne wala koi bhi sharirik kaary, jada uchal kood aur tanaav bhara kaam nhi karna chahiye, kyuki aise kaam karne ki vajah se garbhpaat hone ka khatra ho sakta hai. Jaane pregnancy in hindi month by month.

    Pehla Mahina (First Month)

    Pregnancy ke pehle mahine mein garbhnaal vikasit hoti hai. Ye garbhavati mahila ke sharir ke andar ka vo ang hai jisse mahila davara liye jane wala aahaar uske garbh me pal rahe bache tak jata hai. Ye ang bache ke mal – mutar ko bhi ek se dusri jagah pahunchata hai. Garbhavastha ke shuruaati daur mein mahila ke garbhashay mein ek kala ghera ubharta hai, ye vah samay hai jab bache ke jabade ka nichla hissa, muh aur gala vikasit hota hai aur is avastha mein rakt koshikaye aakaar lena shuru karti hai aur bache ke shareer mein rakt ka sanchar shuru hota hai.

    Dusra Mahina (Second Month)

    Pregnancy ke dusare mahine mein bache mein kuch aur growth hoti hai. Ye vah avastha hai jab bache ke chehra(face) aakaar leta hai aur shareer ke upari aur nichle hisse mein chote bhaag ubharte hai, jinhe haath aur pair kaha jata hai. Is mahine mein pair ke anguthe, ungaliyo aur aankho ka vikaas hota hai.

    Dusre mahine mein doctor bache ke dimaag, nyral koshikayo aur reedh ki haddi ka vikaas bhi mehasus karte hai. Is maah mein hi haddiyaa apne kurkure bhaag ko badhne ki prakriya shuru karti hai. Ye vah samay hai jab bhrun hilane lagta hai, par iske hilne ki gati kafi dhimi hoti hai aur maa ise samajh nahi paati.

    Teesra Mahina (Third Month)

    Pregnancy ki is third month mein bacha poorn roop se vikasit ho jata hai. Uske sonogram ki picture mein aap uski body ka har hissa jaise pair, haath, aankhen aur naak aasaani se dekh sakte hai. Is samay mein bacha apne muh aur mutthi ko kholta aur band karta hai aur is samay mein bache ka prajanan ang bhi viksit ho jata hai par vah ache se dikhta nahi hai. Teesre mahine mein bache ki aausat lambayi 7.6 centimetre se 10 centimetre tak hoti hai.

    Aap ko garbhavastha mein child growth ka ye article kaisa laga hame comment mein jarur bataye aur agar aap ke pass bhi kisi tarah ke first month to ninth month pregnancy tips hindi me ho to yaha hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    54 COMMENTS

    1. Hi me seven week pregnant hun per kabhi kabhi mere lover abdomen me khichav hota h or bhari pan lagta h esa kyon huta h ap bta sakte hain plz

      • Saba iske bahut se karan ho sakte hai, par pregnancy mein hame sahi karan ka thik se pta hona bahut jaruri hai. Aap bina laparwahi kiye apne doctor ke pass jaye aur checkup karwaye.

    2. Sir, My wife is pregnant since 2 weeks , but she feeling tired & weakness, uski tabiyat bhi thik nahi rahti, aur khana bhi kam khati hai, upay bataye

    3. Sir mere 3 manth se garbh ruki hui hai to ise nahi chahiye to iska upay bataye . pahle se 1 year bachha hai . To bataye sir kiya karne se behtar rahega . Replay pls….:-)

    4. Sir meri wife ko second month pregrency ka chal raha hai aur use gas ka kafi problem hota hai he phele bache ke duaraan nahi hua aur khali dkaar aate hai kya karu reply plz

      • Ajay pregnancy mein body ki pachan kriya mein kafi badlav aate hai jisse kuch pet ki pareshaniya bhi ho jati hai, agar pareshani adhik ho rhi hai to doctor se consult kare.

    5. Mera Nam Ashutosh Kumar Pandey Hai.App ka duvara pregnancy ke pahale 3 month ki di gai jaankari mujhe bahut Acha laga.app ne bahut achhe dhand se aur pure biologically rup samjhaya Hai.es jaankari mujhe apni patani ka aur thik se dhyan rakhne me madada hogi. Thanks

    6. Sir plz btaye muje 7weeks pregnancy hai muje roti subgi bilkul achi nhi lgti only lashi dahi khane ko dil karta hai vomiting fell hoti hai month khdwa rhta hai vomiting ki tablet bhi leti hu but no effect

    7. Sir meri wife ko 22 day upar ho gai he period k pregnancy checup me positiv aaya lekin use blood spoting ja rhi he thodi thodi hum kya kre

    8. Meri age 26 year h me 2 mahine ki pregnancy se hu mujhe kam kam blood bhi arah h or usg me mere bachche ki groth kam h me kya karun.

    9. Hi,
      Mera first month chal raha hai mujhe khana khane ka bilkul man nhi karta is vajah se mai jada kch kha nhi pati hu or kabhi kabhi mujhe jaise period me dard hota h waisa dard bhi hota h to kya ye sab hona normal h hai

    10. hello sir meri sister 2 month se pregnant h or use 2 din se jalan or pet m dard ho rha h or uski doctor se appointment Monday ko h to use rukna chahiye ya Jana chahiye abhi…

    11. Sir mere 8 weeks complete ho chuke hain dr se b routine check up chal rha h but mere pet me pain bahut rehta h aur mera do bar miscarriage b ho chuka h kya pain hota h sabhi ladies ko

    12. Sir ji kya pregnancy ho sakti hai agar 2 month time pe period aaya hai means 4 din blood aaya hai month ke time pe kya chance hai ki pregnancy hua hoga.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles