Liver ki kamjori ke upay in hindi: Liver jise hum jigar bhi kehte hai ye hamare sharir ka ek jaruri hissa hai jo 500 se bhi adhik kaam karta hai jese khana pachana, hanikarak pdarth sharir se bahar nikalna, sharir ko takat dena aur rogo se ladne ki shakti bdhana. Agar liver me kisi tarah ki bimari infection ya kamjori ke lakshan dikhe to jaruri hai ki turant iska ilaj shuru kiya jaye. Liver me kharabi ka asar sharir par seedhe padta hai. Liver ke rogo me cancer, piliya, fatty liver, sujan hona. Khane peene me laparwahi karna liver rog ka sabse bada karan hai. Agar inme se kisi bhi rog ke lakshan dikhai de to turant ilaj shuru kare. Aaj is lekh me hum janege liver ki kamjori kaise dur kare.
Liver me kamjori aur rog ke karan
- Sharab peena aur smoking karna
- Bhojan me masale aur tel kia jada istemal karna
- Bahar fast food ka sevan adhik karna
- Pet me kabj ki shikayat rehna
- Nakli dawa ka sevan karna
Liver me kharabi ke lakshan
- Pachan kamjor hona
- Peshab ke rang me badlav aana
- Pet me sujan aur infection
- Chehre aur aakho par peelapan dikhai dena
- Muh me se badbu aanna
- Aakho ke niche dark circles aana
- Sharir me kamjori mehsus karna
Liver ki kamjori ke upay aur gharelu ilaj in hindi
Sharir ke pachan tantar me liver ka kaam kafi mahatvpuran hota hai par aaj kal liver se jude rog badhte jar he hai. Carbohydrates ko liver glucose me badlne ka kaam karta hai aur sharir ko nuksan karne wale vishele padartho ko bahar nikalta hai.
1. Gajar aur palak ka juice bna kar iska sevan din me 2 bar karne se liver ki sujan aur garmi dur karne me mdad milti hai. Liver ke dusre rogo me bhi is upay se fayda milta hai.
2. Haldi me natural antiseptic gun maujood hote hai jo liver ke upchar me kafi upyogi hai. Sone se pahle raat ko haldi wala doodh piye. Is upay se liver ki kamjori dur hoti hai aur liver ko takat milti hai.
3. Liver ki garmi dur karne ke liye mulethi bahut faydemand hai. Ubalte hue pani me mulethi powder dale aur pani thanda hone par iska sevan kare.
4. Seb ka sirka body me maujood hanikar pdartho ko bahar nikalne me upyogi hai. 1 chamach seb ka sirka aur shahad 1 gilass pani me mila kar peene se liver ko takat milti hai. Is upay ko din me 2 bar kare.
5. Papita liver ki sujan dur karne me mdad karta hai. Nimbu k eras me papita ka 2 chammach ras mila kar rojana 3 bar le.
6. Liver cirrhosis ke rog ke gharelu ilaj ke liye 100 gram pyaj din me 2 bar khaye.
7. Ek nimbu ka ras aur seendha namak 1 gilass pani me mila kar din me 2-3 bar piye. Isse liver ki kamjori aur garmi dur hoti hai.
8. Aawle me vitamin C adhik hota hai jo jigar ko sahi se kaam karne me mdad karta hai. Aawle ka ras ya churn din me 2-3 bar lene se liver ke rogo me aaram milta hai.
9. Lassi me pisi hui kali mirchm hing aur jeera mila kar peene se liver ki garmi dur hoti hai.
10. Gehu ke jaware me kai parkar ke poshak tatv hote hai jo liver ko swasth aur sehatmand rakhne me upyogi hai. Apni dincharya me gehu ke jaware ka ras shamil kare.
Liver ki sujan dur karne ke upay
- Kuch bhi meetha aur chini ke sevan se parhej kare.
- Roti kam khaye aur iski jagah hari sabjiyo ka sevan adhik kare.
- Khana bnane me masale aur mirch ka paryog kam kare.
- Din bhar me khub pani piye.
- Lassi ka sevan kare.
- Tali hui chijo ka sevan kam kare.
Liver ki dekhbhal kaise kare
- Pani jada piye.
- Nakli dawaiyo ka sevan na kare
- Dhumarpan aur sharab se dur rahe.
- Jada masaledar khana khane se bache.
- Bina vajah antibiotic mmedicine ka sevan na kare.
- Har roj yoga aur exercise kare.
Dosto liver ki kamjori ke upay aur gharelu ilaj in hindi ka ye lekh aapko kais alga hame btaye aur agar aap ke pass liver ke rog ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.