Giloy kya hai aur iske fayde in hindi: Aajkal swasth sehatmand rehne aur rogo ke ilaj ke liye logo ka rujhan gharelu nuskho ki taraf badhne lga hai. Aese me giloy ek aesi ayurvedic ashudhi hai jo kai parkar ki bimariya dur karne me upyogi hai. Ayurveda me giloy ko kai dusre naamose bhi jante hai jese madhuparni, amrita guduchi aur chakrangi. Aaj hum janege giloy kya hai aur ye kese rogo ke ilaj me upyog ki jati hai. Ayurveda ke anuar giloy ke bel jin pedo par ugati hai us ped ke gun bhi giloy me aane lagte hai aur yhi ek bda karan hai ki job el neem ke ped par ugati hai use bahut acha mana jata hai.
Aajkal bajar me giloy ki tablet aur powder uplabdh hai jo aap kisi bhi ayurveda store se le sakte hai par agar aap ko iska sevan karna hi hai to koshish kare giloy ki taja bel upyog kare. Aaj hum is lekh me giloy ke fayde aur iske sevan ka tarika janege, giloy benefits in hindi.
- Jane Swasth rahne ka raaj
Giloy kya hai
- Giloy ek parkar ki bel hoti hai jo aap ko aksar kisi ped par lipti hui milegi. Iski bel ke patto ka aakar dikhne me paan ke patto jesa hota hai. Ise aap apne ghar me bdi aasani se uga sakte hai. Ek gamla le aur iski bel usme uga kar kisi rassi se bandh de.
- Ise ayurveda me ek ramban jadi buti kha gya hai jo aneko bimariyo ke ilaj aur bachav me kargar hoti hai.
- Is bel ki har chij upyogi hoti hai. Giloy ke patte, bel aur jad ka ras ya powder bna kar sevan kar sakte hai. Iske patto me fasforas, calcium aur protein hota hai aur iski jad me starch hota hai.
- Giloy me antiviral aur antibiotic gun paye jate hai jo sharir ki rogo se ladne ki shakti ko majbuti dete hai.
- Giloy ki bel ka ek chota sa tukda bhi agar jameen ya gamle me lga diya jaye to ye jald hi podha ban jata hai aur aasani se badhne lagta hai.
Giloy ke fayde – Giloy benefits in hindi
1. Giloy ki bel pees ke iska ras agar khali pet subh pani ke sath le to sharir me khoon saaf rehta hai aur khoon se judi bimariya bhi nahi hoti.
2. Isme kafi shaktishali antioxidant hota hai jo cancer jese rog ke upchar me bhi asardar hai. Giloy, neem, tulsi aur wheatgrass pees kar iska juice peene se aaram milta hai.
3. Har roj iske sevan se body ke free radicals bahar nikalne lagte hai jisse body detox hoti hai aur aap rogo se dur rehte hai.
4. Weight loss karna hai to triphla churn aur giloy din me 2 bar shahad ke sath le. Har roj is upay ko karne se vajan kam hone lagta hai.
5. Body me kamjori mehsus hoti hai to hafte me kam se kam 3 din giloy ka upyog shahad ke sath kare. Is upay se kamjori dur hogi aur sharir chust rahega.
6. Iske sevan se body immunity badhti hai aur sath hi sharir me khoon ki kami bhi nahi hoti. Khoon ki kami hone par shahad ke sath giloy ke ras ka sevan kare.
7. Dengue ke rog me giloy ramban kaam karti hai. Pappite ke patte, giloy, tulsi ke patte aur wheatgrass ko jila kar pees le aur isaka ras nikal kar rogi ko pilaye. Is upay se sharir me platlet teji se badhte hai aur dengue,chikanguniya jese rog dur hote hai.
8. Bukhar thik karne me giloy bhut upyogi hai. Giloy ka ras shahad me mila kar ssevan kare. Isse bukhar utarne lagega. Iske ilava malaria aur thypoid jese rog me bhi giloy asardar hai.
9. Dast ki samasya ke samadhan ke liye giloy ko pees kar iska ras nikal le aur shada ke sath sevan kare. Pet me kharabi, kabj, gas jese rog dur karne me bhi giloy mdad karti hai.
10. Giloy ka ras kaan me dalne se kaan me jma mel bhar aata hai. Giloy ke patto ke ras ko gunguna kar le aur ise kaam me dale. Is upay ke kaan dard me aaram milta hai.
11. Barast ke dino giloy ka ras 1 chammach rojana peene se mausami bimari hone ki sambhavna kaafi kam ho jati hai.
12. Swasth aur sehatmand rehna hai to hafte me 1 bar giloy ka juice peene ki aadat banaye.
Dosto giloy kya hai aur iske health benefits in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame btaye aur agar rogo ke gharelu ilaj me giloy ke upyog se jude koi anubhav hai to hamare sath share kare.