More

    Sardiyo me thand se kaise bache 10 aasan gharelu upay in hindi

    Cold and Cough – सर्दी-खांसीSardiyo me thand se kaise bache 10 aasan gharelu upay in hindi

    Sardiyo me thand se kaise bache upay in hindi: Sardi ke mausam me kai jagaho par temperature 0 dregree se bhi niche chla jataa hai. Aese me kuch chote chote upayo ki madad se thand ke asar ko kam kiya ja sakta hai. Sardiyo me log aalap jala kar aur garam kapde pehan kar khud ko thand ki maar se bachate hai. Par ye sab karne ke baad bhi log thand se bach nahi pate kyoki thand se bachne ke liye sharir ka bahar ke sath sath andar se bhi garam hona jaruri hai. Aaj hum is lekh me janege sardiyo me kadake kit hand se bachne ke liye kya kare aur sardi ke mausam me aesi kon se chije khaye jot hand se ladne me mdad kare.

    Mausam ke hisab se agar hamara sharir khud ko dhal le to hum kai parkar ki mausami bimariyo se bach sakte hai aur sath hi garmi me na jada garmi lagegi aur sardi me na thand pareshan karegi. Apni diet me khane wale food par dhyan de kar hum apni body ko andar se garam rakh sakte hai jot hand ki maar se ladne me mdad karegi.

    Sardiyo me thand se kaise bache upay in hindi

    1. Bahut se log khane se pahle soup pite hai. Soup sharir ko andar se garam rakhta hai. Agar aap non veg kha lete hai to non veg soup pi sakte hai ye sardi me kafi rahat deta hai. Aaj jab bhi soup piye koshish kare taaja hi piye.

    2. Sardiyo me apne bhojan me aese food jarur shamil kare jinme omega 3 adhik matra me ho. Fish me ye dhik matra me hota hai. Sardi ke mausam me fish khane se body me garmi aati hai. Isme jink bhi paya jata hai jo body immunity badhati hai aur sharir ko kai parkar ki bimariyo se bachati hai.

    3. Shahad ke sevan se bhi body ki immunity badhti hai. Isse body ko energy milti hai aur sharir swasth rehta hai. Sone se pahle raat ko 1 gilass gungune doodh me 1 chamach shahad mila kar pine se cough me aaram milta hai.

    4. Khajur khaye iski tasir garam hoti hai jot hand ke asar ko kam karti hai. Garam dudh ke sath khajur khaye isse thand se turant rahat milegi. Bacho se bado tak koi bhi iska upyog kar sakta hai.

    5. Sardi ke mausam me adarak sharir ki pachan kirya ko darust rakhne aur sharir ko garam rakhne me kargar hai. Sath hi adarak sardi ke karan hone wali choti choti bimariyo se bhi sharir ko dur rakhti hai. Tulsi, laung, kali mirch aur adarak  se bani hui chai sardiyo me piye. Isse sardi aur jukam se bache rahege.

    6. Baajre ki roti khane se bhi body me garmi aati hai. Isme protein adhik hota hai. Sardiyo me bacho ko baajre ki roti khilaye isse unhe thand se bachne me mdad milegi. Protein ke sath sath isme vitamin, magnees, fiber, calcium aur antioxidant bhi hote hai.

    7. Mungfali me minerals, oxidant, vitamins aur bhi bahut sare poshak tatv hote hai. Sardiyo me mugfali khana bhi faydemand hai.

    8. Til aur mishri ka kadha pine se cough bahar nikalti hai. Iske sath sath til ke tel se malish karne par bhi thand se bach sakte hai.

    9. Kuch chije aesi bhi hai jo sharir ko thandakk deti hai. Aesi chije winters me khane se bache kyuki inse sardi jukam hone ki sambhavna badh jati hai.

    10. Sardi ke mausam me kabj se bahut log pareshan rehte hai isse bachne ke liye khane me aese foods shamilkare jinme fiber adhik ho.

    11. Thand aane par kai parkar ke virus jada active ho jate hai aese me khud ko inse bachane ke liye jaruri upay jarur kare.

    Jane:-

    Sardi me thand se bachne ke liye kya kare

    • Topi mulflar aur dastano ghar se nikalne se pahle jarur pahne.
    • Khud ko garam rakhne ke liye heater ki bajay aalap aur angithi ka sahara le.
    • Kisi bhi parkar ki bimari me doctor ki salah ke bina koi dawa na le.
    • Sardiyo me agar yoga ya morning walk ke liye aap subh ghar se nikalte hai to suraj nikalne ke baad hin jaye aur garam kapde jarur pehne.
    • Thandi chije khane pine se bache aur lambe samay tak thand me na rahe.

    और पढ़ें:- 

    Dosto Sardiyo me thand se kaise bache upay in hindi ka ye lekh aapkokaisa lga hame btaye aur agar aapke pass sardi me thand se bachne ke tarike aur gharelu upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles