More

    आयुर्वेद आयुर्वेदिक घरेलू उपचार हिंदी और ऊपर में

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेआयुर्वेद आयुर्वेदिक घरेलू उपचार हिंदी और ऊपर में

    Ayurveda Tips in Hindi: Healthy aur fit bane rahne ke liye log kya kuch nahi karte, koi morning walk par jata hai to koi yoga ya exercise karta hai. Par aajkal healthy aur energy se bharpur bane rahne ke liye sabse jyada health drinks ke istemaal ka chalan badhta ja raha hai. Aajkal bajaar mai kai tarah ke health drinks ya energy drinks available hai. Ye drinks aapko dinbhar energy se bhara aur sehatmand rakhne ka vada karte hai lekin vastvikta to yah hai ki natural or gharelu helath drinks se acchi koi drink nahi hai. Agar aap pure din energy se bharpur rahna chahte hai to bajaar mai milne wale health drinks nahi balki ghar par banaye health drinks ka upayog kare.

    Is lekh mein hum kuch ayurvedic nuskhe bhi janenge jo kai rogo ke upchar ke liye aasani seghar par kiye ja sakte hai. Aaiye jane natural ayurveda remedies in hindi.

    Ayurvedic Health Tips in Hindi –  Ayurveda Tips in Hindi

    Apple Shake

    Dimaag ki kamjori dur karne ke liye apple ek acha ilaj hai. Apple ka shaik banakar peene se aap sara din energetic mahsus karenge.

    Nimbu aur Shahad Ka Juice

    Rojana subah khali pet ek gilaas pani mai ek nimbu or ek chamach shahad milakar peene se sharir ko energy milti hai.

    Cheeku Shake

    Cheeku shek peene se sharir mai vishesh prakaar ki taajgi or furti aati hai. Isme sharkara ki maatra adhik hoti hai. Yah khoon mai ghulkar taajgi deti hai. Cheeku shaik se aanto ki shakti badhti hai or aante adhik majbut hoti hai.

    Gaajar Ka Juice

    Gaajar mai vitamin, protein or minarals sabse adhik paye jate hai. Iske prayog se aap apni energy level ko badha sakte hai.

    Ayurvedic Gharelu Upchar in Hindi

    1. Dahi mai besan milakar ubtan ki tarah pure sharir par malne se sharir ki badbu khatam ho jati hai.

    2. Gathiya ke gharelu upay mein hari mirch ko danthal ke sath pees kar gathiya par laip karne se fayda milta hota hai. Gathiya Ka Desi Ilaj 

    3. Pet mai pani bharne ke rog mai 2 gole naariyal ka pani rojana peene se laabh milta hai.

    4. Gende ke foolo ka ras 2 gram paryog karne se bukhar mai aaram milta hai.

    5. Agar baccha kaanch ya patthar ka tukda nigal le to use isabagol ki bhussi garm doodh ke saath din mai 3 time peene se laabh milta hai.

    6. Pet dard ke ilaaj mein lal mirch or gudh ko ek sath milakar sevan karne se pet ka dard door hota hai.

    7. Jalne par bane hue ghaav ko pakane se bachaane ke liye us par garm-garm malayi bandhni chahiye.

    8. Kisi ka jootha pani peene se t.b, khasi va dama jesi bimariya paida hoti hai.

    9. Arahar ki daal mai haldi ki gaanth pakane ke baad chaaya mai sukha le, fir ise gaay ke ghee mein pees kar masso par leep kare, isse masso mai fayda milta hai or unka dard bhi katam ho jata hai. Masso ka ayurvedic ilaj.

    10. Agar apni yonshakti(sexpower) ko adhik samay tak banakar rakhna ho to apne man mai gande vichaar na aane de. Sambhogkriya ko hafte mai 1 se 2 baar hi karni chahiye.

    11. Dhoop mein loo lagne par mishri ke sharbat mai ek kagji nimbu nichodkar peene se laabh milta hai.

    12. Saans phoolne ke rog mai dahi ki kadhi mai deshi ghee dalkar kuch din niyamit roop se khane se laabh hota hai.

    13. Rojana gajar ka ras pine se balo ka safed hona ruk jata hai. Hair Care Tips in Hindi.

    14. Swine flu rokne ke liye aap ghar mein ek kadha bana sakte hai jisme 1 se 2 gram haldi, 5 se 7 laung, 3 se 5 kaali mirch, 5 se 7 tulsi ke patte aur giloy ki choti si dandi daal kar ubaal kar piye. Baba Ramdev ka btaya hua Swine Flu ka ye Ramban upchar hai. Swine flu ke upay.

    15. Daato ka peelapan door karne ke liye namak mein sarso ka tel daal kar daato par male, kuch dino mein aapke daant safed hone lagenge. Peele Dant Safed Kaise Kare.

    16. Tulsi ke patto ka ras nikal kar use gunguna kar ke 2-2 boond din mein 2 baar kaan me dalne se sunne ki shakti badhti hai aur behrepan ka ilaaj hota hai.

    17. Agar aapke baal jhadte ho to daalcheenee aur shahad ko mix kar ke baalo mein lagaye. Baalo Ka Jhadna Roke 7 Dino Mein.

    18. Agar aap apne muh aur pet ki charbi kam karna chahte hai aur chahte hai ki aapka wajan kam ho, to desi nuskhe apnaye aur sath hi baba ramdev ke btaye hue yoga ke aasan kare. Aap ko shighar laabh milega. Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay.

    19. Dengu Bukhar hone par giloy, aleovera, papita, aanaar aur wheatgrass ko mix kar ke juice banaye aur rogi ki din mein 2 se 3 baar pilaye.Isse platlets bhi badhne lagenge aur dengu mein bhi aaraam milega. Jane Kaise Kare Dengu Se Bachaav Ke Upay.

    20. Ayurveda Tips in Hindi: Rojana raat ko sone se pahale kisi taanbe ke bartan mein paani bhar kar rakhe aur us paani mein ek chaandi ka sikka(silver coin) bhi dale. Ab subh suraj ugane se pehle is paani ke 4 gilass kisi garam aasan par baith kar piye. Dhyaan rahe ki kabhi bhi paani khade ho kar na piye, khade ho kar paani peene se ghutano aur pinddiyo mein dard ki shikayat hone lagti hai. Paani peene ke baad 40 se 45 minute tak kuch khaye peeye nahi. Is paryog se blood pressure, animiya, bawasir, kabz, lakava, sugar, pimples, t.b, cancer, liver ki bimari, motapa, aankho ke rog, pet mein gas, jodo ka dard, bhukh kam lagna, sir dard, mansik kamjoori aur peshaab ke rogo mein bhut fayda milta hai. Ye upaay sharer ke sabhi rogo mein ramban ka kaam karta hai. Har kisiko ye upay har roj karne chahiye.

    21. Bhukh badhane ke liye thodi thodi der mein kala namak chaate. Bhukh Kaise Badhaye.

    22. Raat ko neend na aana anidra (insomnia) ki bimari ke lakshan hai. Anidra ka ilaj karne ke liye raat ko pairo ke talvo ki maalish sarso ke tel se kare. Is gharelu upay se aapko kuch hi der mein neend aane lagegi.

    23. Thyroid ka ilaj karne ke liye 1 glass paani mein 2 chammach sabut dhaniya raat ko bigo kar rakh de aur subh ise paani mein masal kar ubaal le. Jab paani ek chauthayi reh jaaye to ise chaan kar khaali pet piye, aur rojana gungune paani mein namak daalkar garare kare. Is upay ko karne se thyroid ke upchar mein fayda milega.

    24. Mausami ka juice stemina badhanev ke sath sath dil ki bimariyo se bhi bachata hai. Aadha cup mausmi ka juice roja nashta karne ke basd piye, isse aap hardey rogo se bache rahenge.

    25. Do munhe baalo ka ilaaj ksrne ke liye nariyat ke tel mein thodi dahi daal kar sir par maalish kare. Is upay ke paryog se baal girna bhi band ho jate hai.

    26. Shareer ko swasth aur sehatmand rakhne ke liye ye hamesha dhyaan rakhe ki kon si cheej din mein kab khaani chahiye.

    27. Khaane ki jin cheejo mein acid jada hota hai use kabhi khaali pet na khaye – piye, jese soda, tamatar, medicine, sharab, spicy food, coffee aur chay.

    28. Blood mein cholestrol ka level kam karne ke liye aloevera juice rojana piye. Ye upay heart problems se bachaav mein fayda karta hai.

    29. Bhukh kam lagti ho ya khana thik se na pachta ho to khane ko sarso ke tel mein banaye. Sarso ka tel digesion acha karta hai aur bhukh badhata hai.

    30. Agar aap hamesha nirogi rehna chahte hai to subh khaali pet paani piye, bhojan karne ke baad lassi piye aur raat ko sone se pahle doodh piye.

    31. Subh 1 glass pani mein neem ki 8 se 10 pattiya ubaale aur jab paani aadha reh jaye tab ise chaan kar khaali pet piye. Neem ki pattiyo body mein insulin ki maatra badha kar blood sugar level control karne mein madad karti hai.

    32.  Rojana 1 cup paani mein 2 chammach aanwle ka ras daal kar piye. Amla mein vitamine C adhik maatra mein hota hai.

    33. Body ka glucose level kam karne ke liye 1 chammach aloevera gel mein 1/2 chammach haldi aur tej patte ka powder mila kar khaane ke baad le.

    34. Roj subh khaali pet karele ka juice peene se sugar control mein rehti hai. Karele ki sabji khane se bhi kafi benefit milta hai.

    35. Ankureet aanaj mein fibre aur nutritions adhik hote hai jisse digestion behtar hota hai aur weight control mein madad milti hai. Jin logo ka pachan tantar kamjor hota hai aur jadatar pet ki bimariyo se parbhavit rehre hai unhe is ayurvedic tips in hindi ka pryog rojana karna chahiye.

    36. Agar kidney ko healthy rakhna hai to pain killer aur antibiotic medicine khane se parhej kare. Doodh ko garam kar le aur usme chini na dale, fike doodh mein thodi haldi mila kar piye. Ye ek natural pain killer aur antibiotic ka kaam karega.

    37. Shareer ke andar sujan hone se dard ho to joo ka daliya aur joo ki rotiya khaye.

    38. Chakkar aa ke gir jana aur behosh hona aur uske baad muh se jhaag nikalna, shareer akadna mirgi ke lakshan hai. Mirgi ke rogi ko ek graam bach ka churan shahad mein mila kar chataye. Is home remedy se purani aur ghor mirgi ka bhi ilaj ho jata hai.

    39. Body par daad nikalte ho to subh uthnevke baad kuch khane pine se pahle muh ki thuk ko daad ke upar lagane se daad ka upchar hota hai. Tulsi ke patte pees kar lagane se bhi daad ka ilaaj hota hai.

    40. Kala peela tatya jjise hum bhund bhi kehte hai, agar dunk maar jaye to kachha pyaaj kaat kar achi tarah ragde. Is gharelu upay se sujan nahi hogi aur pain se bhi jaldi aaram milega. Muli kaat kar lagane se bhi aaram milta hai.

    41. Anidra ka ilaj karna ho to pahle ye smajhna hoga ki neend na aane ke karan kya hai, kya kisi tanav ki wajah se aap jada soch rahe hai ya fir jis jagah aap sote hai vo aaram dayak nahi hai. Agar aapko lagta hai ki ye samaya gambhir hoti ja rahi hai to aap kuch home remedies aur ayurvedic upay karke bhi achi neend le sakte hai. Humne is website par neend aane ke gharelu upay hindi mein post kiye hai, aap inhe karke apni problem se relief pa sakte hai.

    42. Kidney ke rogo ka ilaj ayurvedic tarike se karne ke lite 10-10 graam neem aur pipal ki chaal ko 3 se 4 glass paani mein ubaal le aur jab paani ki matra aadhi ho jaye to ise thanda kar ke chaan le. Din mein 3 se 4 baar is paani ka 1/4 bhaag piye isse kidney se judi bimariya thik hone lagengi.

    43. Sharir se gandagi aur hanikark chemicals bahar nikalne ke liye body ko detox karne ke jarurat hai, iske liye aap kuch foods ko apni diet mein shamil kar sakte hai jo body ko detoxify karte hai jese lehsun, kheera, hara dhaniya, green tea aur adarak.

    44. Typhoid bukhar ka gharelu ilaj karna ho to 8 se 10 lehsun ki kaliya ghee mein tal le aur usme sendha namak milakar khaye.

    45. Sawle rang ko gora karna ho to nimbu ke ras mein haldi mila kar ubtan bana le aur chehre par lagaye. Oily skin wale log bhi ye upay kar sakte hai aur agar aapki dry skin hai to besan mein haldi aur malayi mila kar face par lagaye.

    46. Pet saaf karne ke ayurvedic upay kar rahe hai to metha soda (baking soda) ka sev an asardar hai, ye purani kabz kholne mein bhi kaam karta hai 1/2 se 1 chammach meetha soda 1/2 glass pani mein mila kar piye.

    47. Gloy, tulsi, saunth aur choti pipar milakar kadha bna kar pine se dengu aur chikungunya jesi bimariyo mein aaram milta hai.

    48. Chehre par jhuriya ho ya fir aankho ke niche kale ghere (dark circles), badam ke tel se aankho ke charo aur halki halki massage karne se fayda milta hai.

    49. Yaddasht kamjor ka upay karna ho ya fir dimag tej karna ho 1 glass gungune pani mein 1 chammach brahmi mila kar piye.

    50. Agar allergy ki wajah se najla jukam ho gya hai to 1 glass paani mein nimbu nichod kar piye.

    Dosto aap ko Ayurvedic Health Tips in Hindi – Ayurveda in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame jarur btaye aur sath hi apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi baba ramdev aur rajiv dixit davara bataye gye ayurvedic gharelu upchar aur upay hai to yha hamare sath share kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles