More

    पीले दांत सफेद कैसे करें जाने पांच घरेलु नुस्खे

    Teeth - दांतपीले दांत सफेद कैसे करें जाने पांच घरेलु नुस्खे

    आज इस लेख में पीले दांतों को सफेद और चमकदार बनाने के पांच घरेलू उपाय बताए गए हैं। यह पूरी तरह से काम करता है। यहां के उपाय न सिर्फ दांतों को चमकदार बनाते हैं बल्कि उन्हें पहले से और भी ज्यादा मजबूर करते हैं। इन पांच उपायों के बारे में जानने के लिए पूरा लेख अंत में पढ़ें।

    Peele Dant Safed Karne Ke Upay: Purane jamane mein log apne dant swasth sundar aur majboot banane ke liye kisi toothpaste aur mothfreshner use nhi karte the. Pehle log neem ka daatun aur keekar ka daatun isteemaal karte the jisse muh saaf rehta tha aur muh ki koi bimari nhi hoti thi.

    Agar aapke dant peele ho gaye to aap dusro ke samane khul kar nhi has sakte aur agar koi hame hamare peele danto ke liye kuch keh de to ye behad sharmindagi bhara ho sakta hai.

    Dant safed hoto aapki smile achi lagti hai. Dant safed karne ke liye aajkal bazzar mein bhut sare toothpaste, mouthwash aur tooth whitening products aa rahe hai, jo aisa dawa karte hai ki in products ke paryog se kuch hi dino mein aapke teeth strong aur white ho jayenge. Lekin ye products mehenge hone ke sath sath kai bar inke kuch side effects bhi hote hai.

    Dant Peele(Yellow Teeth) Hone Ke Kaaran

    1. Galat khane peene se hamare danto par peelapan aane lagta hai jaise ki tambacoo khana, bidi ya cigrete peena.
    2. Kai baar kisi nayi jagah par jaane se wha ka paani hame suit nhi karta jiski wajah se bhi hamare teeth yellow dikhne lagte hai.
    3. Jada chay aur coffee peene se dant par daag aur dhabbe padne lagte hai.
    4. Danto ki thik se safayi aur brush na karne se.
    5. Thandi cheeje adhiik khane pine se.

    Dant Safed Aur Sundar Banana Ke Liye Dentist Treatment

    1. Teeth cleaning and polishing treatment karke dentist aap ke danto ko sundar bana sakta hai jisse aapko ek khubsurat smile milegi.
    2. Teeth whitening treatment karwa ke bhi aap apne dant safed kar sakte hai.
    3. Agar aap ke danto ki banawat thik nhi hai aur aap ke dant muh se bahar nikalte hai ya fir dant tedhe medhe dikhte hai to aap kisi dentist se milkar iska treatment karwa sakte hai. Aajkal tedhe medhe danto ko braces ke jariye seedha kiya ja sakta hai.

    Peele Dant Safed Karne Ke Gharelu Nuskhe – Homeremedies in Hindi

    Aap kuch gharelu nuskhe apna kar apne danto ka peelapan door kar sakte hai.  Aur ghar mein kiye jaane wale ye upchaar saste aur asardar to hai hi aur inka koi side effect bhi nhi hota.

    1. Ek chamach meetha(baking soda) soda mein thoda paani aur chutki bhar namak mila kar danto par lagaye.

    2. Pissi hui haldi, thoda namak aur sarso ka tel mila kar ek paist bana le. Subah is paist ko brush ya ungali se danto or masudon par laga le thodi der laga kar rakhe fir baad mein kulla kar le. Is prayog se hilate hue dant jam jaate hai aur danto ka peelapan door hota hai aur sath hi dant bilkul white ho jaate hai. Namak, haldi aur sarso ke tel ke is paist ka lagatar paryog karte rehne se danto mein kabhi bhi payariya nahi hoga aur teeth kabhi bhi yellow nhi honge.

    2. Nembu ke chhilko par thoda sa saraso ka tel daal kar dant aur masudho par lagane se peele dant safed or chamakdaar hote hai, masudhe majabut hote hai aur sath hi har parkaar ke keedo tatha paayariya aadi rogo se bachaav hota hai.

    3. Neem ke patto ki raakh mein koyle ka chura aur kapoor mila kar rojana masudho par lagane se paayariya ka ilaj hota hai.

    4. Saraso ke tel mein sendha namak mila kar danto par lagane se saans ki badbu(durgandh) aur masudho se nikalta blood band ho jata hai aur isse dant bhi majabut hote hai tatha paayariya ko jad se khatam karne mein ye ramban ka kaam karta hai.

    5. Do se teen Strawberry le aur unka paist bana kar danto par lagaye, kuch dino ke paryog se hi aap ke teeth white aur chamakdar hone lagenge.

    Danto ko Peela hone se Kaise Bachaye

    Is leekh mein bataye gaye peele dant safed karne ke gharelu upay (homeremedies) logo ke anubhavo ke aadhar par tyaar kiye gaye hai. Agar aap ke pass yellow teeth ko white karne ka koi desi gharelu upay ho to hamare sath apne sujhaav share kare. Aur ye leekh kaisa laga hame comment kar ke bataye aur apne dosto ke sath bhi share kare.

    Recent Articles

    83 COMMENTS

    1. sir m kafi samay se smoking kar rah hun aur mere dato m pila pan aane laga hai aapp mujhe aasan upay bataye jisse mere dato ko phle jesi chamak mile pllzz sir

      • Praveen sabse pahle to smoking band kare aur agar aap koi tabacoo product ka sevan karte hai to use bhi band kare. Sath hi upar bataye hue upay padhe aur jo aasan lage use apnaye.

    2. Sir maine kuch months phale RCT krwaya tha bt kuch dino se mere daat me bhaut dard rahta h or mere daat v yellow ho gaye h or mujhe dar lag raha h ki kahi mere sare daat pr iska koi bura aashar na pade so please sir can u help me give me some idea

      • Seema sabhi nuskhe karne ki jarurat nahi, aap 1 ya 2 nuskhe hi sahi tarike se nirantar kare. Agar fir bhi fayda na ho to dentist se mil ke checkup karwaye.

    3. Sir,mera name rahul hai mai mera hight 176 hai aur mai bahut dubla patla hu mera dole aur chest bhi nhi hai exerscise bahot krta hu khata bhi hu par body nhi banti sir please koi asardar tarika batao

    4. sir… mere daat par dard hota hai… or musodo paak b jata hai…. dard kom ne k koi dino tak mere muhh fula rehta hai…. kya krne se jaldi thik hoga..

    5. Sir mere 3 danto me rct ho rhi h or m jab koi garm ya thandi cheej khata hu to mere danto me pan hota h or mere dant bhi peele ho rhe h…..

    6. WOW,I can’t believe.Maine upay no.2 try kiya with sendha namak aur pahle hi istamal se mera daanto main bahut fark aaya aur badbu bhi kam ho gayi.THANK YOU VERY MUCH.

      • Dost aapko in upayo se fayda mila hai to aap bhi hamare pryaas mein hamara sath de aur is website ko apne friends aur relatives ke sath share kare taki auro ko bhi fayda mile.

    7. Govind mere per mein bhot sal chalti hau and mere daat gutkha khane se kharab ho gye koi upaye btao jis se meri dono problem thik ho jaye

    8. sir mere daant upr hlki kali part h jb k mai sarso k tel r namk ka usekrti hu or daant b hlke bahr aarhe h plzzz suggest me sir

    9. sir mai ek daat niklwa diya ho aur ek daat khrab huha hai aur masura 1 month se phula hai aur pak geya hai keya ise bhi niklwa du keya sir

    10. Sir market se mil ne wala toothpaste hum use karte hain magar inme se kousa acha toothpaste kaise Pata Karen. Apke hisab se kounsi company ki toothpaste use karne se dant swast rate.

    11. Sir
      I am ajay kumar yadav
      mera face pe pimples bahoot ata hai jb mai koyi medicines leta hu tho relief mel ta hai but kuch dino bad phir se ajaataa hai…mai 2011 se prshan hu bahoot….or pani bhi bahoot peta hu koyi respons nhi mil ta us ka bhi……..kabhi kabhi bahoit gussa ata hai apna face ko deekha ka…plz koyi accha sa treatment btaiya….

    12. hi sir mera accident ho gya tha uske chalte mera front ka teeh thora bahut broken ho gya hai. Doctor ne kaha hai ki teeth ko boinding / root canal karna parega.
      to sir root canal / boinding karna achha hoga ya fir koi natural tarika hai ??
      please help me sir..

      Thank you…!

      • दोस्त अगर दांत टूट गया है तो इसमें घरेलू तरीके जादा मदद नहीं कर सकेंगे, आप ट्रीटमेंट करवाने से पहले दूसरे डॉक्टर से भी सलाह ले.

    13. sir mere hair bahut jarte hai aur bahut patle hai koi Asie tipes bataye jisse mere hair ganne ho jaye aur Baal bilkul bhi na toote Maine bahut se shampoo use kiye hai pr koi fark nhi padhta

    14. Sir i am addicted to tobbaco and therefore my teeth are becoming a very yellow and my mouth are smelling so plz tell me somethin solution about it .plzzz

    15. sir me ek chhote se gav se hu mera prblm ye hai ki bachpan se mere dato par black dag pad gaye the aur dentist k pas jakar wo dag nikalva diye but dato par pilapan rah gai hai docter kahte hai k ye pure clear nahi hoge .mere dat bahut pile dikhte hai aur muje bachhpan se koi kharab adat bhi nahi hai.fir bhi mere dat din b din bahut bigadate jate hai.me 2 time brush b kaeti hu aur mere dat thode bahar honeki vajah se sote samay mera muh bandh b nahi hota aur achhe b nahi dikhate to me iske liye kya karu koi upay bataye.meri age 26 year hai plz sir

    16. Sir kya ap btaa skty hein… mu me pani any ki wjaa….thok hr time mu me rhtaa ha….. soo ky utho tb be… or wesy be sara din…
      Or is ky sath dant be yellow ho gay…
      Plzz tell me what i do..?

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles