Swine flu ke kaaran aur bachaav ke upay: Swine flu ka virus H1N1 hai jo saadhaaran floo ke virus ki tarah hi failta hai. Jadatar logo mein is virus se ladane ki pratirodhak shamata kam hoti hai. Isliye jab ve is virus ke samparak mein aate hai to swine flu se sankramit hone ka khatara jada rehta hai.
Swine Flu Ke Kaaran Kya Hai (Causes)
- Jab koi vayakti cheenkata hai ya fir khaansata hai to uske munh se nikali choti choti boonde kuch samay ke liye hava mein fail jaati hai jinme virus hota hai aur in choti bundo se nikala virus kisi kathor satah par aa jaata hai. Jab aap in sankramit boondo mein saans lete hain ya fir aap kisi sankramit satah ko chhute hai to aap bhi is virus se sankramit ho sakate hai.
- Ghar mein kaam aane wali saadhaaran cheeje jaise ki darwajo ke handal, paani ki tanki ka nal, remote control, computer ka keyboard jaisi cheejo ke kuch hisse virus se sankramit ho sakte hai. Agar koi vyakti in sankramit vastuo ko chhuta hai to uske haath bhi sankramit ho jate hai. Aur jab vo sankramit haatho ko apne muh ya naak par rakhta hai to ve swine flu se sankramit ho sakte hai.
Swine Flu Se Rokthaam Ke Tarike Aur Upay
Agar aapko swine flu ke virus se bachna hai to apne ghar aur office main kuch khaas baato par dhyaan dena jaruri hai. Swine flu se ladane ke liye sabse pehle jaruri hai ki hum apne sharir ki rog pratirodhak shamata badha le. Aaiye jaane swine flu ke virus H1N1 se bachaav ke liye rog pratirodhak shamata kaise badhaye.
Anti-oxidant: Swine flu ki rokthaam ke liye healthy aur nutritions se bharpur aahaar le jisme sabhi vitamines aur minerals ki maatra ho.
Mask pehane: Swine flu ki rokthaam ke liye baahar nikalte samay maask pehan kar nikale. Gande aur kachre wale raasto se na gujare aur apne aas-paas bhi saaf-safayi rakhe.
Probaiotics ka sevan: Probiotics ka sevan karne se aapki body mein kuch ache bacteria ka pravesh hota hai jisse swine flu ke bacteria se ladane mein madad milti hai. Ye peene mein kuch doodh jaise hi hote hai jo aapko apne aas pass kisi kiryana ki shop se mil jayenge.
Tension free rahe: Tanaav hone se rog pratirodhak shamata par kafi prabhaav padta hai, isliye apne aapko tension free rakhne ki koshish kare.
Excersise aur Yoga: Agar aap har roj kuch der excersise aur yoga karte hai to aapki body mein rakt sanchaar (blood circulation) badh jaata hai jisse shareer mein swine flu se ladne wali koshikaye failti hai.
Bharpur neend le: Swine flu se ladane ke liye sabse jada jaruri hai ki aapki body sahi tarike se kaam kare, jiske liye 7 se 8 ghante ki neend behad jaruri hai.
Swine Flu Se Bachaav Kaise Kare (Precautions)
- Swine flu se bachne ke liye sabse jada jaruri hai saaf-safayi. Apne aas pass bilkul bhi gandagi na hone de .
- Chheekte aur khaasate vakt muh par rumaal ya tissue paper jarur rakhe aur tissue paper ko isteemaal karne ke baad use khule mein na fainke.
- Baar baar apne haatho ko saabun ya kisi aise hand sanitiser solution se dhona chahiye jo virus ko khatam kar de. Bina haatho ko dhoye apani aankh, naak aur muh ko na chhuye.
- Ye bimari saans lene se failti hai, isliye jitna ho sake mask pehan kar apne naak aur muh ko dhak kar rakhe.
- Swine flu se bimaar hone par ghar par hi aaraam kare. School, college, office, mandir, shoping mall ya kisi public place par bilkul bhi na jaye.
- Swine flu se bachaav ke liye mahine me 1 ya 2 baar goli ke aakaar ka kapoor ka tukda paani ke saath nigale aur chhote bacho ko ye kele ke sath mila kar de. Dhyaan rahe kapoor ko mahine mein ek ya do baar hi le.
- Jis shahar mein swine flu faila ho waha ke log swine flu se bachaav ke liye 5-5 graam desi kapoor aur chotti ilaaychi ko pees kar ek potali bana le aur ise har 1 se 2 ghante mein sunghe. Aisa karne se aapke aaspass swine flu ke jeevanoo nhi aayenge.
Agar aapke shahar mein swine flu ka virus H1N1 fail raha hai to pehle se hi swine flu ki rokthaam aur bachaav ki tyaari shuru kar de aur apne aaspass ke logo ko bhi iske bare mein bataye taaki aap ke ghar ke aas pass bhi saaf safayi rahe.
- Apne Ghar Ko Swine Flu Se Surakshit Kaise Rakhe
- Swine Flu Se Bachane Ke Liye Kon Se Mask Ka Upyog Kare
Dosto agar aapko swine flu ke kaaran, roktham ke upay aur swine flu se bachaav ke tarike ka ye leekh kaam ka lage to apne dosto ke sath is leekh ko jarur share kare aur logo ko swine flu ke baare mein jagrook karne mein hamari madad kare. Agar aapke pass kuch ilaj, sujhaav ya fir anubhav ho to hame bataye.