More

    पेट की जलन और एसिडिटी के पांच घरेलू उपाय हिंदी में

    Disease - बीमारीपेट की जलन और एसिडिटी के पांच घरेलू उपाय हिंदी में

    गलत खान-पान की वजह से पेट में जलन और एसिडिटी हो सकती है। इसे आसानी से कम किया जा सकता है। यहां हमने पेट की जलन और एसिडिटी को जड़ से खत्म करने के घरेलू उपायों के बारे में बताया है। पूरी जानकारी प्राप्त करने के लिए पूरा लेख पढ़ें।

    Acidity ka ilaj kaise kare: Hamare khane ki galat aadato ki wajh se hame aksar acidity, pet mein gas, jalan aur kabz ki shikaayat ho jaati hai. Khane ko pachane ke liye hamare pet mein acid banata hai, aur jab ye acid jarurat se jada banane lage to hame acidity ki shikayat hone lagati hai. Acidity ka upchaar foran karna bahut jaruri hai nahi to acidity ki wajah se shareer mein kai aur problem bhi ho sakti hai.

    Bazaar mein asi bahut si medicines aati hai jo kuch minute mein acidity control karne ki baat karte hai jaise ki Antacid tablet, ENO, Gassofast. In davao ko lene ke baad aap aaram mehsoos karenge par ye ek temporary treatment hai. Allopathy, homeopathy, ayurveda upay aur gharelu nuskhe mein se kisi ko bhi aapna kar aap acidity ka ilaj kar sakte hai. Acidity ko Gastritis ya amalpeet ya amlata bhi kehte hai.

    Acidity Ke Kaaran Kya Hai

    • Jada masale wala chatpata khana khana.
    • Smoking karna aur sharab peena ya fir koi nasha karna.
    • Jada der tak khaali pet(bhukhe) rehna.
    • Raat ka bhojan(dinner) der se karna.
    • Jada chay peena, aur khali pet chay peena.
    • Body mein garmi badh jana.

    Acidity Ke Lakshan Kya Hai

    • Pet mein jalan hona.
    • Kadvi aur khatti dakaare aana.
    • Pet mein gas banana ya fir kabz ki shikayat hona.
    • Ulati hona ya fir khaali ubaak aana.
    • Sir mein dard hona.

    Ayurveda se Acidity ka ilaj : 10 Ayurvedic Treatment in Hindi

    1. Amla: Acidity ke ayurvedic upchaar mein subh sham aawle ka churan ek gilass paani ke sath le aur uske 30 min baad tak kuch bhi khaye peeye nahi, ya fir aap ek chammach aawle ka ras bhi le sakte hai.

    2. Aadrak: Acidity control karne mein adrak bhut hi faydemand hai. Ek gilass paani mein adrak ke chote chote tukde ubaal le aur fir use paani ko chaan kar gunguna piye. Aadark ki chay peene se bhi acidity mein fayda milata hai.

    3. Aloe vera: Alovera ka sevan pet ke liye bhut acha hota hai, pet mein jalan aur acidity mein aloe vera juice peena ek utam gharelu ilaj hai. Rojana aloevera juice peene wale logo ke pet mein acidity nahi banti.

    4. Mulethi: Mulethi ka kadha bana kar peene se acidity aur gale ki jalan mein aaram milta hai. Aap mulethi ka churan bhi isteemaal kar sakte hai.

    5. Ashwagandha: Acidity ke ayurvedic treatment mein ashwagandha ek utam jadi booti hai. Ek gilass doodh mein ashwagandha milakar peene se acidity se chutkara milta hai.

    6. Neem ki Chaal: Raat ko sone se pehle 1 gilass paani mein neem ki chaal ko bhigo de fir subh is paani ko chaan kar piye, ya fir neem ki chaal ka pees kar iska churan bana le aur ek gilass paani ke sath le.

    7. Munaka: Munaka acidity ka upay karne mein kaafi kargar hai. Munaka ko ek gilass doodh mein daal kar ubaal kar piye ya fir doodh ke sath khaye. Gulukand bhi acidity se nijaat paane mein kafi sahayak hai.

    8. Giloy: Giloy ki jad ke 5 se 7 chote tukde paani mein ubaal le fir halka garam hone par ghunt ghunt kar ke piye.

    9. Yashti madhu powder aur daalcheenee powder ko shahad ke sath mix karke ek goli banaye kar chusse.

    10. Ek – Ek chamach jeera, saunf, ajwain, aur sava ke beej paani mein ubaal kar chaan kar din mein 2 se 3 baar piye. Is paryog se pet ki samasyao se chutkara milega.

    Acidity aur Pet Mein Jalan Ke Gharelu Nuskhe

     20 Homeremedies in hindi

    Kuch gharelu nuskhe(homeremedies) apnakar hum acidity ka ilaj kar sakte hai. Ayureveda aur gharelu nuskhe se upchaar karne ka koi side effect nhi hota aur bimari se bhi chutkara mil jata hai.

    1. Acidity se turant aaram paane ke liye 1 gilass paani mein 1 chamach baking soda mila kar piye.
    2. Rojana subh khali pet 3 se 4 gilass paani piye.
    3. Dopehar ko ek gilass Nembu ka sharbat(shikanji) peeye.
    4. Khali pet nariyal paani peena bhi kafi acha hota hai.
    5. Rajiv dixit ji acidity ke upchaar ke liye batate hai ki raat ko 10 graam kishmish bhigo kar rakhe aur subh khaye.
    6. Badam acid ko nutralize karta hai, isliye jab pet mein jalan ho to 3 se 4 badam khaye.
    7. Tulsi ke patte, elaychi aur laung ka sevan karne se pet me gas ki samasya, pet mein jalan aur acidity ka ilaj karne ke liye utam aushadhi hai
    8. Ek gilass paani ke sath thodi se ajwain khaye.
    9. Raat ko shahad ke sath ek chota chammach trifala churan khane se bhi fayda hota hai.
    10. Agar pet mein jalan ho rahi hai to koi thandi cheej khaye.
    11. Rojana lassi aur dahi peeye.
    12. Ek kela har roj khaye.
    13. Khana khane ke baad thoda gud khaye.
    14. Khan eke baad ek gilass pudina ka paani ubaal kar peeye.
    15. Subh khali pet ek gilass paani mein thoda sa nembu ka ras thoda adarak ka ras, jeera powder aur thoda shahad mila kar piye, is paryog se aap ko acidity se nijaat melegi aur pure din acidity se bache rahenge.
    16. Pet mein jalan ho to pattagobhi, gajjar, kaddu aur pyaaj se bani hui sabjiya khaye.
    17. Kachhe papita ka juice, Patta gobhi ka juice aur gajjar ka juice acidity aur pet mein jalan dur karne ka badhiya upchaar hai.
    18. Aananas(pineapple), cheeku, kharbuja aur tarbuj khane se pet ki jalan kam hoti hai.
    19. Agar aapko acidity, pet mein jalan ki shikayat hai to 1 se 2 don ka upvaas kare, isse acid muh tak aana band hoga. Agar bhukh lage to fruits khaye par koi bhari khana na khaye.
    20. Jo log lagataar ek hi jagah baith kar kaam karte hai unhe aksar pet aur chaati mein jalan ki chikayat hoti hai. Aise mein narreyal ka paani peena, paithe ki mithayi khana kafi labhdayak hota hai. Tamatar, chawal , chay, cigrate aur sharab se parhej kare aur khane mein rajama aur udad ki daal ko kabhi bhi chawal ke sath na le.

    Acidity ke Gharelu ilaj ke liye Baba Ramdev Medicine

    • Swami Baba Ramdev ji acidity ke upchaar ke liye Divya Avipattikar choorna ka isteemaal batae hai, jo sharer me acid ke balance ko thik karne ke sath hazma thik karta hai.
    • Pet mein gas, pet mein jalan aur indigestion ki problem mein bhi Divya Avipattikar choorna ka paryog kar sakte hai.
    • Ye dawa din mein 2 baar 3 se 4 chammach tak khana khane ke baad le sakte hai.
    • Is dawa ko nariyal paani se ya halke garm paani se le.
    • Jane Acidity ki dawa baba ramdev patanjali

    Acidity mein Parhej aur Bachaav ke Upay

    Aajkal bazaar mein milne wale fast food ka chalan badh raha hai aur yahi kaaran hai ki  jaadatar logo ko masaledaar aur chatpata khana bahut pasand aata hai. Par jada teekha aur masaledaar khana khane se pet mein acidity aur jalan ki samsya hone lagti hai, aur kai baar to aisa lagne lagta hai jaise pet mein aag lag rahi ho. Agar aap ko acidity ya pet mein jalan ki samasya hai to sabse pahle aapko masaledaar, tala hua teekha aur chatpata khana chodna hoga.

    • Muh mein banane wali laar(saliva)ko bahsar na thuke, isse andar nigal le. Saliva pet mein jaane se jada acid nahi bsanta aur acidity control mein rehati hai.
    • Rojana 3 se 4 litre paani piye.
    • Khana dhere dhere aur chaba chaba kar khaye.
    • Excersise aur yoga kare.
    • Chatpata aur masaledaar khane se parhej kare.
    • Agar aapke shareer ka motapa adhik hai to apna wajan kam kare.
    • Tel wale khadya padartho se door rahe aur khane mein ghee, makhan aur ubali hui sabjiya le.

    Kisi bhi bimari ke ilaj se behtar hai aap usse bache, isliye aise khan paan se door rahe jo kisi bimari ka karne banti hai.

    Dosto Acidity ka ilaj kaise kare: Gharelu Upchaar in Hindi ka ye leekh kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass bhi koi sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare. Homeremedies, ayurvedic, homeopathic upchaar aur desi ilaj ke sath sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.

    Recent Articles

    66 COMMENTS

    1. Sir mera pet me gaas or jalan rahta hey or eske sath mera pet gurgurata v he or chhati v keya kru sir …upar to bataya nahi gaya lakchan gurgurane ka …?

      • sir mere pet tight h or pet me jalan rahti h or wo jalan uper sine me bhi hoti h lekin pet me jyada hoti h or mere gale me bharipan sa rhta h jab mera pet shi hota h to gale me problem nhi hoti muje khatti dakar bhi jyada aati h

    2. Sir mera 1 year pahle mera fatty liver huwa tha jo ki avi thik hey ab kavi kavi pet ke right side bharipan lagta hey kavi kavi ….kuchh upaye bataye sir

    3. Or mai jab sota hu na sidha tabhi chhati or pet gurgurata hey sidha khara hota hu ya karwat le kr sota hu to kuchh nahi hota hey plss sir kuchh bataye ye keya hey .gaas ya acidity ya fir kuchh or

      • Pankaj Ji humne aap ke sabhi comments padhe hai, jo cheeje aapne batayi hai ye kai parkar ki bimariyo ke lakshan hote hai, jese aap ko pet ke right side mein bharipan mehsus hona appendix ki wajah se bhi ho sakta hai. Aapne fatty liver ke bare mein bhi btaya jo ab thik hai. Dost aap se yahi salah hai ki ek baar kisi doctor se mile aur bimari ka diagnose karwaye taki bimari ka sahi karan pta chal sake aur iska upchar sahi tarike se kiya ja sake.

    4. sir mai subah udne me bad nibu pani pita hu uske bad nebu ka chay air upar lekhe kai upay kar cuka hu lekin subah petme Japan or ulti jaise lagta hi or kuch khane ka man nahi karts pura din ghabrahat pet me rahta hai din me bar bar bahar Jana pasta hai pet saf nahi hota 4 sal we paresan hu kuch upay batay

    5. mere pat m bhut jalan or gas banti hai kahatti dakar aati h meri age 26 h m ek hi jgha bethi rhti hun pat bhut fulta rhta h acid gale tak aa jata h mujhe had se jada ban rhi h plz mujhe koi upaye btaye ya koi davai btaye

    6. Dear Sir main pichle do mahine se acidity se paresan hun maine alopathy or ayurveda ramdev baba ka trifalla aloveera juice ka bhi sevan kiya per mujhe control ho kar bhi fir se suru ho Gya to mujhe Kya karna chahiy or ye acidity jyada time khali pet rahne se or raat ka khana let lene se hai to mujhe Kya karna chahiy ki ise nijat ho jau.

    7. mujhe Acidity ki waja se sans lene me takleef hoti h kabhi gas kabhi ghabrahat hoti h koi upay btaye and bhook.nahi.lagti kamzori bht hogaye h kxh bhi digest nahi hota koi.ilaj.bta de

    8. sir …mera beta 8saal ka uska pet beec beech mein dard karta hai aur subha sham thu thu ulti ati rehti hai kariban 7mehne se ho rha hai…humne sonograohy karwaya tha lekin usme kuch nhi aya ..kya aap sakte hai yeh thu thu ulti ulti ko kaise roke

    9. Sir mera nam Mansi h.. mujhe roz subha subha vomiting jese lgta h or vomiting Hoti h toh usme pitta nikalta h subha subha neend tut jati h Meri apne ap gbrahat k Karan ..or subha Kuch khanne ka maan nii krta :(..plZZ SIR ye bateye mere sth esha q hota h. .:(

    10. Sir mjh ko fatty liver ka b problem hai aur mjh ko boht ziada gase hai haazmy ka b problem hai pait men jalan b hoty hai aur pait k right side k oper wale hisy men bojh b fell hoty hai

    11. Pet me gas, pet fulna, pet me jalan ,pet me good good hona, khana nahi pach na , julab hona , batrum karte waqt jalan hona , jor laga padta hai , raat ko nind nahi aati hai , khana khane ka man nahi karta hai , bar bar dakkar aata hai , ulti jaise lagta hai , gabhrahat jaise lagta hai

    12. Sir mujhe humesa pet me gas aur pet me jalan hota hai aur bar bar dakkar bhi aata hai jab ki me koi masale dar khana bhi nahi khata hu na to chay aur coffee pita hu na to smoking karta hu fir Q ho raha hai gas ,,, meine khoon check karaya , urine , stool, check kraya , liver bhi check kraya , sonu graphics bhi nikala ,….. Sab ki sab Normal hai Fir mujhe aaisa kya huwa hai Jo thik nahi ho raha hai ….plz mujhe kuch batao ????

      • Dinesh agar sabhi reports normal hai aur aap khane pine ka bhi dhyan rakh rahe hai to aapko ye pareshani nahi honi chahiye. Dost aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur salah le.

    13. Sir. Ye kabz kya hota hai kya kabz ke wajah se mujhe gas ho raha or jalan ho raha hai pet me is ka karan Kabz hai ..??? Kabz ko kaise thik kare ??~

    14. Hello,sir M rohit sir mere pet me jalan hoti hai or ek saal se adhik ho gya hai par avi tak mere pet se gas ka problem solve nhi ho paya h..ek to asa pblm h..jo mujhe kafi taklif creates krata h…mere pet ke bitch me jaha par nabhi h pet ke andar dard deta h..or asa fill hota h jaise lagta h kuch chubh raha h…sir kya karu..give me advice

      • Rohit pet ki jalan dur karne ke liye aap desi nuskhe kar sakte hai agar inse bhi aaram na mile to ek bar docyor se checkup karwaye aur jane is pareshani ke kya karan hai.

        • Par maine to doctor se kfi baar dikha chuka hu..par koi faida nhi.?maine ultrasound v krwya bt no effect…sir phle mere bitch pet me pain ku hota h.wah v nabhi ke andar..

    15. Sir me last 1 year se pet ki prob se paresan hu kabhi pet me jalan to kabhi pet phul sa jata h aur pet saf bhi nhi aata kabhi kabhi upkari bhi aati h koi upay bataye

    16. sir ye mera 1/5 sal se ho rahe bahat tablet khai he par kuch nehi hua he ye puri tarha thik ho payega yaa nehi sir plz bataie

      • पेट की जलन दूर करने के उपाय और घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े।

    17. Sir Main bilkul theek tha achank mere gale me dard or jalan shuru hui is ke bad mere stomach ki nali main jaln shuru hu sar main dard rehta hain dr ko dekhaya kheta hain tumhe allergy hain main bhot hi parshan hu gale ki wajah se.

      • अगर एलर्जी की वजह से गले में दर्द और जलन की समस्या है तो पहले आप टेस्ट करवाए और जाने किस चीज से आप को एलर्जी है ताकि आप उससे दूर रहे और आपकी परेशानी कम हो सके.

    18. Sir mera pet tight rehta hai aur kabhi kabhi left side me jalan hoti hai sab test karwaya hai report me sab normal hai gas nhi nikalti hai koi ilaj btaye thank you sir.

    19. sir main acidity se bhut hi pareshan huan muje khane khane main bhi taklif ho rahi hai muje skin ke dawai chalu hai par mare Pat main jalan si hoti hai or sine main jalan hota hai main dali anar khata Hun but acid pair bhi acidity hojati roj khake muje 3 ya 4 ghante ke bad 40 jana hota hai please upai bataye main roj 5 khante travel karta Hun

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles