More

    Dil ki Bimariyo se Bachne ke Safal Gharelu Upay in Hindi

    Disease - बीमारीDil ki Bimariyo se Bachne ke Safal Gharelu Upay in Hindi

    Dil ki bimari(heart diseases) se kaise bache: Aajkal hamare lifestyle aur khan paan ki wajah se log kai tarah ki bimariyo se grast ho jaate hai, kuch bimariya thode samay pareshan karti hai jo ilaj karwane se jald hi thik ho jaati hai, par kuch bemariya aisi bhi hoti hai jo jaanleva ho sakti hai. Jaise ki cancer, high blood pressure aur heart ki bimari. In bimariyo se bahut log pareshan rehte hai aur khane ki galat aadto ki wajah se hi hame hriday rog bhi ho sakta hai.

    Dil ki bimariya kai parkaar ki hoti hai jaise ki chest infection, heart enlarge, heart failure, cardiac syndrome, heart beat badh jaana, heart blockage, cardiovascular diseases, heart pain.

    Dil Ki Bimari Ko Dur Rakhne Ke Gharelu Nuskhe hindi mein

    Dil Ki Bimari Kaise Hoti Hai

    Dil ki bimariya hone ka kaaran hai vyakti ke dil ki nasse ruk jaana ya fir nasso me koi rukaavat ho jaana. Heart disease ko dur rakhne ke liye body ka cholesterol aur blood pressure ka control mein rehna jaruri hai.

    Dil Ki Bimari Ko Dur Rakhne Ke Gharelu Nuskhe

    1. Heart ko healthy rakhne ke liye khane me fruits aur hari sabjiyo ka paryog aadhik kare kyuki ye low calorie food hone ke sath sath inme vitamin, minerals aur fibres bharpur maatra mein hote hai.

    2. Khane mein aisi cheeje kam khaye jin mein jada fat hoti hai. Jaise ki maansahaari bhojan aur junk food.

    3. Dil ko swasth rakhne ke liye sabut aanaj ka paryog kare. Daliya(oats) mein sabut aanaj hota hai jise khaane se blood mein cholesterol nahi badhta.

    4. Khaane mein sarso ke tel ka isteemaal heart problems ko 70% tak kam kar deta hai.

    5. Rojana 50 se 60 gram kachha gavarpaatha (aloevera) khaali pet khane se cholesterol kam hota hai aur dil ki kamjoori dur hoti hai.

    6. Lauki ubaal kar usme dhaniya, jeera aur haldi milakar kuch der tak paka kar khaye. Hafte mein 2 se 3 baar is upay ko apnaye. Is gharelu nuskhe se dil ko shakti milti hai aur heart ki blockage khulti hai.

    7. Badam khana dil ke liye kafi labhdayak hota hai kyuki isme vitamin aur fiber bharpur maatra mein hota hai.

    8. Arjun chaal aur pyaaj ko brabar maatra mein pees kar har roj aadha chamach doodh ke sath khaane se dil ki bimariyo mein bhut laabh milta hai.

    9. Gajjar ke juice mein shahad mila kar peene se bhi dil ke rog mein fayda hota hai.

    10. Kacha lehsun har roj subh khaali pet khaane se blood ka circulation thik rehta hai aur dil ko bhi majboot banata hai. Isse cholesterol bhi kam hota hai aur dil ka daura padne ki aashanka kam hoti hai.

    11. Aamla ke churan doodh mein mila kar peene se dil ki bimariya dur rehti hai.

    12. Raat ko sone se pahle udad ki daal bhigoye aur subh aadha gilass doodh mein mishari ghol kar udad ki daal ko pees kar khane se dil ke daure padne ki aashanka kam hoti hai.

    13. Desi gaay ke ghee mein gud milakar khane se dil ki kamjoori dur hoti hai.

    14. Aanar ke juice mein mishari milakar har roj subh sham peene se dil maboot hota hai aur heart attack ki smbhavna kam hoti hai.

    15. Seb ka juice aur aanwle ka muraba khane se dil ache tarike se kaam karta hai.

    Sawdhaniya 

    1. Khane ki aadto ko sudhar kar hum heart blockage aur dil ke duare se bache reh sakte hai. Jada calorie wala khana body mein cholesterol ki maatra badhata hai. Jada cholesterol dil ke liye acha nahi hota. Isliye fast food aur tala hua chiknayi wala khana khane se bache aur low calorie wala poshak tatvo se bharpur khana khaye.
    2. Swimming, long walking, excersise aur yoga kare.
    3. Smoking karna aur sharab peene se parheej kare.

    Agar hame kisi rog ko khatam karna hai to hame un kaarano ko khatam karna hoga jinse hame ye rog lagte hai, aur jab vo kaaran khatam ho jaate hai to rog ka ilaj apne aap hi ho jata hai.

    Dosto dil ki bimari se bachne ke aasan gharelu upay in hindi ka ye lekh kaisa laga hame jarur btaye aur agar aap ke pass heart ko healthy rakhne ka koi sujhaav ya fir anubhav ho to hamare sath share kare.

    Homeremedies, baba ramdev medicine tips, ayurvedic, rajiv dixit treatment, homeopathic upay aur desi ilaj ke sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles