Garmi se Bachne ke Upay: Jadatar log garmi se bachne ke liye cold drinks aur ice cream ka sahara lete hai jo shareer ko nuksaan pahunchaati hai. Garmi aur loo se bachne ke liye hum ghar par kuch ese drinks bna sakte hai jo shareer ko thandak pahunchane ke sath sath immunity system aur pachan kirya ko shakti dete hai. Is article mein hum jannenge home remedies for summer fighting.
Ghar mein banne wale ye drinks hame garmi mein hone wali bimariyo se bhi bachaye rakhte hai aur garmi ke dino mein shareer ko energy aur thandak dete hai. Aaiye jaante hai ki ye summer drinks kon se hai, inhe ghar par kese banaye aur inke fayde kya hai.
- Kheere ka Paani
- Aam ka Panna
- Mattha ya Lassi ya Chaach (Butter Milk)
Jane Loo Se bachne ke Gharelu Upay
Garmi se Bachne ke Upay: Kheere ka Paani
Khere ka paani shareer ko garmi mein thanda rakhta hai. Kheere mein kaafi poshak tatav aur vitamin hote hai aur sath hi isme paani ki maatra adhik hoti hai jo garam mausam mein bhi shareer ko fresh aur hydrate rakhta hai.
Saade paani mein vitamin nahi hote par jab paani mein kheere ke tukde daalte hai to is paani mein jaruri poshak tatvo ke sath vitamin A aur vitamin C ki maatra badhti hai.
Khere ke paani ko banane ke liye khere ke kuch tukdo ko paani ki bottle mein daal kar rakhe aur jab pyaas lage to usi bottle se paani piye. Body ko thanda rakhne ke ilava khere ke paani mein shareer ko swasth rakhne ke aur bhi gun hote hai.
Khere Ke Paani ke Fayde
- Khere ke paani ko din mein peene se shareer ki nami bani rehti hai jisse body ka temprature sahi rehta hai.
- Body ki skin ko healhy rakhne mein paani peena bahut jaruri hai, aur jab hum khere ka paani peete hai to isme maujood poshak tatav aur vitamin chehre ko chamakdar aur sundar banati hai.
- Khere ka paani immunity system ko strong karke body se jehrile padartho ko bahar nikalta hai.
- Motapa kam karna ho ya body ko detoxify karna ho khere ka paani peene se fayda milta hai. Khere ka paani peene se pet bhara rehta hai jisse bhukh jada nahi lagti aur hum high calorie wale khane se bache rehte hai.
- Kheere mein antioxident hote hai jo ki body mein free redicals se ladne mein madad karte hai jo shareer ke vishale padarth bahar nikalte hai.
- Khere ka paani body mein blood pressure ko control mein rakhta hai. High blood pressure se body mein heart stroke aur heart attack jesi samasya ho sakti hai. Khere mein potassium hota hai jo high bp ko kam karke normal karta hai.
- Khere mein silica hota hai jo behtar tvacha aur maaspeshiya banane mein madad karta hai. 1 glass kheere ka paani rojana peene se healthy muscels banti hai.
- Cancer se bachne ke liye khere ka paani bharpur maatra mein peena chahiye kyuki isme cancer se ladne wale kukarbeetasin jese poshak tatav hote hai.
Garmiyo Mein Pet ki Bimariyo Se Bachne ke Gharelu Nuskhe
Chaach (Butter Milk) jise hum lassi ya mattha bhi kehte hai, garmi se bachne ke liye rambaan upay hai. Garmi ke mausam mein agar shareer ko thandak pahuchani hai to mattha piye. Dahi se bani chaach mein bahut saare poshak tatav hote hai. Jo vyakti khana khane ke baad ek glass chaach pita hai use pet ki bimariya nhi hoti.
- Garmi ke kaaran agar pet khraab ho gya ho to chaach mein kaali mirch , mishri aur seendha namak mila kar peene se fayda hota hai.
- Aksar masaledar khana khane ki wajah se pet mein acidity aur jalan hone lagti hai, ese mein 1 glass mattha peene se pet ki jalan door hoti hai.
- Jo log doodh nahi peete un logo ko shareer mein calcium ki kami ko pura karne ke liye rojana chaach pini chahiye.
- Khaane ke baad lassi peene se paachan kirya darust rehti hai aur pet mein charbi jama nahi hoti. Isliye jo loga motapa kam karne ke upay karte hai unhe rojana lassi mein seendha namak mila kar peena chahiye.
- Chehre par jhuriya ho to aate mein mattha mila kar chehre par leep kare.
- Jin logo ke baal jhadte ho unhe hafte mein 2 baar lassi se apne baal dhone chahiye. Isse baalo ka tutna aur girna band ho jata hai aur dandruff bhi khatam hoti hai.
- Taja mattha bawasir (piles) ki bimari mein kaafi fayda karta hai.
- Chaach mein bio active protien hota hai jo cholestrol ko kam karke blood pressure ko control mein rakhta hai.
Agar garmi mein shareer par pit aur ghamoriya nikalne lagi hai to har roj subh aadha glass doodh mein gond katira koot kar daale aur mishri mila kar sevan kare. Isse upay se pit thik ho jayegi.
1. Nimbu ki Chaach: 1 glass paani mein 2 se 3 chamach taaji dahi mila kar isme namak ki jagah nimbu ka ras milaye. Agar aap dhoop mein kahi baahar se aa rhe hai to ghar aate hi nimbu chaach piye.
2. Masala Chaach: Aadha cup dahi mein aadha chamach jeera powder, thoda sa kaala namak aur 1 glass paani mila kar ache se mix kar le. Ab isme pudeene ya dhaniya ki pattiya aur thodi si burf daal sakte hai.
3. Jeera Chaach: Chaach mein jeera powder aur namak mila kar mix kar le. Chach mein pudeene ki patti daal kar piye.
Garmi aur Loo se Bachne ke liye Aam ka Panna
Garmi mein aam ka panna peene se shareer ko thandak aur energy milti hai aur ye gami mein loo se bhi bachata hai. Aaiye jaante hai garmi se bachne ke upay ke liye ghar par aam ka panna kaise banaye (recipe in hindi).
- Sab se pahle aam ko ache se dho le aur iske baad aam ko paani mein daal kar pressure cooker mein 3 se 4 seety aane tak paka le.
- Ab aam ko cheel kar iski guthali aur chilko ko alag kar de.
- Chile hue aam mein kala namak, ilaychi powder aur thodi chini m8la kar mixi mein mix kar le.
- Mix hone ke baad isme 1 litre paani mila kar chasn le. Ab aam ka panna tyaar hai isme burf daal kar thsnda thanda piye.
Dosto Garmi se Bachne ke Upay : Home Remedies for Summer Fighting in Hindi ka article kaisa laga hme bataye aur agar aapke pass garmi aur loo se bachaav ke liye sujhaav ya anubhav hai to comment karke hamare sath share kare.
- Garmi se Bachne ke 20 Gharelu Nuskhe
- Swasth Aur Sehatmand Rahne Ka Raaj
- Ghar ke Vaid ke Gharelu Nuskhe aur Upay
Dosto is site par ham Baba Ramdev or Rajiv Dixit ji ke ayurveda aur gharelu nuskhe bhi share krte hai.