More

    Yaddasht Badhane ke Upay- Memory Increase Tips in Hindi

    UncategorizedYaddasht Badhane ke Upay- Memory Increase Tips in Hindi

    Yaddasht Kaise Badhaye in Hindi

    Aaj kal ki busy aur compition se bharpur is life mein hum log aksar kisi tanav mein rehte hai jiske karan hum choti choti cheje bhi bhul jate hai, aur agar sahi samay par vo yaad na aaye to pareshaniya badh sakti hai. Hum apne dimag ka 5 se 8% hissa hi isteemaal karte hai aur agar hum baki ke hisse ko bhi active kar sake to hum apne jivan mein bahut se mushkil kaam aasani se hi kar sakte hai aur kamyabi pa sakte hai. Bhulne ki samasya bacho, bado aur budho sabhi ke sath hoti hai. Is article mein hum janenge chote bacho ki yaddasht kaise badhaye, gharelu nuskhe aur ayurveda home remedies se yaddasht badhane ke upay, Memory Power increase Tips in Hindi.

     

    Dimag Kamjor Hone ke Karan – Causes of Memory Loss

    Yaddasht ka badhna aur kam hona hamare brain ki power par depend karta hai. Hum daily routine mein aise bahut se kaam karte hai jo dhere dhere hamare dimag ko kamjoor karte hai. In buri aadto ko turant band kare nahi to ye aapke brain ko nuksan pahuncha sakti hai.

    • Puri neend na lena
    • Breakfast na karna
    • Jada khana (Over eating)
    • Kam pani pina
    • Ek samay mein bahut sare kaam karna (Multi tasking)
    • Smoking karna
    • Stress mein rehna

    Yaddasht Badhane ke Upay

    Memory Power Increase Tips in Hindi

    Aaj kal ke life style mein hamari memory power itni weak ho gyi hai ki humko ye bhi nhi yaad hota ki hum kal kis se mile the, humne kya khaya tha ya kahan gaye the aur kai baar logo ke naam bhi bhul jate hai. Kuch log memory loss ke treatment ke liye multivitamins ki medicine bhi khate hai. Aaiye kuch aise gharelu nuskhe jane jisse hum apne dimag ko tej karke apni yaddasht badha sakte hai.

    1. Badam: Raat ko sone se pahle 5 se 7 badam paani mein bhigo kar rakhe aur subh inka chilka utar kar ek paste bana le. 2 chamach shahad aur badam ke paste ko 1 glass gungune doodh mein mila kar piye. Doodh peene ke 1 ghante baad tak kuch khaye piye nahi. Aap badam ke paste ko makhan aur mishri ke sath mila kar bhi kha sakte hai. Rojana is upay ko karne se dimag computer ki tarah tej hota hai.

    2. Akhroat: Hamare dimag ki banawat bilkul akhroat jesi hoti hai. Agar aap chahte hai ki aapki yadasht bahut tej ho to 20 graam akhroat aur 10 graam kishmish rojana khaye. Garmi ke mausam mein is upay ko kam kare.

    3. Kaali Mirch: 5 se 7 kaali mirch mein 25 se 30 graam makhan aur mishri mila kar khane se dimag ki kamjori dur hoti hai aur kaam mein bhi man lagta hai.

    4. Palak: Palak mein vitamin A, K, E, C, B2, B6, Folic acid, Jink, Manganese aur Calcium hota hai, jo hamare dimag ko active rakhte hai. Palak mein omega 3 fatty acid bhi hota hai jo hamare brain ke liye bahut jaruri nutrition hai. Yaadasht badhane, mind development aur hamari ekagrata badhane ke sab jaruri poshak tatav palak mein maujood hai. Isliye dimag ko swasth rakhne ke liye niymit roop se iska sevan karna chahiye. Jin logo ko gurde mein pathri ho ya fir gurde ki koi aur bimari ho unhe palak ka sevan nahi karna chahhiye.

    5. Dark Choclate: Dark chocolate khane se dimag ki karya shakti badhti hai aur memory boost hoti hai. Iska sevan jada nahi kare kyuki isse wajan bhi badhta hai.

    6. Ghee ki Malish: Dimag ki kamjori dur karne ke liye gay ke ghee se sir par malish kare. Isse dimag tej hoga aur kamjori bhi door ho jayegi.

    7. Til: Yaddasht badhane mein til ka sevan bahut faydemand hai. Til mein gud mila kar rojana khane se yadashat badhti hai.

    8. Aanwle ka Murabba: Subh khaali pet aawle ka murabba khane se dil aur dimag dono ko takat milti hai. Aur agar aapko bhulne ki samasya jada ho to 1 chammach aawle ke ras mein 2 chammach shahad mila kar sevan kare.

    9. Udad ki Daal: Raat ko sone se pahle udad ki daal ko paani mein bhigo de aur subh ise pees kar paste bana le. Ab is paste ko doodh aur mishri mein mila kar khaye, isse dimag tej hota hai.

    10. Pudeene ki Chay: Agar aap ko bhulne ki samasya hai aur bahut mushkil se koi cheej yaad rakh pate his to subh uthne ke baad pudene ki chay piye. Pudene ki chay long term memory mein sudhar karti hai.

    Dimag Tej Kaise Kare – Ayurveda Remedies to Improve Memory Power

    1. Alsi ka Tel: Memory power aur concentration badhane le liye alsi ka tel bahut hi upyogi hai. Rojana alsi ke tel ka sevan karne se brain se judi koi bimari nahi hoti. Iske paryog se digag active hota hai, students aur dimagi kam karne wale logo ko iska sevan jarur karna chahiye.

    2. Brahmi: Yaddasht badhane ke liye brahmi ek achi ayurvedic aushdhi hai. Brahmi mein anti oxidant hota hai jo hamare dimag ko tej karti hai aur iske sevan se dimag jaldi thakta bhi nahi hai. Rojana 1 chammach brahmi ka sevan karna chahiye.

    3. Mulethi: Students ko aur jo log kisi competitive exam ki tyaari kar rahe hai unhe mulethi ka sevan har roj karna chahiye. Isse padha hua sab yaad rehta hai aur dimag tej hota hai.

    4. Lauki ka Tel: Lauki ka tel yaddasht badhata hai. Sir mein lauki ka tel lagane se dimag ko takat milti hai aur sir mein thandak rehti hai. Agar sir mein dard hai, baal safed ho rahe hai, jhad rahe hai to bhi ye tel lagane se fayda milta hai. Hafte mein 2 baar lauki ke tel se sir ki malish kare.

    5. Giloy: Amla, giloy aur jamasi, sabko brabar matra mein le kar pees le aur churan bana le. Is churan ko subh 2 graam ki matra mein paani ke sath le.

    6. Gehu ke Javare ka Ras: Yaddasht badhane ke liye wheatgrass juice pine se bhi bahut fayda milta hai. Rojana iske sevan se samaran shakti badhti hai aur bhulne ki bimari ka ilaj bhi hota hai.

    7. Gulukand: Yadashat badhane ke liye din mein kam se kam 2 bar gulukand khana chahiye. Students ko ye upay roj karna chahiye, isse padha hua sab yaad rehta hai.

    8. Daalchini: Raat ko sone se pahle 10 graam dalchini powder ko shahad mein mila kar chaat le aur uske baad kuch khaye piye nahi. Isse bhulne ki bimari dur hoti hai aur yaddasht badhti hai.

    9. Jamun: Jamun mein fosetin hota hai jo pichli baate yaad rakhne mein madad karta hai. Jamun mein smaran shakti tej karne ki takat hoti hai.

    Bacho ki Yaddasht Badhane ke Upay (Tips)

    Bacho ke dimag ke vikas mein unke parents ka bahut bada role hote hai kyuki bacho ke liye unka pahla school unka ghar hi hota hai. Aaiye jante hai bacho ki yaddasht badhane ke gahrelu tarike aur tips.

    1. Dahi: Dahi mein amino acid hota hai jo stress door rakhta hai aur dimag shant rehta hai. Kids ko kisi bhi parkar ke tanav se door rakhne ke liye khane mein dahi ko shamil kare.

    2. Doodh: Doodh mein shahad mix karke pine se yaddasht tej hoti hai. Bacho ka mind sharp aur active rakhne ke liye doodh jarur pilaye.

    3. Mind Game: Aajkal bazaar mein bahut se aise toy milte hai jinhe khelne ke liye dimag lagta hai. Chote bacho ko unki umar ke anusar kuch mind games la kar de aur ho sake to unke sath game bhi khele.

    4. Brahmi Powder: Bacho ki memory badhane mein brahmi powder ka parog kafi labhkari hai kyuki ye exam aur study ke samay yaddasht tej karne ke sath sath unke dimag ko bhi shant karta hai. Aadha chammach brahmi powder aur shahad ko garam pani mein mila kar pilaye fayda milega.

    Ek research mein paya gya ki pregnant women ke liye machli(fish) khana behad faydemand hota hai. Jo garbhwati mahilaye hafte mein 3 se 4 din machli khati hai unke bacho ka dimag bahut tej hota hai. Machli khane se bacho ke dimag ka ache se vikas hota hai aur bacho ko autism ka khatra bhi kam hota hai.

    Bacho ka Dimag Tej Karne ke Tarike

    • Bacho ko dopehar ko ek ghante neend de.
    • Bacho ke sath missing number game khele. Bacho ke sath 1 se 10 tak ginti gine aur beech mein kuch numbers chod de aur kids ko un numbers ko janane ko kahe.
    • Bacho ko naye words bolna sikhaye.
    • Bacho ke sawalo ka jawab de.
    • Bacho ke sath samay bitaye aur unke sath game khele.
    • Raat ko dinner karte samay kids ke sath baate share kare.

    Dimag Tej Karne ke Upay aur Tips Hindi Mein

    • Kharbuje ke beej tave par bhun kar chaba chaba kar khane se yadasht tej hoti hai.
    • Subh subh ek glass pani mein 2 chammach shahad mila kar pina chahiye.
    • Kadu ki kheer khane se memory power boost hoti hai.
    • Rojana subh ek glass gajar ka juice pina chahiye.
    • Til aur shakar ke ladu khane se dimag tej hota hai.
    • Jin fruits mein fasforas adhik matra mein hota hai vo yaddasht badhane mein upyogi hote hai. Jese ki angur, santra aur anjeer.
    • Agar aap mansahari hai to bhojan mein machli khaye aur agar shakahari hai to 3 chote chammach alsi beej ka powder paani ke sath le.
    • Aam ka ras (Mango juice) memory badhane mein kafi faydemand hai. Aam ras mein 2 chammach shahad mila kar lena acha hai.

    Yaddasht Badhane ke Liye Meditation aur Yoga

    Meditation karne se dimag shant rehta hai, aur mind par control bhi badhta hai. Yoga mein pranayam karne se mind relax hota hai.

    Har insaan chahta hai ki uski yaddasht tej ho aur use jarurat ki sabhi cheeje yaad rahe. Jis vyakti ki memory tej hoti hai use kamyabi aasani se mil jati hai, chahe yo students ho, employee ho ya koi businessmen. Agar aap mehnati hai aur aapki yaddasht bhi achi hai to aapki success ke chances kafi badh jate hai, aur agar aapko lagta hai ki aapko memory loss ki problem hai to aap bhi yaddasht badhane ke upay Kare.

    Dosto Yaddasht Badhane ke Upay, Memory Power Increase Tips in Hindi ka ye leekh kaisa laga comment karke bataye aur agar aap ke pass dimag tej karne ke upay, sujhav ya koi anubhav hai to hamare sath share kare, aapki knowledge se auro ko bhi benefit milega.

    Recent Articles

    14 COMMENTS

    1. hi sir,m bht pdhai krti Hun….bht late m Jake pdhai sab yaad hota h …..but exam k time pura bhul jati Hun ek word v yaad nhi ata or m badam,doodh or akhrot v khati Hun..plz help as

    2. Mera age 18 hai sir , m padhayi karta hu per padhane ke bhut jald bhul jata hu mere liye jyada fayademand kya rahega

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles