जब से लॉकडाउन लगाया गया है तब से डिप्रेशन के शिकार लोगों की संख्या बढ़ने लगी है। युवा और घरेलू महिलाएं इसका अधिक शिकार हो रही हैं। आज इस लेख में हम डिप्रेशन को दूर करने के पांच घरेलू उपाय बताने जा रहे हैं। जो आपके लिए रामबाण औषधि का काम करेगा।
Depression ka ilaj Hindi Mein
Depression ko hindi mein awsaad kehte hai jo ek mansik bimari hai, ye kisi bhi umar ke vyakti aur mahila ko ho sakti hai. Kuch physician’s ka kehna hai ki dimag mein maujood chemicals mein gadbadi ke karan depression hota hai. Depression hone par vyakti lambe samay tak udaas, dukhi aur tanav mein rehta hai, jis wajah se life mein uski dilchaspi kam hone lagti hai aur mind mein negative feelings aa jati hai aur kisi bhi kaam ke ache result ke chances vyakti ko na ke brabar lagte hai. Is article mein hum janenge depression ka ilaj karne ke upay kya hai, Depression Treatment in Hindi.
Depression se bahar aane mein har insaan ko kuch samay jarur lagta hai. Anti-depression medicine se is bimari par kabu paya ja sakta hai par abhi tak aisa koi test nahi hai jisse brain mein maujood chemicals ke level ka pata kiya ja sake.
Pursho ke comparison mein mahilaye depression se jada parbhavit hoti hai. Depression ki wajah se personal aur professional realtions par bura asar padta hai aur iske ilava is bimari se hamare mood, lifestyle aur sochne samajhne ki shakti par bhi bura parbhav padta hai. Agar bina kisi upchar ke is bimari ko aise hi chod diya jaye to ye aapki life ko mushkil mein daal sakti hai.
Depression Aur Udaasi Mein Kya Farak Kai
Depression aur udaasi ke difference ko smajhna bahut jaruri hai kyuki hum sabhi kabhi na kabhi udaasi ka samna karte hai. Kabhi kabar udaas hona normal hai par problem tab hoti hai jab aap is udaasi mein hi dube rahe. Lagatar dukh aur udaasi mein dube rehna hi depression hai. Depression se bachne aur is situation se bahar nikalne ke liye iske bare mein jada samjhne ki jarurat hai.
- Udaasi: Kisi buri ghatna aur situation ke karan man udaas aur dukhi hota hai. Ek bar jagah badalne par ya fir thoda samay beet jane par ye udaasi door ho jati hai.
- Depression: Depression mein aap kisi ek wajah se udaas nahi hote balki har cheej ko lekar udaasi mehsoos karne lagte hai. Vyakti har samay bina kisi karan ke bhi kisi ghum mein duba rehta hai.
Clinical Depression Kya Hai
- Har samay udaas aur tanav mein rehna.
- Kisi na kisi wajah se mood kharab rehna.
- Manpasand kaam ko karne mein laachar mehsoos karna aur apni life ko bojh smjhna.
- Neend na aana, neend jaldi khul jana ya fir jarurat se jada neend aana.
- Bhukh kam lagne se lagatar weight kam hona ya fir jada khane se weight badhna.
Depression Kyu Hota Hai – Causes
Depression ka sabse bada karan chinta aur tanav hai, jiske liye jadatar haalaat jimedar hote hai. Depression sharirik pareshaniyo se bhi juda ho sakta hai, jese physical trauma ya fir harmons mein hone wale changes. Aur bhi kuch karan ho sakte hai.
- Kisi apne se door hona.
- Kisi compition mein haar jana.
- Naukri choot jana ya paiso ka nuksan hona.
- Mehnat ke baad bhi umeed jitna result na milna.
- Retirement ke baad khud ko bekar smjhna.
- Karz badh jana aur use chukane ka koi tarika na hona.
Passive aggression ki wajah se bhi vyakti depression me aa jata hai. Aggression 2 parkar ka hota hai – active aur passive. Active aggression mein vyakti aapna gussa ladayi jhagda karke nikalata hai par passive mein vyakti kisi wajah se apna reaction nahi de pata aur vo depression mein aa jata hai.
- Jane Gussa Kaise Kam Kare
Depression ke Lakshan – Symptoms
Kisi bimari ke agar lakshan malum ho to uska treatment aur bachne ke upay karna aasan ho jata hai. Depression ke lakshan har vyakti mein alag hote hai. Iske ilava kuch log life mein 1 bar depression ko experience karte hai aur kuch logo mein iske symptoms lambe samay tak dikhte hai. Is bimari ke kuch common lakshan niche likhe hai.
- Jivan se nirash hona aur khalipan mehsoos karna.
- Bhukh kam ya jada lagna.
- Neend na le pana.
- Hamesha thaka hua mehsoos karna.
- Koi decision na le pana.
- Concentration kam hona.
- Bechani aur chidchidapan .
- Life bekar lagna aur khud ko bebas mehsoos karna.
- Dusro se duriya banana.
- Sucide karne ke bare mein sochna.
- Marne ki koshish karna.
Depression Mein Kya Kare
- Jab depression ke lakshan lambe samay tak dikhe tab vyakti ko akela nahi rehna chahiye. Depression ka ilaj ho sakta hai. Is bimari mein rogi ka sharirik se jada mansik roop se swasth hona jaruri hota hai isliye akele na rahe.
- Is bimari mein vyakti khud ko sab se alag kar leta hai, aise mein bahar nikalne ki sochna mushkil kaam hai. Aap baaha nikale aur kuch naye purane dosto se mile. Apne dosto ke sath group banaye aur rojana morning, evening walk ko jaye.
- Physically aur mentally healthy rehne ke liye achi neend lena bahut important hai. Agar aapko neend aane mein pareshani hoti hai to aap iske liye doctor se baat kare ya fir kuch gharelu upay kare jisse aapko achi aur gehri neend aaye.
- Kisi bhi parkar ke drugs ka isteemaal na kare. Cigrate, sharab aur drugs depression ko badhava dete hai. Agar aap kisi nashe ke aadi ho gye hai to ise chodne ke liye dusro ki madad le aur kisi nasha mukti kendar mein ilaaj karwaye.
Jane Neend Aaane ke Gharelu Upay
Depression ka ilaj aur Upay – Tips to Get Rid of Depression
Depression kabhi apne aap khatam nahi hota. Agar aap depression mein hai to isse ubarne ke liye kuch na kuch karna hoga. Is samasya se chutkara pane ke liye doctor ki salah lene ke sath sath aap kuch gharelu nuskhe aur activities bhi apna sakte hai.
1. Daily exercises
- Depression mein rehne wala vyakti jada physical activity nahi kar pata, tanav aur bechani se bachne ke liye physical activity karna jaruri hai.
- 15 se 20 minute tak tej chalna, dance karna, jogging aur cycling karna.
- Agar akele exercise nahi kar sake to kisi family member ya friend ko bhi apne sath exercise karne ke liye kahiye. Regular exercises karne par aap jald hi apne mood mein badlav mehsoos karenge.
- Exercises mein aap aerobic exercise, Baba Rambev yoga aur meditation bhi shamil kar sakte hai. Meditation aur yoga se man shant hoga aur body ki negative energy bahar niikal jayegi.
2. Khane Peene ka Khayal Rakhe
- Kai baar tension ki wajah se kuch bhi khane ka man nhi karta aur kai bar jada khane ka man karta hai.
- Agar depression ki wajah se aapki bhukh aur digestion par asar pada hai to aapko poshtik aahar lena chahiye, jisse aapki energy aur mood mein positive badlav dikhenge.
- Agar bhukh na bhi ho tab bhi kuch halka fulka khane ki koshish kare. Isse aapko pure din kaam karne ki takat milegi. Jane bhukh badhane ke upay.
3. Apni Problems Share Kare
- Aap un halat ko pehchanane ki koshish kare jiski wajah se aap depression mein aa gye hai, aur jab aap ki apni pareshaniyo ki wajah samajh aa jaye tab apne ghar ke kisi member se ya fir apne best friend se apni pareshaniya share kare.
- Kai bar ye accept karna mushkil hota hai ki hum depression ka shikar hai, iske ilava kisi aur ko iske bare mein batana aur bhi mushkil ho jata hai. Aap ko is bimari se ladne ke liye kisi support ki jarurat padegi. Kisi se baat karke aapka man bhi halka hoga aur aapko help bhi milegi.
- Apni feelings aur problems ko kisi se discuss karne ke baad uska positive solution nikalne ka paryas kare. Aap iske liye kisi ki madad bhi le sakte hai.
4. Apne Pasand ke Kaam Kare
- Depression ki wajah se insaan hassna aur mauj masti karna bhul hi jata hai. Is halat se bahar nikalne ke liye aap apne shauk aur pasand ke kaam kare, jese music sunana, dancing, game khelna, ghumna firna, movie dekhna.
5. Doctor se Consult Kare
Depression ka ilaj agar sahi samay par na kiya jaye to ye dusri mansik aur sharirik bimariyo ka karan bhi ban sakta hai.
- Aap sabse pahle apni jaan pehchan ke doctor se mile aur aap kesa feel karte hai aur kya sochte hai sab doctor ko bataye.
- Ye bhi ho sakta hai ki doctor depression hone se mana kare, isliye jarurat padne par kisi mano vaigyanik (Psychiatrist) se bhi mile aur unki salah le.
- Doctor se milne jate samay kisi ko sath le jaye jo aapki baate doctor ko baate batane mein aur doctor ki bate aapko smjhane mein mada kar sakta hai.
- Psychotherapist se milne ke ilava aap weight, blood pressure, thyroid ke test bhi karwaye.
- Jane Yaddasht Badhane ke Aasan Upay
Apne aapko ek baat hamesha bole – I am Stronger than Depression.
Depression se Bahar Nikalne ke Upay
Aagar aapko aesa mehsoos hone laga hai ki aapki duniya khatam ho gyi hai to aap akele aese nahi hai. Hamari socitey mein 5 se 10% log isse parbhavit hai. Agar depression ko jaldi pehchanana hai ya fir isse bachna hai to iske bare mein jankari hona jaruri hai.
1. Medicine Sahi Tarike Se Le
- Agar aapke doctor ne depression se bahar niklne ke liye medicine di hai to use sahi samay par aur sahi maatra mein le.
- Pregnanat women doctor ko apni pregnancy ke bare mein batana na bhule, kyuki kuch antidepression dawaye bache ki sehat par bura asar daal sakti hai.
- Jadatar log thoda result milne par hi dawa lena band kar dete hai lekin ye galat hai. Depression ka treatment 7 se 9 mahine tak chalta hai jise pura karna jaruri hai, nahi to dubara depression hone ki aashanka rehti hai.
2. Remind Good memories
- Depression ka sab se bura asar aapki soch par padta hai, kuch bhi acha nahi lagta aur aap hopeless hone lagte ho. Aesi situation mein aapko hamesha yaad rakhna chahiye ki life mein acha aur bura samay aata jata rehta hai aur jindagi mein kai bar haalaat negative mod le lete hai, lekin isse jindagi khatam nahi ho jati.
- Aise waqt mein aapki mitthi yaaden aapka sahara ban sakti hai. Apni strength aur quality ko pehchano aur apne aapko fir se ek nayi shuruat karne ke liye tyaar karo.
Depression ke liye Counselling aur Treatment
Depression ke treatment ke liye medicine aur counselling dono ki madad li jati hai. Talk therapy, counseling aur psycho social therapy depression ke upchar mein kafi helpful hoti hai. Ye therapy depression ke symptoms mein rahat dene ke sath aapki life ko sahi direction mein lane mein madad karti hai, aur future mein kisi bhi parkar ke stress ko face karne ke liye behtar tarike se tyaar karti hai.
- Shuruaat mein jo dawa di jati hai uska asar 3 se 4 hafte mein pata chalne lagta hai. Agar medicine ka asar nahi ho rha to doctors anti-depression medicine ka paryog karte hai.
- Logo ko ye bhi dar hota hai ki anti depression medicines ke side effect hote hai jese neend jada aana. Par aajkal jo dawaye doctor dete hai vo dimag ka santulan banana mein madad karti hai aur unke nuksan nahi hote.
- Depression ka ilaj karne ke liye koi bhi medicine doctor ki salah ke bina na le, kyuki kuch dawaye aesi bhi ho sakti hai jo nashili ho aur aap ko unki aadat lag jaye.
Depression Koi Pagalpan Nahi Hai
- Aaj bhi log is bimari ko pagalpan ka naam dete hai. Par ye sach nahi hai, depression ek mansik bimari jarur hai par ise pagalpan kehna bilkul galat hai.
Family Support
- Family mein agar kisi ko ye bimari hai to use pura support de aur use patient kabhi na samjhe.
- Aesi baate na kare jisse use taklif hoti ho.
- Vyakti ko uski strength aur achievements ka ehsaas karaye.
Homeopathic Remedies for Depression in Hindi
Homeopathy se bhi depression aur tanav door karne ke upay ho sakte hai. Is bimari mein homeopathic doctor case study kar ke usi hisab se dawa deta hai. Depression mein di jane wali kuch common medicine yaha likhi hai.
- Ignatia
- Nux-V198omica
- Pulsatila
- Arsenicum-Album
Koi bhi dawa shuru karne se pahle doctor ki salah jarur le nahi to nuksan bhi ho sakta hai.
Ayurvedic Home Remedies for Depression
- Ayurvedic aushadhi se bhi depression, tanav aur udaasi ko door kiya ja sakta hai. Iske liya aap kisi ayurveda vaid ki salah le.
- Iske ilava prayers, meditation aur mantro ka ucharan bhi negative harmons ko khatam karne mein upyogi hai.
Jo log depression ke shikar hote hai vo dukhi aur nirash hote hai aur jaldi apne jivan se haar maan lete hai. Extreme dipression mein kuch log aatamhatya karne ki koshish tak karte hai. Aagar aap is bimari ka shikar hai to jab bhi man mein aatam hatya ka vichar aaye to turant kisi ko bulaye aur doctor se contact kare.
Dosto Depression ka ilaj aur Upay, Depression Treatment in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass tanav, udaasi aur depression se bachne ke upay ya koi anubhav hai to hamare sath bhi share kare. Aapki di hi jankari se auro ko bhi fayda mil sakta hai.
आप का वैबसाइट काफी उपियोगी है। लोगों के लिए काफी फायदेमंद है। आशा है आप ऐसे ही अच्छे अच्छे articles publish करते रहेंगे। धन्यवाद
Hame bahut khusi hui.apne jo bhi jaankari hame is website ke jariye di hai o bahut hi useful hai thankyou so much.RAM
Ram ham aabhari hai ki aapko hamare pryaas ache lage. Agar aapko ye site aur yha bataye gaye nuskhe pasand aaye hai to apne friends aur relatives ko bhi is site ke bare mein bataye taki unhe bhi yha di hui jankari se fayda mile.
Bhut bhut thax,,,sir mujhe dr etizola plus 5,or rmylin d,, 2 tme ye dawa safe he kya diprssion k liye
Shakir Depression ke ilaj ke liye koi bhi medicine bina doctor ki salah ke na le. Aap ye medicines lene se pahle doctor se salah jarurbkare.
Thank you en savi upaya ke liye i hope esse kafi logo ko faida hua hoga. (meri taraf se ak chhoti upaya agar dipression me hai to use sehar ya gao se dur le jana chhiye jisse mahol change ho hoga )
sir mai ago depression mai chala gaya tha baad mai mere papa ne muzko mano hospital mai le gaye. maine sab unko bataya un dino mai bhut mara hua tha lekin doctor ne mera mra test kiya report normal aaya. docotor ne muze dawaiya di thi 5 ya 6 mai 1 lene se dar ta tha lekin liya per badlahat hone chalu hue. per 1 galti ki 1 dawa lene ka baad maine dawiya chod di iska effect fir se ho sakta hai aandar bhi lag raha hai ki wo dawiya lena choye thi abhi mai theek hu. Per aandar se abhi bhi aawz aati hai ki sabhi dawaiyan khani chiye thi please help karo abhi 4 khakar sad end kiya ja sakta hai dhoka hai please …. im now normal life eating only 1 medicine . Depression muze june 2015 ko hua tha or february march mai result aana chalu huaie lekin aaga phit ho dkata hai? Kya abhi 5 fawiyan khanr ke effects hote skate hai ya abhi bhi lekar aage hone ke shaktyae kam kar sakte hai… please help very serious about my life
Dost aap ek bar fir se apne doctor se mile, vo aapko batayenge ki kon se medicine continue karni hai aur kon se nahi.
abhi bhi kha sakta hi dawiyan ya maine bhut badi mistake jise karan yeh aabi sab possible nahi hai dawaiya lena. le sakte ho to iske ab side effects nahi honge na
Rohan bina doctor ki salah ke koi medicine na le.
ok 🙂 thanks for replay sir 🙂
Hii sir muje 2 sal phle stress bhut tha nid bilku nhi ati thi but ab phle se better hu homeopathic dva le leti hubut vo v bnd kr di h .pr 2 sal se hi mere ball bhut jhd rhe h .hath lgate hi bhut bal aa jate h .nid v distub hoti h bich me bich me nid tut jati h.sirkya tnav ke karn hair fall ho rha h sir plz upaye btaye bhut km bal rh gye h .
Monika tanav ke karan aesa ho sakta hai. Aap baal jhadne se rokne ke liye ye article padhe aur bataye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/baalo-ka-jhadna-roke-7-dino-mein-gharelu-upchaar-hindi-mein/
Hello sir ma punjab se hu kya depression ka related eyes se hai plz jrur batana
Vishal depression mind sevrelated h eyes se nahi…par kai bar depressed vyakti ko koi waham ho jata hai aur vo use dusri cheejo se bhi jod leta hai.
Hi my name is reshav muje lagta hai mera side effects huwa hai kisi medicine se qki pehle thik tha kuch esei medicine Di Dr ne usko lene ke baad me aap ne aapko depression me dhakel ta geya r jaab unsabh medicine ka side effect pata sala tabh sod diya.. abhi me apni dimag ko control nehi kar pa raha hu kya karu ya na karu esa feel ho raha back pain v hai r jabh fir dusre Dr ko dikhaya toh myospaz teblat diya r depression se door rehne ke liye shine10 teblat diya back pain toh control aya but dimag me r jyada gad badi a geya please help me kya karu
Dost doctor ne jo medicine di hai use lete rahe aur upar bataye hue tips bhi follow kare. Yahan jitne comment likhe hai aap unhe bhi padhe.
Sir mera naam namit hai maih lko se mushe neend ki problem hai maine lko me chowk specialist s.c tiwari mansik rog visashgh ko dikya mushe 3 4 month maih neend ane lgi sir Un hone 3 medicine likha thi eslop 20 mg paradise xr 25 mg aur wilpose 3 mg sir in ko maih daily leta hu aur mushe fayda bhi lekin n maine ek din nhi khayi th neend nhi ayi agar dawa nhi khata hoo th negative thoughts ate hai aur negative thoughts yh hote hai ki neend nhi ayegi mushe in dawa ki aadat ho gyi hai kyo ki raat ko jb sote hu th dimag bahut sochta hai aur jb dawa kh leta hoo th aram se neend aa jati hai plz sir in dawa ke bare me batiye plz sir koi side effects th nhi hai agar zindgi bhar leni pad yh dawa plz sir help me maih bahut preshan hu
Namit jab hum koi kaam lagatar karte hai to hamare sharir ko uski aadat ho jati hai aur dhere dhere hum yahi sochne lagte hai ki ab yahi cheej meri problem ka solution hai. Dost sab se pahle to is bare mein sochna band kare kyuki hamari aadhe se jada problems hamare dimag se hi shuru hoti hai, iske ilava apni life mein apna koi maksad banaye aur use acheive karne ke liye mehnat kare, isse aap dusre kaamo mein busy ho jayenge aur aapke mind mein negative thoughts nahi aayenge. Neend aane ke liye aap ye article padhe aur yha likhe hue upayo ko kare :: http://sehatdoctor.com/neend-aane-ke-upay-tips-for-good-sleep-in-hindi/
govind sir mera question yh hai ki jo maih dawa kha rha hu us se koi problem th nhi hogi life me kyo ki sir mushe in dawa ki aadat ho gyi is dawa ke bare me batiye plz sir eslop 20 mg paradise xr 25 mg aur wilpose 3 mg yh dawa safe hai liye me agar zindgi bhai khaye th koi problem th nhi hogi sir plz batiye
Dost aap jo bhi dawa le doctor ki salsh se hi le, in dawao ke bare mein koi doctor hi aapko sahi jankari de sakta hai. Allopathy medicine lambe samay tak lena thik nahi isliye aapko jo upay bataye hai aap unhe apnaye taki dhere dhere aap ki dependency in dawao par na rahe.
sir mera name sahid hai
meri age 25 hai
mujhe pichhle 5-6 saal se ek mansik problem hai, mujhe her 2 -3 mahine me lyf brek ho jati h
confidentce khatm ho jata h
khud ko bebas aur lachar sa feel karta hun
kisi ko face krne me jhijhak hoti hai
kahin man nhi lgta,na kisi ko advice tak v nhi de skta hun..kuchh krne ka man nhi krta.. fir fir khud thhik ho jata hun ..avi mai isi haal me hun
plz help me
Sahid agar aapke sath aesa bar bar hota hai to ek bar doctor se mile, iske sath aap yha bataye hue tips bhi follow kare.
khud koi disijon tak nahi le pata
under se ek dar aur ghabrahat laga rhta
jyada bolne ka v man nhi krta plz rply kren jaldi
Sahid aap ke andar confidence ki kami hai. Dost sabse pahle to khud par vishwas karna shuru kare, kabhi aapko apne decisions par bharosa na hho to apne family members aur friends ke sath use discuss kare.
koi medicine hi suggest kr dijiye
Dost humne is article mein bhi yahi bataya hai ki agar aapko medicine leni hai to sirf doctor se hi le.
bai mujhe bhi yehi problem thi aapki bohut kam hai meri bohut jyada thi aapki thik ho jaaye gi, aap kisi ashe se doctor se ilaaz karraiye mujhe ye problam ab bhi ho jati hai pr bohut km hai
Ma har waqt sochta rehta ho apni apne aap control nai ha koi hal btye
Ali aap meditation karna shuru kare aap ko fayda hoga. Meditation karne ke bare mein jakari ke liye ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/meditation-kaise-kare-dhyan-lagane-ka-tarika-hindi-mein/
Mujhe mansik bimari hai. Apne aap se baat karna. Depretion. Kam ko jab karta hoon daar lagta hai.depration mein jata. Log pagal kehte hai. Asa lagta hai dimaag kaam nahi karta. Please koi ilaz batao please koi medicines aur nuska
Gurjit ji aap medicine ke liye kisi doctor se mile vo aap se baat kar ke aap ka treatment shuru karenge, iske ilava upar likhe hue upay kare.
mere papa ki death hone ke bad family mai bahut prblm hai inhe sab problm ki wajha se mai kise doctor ko bhi dikhana chahtte mere padhai pe iska bahut asar pad raha hai mai apni family ke liye kuch krn chahte hu par mai abhi 11 m hu ishe tension k wajah se mere sir me bahut pain hota hai mai kya karu help me
Nida kisi apne ke chle jane ka dukh jivan mein bahut bda hota hai, aap apne family members ko sahas aur himmat bandhaye aur koshish kare ki sab sath rhe koi akela na rhe aur sab kisi na kisi kaam mein busy rahe.
thnk u so much par mjhe unke liye kch krna h ur mai 11 m hu kaise kru
Nida aap sabse baate kare taki unka dhyan hate aur vo kuch aur chejjo mein khud ko busy kar sake.
Sir mujhe 2008 me Dippretion hua tha Maine dawa ki sahi ho gaya lekin dawa band karne ke bad tanaw hone lagata hai doctor ye bhi nahi batate ki dawa kitne din khana padega sir eske liya upay bataye
Dost iski dawa lambe samay tak chalti hai aur ek dum se dawa band karna bhi thik nahi. Aap yha likhe hue upay kare aur ek bar apne doctor se fir salah le aur jaruri medicines le.
sir my name is abdur rauf mujhe 4yers se depression ki problem hai lekin mai janta nahi tha ki mai depression mai ho but jab problem jyada hui to mai dr se mila 8 month se mai medicine le raha ho pehle se kafi theek ho lekin ek problem abhi bhi wo ye hai ki jab mai koi books padta ho to mera confidence aur intrest chla jata hai uske baad use aane mai 1week lagta hai plzz sir bataye mujhe kya karna chahiye
Dost abhi aap aesi books padhe jo aapko pasand ho, jinhe padhna aapko acha lagta ho, iske ilava continue padhne ki bajay thode thode break mein padhe.
thnx sir ye problam to dur ho jayegi na mai study mai bba kar raha tha but jab problem badi to mujhe study se duri banani padi
Dost aap pryaas shuru kare aapko kuch dino mein hi farak mehsus hoga.
Sir muje kuch bhi baate der se samaj me aati hai..me US baat ko samajne me bahot time lagta hai…or uska ans bhi thik se nahi de paata..to uske liye koi ilaz bataiyene
Smit aapko apna concentration badhane ki jarurat hai sath hi apne confidence ko bhi boost kare.
Thanks for the opinion….
Nd sir depression medicine k bina ja sakta hai kya..
Smit ye depression type par depend karta hai.
Sir mene 1 month pahle koi nashe ki tablet kha li thi…usiki vajah se sochne samajne ki shakti km ho gai kya…muje ghabrahat becheni nd log majak udadete hai me unki baat samaj nahi pata. ..siir aise time me me kya karu..can I go to the doctor for citiscan..
Smit aap kisi doctor se consult kar sakte hai, aur sath hi koshish kare apna confidence badhane ki.
Sir era man padhne me bilkul nai lgta. ghr valo ki expactions bhut jis vjh se dipression ho gya hai maiboadhna chahta hu par jab padhne lgta hu concentrate nai kr pata… raat ko nind b naii ati anxity feel krta hu… So what i have to do pls ap ache se btaye?
Amit aap is article ko padhe aur btaye hue tips follow kare :: http://sehatdoctor.com/padhayi-mein-man-kaise-lagaye-students-study-tips-in-hindi/
Please tell me details of dipression & treatment of dipression age 60 years.
Parmod ji please read the article above, you will find required information.
Mai apne apko duniya ka sbse bda aadmi smjhta hu …..Lenin mujhe anpadh log bhi chutiya bna dete hai…..mere ek side ka sir dard, kan card,dono hota hai….. Bhut ulta vichar bhi aate hai ….phle to mai migrane ki dawa kiya 5 year tk nhi thik hua ….sir me continue card hota hai……life bekar si lgti hai,kisi se bat krne ka mn nhi krta…….Sharir hmesha sust rhta hai…..dimag kam nhi krta…..
Shashank khud ko bda smajhne mein koi burai nahi par ye sochna ki uske jesa koi nahi ye galat soch hai, over confidence kisi bhi vyakti ke liye thik nahi. Dost sir dard se chutkara pane ke liye aap migraine ke desi nuskhe apnaye aur agar fir bhi farak na lage to doctor se consult kare :: http://sehatdoctor.com/migraine-ka-ilaj-ke-ayurvedic-gharelu-upay-in-hindi/
Bhoht acha laga apki baate aur apki salah bhoht faida mand hai aj k zamane me har admi ko jarurat hai ye jana bhoht shukriya jankarika
Sar mujhe dath me problems hai.
Koi dawa bataye
Sumit teeth problems ke ilaj ke gharelu nuskhe janne ke liye ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/dant-dard-ka-ilaj-5-minute-mein-desi-nuskhe-in-hindi/
Bahut achha laga aapka sujhav
sir maine aapka blog pada bahut upogi laga please meri madat karo me do sal se depression me hoon kuch nahi sujh raha, sab kuch bekar lagta he, kahi ani jane ka man nahi karta, hamesa dar laga rahta he, lagta he meri jindagi me ab kuch vi nahi bacha he, akele me sable door door rahna chahta hoon. Kuch financial problem ke karan me depression me chala gaya hoon. mere bude ma pitaji, patni or do chote chote bachhi he please mujhe guide kijye mera siwa ghar me koi or nahi jo hamari madat kar sake
Dost sabse pahle ek baat aap smjhe koi bhi problem aapki family se badi nahi hai fir chahe ye financial problrem hi ho aur waqt hamesha ek jesa nahi rehta aap thoda dharay rakhe aur shant ho kar soche aapki samasyao ka hal jarur niklega. Apne parivar ke sath adhik samay bitaye aur khud par bharosa rakhe ki aap kisi bhi problem se bahar nikal sakte hai. Positive aur shant mind se aap har problem ka solution nikal sakte hai.
Depression se bachne ke sabse badhiya upay apne diye hai aur ye bahut helpful bhi raha hai so thanks….
Hallo sir mai student hu mujhe ghabrahat hoti hai kabhi muh sukhne lagta h nind v nhi aati ya fir der se aati hai ya bich me hi tut jati hai Ji v kabhi kabhi michlata hai pairo me ajeeb type feeling hoti hai khi v man nhi kgta sir kya kru plz bataye
Sbhi report v normal aate hain
Ashu jo lakshan aap bta rhe hai isse exact problem thik se smjh nahi pa rhe hai, aap kisi ayurvedic chikitsak se mil kar salah le.
sir jee ghabarata hai khi accha nhi lgta aur na hi kisi se bolne ka dil krta hai aur nind v nhi aati kuch sochta v nhi hu fir apne aap thik v ho jata h fir kuch din bad yahi sthiti ho jati hai .kya ye dipression k lakhan h kya agar hai to kya karu
Ashu ye dipression hai ya nahi ye to doctor hi ache se bta sakte hai, aap upar btaye hue tips aur comments padhe aur follow kare agar aaram na mile to doctor se consult kare.
Sir aap bahoot accha kaam kar rhe
Mera friend bilkul theek ho gya aapka comment padkar thankyu so much sir
mujhe b dipreshion hai kahi jane ka Dil nhi karta na bhook lagti hai na pyas bus bister per pade rehne ko Dil chahta hai aisa lagta hai k main kuch nhi kar sakta Zindgi bekar hai aisa lagta hai yaddasht kamzoor ho gai hai confidence nhi bilkul kisi se baat karne ka b Mann nhi karta kisi acchche doctor ka naam batayen
Please sir Mai bahut pareshan hoon kisi ko face nhi kar pata bahut sochta hoon aur jism bahut sust ho gaya hai
Dost aap upar lekh aur comments ko padhe aur tips ko follow kare..
Sir me 2 saal se anxiety aur ocd ki medicines le rhi hu …..kya he lailaj bimari h ……he dawai zindagi bhar khani padegi
Sheeba ji aap upar bataye hue tips aur comments padhe aappke sawalo ka jawab milega.
Hi sir Mujhe kbhi kbhi aisa lgta hai ki main pata Ni kya Kar raha Hu purani cheeze yaad krne me mushkil aur kisi bhi kaam me interest na ho pana please Mujhe Koi ghrelu upaye btaye yeh kbhi kbhi hota h and ab bhi Hai 1 week se
Lovely ji aap article padhe aur yha likhe hue comments bhi padhe aapko sawalo ka jawab milega.
Boht Hi helpful post hai aapki. Aapki post padh ke Maine nishchay kiya hai ki ab main is bimari ko dur kar ke hi rahunga.
Sir, me Kisi b vyakti-teachers,friends, girls etc se baat nahi kar pata hu bhut ghabrahat ho jati h achanak se na hi eye contact kar pata hu,sir me vastav me bhut hesitate ho jata hu I don’t know why, ye mere saath Rojana hota h college me,tution me, dosto ke saath and on
Sir me apni ISS bad habit se bhut uubb Chuka hu, life bilkul boring lagti h or Kisi se bhi vaat Karne ko Mann nhi karta.sir Kya me depression ka sikar hu help me please
Vivek ye aatam vishvas mein kami hone ke karan ho sakta hai, aksar kuch kamo mein safalta na milne ke karan hamara self confidence down hone lagta hai jiski wajah se hum khud ko dusro se kam aakne lagte hai. Dost aap apne pasand ke kaamo mein man lagaye aur apne pasand ke dosto ke sath time spend kare, iske sath upar likhe hue tips aur comments bhi padhe.
Hello sir, I have failed relations, recently my partner ditched me, iss wajah se bahut depressed feel kar raha hoon , main kisi se baat b nhi kar sakta iss baare mein , Marne ki himmat nhi hai, usko bhulana chahta hoon , but kisi na kisi kaaran touch mein aa jata hoon uske,dil KO tassali deta hoon , lekin thodi der baad phir haalat ho jaati hai, neend nhi aati bhookh nhi lagti, dimaag sunn rehna lag gya hai, koi kya bol raha hai samjh nhi aata , plzzzzz help me, aise to main pagal ho jaunga,
Amit agar kisi asese insan se achanak hame dur hona padta hai jisse bahut attachment hai tab aesa ho jata hai jesa aap mehsus kar rhe hai, par dost aap ek baat samjhe aapne kuch nahi khoya hai aapki dost ne khoya hai aap apna dhyan apni life aur family par lagaye aur apne target acheive karne k,e liye mehnat kare, iske ilava apne dosto ke sath time spend kare aur aese kaam kare jisme apko acha lagta hai, aap chahe to sports ya gym join kar sakte hai.
Sir meri problem hai ki, mein 1 baat ko baar baar sochta hoon, jaise Ki Maine kisi ka naam socha amar ab mein amar ko baar baar souchunga amar sochte time aage peeche koi vichar na Aaye agarkoi vicar Aa gaya to phir souchunga 1 baar 10 baar please koi ilaaj batayein. mein is pareshani se hamesha ke liye chutkara pa sakun. Mera dil bechain rahta hai.
Gulab jab bhi aapke sath aesa ho aap apna dhyan kahi aur lagane ka paryas kare aur khud ko kisi kaam mein busy kare ya fir book padhe ya gaane sune, kuch din parctice karne ke sath aapkoo farak dikhne lagega.
Hello Sir mera nam harish hai meri problem ye hai ki time pey koi kaam nhi kar pat hun kuch dino se our maine job bhi chod diyen hai
Anadar se bahot mayusi si hai doctor ko hamne dikhaya dawa bhi liye lekin sab kuch waise hi hai jaisa tha pahle meri life me ayesa kuch bhi nhi tha jo ab ho raha hai pahle mai sabko sunta tha our samjhta tha ab to khuad ke liye bhi kuch nhi kar pa rahe hai agar aap ke pass koi uapay ho to plzz bataye
Dost aap kaam ki jada tension lete hai jis wajah se aap use ache se nahi kar pate, aap kuch samay apne liye nikal kaam se break le aur apni pasand ki jagah par apne pasand ke logo ke sath time spend kare, iske sath thoda meditation bhi kare. Meditation karne ke tarike yha padhe :: http://sehatdoctor.com/meditation-kaise-kare-dhyan-lagane-ka-tarika-hindi-mein/
sir mene rngineering masti me kr li dhyan ni dia proper or m multitalented tha.to bar bar hr chij soch leta likin 1 pr focus nhi kia or mere ghr ki condition bht khrab he. m bht kuch krna chahta tha lkin kuch ni kr paya,me stable ni rha kisi 1 pr to m depression m chla gya. me kya kru kuch ni aa rha he
Dost aesa bhut se logo ke sath hota hai, bhut se kaam karne ke chakar mein ek kaam mein bhi thik se perform nahi kar pate. Aap sab se pahle koi ek kaam chune jise aap karna chahte hai aur use karne mein pure efforts lagaye. Ek kaam ache se kare aapko success milegi aur aapka confidence bhi badhega.
Sir mene ek month pehle depression kiii medicine liii thi… Usko do din lene ke bad mere reaction kr gyi… Ab right ankh or sir ki nso me thoda pressure feel ho RHA he… Mein kya krun… Mein buri trh se fans gya… Mujhey dr he kahin meri ankh khraab naa ho jaaye yaa meko koi gambhir bimari naa ho jaaye… Plzz help
Dost koi bhi medicine lene se pahle doctor se consult karna jaruri hai, abhi is reaction ko thik karne ke liye aap pahle doctor se mile aur iski janch karwaye.
Han dr ko dikhakr hiii li thi… But reaction ho gya… Jaanch krwana behtr rhega… Thanks…
Meta name Sonu Singh hai sir MERI problem six year phle nwspepr PE Hart atak k lkchan pad Kar Mike dar AUR bechaini hone lagi Mai Ghar PE Akela hu AUR poor family SE hu meta margdarsan karen
Sonu jin karno se aapko pareshani hai unhe karne se bache.
Sir Maine 5 saal tk charas ka Sevan kia fir achank chor dia Ab m bht badi prblm m hu m hr tym kch na kch sochte rehta hu becheni ghbrahat kisi baat na kr pana gum sum rehna neend na aana ye sbkuch hota hai dctr ko b dikhaya but koi fayda nhi hu so plss sir help meh mai kya kru
Vicky ji 5 saal ki aadat ek dum se chod dene par bechani aa jati hai, aap yoga exercises ke liye thoda samay nikale aur agar ye na kar sake to subah shar ghumne jaye aur sath hi healthy food khaye. Kuch dino mein aapko farak mehsus hone lagega.
Sir yoga b kia bht sari dawayi b khali 1 saal ho gya koi sudhar ni aara sir meri lyf ruk c gyi hai kisi ko b face ni kr pata logo se milne m ghbrahat hoti h sir Maine suna hai is nashe se brain damage ho jata fir kvi theek nhi hota sir sbkuch krke dekh lia theek nhi hora bht badi prblm m hu sir help meh plsss
Vicky aap yha likhe comments aur upar article mein likhe tips padhe aapko solution milega.
Sir 3 mahine pehle mere ko ek ladke NE ma behen ki college me galliyan de di.
Us din mera bio ka exam tha to Maine
Use kuch nahi kaha.par usdin ke bad SE vo baat mujhe har time satati ki tumne use kyu nahi kuch kaha .aise to vo TUMHE college ke bahar BHI gali de sakta hai. Fir aise to pura samaj hi tumhe galiyan de sakta hai.tumhari to izzat hi MIT jaegi.aur man me uske prati fear BHI bana rehta hai. Padhne me BHI man NHI lagta hai
Shyam aapne apne exam wale din uski baato par react nahi kiya ye aapki samajhdari hai kyiki agar aap use palat kar jawab dete to nuksan aapka hi hota aap thik se exam nahi de pate. Dost aap is bare mein adhik na soche aur aage bhi agar vo aap se galat tarike se behave kare to ladne ki bajay pyaar se baat kare aur aapas ki kadwahat dur kare.
sir me bsc2 ka student hu or meri problem ye he ki ma daily apne aap se vade krta tha or avi b krta hu jaise ,kal mujhe jldi uthna he, itne topic mujhe padhne he, itne din me ye book complete kar dunga etc. lekin me na to jldi uth pata hu or na hi chune hue time period me topic complete hote he, sir ab mere exam ko keval 1 month bcha he or tension bhut jyada he, sir agar meri yhi situation rhi to me fail ho jaunga plz help me sir
Vivek aap apni iccha shakti badhaye, padhayi mein man lagane ka tarika yha pdhe :: http://sehatdoctor.com/padhayi-mein-man-kaise-lagaye-students-study-tips-in-hindi/
sir mein 3 sal se bhot parishan hoon pls mujhe bateyen ke depression ka medicine chorne k liye kya karna padhega
Arofa ji dipression ke ilaj ke tips upar lekh mein btaye gye hai aap inhe regular follow kare aapko fayda milega.
sir mujhe pls yeh bataye k dipression ki jo medicine hai woh kitne sal khana padhta hai q k mein takriban 4 sal se kha rahi hoon or jb dawa chorne ki koshish karti ho to brain k nass pe bhot pen hota hai or dil udas ho jata hai dil karta hai k me soside karlo pls sir mujhe bataye iski dawa kitne din tak khana padhta hai pls sir q k meri shadhi hone wali hai 1 sal k bad mujhe bhot dar lag raha hai k mere susral walo ko pata chala to kya hoga mujhe pls bataye k mein kaise jaldi thik ho jao
Arifa depression ki dawa kitne samay tak chalti hai ye depression aur treatment par depend karta hai, aap upar btaye hue tips follow kare aap ko madad milegi.
Hello sir me pakistan se hun ma boht dino se deprassion ka shikar hun . Deprassion se hony wali sab symptoms mujh me hain. Or me boht pershan hun q k abhi ma 33 ka hun or 6 month huay shadi huay way. Abhi famly me kisi ko feel nai hua but mera dil her chiz se ukta gya ha. Ap ka featur perha ha dil ko boht sakpon mila ha. Ap mujhy koi best advice kijiay. Mujhy abhi depression me entr huay way 4/5 mounth huay hongy . Thanks
Dost aap upar article padhe aur yha likhe hue comments bhi padhe aapko jaruri tips milenge.
Mujhe yeh column bahut achcha aur useful lga, aur pta chla ki itne dino se jo me pareshan rahti hu kahi n kahi ye depression hai, but I will try to come out of this.
Sir mera naam rihan hai .mere gf k ghr humre relation k ptaa chal gya jiske wjha s uskii study wgera sab bnd ho gyii h .Aur me bhut prshn hu dil bhut gahbrta h Aur koii solutions Nhii milra h plzzz help me sir btiye jisse me shii raah sku kuch soch sku
Dost aap ko abhi kuch karne ke bajay wait karna chahiye taaki sab ko sochne ka samay mil sake aur shant dimag se sahi galat ka decision le sake. Aap bhi apni study par focus kare aur parivar dosto ke sath kuch acha time spend kare.
Love u sir
Sar mai 16 years ki hu mein Bachpan se ladko wale kapde pehnti hu lekin ladki wale dress pehnna toh chahti hu lekin mere andar dar baith Gaya hai ki jab mai ladki wale kapde pehnugi toh sab hasenge actually sar mere andar sarmilapan bahut isi wajah Apne pasand ke kaam nahi kar paati logo ke samne jaane me kharati hu logo se baat karne me khabrahat hu yaha tak ki Apne kharwalo se baat karne me darti hu aur bhahar jaane se darti hu iss wajah se mera koi dost bhi nahi hai mera naye school me admission hone wala hai aur waha scirt pehnna padega is wajah se bahut khabrahat aur dar lag
Zoya kai bar kuch baato ke bare me soch soch kar hum use bhut bda bna lete hai aur darne lagte hai. Dost kisi bhi insan ya fir cheej ka dar itna bda nhi ki aap use face na kar paye. Sabse pahle khud par vishwas karna sikhe aur kuch bhi nya karne se dare nhi chahe vo naye dost ho nyi jagah ho ya naye kapde ho.
Ye Do mahino se ho rha h mere sath jbse mera pyaar door hone lga h Muzse wase to bahut pyaar krta h Muze mere ghr me bhi sbko pta tha uske bare me shadi bhi krna chahta tha muzse pyar bhi bahut krta h but kuch tym se bahut chenge ho gya h vo na kuch btata h khul k ek dam usne muzse milna zulna bnd kr diya pehle pure pure din yaha tak rat bhi bat krte the but ab din me ek bar bat krne me bhi vo chid chid krta h pta ni kyu vo bolta h abhi job nhi h famliy valo k liye krna h bahut kuch is liye ye sab ho rha h but jbse usne Muzse doori bnayi h tab se na mai khus rhe pati kisi se bat nhi krti kisi ki bat ka reply ni deti ghum sum rhti hu offc me bhi akeli bethi pure din kam karti hu or vo kam hota Bhi nhi h pta ni kya krti rhti hu koi kuch bhi bolta sunti sbki hu but unki bat ka koi asar nhi hota na dil ko chhooti na hurt hota na nhi to pehle koi kuch bhi bolta tha muze bahut hurt hota tha isne bol kaise diya ab to krke rahungi ab to miting me dat kha lu koi beshti kre tab bhi koi feel ni hota muze asa kyu kya vjja hai ha hurt hota hai muze usse bat na ho vo call na kre ya muzpe gussa kre bina bat k uski har vo bat jo galt ho bahut hurt krti h muze jabse usne muze shadi krne se mnna to nhi kiya but bolta hai apni famliy ko hurt nhi krunga is bat par bahut hota hai muze please help me kya karu me or offc me kam nhi kar pa rhi me bahut jada problem ho rhi hai please tell me nd help me
Nancy ji iske kai karan ho sakte hai
1. ya to vo ladka kisi pareshani me hai aur vo aap ko bta nhi rha aur pareshani ki wajah se aap se baat na kar pa rha ho.
2. jab hum kisi ko pasand karte h to man karta hai din raat usi se baat kare par kuch samay baat vo excitment kam hone lagti hai.
Aap se yahi salah hai kii abhi aap apne friend ke bare me na soch kar apni life aur family par dhyan de aur apne friend ko kuch samay de. Jaldi me kisi bhi decision par na aaye. Aap apni family office par dhyan de taki kisi bhi tarah se aapko koi pareshani na ho.
Sir mujhe v 1 mahina we ye problem hai aur mai dawa kharahahu doctor ki salah se mujhe lagta hai ki main thik nahi hosakta firse oh sab enjoyeful life nahi milsakta .dur axa se dekh nahi sakta chalne hu to sar chakrane lagta hai lagta hai ki earthquake jaisa feeling hota hai mind nervous rahta hai.kya main thik ho paunga.hopeless kya ye bimari hai ya pagalpan.
Dost agar man me ye baat aa jaye ki aap thik nhi ho sakte to kitni bhi achi medicine kha lo aap thik nhi ho paoge, par agar aap ne ye soch liya ki koi bhi pareshani aap ki wioll power se badi nhi to aap badi se badi problem se aasani se bahar nikal jaoge. Aap positive rakho khud ko aur kisi bare me jada sochne ki bajay aese kaam karo jo aapko ache lagte ho isse aapka mind busy rehga.
Hello sir bahut koshis krtti hu par usse dhiyan ni htta kam to bilkul ni hota itna mnn lgake kam krti hu ab to offc me sab mjak bnane lge h tb bhi kuch nhi kr pa rhi kam
Nancy ji jab hum din raat ek hi kaam karte hai to hme ek tarah se uski aadat si lag jati hai aur jab hum ek dum se use chod de to dukh hota hai. Aadat koi bhi ho ek dum se chodna mushkil hota hai aap dosti aur pyaar ke mamle me dukh jada hota hai kyuki hamari feelings judi hoti hai. Aap apne kaam me dhyan lagaye aur khud ko kuch samay de. Ek baat hamesha dhyan rakhe ki aap ki khushi aur dukh kisi aur ke hath me nhi hai sirf aapke hath me hai.
Sir mai 5 sal se bang ganja nasha ka istamal krta tha aur v fir sir dhire dhire mera nid udine lga uske bd mera bilkul nid udd gya tb mene ghar m sara bt bta Diya sb mere bt ko samjh kr mera homeopathic elaj krwaye is se mujhe 3,4 mahina bahot presan tha ghr se bhag v Jata tha lekin ghr k log aur dost log bahot smjhaye aur mai thik ho gya ab mera nsa chhore 2 sal ho gya h lekin sir har roj sochta hu ki aj ni ni lga to kya hoga aur agr kl ko koi km ho to nid udd jata h iss se mai koi km ni kr pa rha hu Na he kahi ja pa rha hu nid ni ane se mai bechen ho jata hu sb log presan ho jate h sir m kya kru sir please help kijye mujhe mai chah kr v kuchh ni kr pa rha hu
Dost ye aap ki aur apke parivar ki mehnat thi jisse aap ne nasha chod diya, aap ab kbhi bhi fir se nasha karne ke bare me naa soche. Kabhi kabar aapko kuch pareshaniya aa sakti hai par aap apne parivar aur dosto ke sath mil kar har problem ka samna kar sakte haao. Aap hamesha dhyan rakhe ki koi bhi problem aapki life aur family se badh kar nhi aur aap kisi bhi problem ko face kar sakte hai.
Thank you soooooo mach sir ap hum jeso ki madad kr rhe h sir mera jada koi problem ni h bs bich bich m nid udd jata h sir ap ne bahot achha bt btaya h sir mai ab har hal m is se larunga sir nasha se to mujhe ab koi lgw ni rh gya h 2 sal ho gya chhuta huwa jese nasha choda h wese bimari bhi chhod denge
Dost namunkin kuch bhi nhi agar pure irade se aur achi niyat se mehnat kare to safalta jarur milti hai, aur aap ye kar sakte hai. All the best!
Thank you sir aapka website bahut hi acha hai.
hello mera name neetu hai mai 29 year ki hoo. meri problem yah hai ki mujhe gussa bahut aata hai or mai har waqt chidchidi rehati hoo. or mai kuch bol nahi pati agar family me koi mujhe kuch bol deta hai to bas us baat ko leker bahut gussa aata hai or bas sir me dard hone lagta hai or abhi kuch dino se na kisi se baat karne ka maan karta hai or na bahar nikalne ka.
गुस्सा कम करने के उपाय और अन्य तरीके आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/gussa-kam-karne-ke-upay-man-shant-kaise-kare-hindi-mein/
Sir mujhe koi baat kehte gain to main samajh nahin pata. Mera dimag kahin bhatakta rehta gain samasya batayein
Dost aap meditation kare isse aapka man shant hoga aur aapki concentration bhi badhegi.
Sr kya homyopathy me depression ka ilaj hai
mujhe thik se baat nahi Karne aata please koi ilaj baatain
Thank you sir aapne bahut achha article likha hai shayd. Muje bhi ab apni bimari malum ho gai hai.. Thank you so much..
sir mera naam nitin hai aur mujhe bhi depression bahut jada rehta hai kuch karne ka man nahi hota life jaise ruk si gyi ho meri depression ki wajah mujhe khud nhi pta main abhi msc ka student hu so sir carrer ki bht tension rehti hai so sir mujhe suggetion do main kya karu.
Dost depression ka ilaj ke tarike upar lekh me btaye gye hai aap upar btaye gye tips padhe aur sath hi yha likhe hue comments bhi padhe.
Mujhe Anixety depression hai maine doctor se ilaj bhi karaya lekin jada fayda nahi hua main koi decision nahi le pata mere brain me hamesha negative khyal aate rahte hai bahut preshan hu please help.
Mere sath ajeeb chakar chal raha hai main sun ho jata hoon yani ajeeb tabiyat ho jati hai buhut bhari bhari aur sun sa ho jata hoon main bahut pareshan hoon bhai dawai jab bhi khai hai side effect hua hai is liye dawai se dar lagta hai.