More

    Masudo ki Sujan aur Payria ka ilaj ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Disease - बीमारीMasudo ki Sujan aur Payria ka ilaj ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Ache aur sundar dant (teeth) swasth sehat aur sundarta ki nishani hai. Payriya danto ka ek rog hai jisme masudo mein infection hone ke karan khoon aur puss nikalta hai aur muh se badboo aane lagti hai. Bahut se log rojana brush to karte hai par jeebh saaf nahi karte jis wajah se munh (mouth) mein bacteria panapne lagta hai jo pyorrhoea ka karan banta hai. Ye samasya body mein calcium ki kami ke karan hota hai. Agar sahi samay par payria ka ilaj ke upay na kiya jaye to dant girne ki nobat tak aa sakti hai. Bahut se logo ka ye bhi manana hai ki ek baar ye diseases ho jaye to iska upchar mumkin nahi hai par ye sach nahi hai. Hum gharelu nuskhe aur ayurvedic tarike apna kar is problem ka solution kar sakte hai. Aaiye jane home remedies for payria treatment in hindi.

    Payria ka ilaj ke upay, Payriya Treatment in Hindi

     

    Payria hone ka karan – Causes

    Danto mein khane pine ke kan fas jane se danto mein cavity ho jati hai, dant sadne lagte hai aur dhere dhere ye masudho mein infection ka roop le leta hai.

    Pyorrhoea hone ka parmukh karan hai daanto ki sahi dekhbhal na karna, healthy khana na khana aur thik se pet saaf na hona.

     

    Payriya ke lakshan – Symptoms

    • Muh se badboo aana.
    • Masudo se khoon aur pas nikalna.
    • Dant hilne lagna.
    • Masudo par chale aur jalan hona.

     

    Payria ka ilaj ke Gharelu Nuskhe

     Home Remedies for Pyorrhoea Treatment in Hindi

    1. Rojana brush karne ke baad rai ke tel mein thoda namak mila kar ungali se masudho aur danto par maalish karne se mausdo se khoon nikalna band ho jata hai.

    2. Sarso ke tel mein namak mila le aur danto par manjan karne se pyria thik ho jata hai. Sarso ke tel mein agar sendha namak mila kar manjan kare to teeths ko majbooti milti hai aur teeths ka hilna band ho jata hai.

    3. Amrud mein vitamin C adhik hota hai. Payriya ka upchar karne mein amrud khane se fayda milta hai. Kache amrood par thoda  namak laga khaye.

    4. Koyle ka chura, neem ki pattiyo ki rakh aur thoda kapoor. In teeno ko mila kar raat ko sone se pahle masudho par lagane se masudho se blood nikalna band hota hai aur pus banni band hoti hai. Neem ke datum se brush karne par bhi payriya thik hota hai.

    5. Namak mein chutki bhar haldi milaye aur kuch boonde sarso ke tel ki mila kar danto ki malish kare. 15 se 20 minute tak kulla na kare aur muh mein banne wali laar ko bahar thuk de.

     

    Ayurveda se Payria ka ilaj

    1. Nimbu ke ras mein shahd mila kar masudo par lagane se pus ka nikalna band ho jayega.
    2. Aam ki guthali ko pees kar powder bana le, is powder se danto par manjan karne se payriya khatam ho jayega.
    3. Rojana 1 aanwle ko ache se chaba chaba kar khaye. Aawle ka ras payria door karne mein asardar hai.
    4. Genhu ke javare ka ras (wheatgrass juice) payria thik karne ka ek badhiya ayurvedic medicine hai. Wheatgrass juice se pahle kulla kare aur pi jaye. Ye muh ke bacteria ko nasht karke masudho ko swasth banata hai.
    5.  Payria thik karne ke liye 1 glass halke garam paani mein 5 se 6 boonde laung ke tel ki mila kar har roj kulla aur garare kare.

     

    Payriya ka Ramban Upay

    Dant mein dard ho, kida laga ho ya payriya hua ho pyaj ka paryog chamatkari tarike se kaam karta hai. Pyaaj ke 1 tukde ko tave par garam karke danto ke niche dabaye aur muh band kar le. Thodi hi der mein muh mein laar ikathi ho jayegi, is laar ko munh mein ache se ghumaye aur bahar nikal de. Is nuskhe ko rojana 3 se 4 baar 1 hafte tak lagatar karne par payria ki samasya se chutkara milega, masudhe majboot honge aur danto ke kide bhi mar jayenge. Ye upay Baba Ramdev aur Acharya Bal Krishna Ji dawara bataye gaye hai.

    Pyaaj ke paani se danto ki massage karne se danto ki bahut si bimariya thik ho jati hai. Is dawa se cavity ki problem se bhi bacha ja sakta hai.

     

    Masudo ki Sujan Door Karne ke Tips

    1. Ajwain ko bhun kar isme rai ke tel ki 2 boonde milaye aur masudho par halki halki malish kare. Is upay se danto ke dusre rogo ke ilaaj mein bhi fayda milta hai.
    2. Adarak ko namak ke sath mila kar pees le aur dhere dhere masudho par ragdne se sujan kam hone lagegi.
    3. Paani mein nimbu ras daal kar garare karne se muh ki badbu aur masudo ki sujan thik hoti hai.
    4. Fitkari ka churan paryog karne se bhi masudho ki bimari dur hoti hai.
    5. Arandi ke tel mein thoda kapoor mila kar din mein do baar masudho ki massage kare.

     

    Pyorrhoea se Bachav ke Upay

    • Tambacoo wale product khane se parhej kare aur smooking se bhi parhej kare.
    • Jada paani piye taki sharer mein maujood vaishale padarth bahar nikal sake.
    • Vitamin C ki paryapt matra le.
    • Kuch bhi khane pine ke baad kulla kare.
    • Din mein 2 baar brush ya manjan kare.

     

    Gharelu aur ayurvedic remedies us samay bahut hi madadgar hoti hai jab hum kisi pareshani mein ho aur doctor maujood na ho. Iske ilava natural tarike se treatment sasta padta hai aur side effect bhi nahi hote.

     

    Dosto Payria ka ilaj ke Gharelu Nuskhe, Home Remedies for Pyorrhoea Treatment in Hindi ka ye article kaisa lage hame comment ke jariye bataye. Agar aapke pass payriya ke upay ke desi aur ayurvedic tips hai to hamare sath share kare. Aap ki di hui jankari se dusro ko bhi is samasya se bachne aur upchar karne mein benefit mil sakta hai.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    1. sir mere danto mein gandagi jam jati hai doctor se saaf kervane per bhi kuch mahine ke baad phir jam jata hai aur brush kerte waqt khoon ane lagta hai aur mera masuda bhi ghis ker khatam ho reha hai aur dant hilne ka dar lag reha hai plss kuch acchi si jankari de is se chutkara pane ke liye

    2. kai bar danto ki niyamit roop se safaai karane ke bawjud bhi kai naye toothpaste and brush and liquid bhi use kiye par phir mere 1 month par pehle jese ho jata hai mere muh se bahut badbu aur blood aata hai jiski wajah se log mere karib bat nahi kar pate aur thanda khane se mere muh me chatptahat hoti hai.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles