More

    Baal Sidhe Karne ke Gharelu Upay : Hair Straightening in Hindi

    Hair - बालBaal Sidhe Karne ke Gharelu Upay : Hair Straightening in Hindi

    Baal Sidhe Karne ke Gharelu Upay: Aajkal seedhe baalo ka chalan jada hai. Hair straight karne ke liye ladkiya beauty parlour par kafi paise kharch kar deti hai. In sabse kuch samay ke liye baal seedha ho jate hai aur sundar dikhte hai lekin kuch samay ke baad baal pahle se adhik kharab dikhne lagte hai. Is lekh mein hum natural tarike se baalo ko sidha karne ke gharelu nuskhe bata rahe hai, jisse baalo ki jade majboot hoti, baal lambe aur mulayam hote hai  aur kisi parkar ka koi side effect bhi nahi hota. Kuch ladke aese bhi hai jo apne ghunghrale baalo (curly hairs) se pareshan hai, ye upay unke liye bhi kafi upyogi hai. Aaiye jane hairs straightening home remedies tips in hindi.

     

    Baal Sidhe Karne ke Gharelu Upay

    Home Remedies Tips for Hair Straight in Hindi

    1. Hare dhaniya ko kisi mixer mein daal kar pees le aur ise nichod kar iska juice alag kar le. Dhaniya ke is juice ko baaloo par lagane se baal straight bhi honge aur kaale bhi.

    2. Do chammach shahad ko 1 cup doodh mein mila kar baalo par lgaye aur 2 ghanto ke liye chod de. 2 ghante baad sir wash kare.

    3. Jaitun ke tel mein anda mila kar baalo par lagaye aur halki halki massage kare aur 1 ghante baad sir dho le. Is homemade beauty nuskhe ke paryog se baal naturally seedhe hote hai.

    4. Castor oil ko halka garam kare aur sir ki malish kare. Malish ke baad garam paani se bhiga hua toliya sir par lappet le, isse baalo ko bhaap di jati hai. Is upay ko karne ke 30 se 45 minute baad sir dho le.

    5. Chawal ka aata, dahi, multani mitti aur anda, in sab ko mila kar ek paste bana le aur baalo par lagaye. Paste lagane ke 1 ghante baad sir dho le. Ye upay aap hafte mein 1 baar kare.

    6. Olive oil, 2 chammach shahad, dahi aur 2 pake hue kele le aur inhe mila kar ek lep banaye aur hairs par lagaye. Aadhe ghante baad sir dho le, isse baal sidhe hone ke sath sath silki aur mulayam bhi hote hai.

    7. Koi bhi hair oil le aur usme brabar matra mein aloe vera gel mix kar le, ab is mishran ko halka garam kare aur baalo par lagaye. Ye ayurvedic nuskha hair condition ki tarah kaam karega.

    8. Water spray karne wali ek bottle mein paani aur doodh ko brabar matra mein daal le aur ise baalo par spray kar ke upar se kanghi kare. Baal sukhne ke baad fir se yahi kriya dubara kare aur aadhe ghante baad sir dho le.

    9. Rojana raat ko sone se pahle baalo ko halka gila kare aur 2 choti bana le. Kuch din lagatar aesa karne se baal sidha hone lagenge.

    1o. Nariyal ke doodh mein thoda nimbu ka ras mila kar baalo par lagaye aur 10 se 15 minute baad baal dho le. Is upay se baal naturally majboot hote hai.

    Ghunghrale baalo ka ilaj

    Agar aapke baal ghunghrale (curly hairs) hai to inhe sidha karne ke liye chay ke paani se baalo ko conditioner kare.

    Hair Care Tips in Hindi

    1. Baalo ko sukhane ke liye dryer ka istemal na kare, baalo ko natural tarike se hi sukhne de.
    2. Baal sidhe karne ke liye kisi hair gel ya fir koi chemical wala product paryog na kare, inse baalo ko nuksan pahhunchta hai.
    3. Baalo ko iron ya kisi dusri cheej se seedha karne par baal bejan aur sukhe ho jate hai, iske ilava baalo ka jhadna aur baal tutne jesi samasya bhi aa sakti hai.
    4. Jane Patle Balo ko Mota Karne ke Upay

    Hair Straightener se Baal Kaise Sidha Kare

    Agar aap kisi function mein ja rahe hai aur hair straightner se baalo ko seedha karna chahte hai to ye steps follow kare.

    1. Sabse pahle hair wash kare aur baalo ko sukha le, koshish kare ki baalo ko naturally sukhne de. Agar aap jaldi mein hai to hair dryer ka paryog kar sakte hai.
    2. Baal straight karne ke liye baalo ko 3 hisso mein baant le aur anguthe ki madad se tino hisso ko clip ki madad se bandh le. Agar aapke baal jada ghane hai to aap 3 se adhik hisse bhi kar sakte hai.
    3. Ghar par baal straigtht karne ke liye aesa straightener le jisme baalo ke anusar temperature set kar sake. Aap baalo ko adhik heat se bachane ke liye heat protection spray ka paryog bhi kar sakte hai.
    4. Hair straight karne ke liye baalo ki jado se 1 inch ki duri se shuru kare, isse baal ghane dikhenge. Baalo ke jis hisse ki straightning karni hai unhe haatho se pakad kar rakhe aur straightning iron se baalo ko upar se niche laye.
    5. Baal sidhe karne ke baad last mein finishing de, iske liye kisi ache hair spray ka paryog kare. Isse baal sundar aur chamakdar dikhenge.

    Gharelu nuskhe se baal sidhe karne par na to jada paise kharch hote hai aur na hi baalo ko nuksaan hota hai.

    Dosto Baal Sidhe Karne ke Gharelu Upay, Hair Straight Home Remedies Tips in Hindi ka ye article aapko kaisalaga hame comment  kar ke bataye. Agar aap ke pass ghar par baalo ko seedhe karne ke tarike hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    21 COMMENTS

    1. Sir coconut oil our kapoor ko kitne matra me mila use kya jaay
      Our sir ham roz face dhule ke liye kya use kre jis se face ki chamak bani rahe.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles