More

    Chehre ke Anchahe Baal Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Face - चेहराChehre ke Anchahe Baal Hatane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Chehre ke Baal Hatane ke Upay in Hindi: Body ke adhikar har hisse par baal hote hai par ye pareshani tab badh jati hai jab ye baal mote aur bade hote hai. Harmon imbalance aur medicine (dawa) ke side effects ki wajah se aksar aesi pareshani ho jati hai. Mahilao ke chehre par baal ache nahi lagte, mahilao ko maathe par, hotho par aur thodi par kai baar halke baal ug aate hai. Anchahe balon ko hatane ke liye jadatar mahilaye wax, cream, bleach aur threading ka paryog karti hai par baal khatam karne ka ye tarika permanent nahi hai, kuch samay baad baal fir se ugne lagte hai aur skin par jhuriyan hona, tvacha dhili padna jesi samasyae bhi hone lagti hai. Kya Kyu Kaise ke is lekh mein hum janenge gharelu nuskhe aur upay karke chehre ke anchahe baal kaise hataye, natural home remedies for unwanted hair removal tips in hindi.

    Anchahe baal khatam karne ke liye bajar mein kai parkar ki hair removing cream bhi aati hai par regular iske paryog se kuch samay bad skin ka rang kala padne lagta hai. Agar aap anchahe balo se chutkara pane ke liye kisi cream ka paryog karte hai to face par iska paryog na kare.

    Baal Hatane ke Upay aur Gharelu Nuskhe

    Home Remedies to Remove Face Hair Tips in Hindi

    Kuch gharelu upay aur tarike apna kar body aur face ke anchahe baalo ko nikala ja sakta hai. Ghar par kiye jane wale in upayo se face ka glow bhi badhta hai aur skin dhili bhi nahi padti.

    1. Sugar se Natural Wax Banaye

    Body se hair remove karne ke liye waxing ka sahara liya jata hai. Unwanted hair hatane ke liye aap ghar par natural wax bana kar paryog kar sakte hai. Desi chini (sugar) ko pighla le aur isme nimbu ka ras, shahad mila kar wax ke jese istemal kare.

    Chini ko chehre par ragadne se bhi baal gayab hone lagte hai, iske liye pahle face ko pani se wash kare fir chini ka paryog kare. Hafte mein 2 baar is nuskhe ko karne se baal saaf hone lagte hai.

    2. Anda (Egg)

    Ande ka safed hissa, makke ka aata aur chini milakar ek paste bana le aur chehre par 10 minute tak massage kare aur iske 5 minute baad face wash kar le. Hafte mein 2 se 3 baar ye upay karne par chehre se baal (hairs on face) nikalne lagte hai aur face saaf hota hai.

    3. Daliya se Face ke Baal Khatam Karna

    Do chammach nimbu ka ras, shahad aur ek chammach daliya (oatmeal) ka paste milakar chehre par kuch der tak massage kare. Is upay ko hafte mein 2 se 3 baar karne par chehre par nikhar aane lagega aur chehre ke baal saaf hone lagenge.

    4. Haldi se Baal Hatane ke Tips

    • Haldi mein thoda namak, nimbu ke ras ki kuch boonde aur doodh milakar chehre par lagane se bhi baal hatane mein fayda milta hai.

    5. Besan se Hair Remove Kaise Kare

    Besan mein thodi si haldi, sarso ka tel aur paani milakar face pack bana le aur chehre par lgaye. Face pack sukhne ke baad ise gungune paani se dho le.

    6. Pudine ki Chai (Mint Tea)

    Pudine ki chay pine se bhi chehre ke balo ka ilaj karne mein madad milti hai.

    7. Namak Wala Pani

    Namak wale paani mein rui bhigo kar chehre par massage kare. 5 se 7 din lagatar is upay ko karne se chehre ke baal gayab hone lagenge.

    8. Papita se Baal Khatam Karne ke Upay 

    Papita kaat kar ise ache se pees le aur isme thodi haldi mila le, ab is paste ko gardan aur chehre par lagaye aur 10 se 15 minute baad dho le. Is upay se baal khatam hone ke sath sath face ka rang bhi saaf hota hai.

    9. Dahi se Balo ko Hatane ka Tarika

    Dahi mein thodi haldi aur besan milakar chehre par lgaye aur 15 minute baad chehre ko pahle doodh aur baad mein paani se dhoye.

    10. Shahad

    Shahad mein nimbu ka ras mila kar chehre par massage karne se bhi chehre ke baal saaf hone lagte hai.

    Gharelu nuskhe aur tarike se face ke balo ko nikala ja sakta hai par ye ek ya do din ka kaam nahi hai, nirantar roop se ye upay karne paar chehre ke balo se chutkara paya ja sakta hai.

    Unwanted Hair Removal Tips in Hindi

    • Hairs removing creame se bhi chehre ke baalo ko hataya ja sakta hai isse dard bhi nahi hota, par baal hatane ki creames ko face par paryog karne se bachna chahiye.
    • Bleaching se face hairs ko chupaya ja sakta hai, bleach karne se balo ka rang skin ke rang jesa ho jata hai isse chehre ke baal dikhna band ho jate hai.
    • Face aur body se hair remove karne ke liye waxing ka sahara bhi le sakte hai, waxing karne mein kafi dard hota hai.
    • Threading se bhi face ke anchahe baal nikal sakte hai, wax ke mukable threading mein kam dard hota hai. Eyebrow, hotho aur chehre se baal hatane ka ye aasan tarika hai.
    • Shaving se bhi face ke unwanted hairs ko khatam kiya ja sakta hai, par shave karne ke baad mote aur kale baal nikalte hai isliye mahilao ko face ke baal nikalne ke liye shaving ka jada paryog nahi karna chahiye.
    • Laser treatment se bhi face ke anchahe balon ko jad se khatam kiya ja sakta hai par ye kafi mehnga hota hai aur isme kafi samay bhi lagta hai.

    Hamari lifestyle aur khane pine ki aadto ka asar body harmons par bhi padta hai, isliye kisi bhi parkar ki samasya se bachne ke liye ek healthy lifestyle apnaye aur khane pine mein healthy foods khaye.

    Dosto Chehre se Baal Hatane ke Upay, Home Remedies Tips to Remove Unwanted  Face Hair in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass anchahe baal khatam karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    5 COMMENTS

      • चेहरे के अनचाहे बाल हटाने का तरीका और घरेलू उपाय ऊपर लेख में बताया गया है आप इन्हे पढ़े।

    1. Muje periods ki bhut problem hai tym PR nhi ate or 10 15 dn tk rehte hainkbi bleeding yaada to kbi kmm hoti hai mene bhut se doctors ko dikhaaya bhut test kraaye bt SB normal hai me bhut preshan hu kya kru plz give me a suggestion

    2. Mere bhi periods me problem hoti hai or mere chehre par bhi khub baal aa gye or aa hi rhe hai plz mujhe bhi upay btao mere periods time par nhi aate main bhut presan hu.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles