More

    Nimbu ki Chai Kaise Banaye: Lemon Tea ke 10 Fayde Hindi Mein

    Recipe - रेसिपीNimbu ki Chai Kaise Banaye: Lemon Tea ke 10 Fayde Hindi Mein

    Lemon Tea ke Fayde (Benefits): Aksar nimbu ko hum salad mein ya fir nimbu paani ke roop mein paryog karte hai. Aur bahut si bimarioy ka ilaj gharelu nuskhe se karne mein bhi nimbu ka isteemaal kiya jata hai. Nimbu ka paryog chahe kisi bhi tarike se karo ye shareer ko fayda hi karta hai. Par kya aap ye jaante hai ki hum nimbu ki chai bana kar bhi pi sakte hai.

    Rojana hum 2 se 3 cup chaye pi hi jaate hai par doodh wali chaye hamari body ki pachan kirya ke liye thik nhi. Agar doodh wali chay pine ke bajay hum nimbu wali chaye piye to ye hamare shareer ko kai tarah se fayda karegi.

    Lemon Tea Banane ke liye Kya Chahiye

    • 2 Cup Paani (2 cup lemon tea ke liye)
    • 2 chamach chini (Bina chini ke bhi lemon tea bna sakte hai)
    • Aadha chamach chay ki patti
    • Aadha nembu
    • Thoda sa kala namak

    Lemon Tea Kaise Banaye

    Lemon tea ko hum taja nimbu se bhi bana sate hai ya fir bazzar se lemon tea bag bhi khareed sakte hai. Lemon tea ko garam aur thanda kisi bhi tarike se pi sakte hai. Aaiye jaane ghar par lemon tea kaise banaye.

    • Lemon tea banane ka tarika bahut aasan hai. Sabse pahle 2 cup paani ubaal le aur usme aadha chamach chai ki patti aur 2 chamach chini daale. Agar aap weight loss ke liye lemon tea bana rahe hai to chini kam dale ya fir na daale.
    • Chay patti dalne ke baad jada der paani na ubaale nahi to paani kadwa ho jayega. Jab paani mein chay ki patti ka rang aa jaye tab gas band kar de aur chai ko chaan le.
    • Ab isme aadha nembu aur chutki bhar kala namak daale ab aap ki lemon tea peene ke liye tyaar hai.

    Kuch log nimbu ki chai banane mein daalchini aur shahad ka paryog bhi karte hai, par humne aapko aasan tarike se lemon tea banana sikhaya hai.

    Lemon Tea ke Fayde : Health Benefits of Lemon Tea in Hindi

    1. Sir dard ka ilaj karne mein nimbu ki chaye bahut faydemand hai. Lemon tea peene se sir ki nasso mein tanav kam hota hai jisse sir dard kam hone lagta hai.
    2. Shareer ki thakan aur kamjoori door karne ke liye nembu ki chai peena bhut acha hota hai.
    3. Pet dard, kabz aur pet mein gas ki samasya ye chutkara paane mein lemon tea ramban ilaj ka kaam karti hai.
    4. Rojana lemon tea peene se digestion system behtar hota hai.
    5. Body ka stamina aur energy badhane ke liye har roj nimbu ki chai piye.
    6. Dil ki bimariyo se bache rehne ke liye lemon tea ka sevan karna chahiye.
    7. Body mein insuline aur sugar ki maatra ko control karne mein nimbu ki chaye fayda karti hai.
    8. Agar aap motapa kam karna chahte hai to doodh wali chay ki bajay nimbu wali chay piye. Lemon tea pet ko saaf karti hai ayr shareer ki gandagi ko bahar nikalti hai, isliye vajan kam karna (weight loss) ho to rojana subh khaali pet nimbu ki chay piye.
    9. Sardi junkam ka upchar karne mein lemon tea peene se benefit milta hai.
    10. Skin ko hydrate karne aur jaruri poshak tatv dene ke liye lemon tea peena acha hai.

    Lemon Tea Peene Ka Samay aur Tarike

    • Khana khane ke 1 ghante pahle nimbu ki chai peene se bhukh badhti hai.
    • Body ko healthy aut fit rakhna ho to ubh khaali pet lemon tea peena chahiye.
    • Khana khane ke baad lemon tea peene se khana jaldi digest hota hai.

    Dosto Nimbu ki Chai Kaise Banaye, Lemon Tea ke Fayde, Lemon Tea Benefits in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke btaye. Agar aapke pass nimbu ki chai isteemaal karne ka koi anubhav ya sujhaav hoto hmare sath share kare.

    Preganant women ko lemon tea ya koi aur herbal tea peene se pahle doctor ki salah jarur leni chahiye. Home remedies, ayurvedia aur homeopathic treatment ke sath sath is website par hum health tips in hindi bhi share karte hai. Agar aapke pass koi herbal tea ki recipe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    1. mera tommy h or side pr bhut fat h.jisse meri body ki look achi nhi ati.or mai fitting ki dress carry nhi kar pati .kyuki woh side ka fat bhut ganda lagta h . muje kya karna chaiye .

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles