Table of Contents
Depression ka ilaj Hindi Mein
Depression ko hindi mein awsaad kehte hai jo ek mansik bimari hai, ye kisi bhi umar ke vyakti aur mahila ko ho sakti hai. Kuch physician’s ka kehna hai ki dimag mein maujood chemicals mein gadbadi ke karan depression hota hai. Depression hone par vyakti lambe samay tak udaas, dukhi aur tanav mein rehta hai, jis wajah se life mein uski dilchaspi kam hone lagti hai aur mind mein negative feelings aa jati hai aur kisi bhi kaam ke ache result ke chances vyakti ko na ke brabar lagte hai. Is article mein hum janenge depression ka ilaj karne ke upay kya hai, Depression Treatment in Hindi.
Depression se bahar aane mein har insaan ko kuch samay jarur lagta hai. Anti-depression medicine se is bimari par kabu paya ja sakta hai par abhi tak aisa koi test nahi hai jisse brain mein maujood chemicals ke level ka pata kiya ja sake.
Pursho ke comparison mein mahilaye depression se jada parbhavit hoti hai. Depression ki wajah se personal aur professional realtions par bura asar padta hai aur iske ilava is bimari se hamare mood, lifestyle aur sochne samajhne ki shakti par bhi bura parbhav padta hai. Agar bina kisi upchar ke is bimari ko aise hi chod diya jaye to ye aapki life ko mushkil mein daal sakti hai.
Depression Aur Udaasi Mein Kya Farak Kai
Depression aur udaasi ke difference ko smajhna bahut jaruri hai kyuki hum sabhi kabhi na kabhi udaasi ka samna karte hai. Kabhi kabar udaas hona normal hai par problem tab hoti hai jab aap is udaasi mein hi dube rahe. Lagatar dukh aur udaasi mein dube rehna hi depression hai. Depression se bachne aur is situation se bahar nikalne ke liye iske bare mein jada samjhne ki jarurat hai.
- Udaasi: Kisi buri ghatna aur situation ke karan man udaas aur dukhi hota hai. Ek bar jagah badalne par ya fir thoda samay beet jane par ye udaasi door ho jati hai.
- Depression: Depression mein aap kisi ek wajah se udaas nahi hote balki har cheej ko lekar udaasi mehsoos karne lagte hai. Vyakti har samay bina kisi karan ke bhi kisi ghum mein duba rehta hai.
Clinical Depression Kya Hai
- Har samay udaas aur tanav mein rehna.
- Kisi na kisi wajah se mood kharab rehna.
- Manpasand kaam ko karne mein laachar mehsoos karna aur apni life ko bojh smjhna.
- Neend na aana, neend jaldi khul jana ya fir jarurat se jada neend aana.
- Bhukh kam lagne se lagatar weight kam hona ya fir jada khane se weight badhna.
Depression Kyu Hota Hai – Causes
Depression ka sabse bada karan chinta aur tanav hai, jiske liye jadatar haalaat jimedar hote hai. Depression sharirik pareshaniyo se bhi juda ho sakta hai, jese physical trauma ya fir harmons mein hone wale changes. Aur bhi kuch karan ho sakte hai.
- Kisi apne se door hona.
- Kisi compition mein haar jana.
- Naukri choot jana ya paiso ka nuksan hona.
- Mehnat ke baad bhi umeed jitna result na milna.
- Retirement ke baad khud ko bekar smjhna.
- Karz badh jana aur use chukane ka koi tarika na hona.
Passive aggression ki wajah se bhi vyakti depression me aa jata hai. Aggression 2 parkar ka hota hai – active aur passive. Active aggression mein vyakti aapna gussa ladayi jhagda karke nikalata hai par passive mein vyakti kisi wajah se apna reaction nahi de pata aur vo depression mein aa jata hai.
- Jane Gussa Kaise Kam Kare
Depression ke Lakshan – Symptoms
Kisi bimari ke agar lakshan malum ho to uska treatment aur bachne ke upay karna aasan ho jata hai. Depression ke lakshan har vyakti mein alag hote hai. Iske ilava kuch log life mein 1 bar depression ko experience karte hai aur kuch logo mein iske symptoms lambe samay tak dikhte hai. Is bimari ke kuch common lakshan niche likhe hai.
- Jivan se nirash hona aur khalipan mehsoos karna.
- Bhukh kam ya jada lagna.
- Neend na le pana.
- Hamesha thaka hua mehsoos karna.
- Koi decision na le pana.
- Concentration kam hona.
- Bechani aur chidchidapan .
- Life bekar lagna aur khud ko bebas mehsoos karna.
- Dusro se duriya banana.
- Sucide karne ke bare mein sochna.
- Marne ki koshish karna.
Depression Mein Kya Kare
- Jab depression ke lakshan lambe samay tak dikhe tab vyakti ko akela nahi rehna chahiye. Depression ka ilaj ho sakta hai. Is bimari mein rogi ka sharirik se jada mansik roop se swasth hona jaruri hota hai isliye akele na rahe.
- Is bimari mein vyakti khud ko sab se alag kar leta hai, aise mein bahar nikalne ki sochna mushkil kaam hai. Aap baaha nikale aur kuch naye purane dosto se mile. Apne dosto ke sath group banaye aur rojana morning, evening walk ko jaye.
- Physically aur mentally healthy rehne ke liye achi neend lena bahut important hai. Agar aapko neend aane mein pareshani hoti hai to aap iske liye doctor se baat kare ya fir kuch gharelu upay kare jisse aapko achi aur gehri neend aaye.
- Kisi bhi parkar ke drugs ka isteemaal na kare. Cigrate, sharab aur drugs depression ko badhava dete hai. Agar aap kisi nashe ke aadi ho gye hai to ise chodne ke liye dusro ki madad le aur kisi nasha mukti kendar mein ilaaj karwaye.
Jane Neend Aaane ke Gharelu Upay
Depression ka ilaj aur Upay – Tips to Get Rid of Depression
Depression kabhi apne aap khatam nahi hota. Agar aap depression mein hai to isse ubarne ke liye kuch na kuch karna hoga. Is samasya se chutkara pane ke liye doctor ki salah lene ke sath sath aap kuch gharelu nuskhe aur activities bhi apna sakte hai.
1. Daily exercises
- Depression mein rehne wala vyakti jada physical activity nahi kar pata, tanav aur bechani se bachne ke liye physical activity karna jaruri hai.
- 15 se 20 minute tak tej chalna, dance karna, jogging aur cycling karna.
- Agar akele exercise nahi kar sake to kisi family member ya friend ko bhi apne sath exercise karne ke liye kahiye. Regular exercises karne par aap jald hi apne mood mein badlav mehsoos karenge.
- Exercises mein aap aerobic exercise, Baba Rambev yoga aur meditation bhi shamil kar sakte hai. Meditation aur yoga se man shant hoga aur body ki negative energy bahar niikal jayegi.
2. Khane Peene ka Khayal Rakhe
- Kai baar tension ki wajah se kuch bhi khane ka man nhi karta aur kai bar jada khane ka man karta hai.
- Agar depression ki wajah se aapki bhukh aur digestion par asar pada hai to aapko poshtik aahar lena chahiye, jisse aapki energy aur mood mein positive badlav dikhenge.
- Agar bhukh na bhi ho tab bhi kuch halka fulka khane ki koshish kare. Isse aapko pure din kaam karne ki takat milegi. Jane bhukh badhane ke upay.
3. Apni Problems Share Kare
- Aap un halat ko pehchanane ki koshish kare jiski wajah se aap depression mein aa gye hai, aur jab aap ki apni pareshaniyo ki wajah samajh aa jaye tab apne ghar ke kisi member se ya fir apne best friend se apni pareshaniya share kare.
- Kai bar ye accept karna mushkil hota hai ki hum depression ka shikar hai, iske ilava kisi aur ko iske bare mein batana aur bhi mushkil ho jata hai. Aap ko is bimari se ladne ke liye kisi support ki jarurat padegi. Kisi se baat karke aapka man bhi halka hoga aur aapko help bhi milegi.
- Apni feelings aur problems ko kisi se discuss karne ke baad uska positive solution nikalne ka paryas kare. Aap iske liye kisi ki madad bhi le sakte hai.
4. Apne Pasand ke Kaam Kare
- Depression ki wajah se insaan hassna aur mauj masti karna bhul hi jata hai. Is halat se bahar nikalne ke liye aap apne shauk aur pasand ke kaam kare, jese music sunana, dancing, game khelna, ghumna firna, movie dekhna.
5. Doctor se Consult Kare
Depression ka ilaj agar sahi samay par na kiya jaye to ye dusri mansik aur sharirik bimariyo ka karan bhi ban sakta hai.
- Aap sabse pahle apni jaan pehchan ke doctor se mile aur aap kesa feel karte hai aur kya sochte hai sab doctor ko bataye.
- Ye bhi ho sakta hai ki doctor depression hone se mana kare, isliye jarurat padne par kisi mano vaigyanik (Psychiatrist) se bhi mile aur unki salah le.
- Doctor se milne jate samay kisi ko sath le jaye jo aapki baate doctor ko baate batane mein aur doctor ki bate aapko smjhane mein mada kar sakta hai.
- Psychotherapist se milne ke ilava aap weight, blood pressure, thyroid ke test bhi karwaye.
- Jane Yaddasht Badhane ke Aasan Upay
Apne aapko ek baat hamesha bole – I am Stronger than Depression.
Depression se Bahar Nikalne ke Upay
Aagar aapko aesa mehsoos hone laga hai ki aapki duniya khatam ho gyi hai to aap akele aese nahi hai. Hamari socitey mein 5 se 10% log isse parbhavit hai. Agar depression ko jaldi pehchanana hai ya fir isse bachna hai to iske bare mein jankari hona jaruri hai.
1. Medicine Sahi Tarike Se Le
- Agar aapke doctor ne depression se bahar niklne ke liye medicine di hai to use sahi samay par aur sahi maatra mein le.
- Pregnanat women doctor ko apni pregnancy ke bare mein batana na bhule, kyuki kuch antidepression dawaye bache ki sehat par bura asar daal sakti hai.
- Jadatar log thoda result milne par hi dawa lena band kar dete hai lekin ye galat hai. Depression ka treatment 7 se 9 mahine tak chalta hai jise pura karna jaruri hai, nahi to dubara depression hone ki aashanka rehti hai.
2. Remind Good memories
- Depression ka sab se bura asar aapki soch par padta hai, kuch bhi acha nahi lagta aur aap hopeless hone lagte ho. Aesi situation mein aapko hamesha yaad rakhna chahiye ki life mein acha aur bura samay aata jata rehta hai aur jindagi mein kai bar haalaat negative mod le lete hai, lekin isse jindagi khatam nahi ho jati.
- Aise waqt mein aapki mitthi yaaden aapka sahara ban sakti hai. Apni strength aur quality ko pehchano aur apne aapko fir se ek nayi shuruat karne ke liye tyaar karo.
Depression ke liye Counselling aur Treatment
Depression ke treatment ke liye medicine aur counselling dono ki madad li jati hai. Talk therapy, counseling aur psycho social therapy depression ke upchar mein kafi helpful hoti hai. Ye therapy depression ke symptoms mein rahat dene ke sath aapki life ko sahi direction mein lane mein madad karti hai, aur future mein kisi bhi parkar ke stress ko face karne ke liye behtar tarike se tyaar karti hai.
- Shuruaat mein jo dawa di jati hai uska asar 3 se 4 hafte mein pata chalne lagta hai. Agar medicine ka asar nahi ho rha to doctors anti-depression medicine ka paryog karte hai.
- Logo ko ye bhi dar hota hai ki anti depression medicines ke side effect hote hai jese neend jada aana. Par aajkal jo dawaye doctor dete hai vo dimag ka santulan banana mein madad karti hai aur unke nuksan nahi hote.
- Depression ka ilaj karne ke liye koi bhi medicine doctor ki salah ke bina na le, kyuki kuch dawaye aesi bhi ho sakti hai jo nashili ho aur aap ko unki aadat lag jaye.
Depression Koi Pagalpan Nahi Hai
- Aaj bhi log is bimari ko pagalpan ka naam dete hai. Par ye sach nahi hai, depression ek mansik bimari jarur hai par ise pagalpan kehna bilkul galat hai.
Family Support
- Family mein agar kisi ko ye bimari hai to use pura support de aur use patient kabhi na samjhe.
- Aesi baate na kare jisse use taklif hoti ho.
- Vyakti ko uski strength aur achievements ka ehsaas karaye.
Homeopathic Remedies for Depression in Hindi
Homeopathy se bhi depression aur tanav door karne ke upay ho sakte hai. Is bimari mein homeopathic doctor case study kar ke usi hisab se dawa deta hai. Depression mein di jane wali kuch common medicine yaha likhi hai.
- Ignatia
- Nux-V198omica
- Pulsatila
- Arsenicum-Album
Koi bhi dawa shuru karne se pahle doctor ki salah jarur le nahi to nuksan bhi ho sakta hai.
Ayurvedic Home Remedies for Depression
- Ayurvedic aushadhi se bhi depression, tanav aur udaasi ko door kiya ja sakta hai. Iske liya aap kisi ayurveda vaid ki salah le.
- Iske ilava prayers, meditation aur mantro ka ucharan bhi negative harmons ko khatam karne mein upyogi hai.
Jo log depression ke shikar hote hai vo dukhi aur nirash hote hai aur jaldi apne jivan se haar maan lete hai. Extreme dipression mein kuch log aatamhatya karne ki koshish tak karte hai. Aagar aap is bimari ka shikar hai to jab bhi man mein aatam hatya ka vichar aaye to turant kisi ko bulaye aur doctor se contact kare.
Dosto Depression ka ilaj aur Upay, Depression Treatment in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass tanav, udaasi aur depression se bachne ke upay ya koi anubhav hai to hamare sath bhi share kare. Aapki di hi jankari se auro ko bhi fayda mil sakta hai.
आप का वैबसाइट काफी उपियोगी है। लोगों के लिए काफी फायदेमंद है। आशा है आप ऐसे ही अच्छे अच्छे articles publish करते रहेंगे। धन्यवाद
Hame bahut khusi hui.apne jo bhi jaankari hame is website ke jariye di hai o bahut hi useful hai thankyou so much.RAM
Ram ham aabhari hai ki aapko hamare pryaas ache lage. Agar aapko ye site aur yha bataye gaye nuskhe pasand aaye hai to apne friends aur relatives ko bhi is site ke bare mein bataye taki unhe bhi yha di hui jankari se fayda mile.
Bhut bhut thax,,,sir mujhe dr etizola plus 5,or rmylin d,, 2 tme ye dawa safe he kya diprssion k liye
Shakir Depression ke ilaj ke liye koi bhi medicine bina doctor ki salah ke na le. Aap ye medicines lene se pahle doctor se salah jarurbkare.
Thank you en savi upaya ke liye i hope esse kafi logo ko faida hua hoga. (meri taraf se ak chhoti upaya agar dipression me hai to use sehar ya gao se dur le jana chhiye jisse mahol change ho hoga )
sir mai ago depression mai chala gaya tha baad mai mere papa ne muzko mano hospital mai le gaye. maine sab unko bataya un dino mai bhut mara hua tha lekin doctor ne mera mra test kiya report normal aaya. docotor ne muze dawaiya di thi 5 ya 6 mai 1 lene se dar ta tha lekin liya per badlahat hone chalu hue. per 1 galti ki 1 dawa lene ka baad maine dawiya chod di iska effect fir se ho sakta hai aandar bhi lag raha hai ki wo dawiya lena choye thi abhi mai theek hu. Per aandar se abhi bhi aawz aati hai ki sabhi dawaiyan khani chiye thi please help karo abhi 4 khakar sad end kiya ja sakta hai dhoka hai please …. im now normal life eating only 1 medicine . Depression muze june 2015 ko hua tha or february march mai result aana chalu huaie lekin aaga phit ho dkata hai? Kya abhi 5 fawiyan khanr ke effects hote skate hai ya abhi bhi lekar aage hone ke shaktyae kam kar sakte hai… please help very serious about my life
Dost aap ek bar fir se apne doctor se mile, vo aapko batayenge ki kon se medicine continue karni hai aur kon se nahi.
abhi bhi kha sakta hi dawiyan ya maine bhut badi mistake jise karan yeh aabi sab possible nahi hai dawaiya lena. le sakte ho to iske ab side effects nahi honge na
Rohan bina doctor ki salah ke koi medicine na le.
ok 🙂 thanks for replay sir 🙂
Hii sir muje 2 sal phle stress bhut tha nid bilku nhi ati thi but ab phle se better hu homeopathic dva le leti hubut vo v bnd kr di h .pr 2 sal se hi mere ball bhut jhd rhe h .hath lgate hi bhut bal aa jate h .nid v distub hoti h bich me bich me nid tut jati h.sirkya tnav ke karn hair fall ho rha h sir plz upaye btaye bhut km bal rh gye h .
Monika tanav ke karan aesa ho sakta hai. Aap baal jhadne se rokne ke liye ye article padhe aur bataye hue upay kare :: https://sehatdoctor.com/baalo-ka-jhadna-roke-7-dino-mein-gharelu-upchaar-hindi-mein/
Hello sir ma punjab se hu kya depression ka related eyes se hai plz jrur batana
Vishal depression mind sevrelated h eyes se nahi…par kai bar depressed vyakti ko koi waham ho jata hai aur vo use dusri cheejo se bhi jod leta hai.
Hi my name is reshav muje lagta hai mera side effects huwa hai kisi medicine se qki pehle thik tha kuch esei medicine Di Dr ne usko lene ke baad me aap ne aapko depression me dhakel ta geya r jaab unsabh medicine ka side effect pata sala tabh sod diya.. abhi me apni dimag ko control nehi kar pa raha hu kya karu ya na karu esa feel ho raha back pain v hai r jabh fir dusre Dr ko dikhaya toh myospaz teblat diya r depression se door rehne ke liye shine10 teblat diya back pain toh control aya but dimag me r jyada gad badi a geya please help me kya karu
Dost doctor ne jo medicine di hai use lete rahe aur upar bataye hue tips bhi follow kare. Yahan jitne comment likhe hai aap unhe bhi padhe.
Sir mera naam namit hai maih lko se mushe neend ki problem hai maine lko me chowk specialist s.c tiwari mansik rog visashgh ko dikya mushe 3 4 month maih neend ane lgi sir Un hone 3 medicine likha thi eslop 20 mg paradise xr 25 mg aur wilpose 3 mg sir in ko maih daily leta hu aur mushe fayda bhi lekin n maine ek din nhi khayi th neend nhi ayi agar dawa nhi khata hoo th negative thoughts ate hai aur negative thoughts yh hote hai ki neend nhi ayegi mushe in dawa ki aadat ho gyi hai kyo ki raat ko jb sote hu th dimag bahut sochta hai aur jb dawa kh leta hoo th aram se neend aa jati hai plz sir in dawa ke bare me batiye plz sir koi side effects th nhi hai agar zindgi bhar leni pad yh dawa plz sir help me maih bahut preshan hu
Namit jab hum koi kaam lagatar karte hai to hamare sharir ko uski aadat ho jati hai aur dhere dhere hum yahi sochne lagte hai ki ab yahi cheej meri problem ka solution hai. Dost sab se pahle to is bare mein sochna band kare kyuki hamari aadhe se jada problems hamare dimag se hi shuru hoti hai, iske ilava apni life mein apna koi maksad banaye aur use acheive karne ke liye mehnat kare, isse aap dusre kaamo mein busy ho jayenge aur aapke mind mein negative thoughts nahi aayenge. Neend aane ke liye aap ye article padhe aur yha likhe hue upayo ko kare :: https://sehatdoctor.com/neend-aane-ke-upay-tips-for-good-sleep-in-hindi/
govind sir mera question yh hai ki jo maih dawa kha rha hu us se koi problem th nhi hogi life me kyo ki sir mushe in dawa ki aadat ho gyi is dawa ke bare me batiye plz sir eslop 20 mg paradise xr 25 mg aur wilpose 3 mg yh dawa safe hai liye me agar zindgi bhai khaye th koi problem th nhi hogi sir plz batiye
Dost aap jo bhi dawa le doctor ki salsh se hi le, in dawao ke bare mein koi doctor hi aapko sahi jankari de sakta hai. Allopathy medicine lambe samay tak lena thik nahi isliye aapko jo upay bataye hai aap unhe apnaye taki dhere dhere aap ki dependency in dawao par na rahe.
sir mera name sahid hai
meri age 25 hai
mujhe pichhle 5-6 saal se ek mansik problem hai, mujhe her 2 -3 mahine me lyf brek ho jati h
confidentce khatm ho jata h
khud ko bebas aur lachar sa feel karta hun
kisi ko face krne me jhijhak hoti hai
kahin man nhi lgta,na kisi ko advice tak v nhi de skta hun..kuchh krne ka man nhi krta.. fir fir khud thhik ho jata hun ..avi mai isi haal me hun
plz help me
Sahid agar aapke sath aesa bar bar hota hai to ek bar doctor se mile, iske sath aap yha bataye hue tips bhi follow kare.
khud koi disijon tak nahi le pata
under se ek dar aur ghabrahat laga rhta
jyada bolne ka v man nhi krta plz rply kren jaldi
Sahid aap ke andar confidence ki kami hai. Dost sabse pahle to khud par vishwas karna shuru kare, kabhi aapko apne decisions par bharosa na hho to apne family members aur friends ke sath use discuss kare.
koi medicine hi suggest kr dijiye
Dost humne is article mein bhi yahi bataya hai ki agar aapko medicine leni hai to sirf doctor se hi le.
bai mujhe bhi yehi problem thi aapki bohut kam hai meri bohut jyada thi aapki thik ho jaaye gi, aap kisi ashe se doctor se ilaaz karraiye mujhe ye problam ab bhi ho jati hai pr bohut km hai
Ma har waqt sochta rehta ho apni apne aap control nai ha koi hal btye
Ali aap meditation karna shuru kare aap ko fayda hoga. Meditation karne ke bare mein jakari ke liye ye lekh padhe :: https://sehatdoctor.com/meditation-kaise-kare-dhyan-lagane-ka-tarika-hindi-mein/
Mujhe mansik bimari hai. Apne aap se baat karna. Depretion. Kam ko jab karta hoon daar lagta hai.depration mein jata. Log pagal kehte hai. Asa lagta hai dimaag kaam nahi karta. Please koi ilaz batao please koi medicines aur nuska
Gurjit ji aap medicine ke liye kisi doctor se mile vo aap se baat kar ke aap ka treatment shuru karenge, iske ilava upar likhe hue upay kare.
mere papa ki death hone ke bad family mai bahut prblm hai inhe sab problm ki wajha se mai kise doctor ko bhi dikhana chahtte mere padhai pe iska bahut asar pad raha hai mai apni family ke liye kuch krn chahte hu par mai abhi 11 m hu ishe tension k wajah se mere sir me bahut pain hota hai mai kya karu help me
Nida kisi apne ke chle jane ka dukh jivan mein bahut bda hota hai, aap apne family members ko sahas aur himmat bandhaye aur koshish kare ki sab sath rhe koi akela na rhe aur sab kisi na kisi kaam mein busy rahe.
thnk u so much par mjhe unke liye kch krna h ur mai 11 m hu kaise kru
Nida aap sabse baate kare taki unka dhyan hate aur vo kuch aur chejjo mein khud ko busy kar sake.
Sir mujhe 2008 me Dippretion hua tha Maine dawa ki sahi ho gaya lekin dawa band karne ke bad tanaw hone lagata hai doctor ye bhi nahi batate ki dawa kitne din khana padega sir eske liya upay bataye
Dost iski dawa lambe samay tak chalti hai aur ek dum se dawa band karna bhi thik nahi. Aap yha likhe hue upay kare aur ek bar apne doctor se fir salah le aur jaruri medicines le.
sir my name is abdur rauf mujhe 4yers se depression ki problem hai lekin mai janta nahi tha ki mai depression mai ho but jab problem jyada hui to mai dr se mila 8 month se mai medicine le raha ho pehle se kafi theek ho lekin ek problem abhi bhi wo ye hai ki jab mai koi books padta ho to mera confidence aur intrest chla jata hai uske baad use aane mai 1week lagta hai plzz sir bataye mujhe kya karna chahiye
Dost abhi aap aesi books padhe jo aapko pasand ho, jinhe padhna aapko acha lagta ho, iske ilava continue padhne ki bajay thode thode break mein padhe.
thnx sir ye problam to dur ho jayegi na mai study mai bba kar raha tha but jab problem badi to mujhe study se duri banani padi
Dost aap pryaas shuru kare aapko kuch dino mein hi farak mehsus hoga.
Sir muje kuch bhi baate der se samaj me aati hai..me US baat ko samajne me bahot time lagta hai…or uska ans bhi thik se nahi de paata..to uske liye koi ilaz bataiyene
Smit aapko apna concentration badhane ki jarurat hai sath hi apne confidence ko bhi boost kare.
Thanks for the opinion….
Nd sir depression medicine k bina ja sakta hai kya..
Smit ye depression type par depend karta hai.
Sir mene 1 month pahle koi nashe ki tablet kha li thi…usiki vajah se sochne samajne ki shakti km ho gai kya…muje ghabrahat becheni nd log majak udadete hai me unki baat samaj nahi pata. ..siir aise time me me kya karu..can I go to the doctor for citiscan..
Smit aap kisi doctor se consult kar sakte hai, aur sath hi koshish kare apna confidence badhane ki.
Sir era man padhne me bilkul nai lgta. ghr valo ki expactions bhut jis vjh se dipression ho gya hai maiboadhna chahta hu par jab padhne lgta hu concentrate nai kr pata… raat ko nind b naii ati anxity feel krta hu… So what i have to do pls ap ache se btaye?
Amit aap is article ko padhe aur btaye hue tips follow kare :: https://sehatdoctor.com/padhayi-mein-man-kaise-lagaye-students-study-tips-in-hindi/
Please tell me details of dipression & treatment of dipression age 60 years.
Parmod ji please read the article above, you will find required information.
Mai apne apko duniya ka sbse bda aadmi smjhta hu …..Lenin mujhe anpadh log bhi chutiya bna dete hai…..mere ek side ka sir dard, kan card,dono hota hai….. Bhut ulta vichar bhi aate hai ….phle to mai migrane ki dawa kiya 5 year tk nhi thik hua ….sir me continue card hota hai……life bekar si lgti hai,kisi se bat krne ka mn nhi krta…….Sharir hmesha sust rhta hai…..dimag kam nhi krta…..
Shashank khud ko bda smajhne mein koi burai nahi par ye sochna ki uske jesa koi nahi ye galat soch hai, over confidence kisi bhi vyakti ke liye thik nahi. Dost sir dard se chutkara pane ke liye aap migraine ke desi nuskhe apnaye aur agar fir bhi farak na lage to doctor se consult kare :: https://sehatdoctor.com/migraine-ka-ilaj-ke-ayurvedic-gharelu-upay-in-hindi/
Bhoht acha laga apki baate aur apki salah bhoht faida mand hai aj k zamane me har admi ko jarurat hai ye jana bhoht shukriya jankarika
Sar mujhe dath me problems hai.
Koi dawa bataye
Sumit teeth problems ke ilaj ke gharelu nuskhe janne ke liye ye lekh padhe :: https://sehatdoctor.com/dant-dard-ka-ilaj-5-minute-mein-desi-nuskhe-in-hindi/
Bahut achha laga aapka sujhav
sir maine aapka blog pada bahut upogi laga please meri madat karo me do sal se depression me hoon kuch nahi sujh raha, sab kuch bekar lagta he, kahi ani jane ka man nahi karta, hamesa dar laga rahta he, lagta he meri jindagi me ab kuch vi nahi bacha he, akele me sable door door rahna chahta hoon. Kuch financial problem ke karan me depression me chala gaya hoon. mere bude ma pitaji, patni or do chote chote bachhi he please mujhe guide kijye mera siwa ghar me koi or nahi jo hamari madat kar sake
Dost sabse pahle ek baat aap smjhe koi bhi problem aapki family se badi nahi hai fir chahe ye financial problrem hi ho aur waqt hamesha ek jesa nahi rehta aap thoda dharay rakhe aur shant ho kar soche aapki samasyao ka hal jarur niklega. Apne parivar ke sath adhik samay bitaye aur khud par bharosa rakhe ki aap kisi bhi problem se bahar nikal sakte hai. Positive aur shant mind se aap har problem ka solution nikal sakte hai.
Depression se bachne ke sabse badhiya upay apne diye hai aur ye bahut helpful bhi raha hai so thanks….
Hallo sir mai student hu mujhe ghabrahat hoti hai kabhi muh sukhne lagta h nind v nhi aati ya fir der se aati hai ya bich me hi tut jati hai Ji v kabhi kabhi michlata hai pairo me ajeeb type feeling hoti hai khi v man nhi kgta sir kya kru plz bataye
Sbhi report v normal aate hain
Ashu jo lakshan aap bta rhe hai isse exact problem thik se smjh nahi pa rhe hai, aap kisi ayurvedic chikitsak se mil kar salah le.
sir jee ghabarata hai khi accha nhi lgta aur na hi kisi se bolne ka dil krta hai aur nind v nhi aati kuch sochta v nhi hu fir apne aap thik v ho jata h fir kuch din bad yahi sthiti ho jati hai .kya ye dipression k lakhan h kya agar hai to kya karu
Ashu ye dipression hai ya nahi ye to doctor hi ache se bta sakte hai, aap upar btaye hue tips aur comments padhe aur follow kare agar aaram na mile to doctor se consult kare.
Sir aap bahoot accha kaam kar rhe
Mera friend bilkul theek ho gya aapka comment padkar thankyu so much sir
mujhe b dipreshion hai kahi jane ka Dil nhi karta na bhook lagti hai na pyas bus bister per pade rehne ko Dil chahta hai aisa lagta hai k main kuch nhi kar sakta Zindgi bekar hai aisa lagta hai yaddasht kamzoor ho gai hai confidence nhi bilkul kisi se baat karne ka b Mann nhi karta kisi acchche doctor ka naam batayen
Please sir Mai bahut pareshan hoon kisi ko face nhi kar pata bahut sochta hoon aur jism bahut sust ho gaya hai
Dost aap upar lekh aur comments ko padhe aur tips ko follow kare..
Sir me 2 saal se anxiety aur ocd ki medicines le rhi hu …..kya he lailaj bimari h ……he dawai zindagi bhar khani padegi
Sheeba ji aap upar bataye hue tips aur comments padhe aappke sawalo ka jawab milega.
Hi sir Mujhe kbhi kbhi aisa lgta hai ki main pata Ni kya Kar raha Hu purani cheeze yaad krne me mushkil aur kisi bhi kaam me interest na ho pana please Mujhe Koi ghrelu upaye btaye yeh kbhi kbhi hota h and ab bhi Hai 1 week se
Lovely ji aap article padhe aur yha likhe hue comments bhi padhe aapko sawalo ka jawab milega.
Boht Hi helpful post hai aapki. Aapki post padh ke Maine nishchay kiya hai ki ab main is bimari ko dur kar ke hi rahunga.
Sir, me Kisi b vyakti-teachers,friends, girls etc se baat nahi kar pata hu bhut ghabrahat ho jati h achanak se na hi eye contact kar pata hu,sir me vastav me bhut hesitate ho jata hu I don’t know why, ye mere saath Rojana hota h college me,tution me, dosto ke saath and on
Sir me apni ISS bad habit se bhut uubb Chuka hu, life bilkul boring lagti h or Kisi se bhi vaat Karne ko Mann nhi karta.sir Kya me depression ka sikar hu help me please
Vivek ye aatam vishvas mein kami hone ke karan ho sakta hai, aksar kuch kamo mein safalta na milne ke karan hamara self confidence down hone lagta hai jiski wajah se hum khud ko dusro se kam aakne lagte hai. Dost aap apne pasand ke kaamo mein man lagaye aur apne pasand ke dosto ke sath time spend kare, iske sath upar likhe hue tips aur comments bhi padhe.
Hello sir, I have failed relations, recently my partner ditched me, iss wajah se bahut depressed feel kar raha hoon , main kisi se baat b nhi kar sakta iss baare mein , Marne ki himmat nhi hai, usko bhulana chahta hoon , but kisi na kisi kaaran touch mein aa jata hoon uske,dil KO tassali deta hoon , lekin thodi der baad phir haalat ho jaati hai, neend nhi aati bhookh nhi lagti, dimaag sunn rehna lag gya hai, koi kya bol raha hai samjh nhi aata , plzzzzz help me, aise to main pagal ho jaunga,