More

    Padhayi Mein Man Kaise Lagaye – Top 10 Study Tips in Hindi

    UncategorizedPadhayi Mein Man Kaise Lagaye - Top 10 Study Tips in Hindi

    Padhne Mein Man Na Lage to Kya Kare

    Bahut se bache kehte hai ki hum bhi exam mein ache marks lana chahte hai par padhne mein man nahi lagta, man laga kar padhai kaise kare. Agar aap ko bhi padhai mein concentrate karne mein problem ho rahi hai to pareshan mat hoiye, ache se ache students ke sath bhi aesa hota hai. Apni padhayi ke tarike ko badal kar ya koi naya tarika apna kar aap aesi situation se bahar nikal sakte hai. Agar aap apni studies ke liye ek effective study plan bana ke use follow kare to aapke liye padhayi karna na to mushkil hoga aur na hi boring, iske sath padhayi karne mein aapka man bhi lagega aur exams mein ache numbers bhi aayenge. Is article mein hum janenge padhayi mein man kaise lagaye, Study tips for students in hindi.

    Padhayi Mein Man Kaise Lagaye, Study Tips for Students in Hindi

     

    Padhayi Mein Man Kaise Lagaye – Study Tips for Students in Hindi

     

    1. Everyday Study Goal

    1. Agar padhayi shuru karne se pahle aap apna mind set kar le to padhayi mein man lagega aur sab padha hua yaad bhi rahega.
    2. Har roj apni padhayi ka ek lakshay banye ki aaj ke din aapko kya kya padhna hai aur kon se subjects par jada focus karna hai. Agar aapki class mein koi weekly test ho to aap rojana us test ki preparation ke liye bhi kuch samay nikale.
    3. Rojana apne study goal ko plan karne se aap sabhi subjects par sahi se time de payenge.

     

    2. Padhne ki New Techniques Try Karo

    1. Kisi topic ko lagatar padhte rehna aur use yaad karna kai baar boring ho jata hai. Aap padhayi ke kuch aese tarike bhi apna sakte hai jisse dhyan lagana aasan ho jaye jese padhte samay khud se questions puchna, kisi topic ko padhne ke baad uske bare mein kuch der sochna aur yaad karna ki aapne kya padha tha.
    2. Kisi answer ko paheli bana ke yaad karna ya fir use kisi story, insaan se jod kar smjhna. Maths ka formula ho ya physics chemistry ki equation use code bana ke yaad karna.
    3. Kisi bhi topic ko smjhne aur smjhane ke liye examples ka paryog karna.

     

    3. Padhayi Karne Ka Mahol Banaye

    Padhai mein man lagane ke liye ek acha mahol hona bahut jaruri hai. Jis jagah aap study karte hai wahan dhyaan batne wali cheje nahi honi chahiye jese mobile phone, TV, computer ya fir ghar ka koi paltu janwar.

    1. Padhne ke liye jis jagah baitho vo comfortable ho aur wahan light kam na ho, taaki aapki kamar, aankho aur garden par kisi parkar ka pain na ho. Dard ki wajah se bhi kai bar students padhayi mein concentrate nahi kar pate.
    2. Sone ki jagah par padhayi na kare kyuki bed par aapko jaldi neend aane lagegi. Padhne ke liye chair aur table sab se achi jagah hoti hai.
    3. Agar padhayi mein aapka man nahi lag rha to apne study room mein halka halka background music chalaye. Ye music aapki concentration badhayega.

     

    4. Study Time Table Banaye

    1. Kisi ek subject ko ghanto padhne se acha hai ki aap subject badal badal kar padhe.
    2. Apne rojana ke study goal ko plan karne ke baad aap ek time table banaye jisme sabhi subjects ke liye time rakhe aur har subject ke beech mein 5 se 10 minute ka break rakhe isse aapka mind relax hoga aur study karna boring nahi hoga.
    3. Agar aap kisi subject mein weak hai to uske liye har roj thoda extra time nikale.

     

    5. Padhte Samay Tension Free Rahe

    Hum mein se bahut se log yahi sochte hai ki hamara apne mind aur thoughts par koi control nahi par ye baat sahi nahi hai. Hum sab apni soch ke malik hai to ham apne vicharo ko bhi control kar sakte hai.

    1. Padhai karte waqt bahut si dusari cheeje hamare man mein aati rehti hai chahe vo achi ho ya buri. Stydy karte samay jab bhi aapka dhyaan kisi cheej ko le kar bhtakne lage to turant apne aapse kahe ki aap padhayi puri karne ke baad uske bare mein sochenge.
    2. Pdhate samay kisi bhi parkar ki distraction se door rahe jese girl friend, boy friend ya koi aur tension.
    3. Jab bhi aapka man bhatakne lage to apne aapko jhatak de aur fir se padhayi par focus kare.

     

    6. Jaruri Cheeje Apne Pass Rakhe

    Padhai shuru karne se pahle sab jaruri cheeje apne pass rakhe taki aapko beech mein uth kar na jana pade. Pen, pencil, books, notebooks, school bag aur water bottle kuch aesi cheeje hai jo hame padhte samay aksar chahiye hoti hai.

    1. Kai bar hame ye nahi malum hota ki hame kis cheej ki jarurat pad sakti hai, iska sab se acha upay yahi hai ki aap apni study se related har cheej apni study table ke aas pass hi rakhe. Isse aap bina apni concentration kharab kiye jarurat ki cheej utha sakte hai.
    2. Agar aapko padhayi ke dauran laptop ya computer ki jarurat ho tabhi use apne pass rakhe nahi to padhte samay inhe kisi dusre room mein rakhe.
    3. Padhai shuru karne se pahle aap fruits, dry fruits ya fir halke fluke snacks apne aas pass rakh sakte hai.

     

    7. Apne Aapko Recharge Kare

    1. Agar aap ghanto study karte hai to beech mein ek break time rakhe aur vo sabhi kaam kare jo aapka dhyan bhtkate hai. Isse aapka mind fresh hoga aur shareer ko bhi aaram milega.
    2. Break ke samay kuch fun wali cheeje bhi kar sakte hai, jese music sunana ya game khelna.
    3. Exams ki tyaari karte samay padhayi ke beech beech mein khud ko recharge karne se padha hua sab yaad rehta hai aur jaldi thakan bhi nahi hoti.

     

    8. Achi Neend Le

    1. Padhayi mein man lagane aur padha hua sab yaad rahne ke liye jaruri hai ki aap apne sharer aur dimag ko pura aaram de jiske liye achi neend lena jaruri hai.
    2. Achi aur gehri neend aapko agle din ke liye tyaar karti hai aur body mein energy aati hai.

     

    9. Healthy Diet Le

    Body mein energy khane se aati hai aur agar aap healthy khana khayenge to aap ka dimag bhi healthy rahega. Jab aap active aur fit rahte hai tab aapki concentration ka level bhi badhta hai.

     

    10. Meditation Kare

    Agar aapka dhyaan bar bar bhatakta ho to apne daily routine mein meditation ko shamil kare. Dhyan lagane se aapke andar energy aayegi aur aap pahle se jada concentrate kar payenge.

     

    Apne time table mein mushkil subjects ko sab se upar rakhe. Agar aap aasan cheejo ko pahle padh lenge to har samay mushkil subjects ke bare mein sochte rahenge aur dimag mein tension lene lagenge jisse concentration kam hone lagti hai.

     

    Concentration Kaise Badhaye

    Agar aapne break bhi le kar dekh liya aur fir bhi padhayi mein man nahi lag rha to thodi der ke liye bahar khuli hawa mein ghumne jao. Khuli hawa mein saans lene se aap fresh feel karenge aur agar koi thakan ya tanav hai to vo bhi door ho jayega.

    Agar exam ka samay hai aur aap ghanto lagatar padhayi kar rahe hai aur thodi thodi der mein dhyan bhatak raha hai to book haath mein lo aur thodi der walk karte karte padho.

    • TV ya computer ke samne baith kar kabhi na padhe.
    • Study karte samay pass mein mobile na rakhe.
    • Padhayi karne wali jagah ko saaf suthra rakhe.
    • Apne aapko positive kare aur soche ki aap sabse adhik numbers la sakte hai.
    • Apne goal par belive karo aur khud par vishwas karo ki aap us goal mko pa sakte hai.
    • Lagatar kai ghante padhne ki bajay 5 se 10 minute ka break le kar padhe, isse thakan nahi hoti aur concentration bani rehti hai.

     

    Dosto Padhayi Mein Man Kaise Lagaye, Study Tips for Students in Hindi ka ye lekh aapko kesa laga hame comment karke bataye aur agar aap jante hai padhne mein man na lage to kya upay kare to hamare sath bhi share kare taki aapki knowledge se dusre bache bhi jaan paye man laga kar padhai kaise kare.

    Recent Articles

    22 COMMENTS

    1. sir plz mujhe rasta dikhaye

      sir me 12th pass hun aur b.com 1st year me addmision bhi ho gya h aur me gzb me job karne aaya hunn but sir na to job me na hi padhai me man lag raha h but me padhna chahta hun
      aur hamesha purani baate yaad aa rahi h …..plz sir help me

      • Dost agar aap ke liye job karna jada jaruri nahi hai to aap padhai par hi dhyan de kyuki padhai ke bad hame job hi karni hai isliye apni studies par focus kare. Dimag ko padhai ke sath sath kuch dusri activites mein bhi lga sakte ho jisse purani baate yaad karne ka samay hi na mile.

    2. sir….
      main class 11th ka student hu…math ka
      main hamesha morning me yahi sochta hu ajj study krni but class Se wapes ata hu to …bilkul man nhi lagta study me or night me bhi 1 hour se jyda nhi pda jta he….or hmesa mujhe apne future ki tension rahti he or exams ki bhi. …
      bto sir main ky upaye kru

    3. sir m b.com m hu or mujhe accounts ki book ke quetion krne m bhot dikkat hoti m jab tution se aata hu or jab or kuch hour ke baad jab padhtz hu to piche ka sab bhul jata hu

    4. sir hum 12th me hai aur hum bilkul nahi padhe hai aur hum aab crash course kar rahe exam ke liye 2 month baki hai aur jab v nai koi book padhta hu to 2 minute se jyada padh hi nahi pata hu aue boring sa lagta hai aur sir hab v morning me uthta hu to nind secaa jati hai plz sir koi upay batye

    5. Sir main C.T competetive exam ke liye char mahine pehle padhai suru kiya coaching bhi gayi padhai bhi achhi chal rehi thi lekin exam main mujhe kya ho gaya ki maine thik se concentrate nahi kar paya ur 2 mark se select nahi ho paya please help me

    6. Sir main padhai to karta tha but meri life main ek ladki a gayi hamara breakup bi ho gaya par phir b mujhe vo ladki yad aAti hai jab main padhai karta hu plz help me,,

    7. मुझे पढने मे मन नहीँ लग रहा जब भी पढता हुं शर र्दद करने लगता है। क्या करु

    8. sir mai 12 ka exam duga 5month bad abhi tak mai kuch nahi pad paya hu aur jab bhi padne baithta hu tab mujhe nind aane lagti hai aur mujhe padne me bilkul man nahi lagta h mai kya karu mai exam kaise pass karuga mujhe kuch uapy bataye plz plz

      • पढ़ाई में मन लगाने के तरीके और अन्य उपाय ऊपर लेख में विस्तार में बताये गए है आप लेख को पढ़े.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles