Green Coffee Benefits: Abhi tak hum ne weight loss karne ke diet plan, yoga aur exercise tips padhe hai aur ye bhi jana hai ki bina exercise kiye motapa kaise kam kare. Aapne wajan kam karne ke liye green tea aur lemon tea ke baare me to kai baar suna hoga par kya aap ye jaante hai ki green coffee ke sevan se bhi pet ki charbi aur weight kam kaiya ja sakta hai.
Dosto is lekh mein hum janenge green coffee benefits aur green coffee weight loss karne mein kese kaam karti hai aur green coffee ke dusare health tips kya hai.
Green Coffee Kya Hai
- Simple coffee aur green coffee mein sabse bada antar ye hai ki green coffee ke beans kache hote hai aur inhe bhuna nahi jata.
- Coffee ke beans bhunane se coffee ka taste aur khushbu acha ho jata hai. Isliye rojana peene wali normal coffee bhune hue beans se banti hai.
- Green coffee mein coffee beans ko kacha rakhne ki wajah se isme caffeine ki maatra kam hoti hai. Vese to caffeine weight loss karne mein fayda karti hai lakin iska jada sevan shareer ke liye acha nhi hota.
Green Coffee Kaise Banaye (Recipe in Hindi)
- 10 graam green coffee beans, 150 ml water. (Taste ke liye chini, shahad or ilaychi)
- Pahla Traika: Sab se pahle green coffee beans ko raat bhar paani mein bhigne ke liye rakhe, agle din beans ko paani mein khangal kar gas par dhimi aanch par 15 minute ke liye rakhe aur uske baad 1 ghante tak thanda hone ke liye chode. Aapki green coffee tyaar hai agar aapko ye strong lage to isme thoda paani mila kar piye.
- Dusra Tarika: Green coffee beans ko ache se pees kar powder bana le, ab is powder ko khaali cup mein daale aur upar se garam paani daale. 10 minute ke baad ise chaan le ab aapki green coffee peene ke liye ready hai.
Green Coffee Benefits for Weight Loss in Hindi
- Agar aap apne motape se pareshan hai aur kisi kaaran regular diet plan aur exercise nahi kar sakte to aapko green coffe peena chahiye. Isse aap bina exercise kiye ek mahine mein 2 se 3 kilo wajan kam kar sakte hai.
- Green coffee body ke metabolism ko badhane mein bahut fayda karti hai jisse body ka fat teji se kam hota hai aur motapa kam karne mein madad milti hai. Metabolism rate badhne se body ka stemina aur energy level bhi eimprove hota hai.
- Subh nashte se pahle khaali pet green coffee peene se aasani se wajan kam kiya ja sakta hai.
Green Coffee ke Fayde : Green Coffee Benefits in Hindi
Hamari body mein kai kaarno se free radicals bante hai jiski wajah se kai parkar ki bimariya hone ka khatra bana rehta hai. Shareer ko healthy aur fit rakhne ke liye free redicals ka shareer se nikalna jaruri hota hai. Blood aur liver se vishale padarth bahar nikalne aur body ko detoxify karne mein green coffee kaafi kargar hai. Aaiye jaante hai green coffee ke health benefits.
- Green coffe ki research mein shodhkartao ne ye paaya ki isme antioxident adhik maatra mein hota hai, aur ye bhi paya gya ki green coffee body mein cancer ke cells banane se rokti hai jo cancer jesi bimariyo se bachaav mein kargar hai. Aaiye jaante hai health benefits of green coffee.
- Green coffee body ke aging process ko slow karti hai. Agar aap lambe samay tak jawan dikhna chahte hai aur umar badhne ki parkirya ko dheema karna chahte hai to green coffee piye.
- Green coffee peene se concentration achi hoti hai aur iske sath ye aapka reaction time aur memory bhi tej karta hai.
- Green coffee mein chlorogenic acid hota hai jo body mein sugar kam karta hai. Aur metabolism boost karne ke sath body ka blood pressur bhi control hota hai aur heart diseases se bachaye rakhta hai.
- Reasearch mein ye samne aaya hai ki green coffee aur green tea ek saman hai aur green coffee ke kache beans ki wajah se body ki pachan kirya thik rehti hai jo weight loss mein benefit karta hai. Coffee beans ko bhunane ki wajah se iske jaruri tatav nasht ho jaate hai aur yahi kaaran hai ki jo log normal coffee pite hai unka wajan jaldi kam nhi hota.
Green Coffee ke Side Effects
Green Coffee Benefits ke sath sath side effects bhi hai:
- Abhi tak shodh ke aanusar green cofee ke koi bade side effect samne nahi hai. Kyuki isme caffeine hoti hai isliye caffeine se jude kuch side effects ho sakte hai.
- Caffeine ke side effects mein neend na aana, jukam hona, pet mein gadbad hona shaamil hai.
- Green coffe body ke metabolism par asar karta hai isliye pregnancy ke dauran pregnant women ko green coffee ka sevan nahi karna chahiye aur jo mahilaye apne bache ko doodh pilati hai unhe bhi green coffee beans extract aur dusare weight loss suplements se door rehna chahiye.
Taste of Green Coffee
Normal coffee mein bean bhune hone ke kaaran coffee ka taste acha aata hai, par green coffee ke beans kache hone ke karan iska taste jada acha nhi hota. Taste acha karne ke liye aap coffee mein sugar, shahad aur ilaychi daal sakte hai.
Green Coffee Kab Piye
Khana khane ke aadha ghanta pahle pina chahiye aur agar aap green coffee capsules le rahe hai to ise paryog karne ka tarika sath mein likha hoga. Agar sath mein koi instructions nahi hai to subh shaam khana khane ke adha ghanta pahle 1 capsule 1 gilass paani ke sath le.
Agar aap fat burn karne ke supplement khooj rahe hai to green coffee bean extract ek behtar aur popular option hai.
- 10 Lemon Tea Benefits in Hindi
- Green Tea ke 12 Fayde Hindi Mein
- Best Weight Loss Tips in Hindi
- Wheatgrass Juice ke 15 Benefits Hindi Mein
Dosto Green coffee kaise banaye, Green Coffee ke fayde, Green Coffee Benefits in hindi ka ye leekh aap ko kesa laga hme comment karke bataye. Agar aap ke pass green coffee istemaal karne ke koi anubhav ho to hamare sath share kare.
Maine 4 din se green coffee Sevan kar rahi hu .online order ki .hai lekin kya sahi me wait. Kam hoga?
Rakha green coffee se weight loss karne mein mada milti hai, par hum ye nhi bta sakte jo product aapne online purchase kiya hai vo kitna effective hai.
Hlo sir…..kya green coffee ke baad milk tea pi sakte
Neha ji green coffee pine ke 30 se 45 minujte tak kuch khaye piye nahi uske baad jo khana pina chahe le sakti hai.
Kon sa green coffee product Lena chahiye?
Naved hum kisi brand ka naam to nahi bta sakte, par aap koshish kare ki aap ko kahi se green coffee beans mil jaye. Agar aap kisi new brand se buy karte hai to achi quality aur review jarur confirm kare.
i m really confused mujhe apni sis ki shadi m fit dikhna h abhi mera wazan 60 kg hai 16 nov ko shadi h aisa karne se mera kitna wazan kam hoga
Saba abhi aapke pass bahut samay hai, agar aap green coffee shuru karna chahte hai to kar sakte hai, iske ilava exercises, yoga aur weight loss diet ka bhi khyal rakhe. Wajan kam karne ke liye ye sabhi articles bhi padhe >> https://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Aapne but achcha Jakari di hai
Delhi me beans kahan mil patented kya aap bata sakte hain plz
Arshi ye aapko kisi general store, mall ya kisi esi shop se mil jayenge jaha healthy food milte ho. Aap koshish kare ki organic green coffee hi mile, aap online bhi le sakti hai.
Green coffee hme din KB aur kitni baar peeni chahiye
Priyanka shuruaat mein din mein ek baar hi le fir kuch dino mein aap din mein 2 cup kar sakti hai.
Kya Vazan kam hone ke bad bhi green coffee har roz pina padegi… continu rakhna pafegi?
Neha ek baar weight kam hone ke baad aap iska paryog band kar sakti hai aur body ko fit banaye rakhne ke liye weight kam karne ke natural tarike apna sakti hai, iske liye aap ye sabhi articles padhe :: https://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Maine b orgenic green coffee hi li hai… but ise agar pees kar use karoo ya aise hi sidhe pani ke ubalkar pi loo.. kitni matra me isko lena hoga…
Neha aapko jo bhi sahi lage aap wo tarika apnaye aur shuruat mein green coffee ki maatra kam rakhe, fir 2-3 din mein bdha sakte hai.
Pls reply, Green cofee pine ka time, before meal ya after meal.? M confused,coz some article me likha he ki after meal green cofee pina chahiye aur kavi before meal.plzz rply green cofee kounsi time me pina he.
Naaz aap after meal bhi le sakte hai. Aadhe ghante ka gap rakhe.
Vishwas nahi hota Kai green coffee weight kam ho sakta hai please Bataye
Maher green coffee weight kam karne mein jarur madad karti hai par agar iske sath aapni diet par dhyan de aur exercises bhi kare to aur behtar result mil sakta hai. Weight loss tips ke ye articles bhi padhe :: https://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Sir main 1 mahine se green coffee pi raha hoon magar koi bhi asar nahi ho raha hai
Ram green coffee achi brand ki organic hi use kare aur ise banane ki recipe humne article mein detail se batayi hai use bhi padhe.
Green coffee pine se aadha ghanta pahle aur aadha ghanta baad kuch khaye piye nahi.
Agar iske sath exercises, yoga aur apni diet par dhyaan denge to behtar result milenge.
sir mujhe btaye ki green tea konse time leni chahiye for motapa kam krne ke liye…