More

    थायराइड के पांच घरेलु आयुर्वेदिक ट्रीटमेंट हिंदी में

    Disease - बीमारीथायराइड के पांच घरेलु आयुर्वेदिक ट्रीटमेंट हिंदी में

    आज पांच से तीन घरेलू महिलाओं को थायराइड की शिकायत है। थायराइड को नियंत्रित करने के लिए डॉक्टर तरह-तरह की दवाएं लिखते हैं, लेकिन इसके बावजूद भी थायराइड कम नहीं होता और बढ़ता जाता है। यहां थायराइड के पांच अचूक आयुर्वैदिक ट्रीटमेंट दिए गए हैं, जो थायराइड को 100% तक कम करते हैं।

    Thyroid ka ilaj: Thyroid ek gland hai jo gale mein hoti hai jisse thyroxin harmon nikalta hai. Jab is harmon ka balance bigadta hai tab ye bimari ka roop le leta hai. Jab harmons kam hone lagte hai to body ka metabolism bahut tej ho jata hai aur energy bhi jaldi khatam hone lagti hai, aur jab harmons badh jaye to metabolism slow ho jata hai, jisse body mein energy banni kam ho jati hai jiske karan thakan aur susti badh jati hai. Is article mein hum janenege thyroid treatment in hindi.

    Thyroid granthi ke badh jane se aur bhi kai samasyae ho sakti hai. Thyroid maanspeshiyo, haddiyo, cholesterol aur heart ko bhi parbhavit karti hai. Bacho mein ye bimari hone se kai baar shareer failna shuru ho jata hai aur lambayi (height) badhni ruk jati hai. Thyroid 2 parkar ka hota hai – Hypothyroid aur Hyperthrroid.

    1. Hypothyroid – Isme vyakti ke andar thyroid harmons ki kami hone lagti hai.
    2. Hyperthyroid – Isme thyroid harmons jada hone lagte hai.

     

     

    Thyroid Granthi Kya Kam Karti Hai

    Thyroid hamari body ka ek aisa hissa hai jo body ke dusre hisso ko ache se kaam karne mein madad karti hai. Iske liye thyroid iodine ka paryog karti hai taaki jarurat ke anusar harmons ko bana sake aur shareer ke dusre hisso mein pahuncha sake. Jab ye harmon jarurat se jada ya fir kam banane lage tab thyroid ke upchar ki jarurat hoti hai.

    • Bacho ke sharirik aur mansik vikas mein is granthi ka vishesh yogdaan hai.
    • Body ka temperature control karne mein help karti hai.
    • Shareer se vishale padarth bahar nikalne mein madad karti hai.

     

    Thyroid Kyu Hota Hai – Causes of Thyroid

    • Protein, powder ya capsul ke roop mein soya products ka jarurat se jada sevan karne se thyroid ho sakta hai.
    • Khane mein iodine ki kami ya fir jada istemal se bhi thyroid ki problem ho jati hai.
    • Jada tanav ke karan thyroid granthi par asar padta hai.
    • Kai baar medicines ke side effect se bhi thyroid ka rog ho jata hai.
    • Agar family mein kisi ko thyroid ki bimari hai to aapko thyroid hone ke chances jada hote hai. Ye thyroid hone ka sabse bada reason hai.
    • Pardushan (pollution) ki wajah se hamari health par bura asar padta hai. Iski wajah se saans se jude kai rog hote hai aur pardushan ke karan hawa mein maujood vishale kan hamari thyroid granthi ko bhi nuksan pahunchate hai.
    • Pregnant women ko bhi thyroid hone ke chances jada hote hai kyuki pregnancy ke dauran body mein kai parkar ke harmon changes hote hai aur garbwati mahila tanav grast rehti hai.

     

    Thyroid ke Lakshan Kya Hai – Symptoms of Thyroid

    Thyroid ki samasya hone par vyakti depression mein rehne lagta hai aur uska kisi kaam mein man bhi nahi lagta. Dimag ki sochne samajhne ki shakti kamjor hone lagti hai aur yaddasht bhi kamjor ho jati hai. Agar sahi samay par is bimari ko pehchan liya jaye to isse badhne se roka ja sakta hai.

     

    Hypothyroid ke lakshan

    • Weight badhna
    • Aawaj bhari hona
    • Garden , Sir aur jodo mein dard
    • Bhukh kam lagna
    • Chehre aur ankho par sujan
    • Kabz rehna
    • Skin dry hona
    • Jada thand lagna

     

    Hyperthyroid ke Lakshan

    • Weight kam hona
    • Haath pairo ka kap-kapi hona
    • Heartbeat badhna
    • Jada paseena aana

     

    Thyroid Kaise Check Karte Hai

    • Agar aapko thyroid ke symptoms dikh rahe hai to sabse pahle thyroid ke test karwaye. T3, T4, TSH test karwa ke body mein thyroid ka level pta kiya ja sakta hai.

     

    Thyroid ka ilaj ke Gharelu upay – Home Remedies in Hindi

     

    1. Hara Dhaniya

    Thyroid ke treatment ke liye hari dhaniya ko pees kar chatni bana le aur 1 chammach chatni 1 glass pani mein ghol kar pi jaye. Har bar is upay ko karne ke liye taaji chatni hi paryog mein laye. Dhaniya aesa hona chahiye jiski sugandh achi ho. Is gharelu upay ko niyamit roop se karne par thyroid control ho jayega.

     

    2. Akhroat aur Badam

    Akhroat aur badam mein selenium namak tatav hota hai jo thyroid ka ilaj karne mein faydemand hai. Isse gale ki sujan bhi kam hone lagti hai. Ye upay hypothyroid ki samasya mein adhik fayda karta hai.

     

    3. Lauki ka Juice

    Subh khali pet lauki ka juice, gehu ke javare ka juice piye. Iske baad 1 glass paani mein 25 se 30 ml aloevera juice aur 2 boond tulsi ki daal kar piye. Is sab ke baad aadhe ghante tak kuch khaye piye nahi aur pranayam kare.

     

    4. Kali Mirch

    Thyroid ke upchar mein kali mirch ka paryog bahut faydemand hota hai. Kaali mirach aap kisi bhi tarike se le aapko fayda hi karegi.

     

    5. Vitamin A

    Thyroid se pidit vyakti ko apni diet mein vitamin A ki maatra jada leni chahiye. Hari sabjiyo mein vitamin A jada hota hai. Gajjar mein bhi vitamin A adhik hota hai jo thyroid ko balance karne mein help karta hai.

     

    6. Juice aur Water

    Thyroid se grast vyakti ko din mein v3 se 4 litre paani jarur pina chahiye, ye shareer ko detoxify karke body se vishale padarth bahar nikalne mein madad karta hai. Iske sath 1 se 2 glass fruit juice bhi piye aur hafte mein 1 din nariyal paani bhi piye.

     

    7. Ashwgandha

    Raat ko sote samay gay ke garam doodh ke sath 1 chammach ashwgandha churan ka sevan kare.

     

    8. Iodine

    Thyroid ko control karne ke liye iodine kaafi kargar hai par hum aapko salah denge ki natural iodine jada le jese ki pyaaj, tamatar aur lehsun.

     

    9. Exercise

    Har roj kam se kam aadhe ghante ke liye exercise jarur kare. Isse thyroid control mein rehta  hai aur badhta nahi hai.

     

    10. Baba Ramdev Medicine

    Agar aap swami ramdev ki ayurvedic dawa lena chahte hai to uske liye Divya Kachanar Guggulu le sakte hai.

     

    Yoga aur Pranayam se Thyroid ka ilaj

    Yoga aur pranayam se thyroid ko kafi had tak thik kiya ja sakta hai. Rojana subh yoga karne ke liye samay nikale. Aap meditation bhi kar sakte hai. Yoga se thyroid treatment karne ke liye aap Baba Ramdev ke bataye ye 3 aasan aur ujjayi pranayam kar sakte hai.

    • Viparitakarani
    • Haladana
    • Matsyasana

     

    Ujjayi Pranayam

    • Is pranayam ko karne ke liye padmasan ya sukhasan ki position mein baith jaye. Ab apni jeebh ko taalu se satta de aur gale se saans ko is parkar khinche ki gale se kampan aur aawaj aane lage. Is pranayam ko rojana subh khali pet 10 se 15 baar kare.

     

    Homeopathy se Hypothyroidism ka Treatment

    Agar aap thyroid ka treatment homeopathic medicines se karna chahte hai to hum yha top 5 homeopathy remedies ke naam bta rahe hai, aap kisi homeopathic doctor se salah le kar ye dawa shur kare. Doctor se in dawao ko lene ka sahi tarika aur sahi maatra bhi jane.

    • Calcarea Carbonica
    • Sepia Officinalis
    • Lycopodium Clavatum
    • Graphites
    • Nux Vomica

     

    Acupressure se Thyroid ka ilaj Kaise Kare

    • Hamare dono hatho aur pairo par sharer ke lagbhag sabhi hisso ke points hote hai. Acupressure mein un points par pressure daal kar treatment kiya jata hai. Iske liye ye jaruri hai ki points ki sahi position malum ho.
    • Accupressure se thyroid ka treatment karne ke liye aapko dono haatho aur pairo ke anguthe ke bilkul niche uthe hue bhag par pressure dena hota hai.
    • Humne ye sirf jankari ke liye bataya hai, hamari yahi salah hai ki agar aapko acupressure se ilaaj karna hai to kisi expert se hi karwaye kyuki acupressure mein pressure dene ka sahi tarika aur points ki sahi position sirf expert hi bta sakta hai.

     

    Thyroid Mein Parhej Kya Kare

    • Bazar mein milne wale safed namak ka sevan bilkul bhi na kare, chahe kitni bhi achi company ka kyu na ho. Sirf kala ya sendha namak hi istemal kare.
    • Kisi bhi parkar ke nashile padartho ka sevan na kare. Cigrate, bidi ya hukka pine se ye problem aur badh sakti hai.

     

    Thyroid Treatment Tips in Hindi

    • Agar kisi ko thyroid hai to use bilkul bhi laparwahi nahi karni hai, turant iska ilaaj shuru karna chahiye.
    • Pursho ke comparison mein mahilao ko thyroid ka rog adhik hota hai.
    • Thyroid ke patients ko har 3 mahine baad test karwana chahiye aur dhyaan rahe ki test karwane se 12 ghante pahle tak kuch na khaye piye.
    • Agar kisi shadishuda mahila ko thyroid ki bimari hai aur vo garbh dharan karna chahti hai to use pahle doctor ki salah jarur leni chahiye aur thyroid ko control karne ke baad hi pregnancy ke bare me sochna chahiye.

     

    Thyroid ki bimari 1 hafte ya 1 mahine mein thik hone wali bimari nahi hai, isliye iske upchar ke liye pura parhej kare aur niyamit roop se upay kare.

     

    Dosto Thyroid ka ilaj ke Gharelu upay, Ayurvedic Natural Home Remedies in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass thyroid ka treatment karne ke liye koi sujhaav , nuskhe, tips ya koi anubhav hai to hamare sath share kare. Aapki di hui jankari se kisi aur ko bhi benefit mil sakta hai.

    Recent Articles

    41 COMMENTS

    1. Sir muje gardan ke side me sujan huva he jaise ki ghar jaisa doctor ko dikaya hu but abhi 1 week se medicine le raha hu magar abhi thak thik nahi huva kya kare upay plz

    2. Sir mujhe krib teen salon se thyroid hai aur gle me sujan rahta doctor ko dikhaya lekin shi nhi hua aur mujh thand aane per khasi bi kafi badh jati hai lekin grmi me nhi hota hai khasi please iska upay btaye

    3. Sir maine ak baat btani bhool gai thi ye ki krib 2 saal phle maine coperti lagwai hai 3salon keliye may 2017 me nikalwani hai khi ye vi to karan nhi hai mera thyroid badhne ka

    4. Hi.I m jony Kumar muja thyroid h
      Total t3,.16.10____ng/DL_________60.00_181.00
      Total t4_____.1.02_ug/DL_4-50-10’90
      Tsh#,,____129.56__uku/ml_____0.35-5.50 h .
      Mari .aj.16.h
      Kya muja koy elaij batio thenk

    5. sir mera ilaj chal RHA but docoter se bolti hun k suwaling nhi kam ho rahi face pe to subha me but ho jata Maine sab kuch kia but nhi gyi mujhe kya karna chahiye ab

    6. mera name kulwinder kumar hai . mujhe hyperthyroid hai . jisse mera weight loss hona shuru ho gya tha . homoeopathic medicine li thi R51 dR. RECKWEG GERMAN KI . FARAK PDA iss medicine se. baki ye puchna hai k kya mai gym mein exersice kr skta hu . gym mein weight uthane se ye smsya jyada to nhi ho jayegi?

    7. Good morning Sir.
      Sir my mother is suffering from Thyroid
      and she has regular pain in fore head and in legs. A doctor advised to take some pills of calcium but she haven’t getting any relief what should I do..??

    8. kya koi ye bta sakta hai ki jisko thyroid tha usne koi upaye kiya ho or wo is tym puri tarah theek ho gya ho…..???????? or kya upaye kiya tha j bi batana plzzzzzz

    9. Sir mujhe Thyroid h sath allergy v.hmesa sirdi khasi lgi rhti h khaste khaste sine me drd hota h or ghr ghr ki aawaj hoti h.main doctor dikhai pr kuchh asr nhi h main kon se doctor ko dikhau ki better ho mere liy plz reply..

    10. Sir mujhe 2 saal se thyroid h pr ab is time Mera thyroid normal h to ab main kaun sa nushka apnau jisse k Mera thyroid Hamesha k liye khatam ho jaye jisse k mujhe koi tablet nhi leni padhe Aur agar main koi remedy apnau to mujhe kitne time me apni tablet chodni hogi

    11. sir meri left side ki chest badh rhi hai jisse main ne thyorid ka test karaya tha usme T3 and T4 to normal hai but TSH level abnormal hai 7.85 hai to main aisa kya kru jo TSH level mera normal ho jaye

    12. sir, mera age 13 years hai. Pichhle kuchh dino se mera voice kaphi bhadda ho gaya hai aur jab mai bolata hu to sans lene me taklif hone lagati hai.mai jaldi apna voice thik karna chhahata hu.iske liye mujhe kya karna hoga?

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles