Pregnancy ke Baad Pet Kam Karne Ke Tarike: Pregnancy mein delivery ke baad mahilaye apne bacho ko feed karti hai isliye normal logo ki bajay garbhavastha ke baad mahilao ke liye weight loss karna thoda mushkil hota hai kyuki na to ve vo sab upay kar sakti hai jo aam log kar sakte hai, na diet kar sakti hai aur na hi heavy yoga ya exercises kar sakti hai, par apne bhojan mein sudhar kar ke aur kuch exercises kar ke pet ki charbi (belly fat) aur badha hua motapa kam kiya ja sakta hai. Is lekh mein hum janenge pregnancy weight loss tips after giving birth to baby in hindi.
Pregnancy ke baad body ko sahi shape mein lana aur physically fit dikhna adhiktar mahilao ke liye mushkil ho jata hai. Agar aap pregnancy ke samay badha hua wajan kam karna chahti hai to ye hamesha yaad rakhe ki aapke liye pet kam karna 1 ya 2 hafte ka kaam nahi isme aapko samay lagega isliye chote chote target bana kar aage badhe aur apne figure aur body ko fit kare.
Koi bhi upay ya nuskhe ko karne se pahle ek baat dhyan rakhe ke prasav ke baad abhi aapki body recover kar rahi hai aur aap baby ko doodh bhi pila rahi hai, isliye jaldbaji mein ya stress mein aesa kuch na kare jisse aap ki aur aapke bache ki sehat par bura asar pade.
Garbhavastha ke Baad Wajan Badhne ka Karan
- Pregnancy ke samay sharir ki pachan kriya mein kafi badlav hote hai is wajah se pregnancy ke baad mahilaye moti ho jati hai.
- Garbhawastha mein body ki physical activity kam ho jati hai jisse wajan dhere dhere badhne lagta hai.
- Garbhawastha ke baad kuch mahilao ke wajan badhne ka karan hypothyroid bhi hai.
- Pregnancy ke dauran mahila ki diet badhti hai jisse calorie intake bhi badhta hai aur sharir ka motapa badhta hai.
Aesa bhi kaha jata hai ki jin mahilao ki normal delivery hoti hai unka wajan dhere dhere kam ho jata hai par jin mahilao ki delivery surgery se hoti hai unka weight utna hi rehta hai. Agar aapki delivery operation se hui hai to pet kam karne ke upay karne se pahle apne doctor ki salah jarur le.
Weight Loss ke Liye Kitni Calorie le
- Jo mahilaye apne bacho ko doodh pilati hai unhe apne diet plan mein kam se kam 2200 calorie aur jo mahilaye baby ko doodh nahi pilati hai unhe 1800 calorie har roj leni chahiye.
Pregnancy ke Baad Pet Kam Karne Ke Upay
Weight Loss Tips After Pregnancy Delivery in Hindi
1. Delivery ke baad wajan ghatane ke liye jaruri hai ki aapki deet mein protein pryapt matra mein ho, protein aapki bhukh ko control karne mein madad karta hai. Daale, beans, ande mein protein bharpur matra mein hota hai. Daliya (oats) ko breakfast mein khaye isme fiber aur iron adhik hota hai.
2. Weight loss karne ka sabse acha tarika ye hai ki aap ek bar mein pet bhar bhojan khane ki bajay din mein 5 se 6 baar thoda thoda khaye aur bhojan ko chba chba kar khaye.
3. Pregnancy ke baad motapa kaise kam kare isme sabse jaruri hai dibba band khana khane ki bajay taja pakka hua bhojan hi kare.
4. Paani hamari body ke metabolism ko badhata hai aur ye calorie burn karne mein bhi madadgar hai isliye paani adhik piye. Rojana 3 se 4 litre paani piye.
5. Apne bache ko breast feed karwane se bhi calorie burn hoti hai aur isse breast cancer se bhi bachav hota hai.
6. Baby feed karne par body mein minerals aur vitamins ki kami ho jati hai jiski purti ke liye sabjiya aur fal khaye. Sabjiyo mein shalgam, gajar, brokli, beans kaddu apni diet mein shamil kare aur fruits mein amrud, santra, angur, strawberry, blueberry le salte hai. Fruits hamesha fresh hi khaye aur inhe adhik samay tak freeze mein naa rakhe.
7. Snacks mein fast food ki bajay healthy cheeje khaye jese sukha meva, genhu ke biskuts, dry fruits, munakka aur akhroat khaye.
8. Agar aap kisi parkar ki fitness training shuru karna chahti hai to apne doctor se salah jarur kare.
9. Apne aapko tension free rakhe.
10. Bharpur neend le.
Delivery ke Baad Yoga aur Exercise Tips
Delivery ke baad mahilao ko apne bachhe ke sath sath apni sehat ka bhi dhyan rakhna hota hai isliye jaruri hai ki healthy food khane ke sath thoda vyayam bhi kare. Isse sharir majbut banega aur rogo se ladne ki shakti bhi badhegi.
- Motapa kam karne ke vyayam ke liye halki fulki exercises se shuruaat kare jese morning aur evening walk par jana. 2 se 3 mahine ke baad hi wajan ghatane wale vyayam kare. Pet kam karne ke yoga sikhne ke liye aap baba ramdev ki videos dekh sakte hai ya fir kisi yoga guru ki madad le sakti hai.
- Yoga mein pranayam pet kam karne mein asardar hote hai.
- Aerobics exercises bhi belly fat reduce karne aur acha figure pane mein asardar hai.
- Agar aap office jati hai to lift ki bajay sidhiyo ka paryog kare.
Koi bhi yoga, free hand, aerobics aur exercises karne se pahle doctor ki raay jarur le kyuki kai parkar ke physical movements aese hai jo cesarean aur normal delivery ke baad nahi karne chahiye.
Pregnancy ke Baad Pet Kam Karne ke Gharelu Nuskhe
Prasav ke baad bahut si mahilaye gym aur exercises karti hai par baby ki care ke sath in sab activites ke liye samay nikalna thoda mushkil hota hai. Market mein kai tarah ke weight loss supplements bhi aate hai par inke istemal ke side effects bhi ho sakte hai isliye agar aap inki bajay natural desi nuskhe paryog kare to jada acha hai.
- 2 se 3 inch ki daalchini aur 2 se 3 laung, 7 se 8 glass paani mein daal kar 5 se 10 minute ke liye ubaal le aur chaan kar rakh le. Sardiyo ke mausam mein is paani ko gunguna piye aur garmiyo mein ise pura thanda kar ke piye. Aap is paani mein thoda shahad bhi mila sakti hai. Jab bhi aapko pyaas lage yahi paani piye. Ek se dedh mahine is upay ko karne se pet ki charbi kam hone lagti hai.
- Aadha chammach kali mirch powder aadha chammach adrak ka juice aur 1 chammach shahad ko mila kar ek glass gungune paani ke sath subah khali pet le. Ye upay stomach kam karne ke sath sath sharir mein energy bhi badhata hai.
Iske ilava aur bhi kai parkar ke gharelu fat burning drinks bana sakti hai. Agar aap ghar par koi bhi drink bana kar sevan karna chahti hai to kisi ayurvedic vaid se use paryog karne ka sahi tarika sikhe aur doctor ki salah ke baad hi use apnaye.
Is article mein bataye gaye after pregnancy weight loss ke upay na kewal wajan kam karte hai balki aapko depression aur stress se bhi dur rakhte hai aur body ko fit rakhte hai.
- Pet Kam Karne Ke Liye Dawa
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
- Periods Problems ka Desi ilaj
- Best Pregnancy Care Tips in Hindi
Dosto Pregnancy ke Baad Pet Kam Karne Ke Upay, Weight Loss Tips After Pregnency in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass delivery ke baad motapa kam karne ke tarike ya gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.
Hello friend bohat hi bohat achha Hai apka ye post thanks
Thanks …..for this useful information. I really need this.
Baby mother ka roop lek kr janme iske liye kya krna chahiye…?
Maya ji aap ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/bacha-gora-hone-ke-upay-smart-intelligent-baby-pregnancy-tips-hindi/
main apne kaaam ki bajay se koi excise nahi kar pata or khane ki diet v bahut jyada leta hu to mujhe apna weight kam karne ke liye kon sa upay karna chahiye jisse main apna motapa kam kar saku .
मोटापा कम करने के उपाय और घरेलू नुस्खे आप यहां पढ़ सकते है :: http://sehatdoctor.com/topics/weight-loss-tips-in-hindi
Kya yeh drinks after c section bhi use kar sakte hai? If yes then kitne time ke baad after birth? Kindly tell me.