Pregnancy Yoga Tips in Hindi: Pregnancy ke samay agar maa swasth rahegi to bacha bhi swath rahega iske liye sahi khan paan ke sath vyayam karna bhi jaruri hai. Garbhavastha mein garbhwati mahila ka weight badhta hai aur is dauran exercise aur yoga karne ka sabse bada fayda ye hai ki shareer ki maaspehsiya majboot hoti hai jisse delivery ke samay jada dard nhi hota aur bache ke janam ke baad shareer jaldi normal shape mein aa jata hai. Is lekh mein hum baba ramdev dawara bataye hue kuch yogasan jannenge jo easy safe aur normal delivery mein madad karte hai.
Gahbhavastha mein shareer ko active aur fit rakhne se pregnant women ko cesarean delivery ki jarurat nahi padti, iske ilaava pregnancy mein vyayam karne se bache ko bhi fayda milta hai aur bache ka dimag majboot hota hai. Is article mein hum janenge pregnant women ke liye baba ramdev yoga aur exercises.
- Best Pregnancy Tips in Hindi
- Pregnancy Diet Plan Hindi Mein
Pregnancy Yoga Tips in Hindi
Pregnancy ke dauran yoga karne se pahle kuch baato ka dhyaan rakhna bahut jaruri hai.
- Pahle 3 mahine mein vyayam shuru karne se pahle apne doctor se salah kare ki aapko kon kon si exercise aur vyayam karne se fayda hoga. Agar aap pregnancy se pahle yoga nahi karti thi to pregnancy ke baad mushkil vyayam nhi karna chahiye.
- Agar aap aerobics shuru karna chahti hai to kisi expert ki dekh rekh mein hi kare. Exercise mein walking, cycling, swimming aur running kar sakti hai.
- Pregnancy ki tisari timahi (third trimester) mein pregnant women ka wajan 30 se 40% tak badh jata hai jisse shareer jada active nahi rehta. Is dauran jada workout karna mushkil hota hai par shareer ko active aur fit rakhne ke liye kuch na kuch to karna jaruri hai isliye walk aur halka vyayam jarur kare.
- Pregnancy ki tisari timahi mein power yoga karne se parheej kare. Aur koi bhi vyayam karne se pahle pet ko support de taaki pet par jada dabaav na aaye.
- Pregnancy me bleeding ke karan aur upay
Baba Ramdev Yoga for Pregnant Women in Hindi
- Aaj ki modern life mein pregnant woman surgery se delivery karwana jada pasand karti hai kyuki isme parasv peeda sehan nhi karni padti. Par surgery se delivery se behtar hai ki aap normal delivery ke liye hi paryaas kare.
- Normal delivery mein mahila ko parasv peeda to sehan karni padti hai par bache ko janam dene ke baad maa jaldi recover kar jaati hai aur shareer ko jada dekhbhal ki jarurat nahi padti.
- Agar aap niyamit roop se vyayam kare to aapko cesarean delivery ki jarurat nahi padegi. Aaiye jane pregnancy mein yoga kaise kare.
1. Sahaj Paschimottanasana
- Ye yoga aasan karne se garbhwati mahila ki reedh ki haddi majboot hoti hai aur kamar dard kam hota hai.
- Is yoga ko karne ke liye pair seedhe kar ke baith jaye aur dono pairo mein thoda gap rakhe.
- Ab gehari saans lete hue dono haatho se pair ke panjo ko chune ki koshish kare.
- Pair ke panjo ko chune ke baad 10 tak gine aur normal postion mein aa jaye.
- Is aasan ko 3 baar se jada na kare. Is vyayam se tanav kam hota hai aur maaspeshiya lachili hoti hai.
2. Sahaj Vakrasana
- Is aasan se kamar ki maaspeshiya aur reedh ki haadi ko majbooti milti hai aur pregnancy ke dauran sugar level bhi normal hota hai.
- Is aasan ko karne ke liye padmasana ya sukhasana ki postion mein baith jaye.
- Kamar sidhi rakhe aur daaye haath ko baaye ghutne par rakhe aur geghri saans le.
- Ab saans chodte hue baaye haath ko kamar par rakh kar baayi aur mude aur 10 tak gine fir normal postion mein aa jaye.
- Ab yahi kirya baaye haath aur daaye ghutne se kare.
3. Sukh Bhadrasana
- Yoga ka ye aasan pregnancy ke dauran garbhwati mahila ke uretus ki maaspeshiyo ko lachila banata hai aur kamar ko strength deta hai.
- Is yoga ko karne ke liye jameen par baith kar dono pairo ke talvo ko aapas mein milaye.
- Ab bina shareer par jor lagaye apne pairo ko body ke pass lane ki koshish kare.
- Taalvo ko jode rakhne ke liye aap hatho ki madad bhi le sakte hai.
- Ab apne haatho ko ghutno par rakh kar gehri saans le aur saans chodte hue normal position mein aa jaye.
- Jane Baby gora hone ke liye kya khaye
Pregnancy Exercise for Normal Delivery
Pregnancy ki shuruaat se hi agar aap rojana vyayam karti aa rhi hai to normal aur safe delivery ke jada chances hai. Delivery ke samay bache ko push karne ke liye shareer ki maaspeshiya majboot hona bahut jaruri hai, jisme yoga aur niyamit vyayam karna faydemand hota hai.
1. Stretching Exercise: Pregnancy mein stretching karne se sharrer ki maaspeshiya majboot aur flexible hoti hai jisse delivery ke samay faayda milta hai. Gardan, kandho, pairo ki stretching kare.
2. Saans ke Vyayam: Pregnancy mein pranayam aur saans ke vyayam(breathing exercise) bache ke vikas ke liye bahut jaruri hai, isse bache ko paryapt maatra mein oxygen milti hai aur koi bimari nhi hoti.
- Pet se Saans lena: Pairo ko mod kar baith jaaye aur pet ko hawa se bhar kar 8 se 10 gine fir dhere dhere saans chode. Is vyayam ko rojana 10 minute kare.
- Seene se Saans lena: Dono pairo par khade ho kar, muh band karke 10 tak gine aur chaati se gehri saans le. Jitna samay saans lene mein lgaya utna hi saans chodne mein lagaye.
Is article mein bataye hue vyayam karne se aap swasth to rahengi hi sath mein shareer ki maaspeshiya majboot hongi aur delivery mein koi pareshani nahi aayegi. Pregnant women ke liye Baba Ramdev ke aasan aur pregnancy yoga tips in hindi ka ye leekh kaisa laga comment kar ke bataye. Aur agar aapke pass pregnancy mein upyog aane wale upay hai to hmare sath bhi share kare.
- Normal Delivery ke 10 Aasan Upay
- Best Pregnancy Care Tips In Hindi
- Pregnancy ke Pahle 3 Mahine Bache Ki Dekhbhaal
Dosto is site par ham Baba Ramdev or Rajiv Dixit ji ke ayurveda, homeopathy aur gharelu nuskhe bhi share krte hai. Agar aapke pass yoga karne se jude kuch sujhav hai to hame likhe.
sir jis lady ko 12 sal se bachhe nahi ho raha hai uske liye kaun sa vyayam karna chahiye aur kya karna chahiye
Babita ji hum pryas karenge is bare mein jald hi upay share kare.