Normal Delivery ke Upay Hindi Me: Aajkal badalte lifestyle ki wajah se kisi bhi pregnant women ke liye normal delivery se bache ko janam dena aasan nahi. Garbhwati mahila ki delivery 2 tarike se ho sakti hai normal aur cesarean. Normal delivery ke baad maa ka swasthay thik rehta hai aur surgery se delivery hone par mahila ko apna dhyaan rakhna padta hai nahi to kaafi pareshaniya ho sakti hai. Aaiye jane tips for normal delivery in ninth month in hindi.
Agar garbh tharne ke baad mahila sirf aaram hi karti rahe to uski normal delivery ki sambhavna kam ho jaati hai. Is article mein hum kuch upay padhenge jo normal aur safe delivery karne ke liye jaruri hai.
Normal Delivery ke Upay
Pregnancy Tips For Normal Delivery in Hindi
Jese hi kisi mahila ko pta chale ki vo garbhwati hai use turant kisi lady doctor se chekup karwana chahiye aur regular uske sampark mein rehna chahiye. Bache ko janam dete samay kaafi peeda sehani padti hai jo ki aasan nahi hai. Isliye pregnant women ko apne swasthay ka pura dhyaan rakhna hoga taaki delivery ke samay kam takleef ho.
- Pet mein pal raha bacha tabhi swasth hoga jab garbhwati mahila swasth ho, agar aapko kisi bhi bimari ke lakshan dikhe to doctor ki salah se turant ilaj karwaye.
- Prasav peeda(Labor pain) ke samay body mein blood ki kami nahi honi chahiye iske liye aap regular blood test karwate rahe aur apne khaan paan ka dhyaan rakhe.
- Normal delivery ke liye pregnant women ko shaaririk roop se active rehna chahiye iske liye chalna firna bahut jaruri hai, isse bacha halchal karta hai aur bache ko aaram milta hai.
- Pregnancy ke dauran halki excersise aur vyayam karne se delivery ke samay dard sehne ki shamta badhti hai.
- Exercise aur yoga karne se pahle apne doctor ki salah jarur le aur kisi expert ki dekh rekh mein hi exercise kare.
- Garbhwati mahila ko kam se kam 6 se 8 ghante ki neend jarur leni chahiye aur regular shareer ki maalish karni chahiye.
- Kisi bhi tarike ki tension garbhawati mahila aur pet mein pal rahe bache ke liye thik nahi hai. Isliye apne aapko tanav se door rakhe.
- Pregnant women ke liye sahi samay par khana bahut jaruri hai aur khaane mein protien, vitamine aur calcium ki maatra jada le. Iske liye hari sabjiya aur fresh fruits khana chahiye.
- Garbhavastha mein shareer mein paani ki kami nahi honi chahiye isliye rojana 3 se 4 liter paani jarur piye.
- Garbhwati mahila ko hamesha ye yaad rehna chahiye ki vo ek bache ko janam dene wali hai isliye pregnant women ko sharirik aur mansik roop se swasth rehna chahiye.
Normal Delivery ke liye Yoga Asana
Bina sugery ke sehatmand tarike se bache ko janam dene ke liye aap kuch yoga aasan kar sakte hai. Ye yoga kisi yog guru ya kisi expert ki dekh rekh mein hi kare. Jaane pregnant women ki normal aur safe delivery ke liye Baba Ramdev yoga tips.
- Konasana
- Vakrasana
- Utkatasana
- Parvatasana
- Sukh bhadrasana
- Paryankasana
- Hast Panangustasana
- Sahaj Paschimottanasana
Normal delivery ke liye upay kaise kare ye aap jaan gye hai. Iske ilaava morning walk aur ghar ka kaam kaaj kare. Niyamit roop se vyayam karna aur body ko active rakhne se shareer ki maaspeshiya majboot hoti hai jisse normal delivery mein jada pareshaani nahi hoti. Yoga ke ilava aap kisi expert ki dekh rekh mein pregnancy exercise for normal delivery bhi kar sakte hai.
- Baba Ramdev Yoga for Pregnant Women
- Precautions During Pregnancy in Hindi
- Pahle 3 Mahine Bacche Ki Dekhbhaal
- Swasth Aur Sehatmand Kaise Rahe
- Avurveda Vaid ke Gharelu Nuskhe
Is leekh mein bataye hue upay karne se aap swasth to rahengi hi sath delivery bhi aasani se ho sakegi. Aap ko Pregnancy Tips For Normal Delivery in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame comment karke bataye. Aur agar aapke pass normal delivery ke upay hai to yaha hamare sath bhi share kare.
dhanyabaad aapki suggestion ke liya mujhe ye padka bahut accha laga air bahut khuch sikna ko mila
Thnx nice to have ur tips I m eight mnth pregnant n really need these suggestions
Take care of you and stay healthy. We wish you safe and healthy delivery.
We wish you safe and healthy delivery
Very helpful tips…..thank u
Pregnant ledy ko pani ki kami puri karne Ke liye kya khilaye
Sheela ji paani ki kami puri karne ke liye pahle to paani hi adhik piye iske ilava juice bhi le sakte hai aur khane mein aese fruits le jinme paani ki matra adhik hoti hai.
tnx aur ye tips bhut kam ki humare liye abhi mera 8th month cl rha h nd I m worried ki kya hoga kaise hoga but ye tips pdhne k bad accha lg rha h tnx
thanks for information
Thanks for your above suggestions bahut achha laga padhke
Sath sath ye janna chahta hun ki garv ke doran keshar ka istemal kiya ja sakta kya?
Rani ji pregnancy mein kesar lene ke bare mein humne suna hai, aap iske istemal se pahle doctor ki salah jarur le.
Hiii.. I m 6 week pregnant ,mujhe bada ajeeb feel hoga h pate m itna ajeeb ki m Rone lag jati hu m samaj ni pati ki ye kya ho rha h, mujhe thyroid bi h,mera phle miscarriage bi hua tha size na badhne ki wajah se ,ab bi dr khti h kuch kh nhi skte size ki,mujhe kya krna cahiye ,mera Dr k pas bi treatment chal rha h 4 din bad dubara ultrasound h mera
Plzz rply
Monika pahle aayi hi problem ki wajah se aapke man mein ek dar baith gya yai jis wajah se aap ko aesa feel ho rha hai, aap doctor se regular touch mein rahe.
Meri wife ko 25 Dec ko dilv date hai 8 month me ultrasound hua tha usme baby ulta dikha raha tha doctor bole thik ho jaega abhi SB thik hai dilv me koi paresani to n hoga .
Sanjay aap kisi dusre doctor se 2nd opinion le sakte hai.
हेलो सर प्रगनेन्सी में खुजली होने पर क्या कोई दावा लिया जा सकता है प्लीज सर जल्दी जवाब चाहिए
Saaf safayi ke khayal rakh kar khujli se bacha ja sakta hai aur agar aap dawa chahte hai to doctor se consult kare.
Hii..meri ye 2 pregnancy he,abi mujhe 2 month hone wale he.meri 1 dilevry surgery Hui he to kya 2 normal ho sakti he? Yahi ho sakti ho to wo kese plz mujhe iske bare me bataye
Yamini ji jaruri nahi ki 1st delivery surgery se hui hai to 2nd bhi surgery se hogi, normal delivery ke tarike aap upar lekh mein padh sakte hai.
Thanks for help govind sir
muze urticariyaki problem h to kya ye problem baby ko b ho sakti h
Neha ji hame is problem ke bare mein jankari nahi hai aap doctor se consult kare aur raay le.
Kya mai pregnancy k shuru me sex kr skti hu pr kaise
प्रेगनेंसी के शुरुआती तीन महीने बहुत सावधानी बरतनी पड़ती है आप अगर ऐसा कुछ सोच रहे है तो डॉक्टर से सलाह ले.
Hi…
Meri 6th month pragnancy h kya main adrak ki chai pee sakti hu ussey koi nuksaan toh nhi h
And mujhe bhot neend bhi ati h pura din leti rahti hu thoda ghar ka kam karti hu but bahar nhi ja pati ghar se but mujhe Normal delivery chahiye uske liye koi upay h apke pass….
Mujhe 14 week start howa h m chicken kha skti hu
Hii
Meri 8 month pregnancy hai meri peeth m aur age pasli k neeche dard hota h aur jalan rehti hai dr bolti h koi dikkat nhi hai aisa hota h byt mujhe bhut pain hota h plz mujhe reason bata dihiy
नेहा प्रेगनेंसी में ऐसा होता है अधिक जानकारी के लिए आप ऊपर लेख पढ़े.
hlo sir mera ab 2month continued he
ur mera sine me dard hota he .sir meri bajah Se baby ko prblm hoga?
reply me sir plz
Puspa ji ye to dard ke karano par nirbhar karta hai, aap doctor se chexkup karwaye aur jane dard kyu ho rha hai.
a lekh bhot hi acha likha he sb jankariya isse mili.. me 1 month ki pregnant hu.. aapke pass khane pine ko lekr or bhi jankari ho pregnant woman k liye to plz shear kariye thanku
Tanvi ji pregnancy mein kya khana chahiye aur kya nahi iski jankari yha pdhe ::
sir meri 7 month pregnancy hai mere kamar or pairo m bht drd krta h..chalne fhirne bi nai hora hai..kya mei painkiler le sakti ho
Fatima ji koi bhi dawa lene se pahle apne doctor se salah kare.
Hello mera bajan kafi bad gya hai mera 9 manth chal raha hai pahle 60 k. Tha par av. 80 ho gaya hai to dilevri ke bad ye kam ho jaye ga na mam
Radhika ji pregnancy ke dauran wajan badh jata hai, aap delivery ke baad wajan kam karne ke tarike yha padhe :: http://sehatdoctor.com/pregnancy-ke-baad-pet-motapa-weight-kam-karne-ke-upay-tarike-hindi/
sir mera abi 2 week bad 9 month start hoga…muze ghr ke bahar walk nai ho pari hai drd ki waze se..to mei ghr mei hi daily adha ghanta walk karti hu…to kya ghr ki walking chalegi..
hii… Meri pregnancy ko 9 month ho chuke h but ab tak mujhe koi pain hi nahi ho Raha h
Thanks aapke post mre liye kafi helpfully Reha. Meri 3month pregnancy hai. Thanks again.