जब महिला गर्भवती होती है तो उससे देखभाल की सबसे अधिक जरूरत होती है। इस दौरान उसके शरीर में कई तरह के बदलाव होती है। पैरों में सूजन होना, शरीर में आयर की कमी होना ये सब आम बात होती है। गर्भावस्था में महिला की देखभाल कैसे करनी है जनने के लिए इस लेख को पूरा पढें
Pregnancy care tips in hindi: Kisi bhi mahila ke liye maa banana ek anokha anubhav hota hai. Aise samay mein ghar ki bujurg aur anubhavi mahilaye unki help aur dekh rekh karti hai. Koi ladki jab pehali baar maa banti hai tab uske man mein shareer mein ho rahe badlaavo ko lekar aur pet me pal rahe bache ko lekar kafi sawal hote hai. Ghar mein jahan par bujurg mahilaye jaise saas, nanad, jethani ke hone se unke man mein uth rhe bahut se sawalo ka jawab unhe mil jaata hai. Par problem tab hoti hai jab pati patni apne ghar parivaar se door kisi aur jagah rehte hai aur pregnant women ka margdarshan karne wali koi bujurg mahila unke saath nahi hoti hai.
Early Symptoms of Pregnancy in Hindi
- Jadatar mahilao ko pregnancy ke 3 mahino mein subah – subah ulti aane ki samasya sabse jada hoti hai .
- Early pregnancy symptoms mein jee machalna, ulti aana shaamil hai .
- Agar aapko isme se koi bhi lakshan dikhayi de to samajh lena chaahiye ki aap pregnant hai.
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay in Hindi
Agar aap ko early pregnancy symptoms mile hai to sab se pehle aap pregnancy test kare, aap chahe to kisi doctor ke pass ja sakte hai ya fir pregnancy calculator ka bhi istemaal kar sakte hai. Iss article mein hum kuch aise pregnancy care tips laye hai jo garbhavastha ke samay aap ke liye janana bahut jaruri hai.
Precautions During Pregnancy in Hindi – Garbhavastha Mein Saavdhaniya
1. Pregnancy mein aapke shareer ki nase aur jodo ke bhaag kafi kamjor ho jaate hai, isliye aisa koi bhi kaam na kare jiski vajah se aapke shareer ke in bhaago ko koi nuksaan pahuche.
2. Garbhaavastha ke samay bhari vajan na uthaye, jaise paani ki baaltyi.
3. Pregnant women ko kabhi bhi apne dimaag mein kisi tarah ki tension na hone de.
4. T.V par hamesha ache program hi dekhe, jada darawne ya crime wale seriyal se garbhavastha ke samay door hi rahe.
5. Pregnant lady ko lambi heel wale sandal nahi pehanane chahiye, jitna ho sake flat chappal hi pehane.
6. Bahar ka khana na khayen jaise ki Pijja, burgar, chips ya koi fast food. Kyuki ye cheje puri tarah se shudh nahi maani jaati aur garbhaavastha mein shishu ko nuksan pahuncha sakti hai. Isliye jaruri hai ki aap pregnancy diet plan banaye.
7. Bina apne doctor ki salaah ke kisi bhi tarike ki medicine na le.
8. 18 weeks pregnant women ko yatra kam se kam karni chahiye. Bike, scootar par jahan tak ho sake na baithe.
9. Jada deer tak khade na rahe. Agar khana banane ke liye kicthan mein jada deer tak khada rehna padta hai to apne gas-chulhe ko niche rakhkar khana banana ka intejam kare.
10. Pregnancy Care Tips: Koshish kare ki aap kam se kam seedhiyo ka paryog kare. Agar aap ground floor par na rehkar upar ke floor mein rehte hai aur majburi mein aapko niche jana padta hai to koshish kare ki ek hi baar me aap apan sare kaam khatam kar le aur dubara aapko niche na aana pade.
11. Hamesha khule aur dhele dhale kapde hi pehne aur jada tight kapde na pehane.
12. Pregnancy ke dauran sharab na piye. Pregnancy mein sharab pene se bache ko kafi bemariya ho sakti hai.
13. Garbhavastha ke dauraan smoking karne se aur karne walo ko hamesha avoid kare kyuki ye garbh mein pal rahe bache ko nuksaan pahuncha sakta hai.
14. Pregnancy mein sharirik sambandh banate samay bhi bahut savdhani bartane ki jarurat hai.
15. Exercise During Pregnancy: Har roj halka vyayam jarur kare isse aapke swaasthy par kaafi acha assar padta hai aur aapko tanaav bhi kam karne mein madad milti hai . Pregnancy se judi hui classes le ya rojana 15 se 20 minute tak walking kare. Jada garmi se bachne ke liye ghar ke andar hi rahe.
16. Sone ka pura samay nikale. Pregnancy ke samay kam se kam 10 ghante ki neend jarur le. Aur agar aap raat mein thik se neend naa aaye to din mein sone ka prayas kare.
- Garbhavastha Ke Pahle 3 Mahine Bacche Ki Dekhbhaal
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay in Hindi
- Face Se Daag Dhabe (Pimples) Door Karne Ke Gharelu Nuskhe
17. Pregnant women ko pairo aur takhne ki jalan aur sujan se mukti paane aur kamjori door bhagane ke liye pairo ko upar karke aaraam kare aur ho sakt to aaraamdaayak joote pehne.
18. Pregnancy diet tips in hindi, Garbhavastha ke samay shareer mein kafi changes aate hai isliye aise samay mein ye jaruri hai ki aap sahi bhojan kare aur aisi sthitiyo se bache jinse aapke bache ka swaasthy khatre mein pad jaye.
19. Pregnancy ke dauran apni saaf safayi ka dhyaan rakhe, apne kitchen ke farsh aur bartano ko kafi saaf rakhe, jisse ye aapke swaasthy ko nuksaan na pahuncha paye. Jab tak bartano ko garm paani se ache se na dhoya gaya ho tab tak inka prayog na kare, kyuki aisa na karne par bacteira (jeevaanu) ke usme lage rahne ke kafi chances hoti hai.
20. Achi yaade banaye. Iske liye aapko thodi mehanat karani padegi, par iska parinaam kafi sukhad hoga. Kai baar aisa bhi lagta hai ki pregnancy ka samay khatam hi nahi ho raha, par aapke liye khud ko ye vishvas dilana jaruri hai ki ye samay jaldi hi khatam ho jayega. Agar aap apani garbhaavastha ke samay ko yaadgaar banana chahti hai to positive thoughts par jada dhyaan lagaye.
21. Agar aap 18 weeks pregnant women hai to aap ko akele nahi rehna chahiye isliye kisi na kisi ko hamesha apne sath rakhe.
22. Aapko apani pregnancy ke starting kuch weeks mein kaafi takalifo ka saamana karana pad sakata hai. Aapko morning sickness ya isse jude koi aur samasyae pareshaan kar sakati hai, lekin in sabka ka ye matlab nahi ki aap dusaro ke saath rukhepan se pesh aaye. Sabke saath pyaar aur apanapan banaye rakhe jisse ki aapke bache ko koi takleef na ho.
Delivery ke Baad Kya Khana Chahiye
Prasav ke baad aesa khana khaye jo maa aur bache dono ko fayda kare. Jin cheejo mein jaruri nutritions ho unhe hi apne diet plan mein shamil kare. Fat wali cheeje aur tala hua masaledar junk food khane se bache.
- Hari sabiya, taaje fal aur low fat wale diary products ka sevan kare.
- Agar aap non veg kha leti hai to fish aur egg ka sevan kar sakti hai. Fish mein omega 3 adhik hota hai aur ande mein protein ki matra adhik hoti hai. Egg ke andar ke peele hisse mein fat aur cholesterol adhik hota hai isliye iska sevan kam kare ya na kare.
- Daliya (oats) mein fibre aur iron adhik hota hai jisse pachan kriya majbut hoti hai aur sharir mein khoon adhik banta hai.
- Palak mein bharpur poshak tatav hote hai jo khoon ki kami ko pura karte hai, haddiya majboot hoti hai. Palak ka soup bna kar aur sabji bana kar khaye.
- 10 Pregnancy Tips For Normal Delivery in Hindi
- Rang Gora Kaise Kare Aur Uske Upay
- Hair Care Tips in Hindi: Baal Sundar Kaise Bananye
- Motapa Kam Karne ke Upay: Weight Loss Tips in Hindi
- Ayurvedic Face Pack: 30 Minute Me Apne Chehre ko Nikhare
- Face Se Daag Dhabe (Pimples) Door Karne Ke Gharelu Nuskhe
Aap ko Best Pregnancy Care Tips In Hindi ka ye article aap ko kaisa laga hame comment mein jarur btaye. Aur agar aapke pass bhi kisi tarah ke pregnant women ke liye pregnancy care tips ho to yaha hamare sath bhi share kare.
Meri patni ke pregnency ka 1 mahina hai aur inka pet hamesa bhari bhari sa rahta hai, kuch khati hai to ulti ho jati hai, letring sahi nahi hoti hai hame kya krna chahiye
Sanjeev ye lakshan bahut karno se ho sakte hai, sahi karan janne ke liye proper diagnose ki jarurat hai. Aap doctor se mile aur proper checkup karwaye.
sir mari wife na test kiya hai to positive aa raha hai par sir ussa 2 months complete ho gai hai par saphadi aa gai hai app mujha bataya ki ma kya karu
Mohil pregnancy ke samay kisi bhi unnatural cheej hone par turant doctor ko dikhana chahiye.
sir .pregnancy test kitne din baad kra sakte hai.
Jab aapko pregnancy ki sambhavna dikhe tab test karwaye.
sir meri wife ki pregnency ko 7 mhine complet hone vale h unhe pet me pain hota h kbhi kbhi or bchcha bhi moment km krta h or rat ko neend bhi nhi aati mai kya kru
Deepak bina deri kiye aap apni wife ko doctor ke pass le jaye aur proper checkup karwaye taki is pareshani ke karno ka pta chal sake.
sir meri wife ne period miss hone ke baad cheq kiya to positive aaya but 5din bad bluding chalu ho gayi aur ultrasound ke baad report normal aayi kya karu
Vikash aap ek bar apne doctor se is bare salah le taki proper checkup ho sake.
sir mujeh 1 mnth pregancy h mujeh daily spott lgta h doctr ko b dikhaya no result is there. .. wht cn i do
Shival meet any other doctor for proper checkup and take 2nd opinion.
Sar meri wife pregnet he 2 mhine huye he usko oopka oolti jyada rheti he Jo rat ko puri rat oolti krti rheti he puri rat nhi so pati or acdt rheti he to kya krna chahiye
Jeegnesh agar ulti ada aa rhi hai to turant doctor se mil kar checkup karwaye, kisi bhi parkar ki deri aur laparwahi se bache.
sir m 1:16 din se pregnant hu, mujhe kuchh bhi khane ya pine ka man nhi kr rha h, pairo m bahut dard ho rha h, bahut jaldi hi thakaan ho ja rhi h, mujhe kya krna chahiye jisse m pura pregnant time achhe se follow kr pau,
plz help me
Meena ji pregnancy ke shuruaati dino mein aesa hota hai aap pregnancy se jude ye articles padhe aapko sabhi sawalo ka jawab milega ::
Hello sir…..Mere ko completely two months ho ho gye h mai pregnant hu…..third month start h. Sir mere ko na to khana khane ko man krta h na kuch pine ko and upr se mere ko toilet ki jagha pe jalan ki problem aa rhi h….. Pllz sir suggest me something…….. Wot caN i do
…
Neha pregnancy ki shuruat mein sharir mein kafi badlav aate hai jis wajah se khan paan aur mood par asar karta hai, aap apne doctor se regular samapark mein rahe aur body mein hone wale changes discuss kare.
sir meri pregnancy ko 3rd month chal rha h aur mujhe first altrasound krwana h, to kya m altrasound se pahle kuchh khana ya chay pi skti hu ya nhi, kyuki mera ji bahut machalta h subah k time pe, aur m kuchh khaye ya piye bina khud ko achha mahsus nhi kr pati hu,
plz help me ki mujhe kya krna chahiye?
Meena ji ultra sound se pahle paani pina padta hai, aap se yahi salah hai ki doctor se ultrasound karwane ki appointment lete samay ye bhi janne ki aap kya kuch kha pi sakti hai.
hello sir mera 7th month pura ho gya hai or 8 month suru ho gya hai or mere pet me ruk ruk k dard ho rha hai or kamar me hmesha dard rehta hai plz btayiye aisa kyu ho rha hai or mujhe kya krna chahiye
Anuradha ji prgnancy mein kamar par dabav padne ki wajah se kamar ki manspeshiya kamjor ho jati hai jisse dard ki shikayat hone lagti hai, pet dard ke solution ke liye doctor se consult kare.
Sir meri wife ka pregnancy ka 8th month start hua hai sab kuch normal tha but 1 din ka usne fast rakha ar tabse pet bhari bhari rehta hai gas ki samsya hai
Rajnish ye pareshaniya pregnancy mein aksar hoti hai adhik hone par doctor se consult kare.
Sir meri wife ko8 month ho gya hai bt abhu 2-3 dino se baby ki movement ka pta nhi ho rhi hai kya karan hai
Gaurav doctor se checkup karwaye.
Sir, Meri wife ko 5va mahi chalu hai. Usko baby ki movement ek hi jagah me mehsus hoti hai. Kya ye normal hai?. baby ko kuch problem to nahi hoga ? is time me baby ki position kya hoti hai?
Nilesh pregnancy kecsamay koi bhi doubt lag rha ho to turant doctor se consult karna chahiye aur checkup karwana chahiye.
Hi sir meri wife ko 9th month chal raha hai 25 bec ko delivery date hai baki sab normal hai delivery ke kitne din pahle mahsus hoga. Pls reply me.
Sanay ji is bare mein doctor se salah kare.
Hi sir mera naam neha hai sir mere chere par bhut chachiya haipregnancy time v thi abhi tk aise hi hai 2month ka baby hai
Neha ji chehre ki jhuriya hatane ke upay yha padhe :: http://sehatdoctor.com/chehre-ki-jhuriyan-ke-gharelu-upay-wrinkles-beauty-tips-in-hindi/
Mere wife lagbhag four months pregnent h. Aaj usse latrine aur urine karne par dard ho rha h. Latrine kaddi ho rhi h. Gharelu upachar bataye.
sir …mujhe aj 2 month pure ho gye hai …..pregancy me dance krne se koi problem to nai hai….sir plzz help me
Manpreet ji pregnancy ke shuruaati 3 mahine jada dekhbhal ki jarurat hoti hai aap aesi activity se bache.
sir meri wife ko 5 jan ko 2 month ho gye kya mai uske sath sex kr sakta hoo aur kyaa kya savdhani bartni chahiye
8weak ho gaye pregnancy ke but halki bleeding ho rahi h kya kare please reply
Deepali ji aap doctor se consult kare.
Sadi k 1yr hmne condom se sex kiya avi m pregnancy chahti hmm kuch problem to nhi hoga Na condom ki wajase
Payel ji isse problem nahi aana chahiye, fir bhi conceive karne se pahle doctor ki salah jarur le.
Sir mai 19week pregnant hu, maine one week pahle second ultrasound krwaya to mera low laying placenta btaya doctor ne,
Sir placenta uper aa jaye iske liye mujhe kya krna chahiye sir plz help me. Otherwise agar placenta uper nhi aaya to may be mujhe delivery operation se krwana padega jo m nhi chahti hu,
plz sir help me.
Meena ji hame iski jankari nhi hai aap doctor ya ayurvedic vaid se salah le.
Sir, kya preganancy aurat ka pepsi coldink pene se koe problem to nahi hogi na?
Ali cold drink ke sevan se normal insan ko bhi bachna chahiye aur pregnancy mein jitna ho sake isse parhej hi kare.
Sir meri jang bahot dhukhti h or m pregnat hu.6month complete hone wale h .kuch bataiye
bht achi bten btain hen apny or diet bhi bht achi hy m muslim hun or mery 3 br miss carg hochuka hy plz esi ehtyatn btaen jus sy ab esa na ho…
Hii sir.
Meri wife ki pregnancy last month hai ultrasound krwaya to kaha k baby theek hai but maa k ander khoon ki kami hai.ese mai kya krna chaiye or iske disadvantages kya hai….pls advice me…
Ashutosh ji khane pine ki chijo par dhyan de kar khoon bdhaya ja sakta hai.
Pregnancy test sham ko karne se ky negative results hota hai aur pregnancy hai positive toh eska ky matlab please help
बरखा जी अगर शाम को प्रेगनेंसी टेस्ट करने पर और सुबह टेस्ट करने पर अलग अलग रिजल्ट मिल रहे है तो हो सकता है की सही तरीके से प्रेगननकय का टेस्ट नहीं हो सका है।
Meri wife ko ,17th week pregency chal raha hai. Ab se lekar delivery tak konsi pareji karni chahiye .
(2) healthy aur gore bache ke liye kya karna chahiye
Honey ji aap ye articles padhe ::
Sir during pregancy mere face pr black dagh pad gaye hai vo kse thk ho gaye plz tell
Meri wife Ke 7 mont ho chuka hai par uski right Side ki ankh se dhundla dikhaiy dene laga hai kiya karu
Sir ek frnd h jishko left hand m chot lg gya h pr tuta nhi h . Pr bhut drd h hath m . Plz kya kre kuch smjhh m nhi aa rha h.
Sir meri wife ka 5 month complete hone wala hai use sujan bani rehti hai kyo.