More

    Skin Hair aur Weight Loss ke Liye Pudine ki Chai Kaise Banaye

    Recipe - रेसिपीSkin Hair aur Weight Loss ke Liye Pudine ki Chai Kaise Banaye

    Pudine ko hum aksar sabji aur chatni mein mila kar sevan karte hai. Pudina mein vitamin A, B, C, E, calcium, potashium aur iron bharpur matra mein hota hai. Ye bhojan ko swadisht bnane ke sath sath sehat ke liye kafi faydemand hai. Pet ki bimariyo ke ilaj ke sath pudeena pachan shakti ko bhi majboot karta hai. Iske fayde dekhte hue ab iska paryog chay ke roop mein bhi hone lga hai. Pudeene se bani tea mein caffine nahi hota. Vese to iska sevan kisi bhi tarah kare acha hi hai par pudine ki chai aur pani pine ke fayde hairan karne wale hai. Is article mein hum janenge pudina ki chai kaise banaye aur iske health benefits kya hai.

    Pudine ki Chai Kaise Banaye : Mint Tea Recipe in Hindi

    • 8 se 10 pudine ki pattiya (Mint leaves)
    • Thodi si kali mirch
    • Thoda sa kala namak
    • Doodh aur Chini (Optional)

    Pudine ki pattiya, kali mirch aur kala namak ko 1 glass paani mein daal kar 5 se 7 minute tak ubaale aur chaan le, aapki mint tea tyaar hai ise chaan kar piye. Pudina ki pattiyo ko paryog se pahle inhe ache se wash jarur kar le. Agar aap isme milk aur sugar dalna chahte hai to aap daal sakte hai par inko mix karne se ye normal tea jesi ban jayegi.

    Aajkal market mein mint tea bag bhi milte hai, agar aap tea bag paryog karna chahte hai to iske paryog ki instruction tea bag ke box par likhi hoti hai.

     

    Pudina Chai se Weight Loss ke Tips

    Peppermint tea digestion power badha kar wajan kam karne ki parkirya ko badhata hai, iske ilava ye chai body mein suger level ko control karke meetha khane ki ichha ko kam karta hai. Pudine ki khushbu hamare adhik khane ki ichha ko bhi kam karti hai.

    Body ko detoxify karna matlab sharer se jeharile padarth bahar nikalne mein bhi mint tea ka sevan utam upay hai.

     

    Skin ke Liye Pudine ki Chai ke Fayde

    Kil muhase se chutkara pane mein bhi pudina kafi labhdayak hai. Pudine mein menthol hota hai jo skin ko thandak deta hai aur fresh karta hai. Oily skin aur muhase thiik karne mein pudine ka paryog ek acha upay hai.

    Agar aap ki tavacha kafi sensitive hai aur aap jaldi se allergy se parbhavit ho jate hai to 1 cup pudine ki chay aapke liye kafi faydemand ho sakti hai. Skin allergy dur karne ke ilava ye tavacha mein hone wali jalan ko bhi kam karti hai.

     

    Hairs ke Liye Mint Tea ke Benefits

    Pudine ki chay baalo ke liye bhi kaafi achi maani jati hai. Iske sevan se baalo ki jado mein blood circulation acha hota hai jisse baal healthy aur sundar bante hai. Rojana 1 cup pudine ki chay pine se baalo mein chamak aati hai aur baal lambe ghane hote hai.

     

    Pudina ka Pani Pet ki Bimariyo ke Liye

    Pudine ki chay aur pani pine se pet ki gas, acidity, pet ka dard, dast (loose motion) aur pet ki dusri samasyao ke upchar mein faydemand hai. Digestion system ko sudharne ke ilava khane ko pachane mein bhi pudine ki bani chay kafi madad karti hai. Khana khan eke aadhe ghante baad 1 cup chai pine se in bimariyo se kafi had tak rahat mil sakti hai.

     

    Ulti aur Chakkar ke Upay Kaise Kare

    Kuch logo ko car aur bus mein safar karne par chakar aur ulti ki shikayat hoti hai. Is problem se bachne ke liye safar se pahle 1 cup pudine ki chay piye.

     

    Agar aap ki yaddasht kamjor hai aur bhulne ki bimari hai to pudine ki chai ka sevan kare, isse aapki yaddasht aur concentration badhegi.

     

    Pudine ke Fayde : Mint Benefits in Hindi

    Garmi aur barish ke mausam mein pet se judi samasya adhik hoti hai aur in samasyao ke upchar aur inse bachne ke liye pudine ka paryog ek acha upay hai, iske ilava garmi se bachne aur isse hone wali problem ko dur karne ke mein bhi pudina ka sevan upyogi hai.

    1. Gale mein kharash ho to pudine ke ras ko namak pani mein milakar kulla kare, isse gala saaf hoga aur kharash se nijaat milegi.
    2. Garmiyo mein loo se bachne ke liye pudine ki chatni aur pyaaj ka sevan kare.
    3. Pudine ka sevan hum mouthfreshner ke roop mein bhi kar sakte hai.

     

    Dosto Skin Hair aur Weight Loss ke liye Pudine ki Chai Kaise Banaye, Mint Tea Recipe in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga comment kar ke bataye, aur agar aap pudina ki chay pine ke fayde jante hai ya aapke pass ise peene ke anubhav ya sujhav hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles