Vajan kam karne ke liye diet plan in hindi: Bhut se log apna vajan aur pet ki charbi kam karna chahte hai aur kai tarah ke diet plan follow karne ke bad bhi weight loss nhi kar pate. Agar aap bhi unme se ek hai aur abhi tak ye soch rhe hai ki bahar nikla hua pet aur motapa kaise kam kare aur kya khaye to ye article dhyan se padhe. Aaj hum janenge teji se motapa kam karne ki diet mein kya khana chahiye, fast weight loss diet plan tips in hindi.
Pet ki charbi badhne ke karan
Jab khane me li gayi calorie body dwara burn ki gyi calorie se jada hoti hai to bachi hui calorie pet mein fat ban kar jama hone lagti hai, jis karan wajan aur motapa badhne lagta hai. Agar intake calorie aur burn calorie ko control kar liya jaye to weight ko badhne se roka ja sakta hai aur ise kam bhi kiya ja sakta hai.
Weight kam karne ki diet tips in hindi
- Sabse pahle aap ko ye bta de ki wajan ghatane ki diet plan kai parakar ke hote hai aur sabhi ke rules bhi alag alag ho sakte hai. Jo kisi fix time mein weight kam karne mein helpful hote hai. Jese 5 days mein 5 kg weight loss karne ka diet plan.
- Kuch logo ko shadi ya kisi function mein jana hota hai to ve fast weight loss karne wale plan follow karte hai.
- Agar aap bhi 5 days, 7 days, 10 days ya 30 days ka koi diet chart follow kar rhe hai to sabse pahle ye jane ki diet mein kya khaye hai aur kya nhi khaye aur sath mein ye bhi jane kis time kya khana chahiye.
- Diet plan for fast weight loss in hindi follow karne ke bad bhi kuch logo ka wajan kam nhi hota aur iska sabse bda karna hai ise sahi tarike se regular follow na karna.
Vajan Kam Karne ke Liye Kya Khaye
Fast Weight Loss Diet Plan in Hindi
Vajan kam karne ke liye 3 bar pet bhar khane ki bajay 5 bar khaye par pet bhar nhi khaye aur diet mein subah se sham tak kya khana chahiye aur kya nahi khaye iske diet chart ke liye niche bataye gye tips ko dhyan se padhe.
1. Weight loss ke liye subah ka drink
- Subah khali pet paani pine se body ka metabolism badhta hai jiska asar belly fat burn par lambe time tak rehta hai.
- Ek gilass gunguna paani le aur isme 1 chammach kali mirch powder aur 1 chammach shahad mila kar subah khali pet piye.
2. Nashte se pahle badam khaye
- Subah badam khane se body ko jaruri poshak tatav aur energy milti hai, iske ilava badam me fiber ki matra adhik hoti hai jo bukh control karti hai.
- Breakfast karne ke 15 minute pahle 6 se 7 badam khane chahiye. Badam tale hue aur namkin nahi hone chahiye.
3. Breakfast mein kya khaye
- 2 bread toast ya 2 chapati aur sath hi 1 catori low fat dahi. Toast mein butter, namak ya shakkar na lagaye. Agar butter lgana hi hai to thoda sa badam wala butter istemal kare. (Toast me brown bread ka hi pryog kare.)
- Ya fir 1 medium catori bina doodh ke oats khaye.
- Agar aapne 9 bje breakfast khaya hai to 2 ghante baad 11 baje koi 1 fruit ya 1 catori fruit salad khaye aur isme bhi namak ya shakar na dale.
4. Pet kam karne ke liye lunch me kya khaye
- Lunch 1 se 2 bje ke beech mein khaye. Lunch ki shuruat kheera, gajar aur tamatar ke salad se kare, isme fiber jada hote hai jisse body ko energy milti hai aur bhukh kam hoti hai.
- 1 saadi roti, bina tadke wali daal, mix sabji aur 1 piece machli.
- Khana pakate samay tel aur ghi ka istemal kam kare.
5. Evening mein kya khana chahiye
- Shaam ke waqt halka khana lene se raat ko dinner me bhukh kam lagti hai, isliye evening mein kuch halka fulka jarur khaye.
- 1 fruit ya 6 se 8 badam ya 1 gilass bina cream wala doodh inme se koi bhi le sakte hai.
6. Dinner mein kya bhojan le
- Motapa kam karne ke liye sabse jaruri hai ki raat ko dinner 8 bje se pahle kha le aur dinner hamesha halka khana chahiye. Raat ko khana khate hi so jana wajan badhne ka ewk bada karan hai.
- Dinner ki shuruat 1 catori veg ya chicken soup se kare aur dhyan rahe ki soup me butter ka istemal na kare. Kali mirch powder soup me mila sakte hai ye pet ki charbi kam karne mein asardar hai.
- Dinner me 1 catori soup, 1 chapati aur 1 choti catori sabji.
7. Wajan kam karne ke upay: Sone se pahle
- Paani halka garam kar ke ismein 1 inch adarak ka tukda pees kar dale aur ek tihayi chammach dalchini powder milakar ise sone se 1 ghanta pahle chai ki tarah piye. Ye ek parkar ka fat burning drink hai.
- Sone se pahle fat burn karne ke liye drink pine se neend mein bhi motapa ghatane me mdad milti hai.
- Jane Pregnancy ke Bad Vajan Kam Karne ka Tarika
Weight loss diet plan in hindi: Rules
- Bhukhe na rahe. Dieting ka matlab bhukha rahna nhi hota.
- Utana hi khaye jitna khane ki jarurat hai. Diet plan follow karete waqt khane me calorie 1200 se jada na ho.
- Motapa kam karne ke liye saturated food khane se parhej kare. Dieting ke time tali aur bhuni chijo se dur rahe.
- Meetha khane se parhej kare. Mitha khane se body mein sirf calorie badhti hai.
- Paani jada se jada piye.
Diet plan ke sath kya exercise karna jaruri hai
- Agar aap ke man mein ye sawal hai ki kya wajan kam karne ki diet ke sath exercise karna bhi jaruri hai, iska jawab haa hai.
- Dieting karne se weight jarur kam hota hai par iske sath exercise karne ki bhi jarurat hai, bas farak ye hai ki aap ko ghanto paseena nahi bahana hai, har roj 30 se 40 minute ki exercise karna hi kaafi hai.
- Jab hum wajan kam karte hai tab fat burn hone ke karan tvacha dhili padne lagti hai par regular exercise karne se tvacha mein kasav aata hai jisse body mein fitness aati hai.
Motapa kam karne ki diet plan ke jaruri bate
- Kuch logo ki ye soch hoti hai ki dieting ka matlab bhukha rehna hai. Agar aap kuch khaye piye gen hi to wajan kam hone ki bajay badh bhi sakta hai.
- Diet plan mein body ko milne wali calorie ko balance kiya jata hai aur use sahi tarike se level mein rakh kat fat burn karne ko dieting kehte hai.
- Pet ki charbi kam karne ke liye kuch log excited ho kar diet plan shuru to kar lete hai par kuch din mein hi beech mein chod dete hai aur fir aesa maan lete hai ki unka motapa kam nhi ho sakta. Agar aap bhi motapa ghatane ke liye diet plan shuru kar rhe hai to is galti ko karne se bache.
- Hips aur Thigh ki Charbi Kam Kaise Kare
- Pet Kam Karne ki Baba Ramdev Medicine
Tags: मोटापा कम करने के लिए डाइट, वजन कम करने की डाइट, डाइट आहार, डाइटिंग प्लान, डाइटिंग के तरीके, डाइटिंग चार्ट, वजन घटाने के लिए डाइट चार्ट, पेट कम करने के लिए क्या खाना चाहिए, वेट लॉस करने के लिए क्या खाए, वेट लॉस टिप्स इन हिंदी, fast weight loss diet plan in hindi, diet plan for weight loss in 7 days, motapa kam karne ke liye diet, vajan kam karne ke liye kya khaye, pet kaise kam kare.
My fat is very high please solution