More

    सर्दी और फ्लू के लिए रामबाण

    Disease - बीमारीसर्दी और फ्लू के लिए रामबाण

    मौसम बदलने के साथ ही ज्यादातर लोग बीमार पड़ने लगते हैं। सबसे ज्यादा सर्दी-जुकाम की शिकायत रहती है।आइये आपको बताते हैं इन समस्याओं को दूर करने के लिए कुछ घरेलू नुस्खे के बारे में

    Sardi Jukam Ka ramban Ilaj in Hindi: Jukam ek aisa rog hai jisse duniyabhar ke jaadatar log pareshan rehte hai. Vaise to ye rog bhut aam mana jata hai lekin agar jukhm purana ho jata hai to aur bhi kai rogo ko janam de deta hai. Vese to ye bimari sardi aur garmi har mausam mein pareshan karti hai par garmi se jada ye rog sardiyo ke mausam mein pareshan karti hai. Kai bar sardi lagna aur jukam hona kisi dusri bimari ke lakshan bhi ho sakte hai. Isliye jab aapko lage ki ye cold and cough normal wala nahi hai to kisi doctor se turant mile aur checkup karwaye. Is article mein hum janenge sardi jukam ke upay gharelu aur ayurvedic nuskhe se kaise kare, cold and cough relief treatment tips in hindi.

    Naak (nose) ka behna aur sardi jukam sinus ki bimari ke karan bhi ho sakta hai isliye agar aap bar bar is bimari se pareshan hote hai to jane ki kya ye sinus ka rog to nahi.

    Sardi Jukam Ke Lakshan : Symptoms

    Kai bar jukam 2 se 3 din mein thik ho jata hai, kai baar 1 se 2 hafte mein aur kai baar saalo beet jaate hai lekin jukam theek nahi hota kyuki medical sciense mein abhi tak jukam ki koi kaargaar dava nahi bani hai aur jo dava bani hai vo sirf sadi jukam ke lakshano ko hi theek karne ke kaam mein aati hai. Jukam ka virus body mein pahunchne ke baad kuch aam lakshan baar baar dikhte rehte hain.

    • Baar baar chheekye aane lagti hai.
    • Naak mein se har samay sraav hota rehta hai.
    • Aankhon mein se paani nikalane lagta hai.
    • Pura badan dard karne lagta hai.
    • Gale mein kharaash hone lagti hai.
    • Saans lene mein pareshaani hone lagti hai.
    • Halka bukhaar bhi pareshaan karne lagta hai.

    Sardi Jukam Se Kaise Bache

    Aksar badalte mausam mein hame sardi jukam ho jata hai, jisse hamara daily routine bigad jata hai. Sardi jukham se bachane ke liye abhi tak kisi tarah ka koi teeka nahi bana hai, par hum is bimari se pareshan na ho kyuki sardi jukam ka desi ilaj jarur kiya ja sakta hai. Yahan par ham sardi jukam se bachav ke tarike bata rahe hai.

    1. Agar aapke ghar parivaar mein kisi ko sardi jukaam hai to ek dusre ke bartan isteemaal na kare.
    2. Jukham se bachne ka sab se acha desi upaay hai ki aap apne haath bar bar dhoye.Aisa karne se sankramit cheejo ko chhune se haath mein aaye hue virus khatam ho jate hai.
    3. Apane khane peene par pura dhyan dena chaahiye. Har roj aisa bhojan le jisme sabhi jaruri poshak tatv maujud ho.

    Sardi Jukam Ka ramban Ilaj – Cold and Cough Gharelu Nuskhe

    Sardi jukam ki shuruat naak se hoti hai par dhere dhere iska asar puri body par hone lagata hai. Allopathy ho ya homeopathy abhi tak sardi jukam ka treatment karne ki koi medicine nahi bani hai, par sardi jukam mein ayurvedic gharelu upchar jada faydemand hota hai. Yahan par hum sardi jukam ke ilaj ke gharelu upay bata rahe hai.

    1. Hari mirch aur sendha namak sardi jukam ka ilaj karne mein bhut fayda karte hai. Hari mirch ko pees le fir usme thoda sa sendha namak mila kar roti ke saath le. Hari mirch se aapki aankho se paani nikalne lagega aur aapka gala saaf ho jayega, isse kaf bhi nikal jaata hai.

    2. Jukham ke ilaaj mein haldi bhut faydemand hai. Sardi jukam hone par haldi ko garm doodh ke saath piye, isse kuff hat jaati hai aur jukam mein bhi aaraam milta hai. Behte naak ko rokne ke liye haldi ka ek tukda jala kar uska dhuaa le, aisa karne se naak ka behna teej ho jayega aur jukam mein jaldi aaram milega.

    3. Sardi Jukham Mein Baba Ramdev Ka Upchar: Jab kabhi aapke gale mein kharash ho aur aapki naak band ho jaye to ek gilaas garm paani mein chutki bhar namak daalkar garaare kare, isse aapka gala saaf hoga aur ye virus ko dubara body mein aane se bhi rokta hai.

    4. Roj subh sham shahad ke saath adarak khane se sardi jukam mein teji se aaraam milta hai.

    5. Ek gilass garm paani mein nembu ke ras ke sath 1 chamach shahad mila kar piye. Sardi jukam ke upchar mein Vitamin C faydemant hota hai. Aur bataye gaye is mishran mein vitamin C bharpur maatra mein maojud hai.

    6. Sardi jukam ka desi ilaj karne mein kishmish ek acha gharelu upay hai. Sab se pahle kuch dane kishmish ke le aur use pees kar paani ke saath ek paist banale. Kishmish ke is paist mein cheeni daal kar ubaale aur fir thanda hone ke liye chhod de.

    7. Rojana raat ko sone se pehle isko lene se sardi jukham mein jaldi raahat milti hai.

    8. Imali aur kaali mirch se bana hua soup “rasam” ko garm-garm pine se body mein jukham ke virus khatam hone lagte hai.

    9. Adarak, tulsi, pudeene aur kaali mirch se bani chaye sardi jukham se rahat paane ka ek asardaar gharelu nuskha hai.

    10. Sardi aur jukham hone par raat ko sone se pahle rayi ke tel ko halka garam kar ke iske 3 se 4 boonde dono kaano mein daalkar kaano ko ruyi se band kar de, isse jukaam mein jald aaraam milta hai.

    11. Sardi jukam ke ayurvedic ilaj mein khajoor bhut faydemand rha hai. Khajoor ko 1 gilass doodh ke saath ubaal kar pine se jukham mein rahat milti hai.

    12. 10 se 15 gram gehu ki bhusi, 5 laung aur thoda sa namak lekar use paani mein milaye aur use ubaal kar kaadha bana le. Har roj din mein 2 baar 1-1 cup kadha peene se sardi jukam mein fayda milta hai.

    13. Sardi jukham mein tulsi bahut fayda karti hai. Tulsi ke patto ko chaba kar khaye ya fir paani mein ubaal kar ek kaadha bana kar peene se fayda hota hai.

    14. Daalchene aur jayafal sardi jukam ke treatment mein rambaan ka kaam karta hai. Daalchini aur jayfal ko barabar maatra mein lekar pees le aur subah shaam khaye, isse jukham mein bahut faayda hota hai aur sardi jukam dubara nahi hota.

    15. Agar naak band ho to daalcheenee, ilaaychi, kaali mirch, aur jeere ko barabar barabar maatra me lekar ek sutti kapde mein bandh le aur baar baar sunghe, aisa karne se aapko cheenk aayegi aur band naak trant khul jayegi.

    16. Jukam hone par jada kaam karne se bachna chaahiye. Aap apne rojana ke kaam kar sakte hai par sardi jukam hone par dhul aur dhuye se bachana chahiye nahi to jukam bigad bhi sakta hai.

    17. Motapa aur gas ke ilaj ke sath sath ajavain sardi jukham mein bhi bht fayda karti hai. Jukam aur kaff mein subah shaam gungune paani ke sath ajavain lene se jukaam mein jaldi raahat milti hai.

    18. Sardi jukam mein lehasun ka soup peene se kafi aaraam milta hai.

    19. Jukam se pareshan rogi ko jada aaram karne ke sath jada paani peena chaahiye aur falon ka ras to jarur lena chahiye.

    20. 4 se 5 daane kaali mirch pees kar sendha namak ke saath din mein 3 baar gungune paani ke sath lene se bhi jukam mein jald aaraam milta hai.

    21. Jukam ke karan pachantantar bigad jaata hai, isliye thodi thodi der mein halke aur jaldi pachne wali cheeje khani chaahiye.

    22. 3 se 4 kaali mirch ko pees le fir usme thodi se pisi hui heeng mila kar use gud ki chhoti dali ke beech mein bhar kar uski goli bana le, har roj subah shaam is goli ka sevan kare. Shahad, adrak aur kaali mirch ke is upaay se sardi, jukam,band naak,badan dard aur cough mein jaldi aaraam milta hai.

    23. Sardi jukam ke rogi ko puri neend leni chaahiye aur yoga bhi karna chaahiye. Isse shareer ki rogo se ladne ki shamta badh jati hai.

    Sardi Ke Gharelu Nuskhe in Hindi

    1. Sardi mein aksar log hotho ke fatane se pareshan rehte hai. Aise logo ko fate hotho par kokam ka teel lagane se araam milta hai.

    2. Sardi ke mausam mein pairo ki ediyaa bahut jada fatati hai. Aesi fati ediyo par pyaaj ka paist lagane se fayda milta hai.

    3. Jin logo ki pachan kirya thik nhi hoti aesi logo ko sardi ke mausam mein kabj ka rog badh jane ka khatra rehta hai. Aise logo ko is mausam mein jada se jada paani peene se fayda hota hai.

    4. Jin logo ko sardi ke mausam mein sir dard ki shikayat rehti hai. Aise logo ko jaayafal doodh mein ghiskar maathe par leep karne se fayda milega.

    5. Bahut se logo ko sardi ke mausam mein aksar chhaati mein balgam jama hone ki shikayat rehti hai. Aise logo ko rojana anjeer ka sevan karna chahiye, isse balgam pighalkar nikal jata hai.

    Dosto Sardi Jukam Ka Desi Ilaj (Top 20 Gharelu Nuskhe Aur Upay) ka ye article aap ko kaisa laga hame niche comment mein bataye aur sath hi apne anubhav bhi bataye. Aur agar aapke pass bhi sardi jukam se kaise bache ke gharelu nuskhe ya koi aur treatment hai to yha hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    21 COMMENTS

    1. Brother Ye blog WordPress par hai yaa blogger ? agar blogger par hai to aap muze templet ka name plz bata dijiye…& advance me thank you…

    2. Hi i am Qaisar age 21 wt 48 from jharkhand
      mujhe sardi jukham samesha rhta h ilaj bhi bahut kara chunke h par koi fayeda na hua nakh pura hafs rahta h kabhi balgam girta h to kabhi tar tar pani samjh me nahi ata mujhe main kya karu so plz mujhe koi ek aisa gharelu upchar bataye ki mera sardi khatm ho jaye

    3. Bhai ,sardi aate hi mujhe jukaam ho. Jaata hai ,,or 2 din thik hota hai 4 din fir rhta,,kabhi kabhi garmi me bhi ho jata hai ,m kya kru

      • Dost body immunity weak hone ki wajah se aksar hum jaldi infection se grast ho jate hai, aap apne khane pine mein achi aadte apnaye aur sardi jukam se chutkara paane ke liye yha btaye hue upay kare.

    4. Sir mujhe 10 din se bahut sardi hai humne sardi ka dabaey bhi khaya Lenin 2 din se right naak se red cough nikalta hai aur left se yellow hi, kya karan ho Sakta hai red cough ka

      • दोस्त जुखाम का इलाज के घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    5. Hello sir meri wife ne 2 month phale baby ko janam diya he pichale 2 din se use sardhi khasi or sir dard ho raha lls upchar bataye baccha dudh pita he maa ka us hisab se

    6. bhaiya mujhe bahut sardi hai…or sardi ke wajah se mera ek kaan thoda kum sun raha hai kya karu???or mujhe saans lene mein bhi bahut problem ho rha hai……..

    7. sir muje 1 week se sardi hai kuch samay tak naak behte rahna or gale se sardi nikal na or dimag ke piche dard or kandhe eyes or gale pe thoda suj gaya hai.

    8. sir ji namaste main jab mera face wash karta hu tab mujhe sardi jukam ho jata hai kyu aur jab main sir se nehla ta hu tab jukam hota hai.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles