ग्रीन टी से आज हर कोई परिचित होगा लेकिन बहुत कम लोग होंगे जिन्हें ग्रीन टी के बारे में पूरी जानकारी होगी। इस लेख में ग्रीन टी के फायदे और इसके इस्तेमाल के बारे में पूरी जानकारी दी गई है। इस झील को अंत तक पढ़ने के बाद आपको ग्रीन के कई छिपे रहस्यों के बारे में जानकारी मिलेगी। जानकारी प्राप्त करने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।
Green Tea Ke Fayde(Benefits): Motapa kam karne, face aur hairs ki sundarta badhane ke sath sath green tea(hari chay) bahut si bimariyo mein ramban ka kaam karti hai jaise ki blood sugar, cancer, heart problem, aljimar. Hari chay peene se brain ko boost karne ki power milti hai. Green tea mein caffeen hoti hai jo dimag ko teji se kaam karne ki shakti deti hai aur iske rojana isteemaal se body ka stamina (karya karne ki shamta) badhti hai. Kya Kyu Kaise ke is likh mein hum janenge green tea peene ka sahi time kya hai aur green tea benefits in hindi.
Shareer ko swasth, tandrust aur healthy rakhne ke liye agar hum rojana pe jaane wali normal chay ki jagah green tea peeye to ya kaafi faydemand sabit ho sakti hai.
Green Tea Kaise Banaye
Contents
Aaj ke samay mein chay ka upyog adhik hota hai. Jadatar log apne din ki shuruaat chay se hi karte hai. Thakan door karne ke liye bhi kai log chay peete hai. Par jo chay hum peete hai ye hamare shareer ki pachan shakti(digestion system) ko kamjoor karta hai jisse hame gas, kabz aur pet se judi kai bimariya hone lagti hai.
Green tea 2 parkar ki hoti hai ek khuli pattiyo wali aur dusari tea bag wali.
- Ek pan le aur usme 1 cup paani ubaal le.
- Agar aap khuli pattiyo wali grean tea isteemaal kar rahe hai to paani ubalne ke baad aadha chota chammach green tea ki pattiya pan mein daal kar 2 minute ke liye dhak de, ab ise chaan kar cup mein daale.
- Agar aap green tea bag isteemaal kar rahe hai to green tea bag ko khaali cup mein dale aur upar se ubla hua paani dale.
- Green tea tyaar hai aap chahe to isme chini ya shahad bhi mila sakte hai.
- Green tea mein ilaaychi powder bhi mila sakte hai.
Green Tea Ke Fayde – 12 Health Benefits of Green Tea
Green tea ko camellia sinensis ki pattiyo ko sukha kar tyaar kiya jata hai. Aaiye jaante hai ki green tea peene se hum kon kon si bimariyo se dur reh sakte hai.
1. Cancer ka Rog: Cancer ke mareejo ke liye green tea rambaan ka kaam karti hai. Ye shareer mein cancer ke cell ko badhne se rokti hai. Green tea ka regular upyog karne se pet aur bladder ke cancer ka khatra na ke barabar hota hai. Muh ke cancer (mouth cancer) mein green tea peena bhut hi faydemand upay hai. Har roj green tea peene se mahilao mein breast cancer ki sambhavna 20% tak kam ho jati hai.
2. Sundarta: Jaise jaise umar badhti hai hamare chehre ki skin dheeli padne lagti hai aur face par jhuriya aane lagti hai. Green tea mein anti aging elements hote hai jo aapki skin ko protect karte hai. Har roj green tea peene se chehare par jhuriya nahi aati aur skin dheeli nahi padti aur chehre ki chamak aur tajagi bani rehti hai.
3. Stress Mein Green Tea Ke Fayde: Jab bhi hum bahut tanav mein hote hai chay dawa ka kaam karti hai. Aise mein green tea peene se aapko bhut aaram milta hai. Green tea ki pattiyo ko sir ke pass rakh kar sone se sir dard kam hota hai, in pattiyo ki khusbu mind ko relax kar deti hai.
4. Blood Sugar(Diabetes): Sugar ke mareejo ke liye hari chay ek utam gharelu upchaar hai. Green tea peene se body mein glucose ki maatra control mein rehti hai aur ye insulin dava ke side effects ko bhi kam karta hai.
5. Dil ke Rog (Heart Diseases): Geen tea mein anti-oxidant ki maatra jada hoti hai jo body ke metabolism ko strong banata hai, jisse shareer mein cholesterol control mein rehta hai. Cholesterol control mein rehane se shareer mein blood ka circulation bhi normal rehta hai. Green tea peene walo ko heart attack aane ki aashanka bhut kam hoti hai kyuki ye blood ko patla karta hai jisse khoon ka thakka(blood clot) nahi hota.
6. Wajan Ghatane ke liye: Motapa kam karne aur wajan ghatane mein green tea ek bhut hi asardaar upay hai. Agar aapko lagta hai ki excersise, yoga aur workout karne ke baad bhi aapka wajan kam nahi ho raha to aap apne daily workout ke sath green tea peena shuru kare. Khana khane ke baad 1 cup green tea peene se paachan ki gati badh jaati hai. Green tea mein caffeen ki matra jada hoti hai jo calorie burn karti hai aur wajan kam hone lagta hai. Pet ki charbi kam karni ho to raat ko sone se aadha ghanta pahle 1 cup green tea piye.
7. Body ki Immunity: Green tea mein vitamine C aur antioxident bharpur maatra mein hote hai joki shareer ke free radicals ko nasht karte hai aur body ke immune system ko strong banate hai jisse hamarae shareer mein bimariyo se ladne ke liye takat milati hai. Din mein 3 se 4 cup green tea peene se bimariyo ka khatra kam ho jata hai.
8. Blood Pressure: BP control karne mein green tea ke fayde. Green tea peene se 50% tak high blood pressure mein kami aati hai, ye khoon ki dhamniyo ko aaram pahunchati hai, jisse high bp ki samasya kam ho jati hai.
9. Pairo ki Badboo: Green tea ki mahak strong hoti hai. Iski mahak ko pairo ki badboo dur karne ke liye isteemaal kar sakte hai. Isteemaal ki hui green tea ko paani mein daal de fir usi paani mein pairo ko 15 se 20 minute tak rakhe. Isse pairo ki smell khatam ho jayegi.
10. Baalo ke Liye: Green tea baalo(hairs) ke liye ek conditioner ka kaam karti hai. Green tea ko ubaal kar thanda hone par baalo mein lagaye. Ye natural tarike se aapke baal sundar banayega.
11. Stamina: Lagatar kaam karne ki wajah se shareer mein thakan hone lagti hai, aur green tea peene se thakan door hone lagti hai. Jab bhi aapko ghar ya office mein lagatar kaam karna ho to beech beech mein ek cup green tea piye. Isse aapka mind fresh hoga aur aapke kaam karne ki shamta badhegi.
12. Mouth Problems: Green tea muh ke un bacteria ko nasht karta hai jinki wajah se muh mein infection hota hai aur kai bimariya hone lagti hai jaise ki saans ki badboo, payriya, mouth cancer. Green tea danto ka peelapan kam karta hai aur masudo ko majboot karta hai.
Green Tea Peene Ke Nuksaan : Side Effects
- Bhukh kam lagti hai.
- Green tea mein caffeen ki matra jada hoti hai aur iske adhik sevan se neend kam aati hai.
- Kam umar ke bacho ke liye green tea thik nahi hai. Green tea se bhuk kam lagti hai jisse bacho ko pure poshak tatv nahi mil paate.
- Garbhwati mahilao ke liye green tea nuksaandeh ho sakti hai. Pregnant mahila ya fir jo garbh dharan karna chahti ho use green tea nahi peena chahiye. Garbhwati mahilao ke liye green tea sahi nahi hai kyuki isse iron aur folic acid kam hota hai.
Green Tea Lene Ka Sahi Samay (Time) aur Tarike
- Subh khaali pet.
- Khana khane ke baad.
- Raat ko sone se pahle.
- Din mein 3 se 4 cup green tea pe sakte hai.
Green tea ko adarak, nembu aur tulsi ke sath lena aur bhi faydemand hota hai.
Sawdhaniya
Green tea mein caffeine ki matra coffee se jada hoti hai, isliye jarurat se jada hari chay peene se isse hone wale benefits kam ho jate hai. Koshish kare aap green tea ki sahi matra le taaki aapko iska benefit milta rahe aur bimariyo se bache rahe.
Dosto green tea kaise banaye hindi, green tea ke fayde aur nuksaan ka ye leekh kaisa laga hame bataye. Aur agar aapke pass green tea isteemaal karne ka koi anubhav ya sujhaav ho to hamare sath bhi share kare.
- Green Coffee se Weight Loss ke Upay
- 10 Lemon Tea Benefits in Hindi
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
- Swasth Aur Sehatmand Kaise Rahe
Gharelu nuskhe, ayurvedic aur homeopathic upchaar ke sath sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.
Very nice
Green tea banane ki patti kaha se milegi
Tejram green tea aap ko kisi bhi general store se mil jayegi.
Thanks confusion door karne k liye
Thanks
Best and thank you so much
Bahut bahut dhanywad jankari dene ke liye. Achcha laga
Green tea ka price kya h
Dost price quantity aur brand par depend karta hai.
Khuli green tea or Green tea bag m Koi difference to nahi h na…govind Ji or he motape par asar to karti h na….
Pratibha ji tea bag aur khuli tea dono ko paryog karne ka tarika alag hai par dono ka kaam ek hi hai.
green tea ka sbse achha brand kaon sa h aur uska praise kya hai
Aap kisi general store par jaye aap ko wha ye jankari mil jayegi.
Green tea hum kitne ege mein pee sakte he
Green tea kisi bhi age mein pi sakte hai par chote bacho ko ise dene se pahle doctor ki salah leni chahiye.
Govind ji morning green tea pee k gym jaane se koi roblem hain kiya????aur green tea k saath 1Spoon honey dein sakte hain naa??isse koi effect nhi hogi na???
Salman green tea subh le sakte hai aur chahe to isme taste ke liye shahad mila sakte ho.
sir muze abhi 18va saal laga hai aur mera weight 76 hai kya muze green tea peeni chahiye
Dost green tea ke aur bhi bahut se fayde hai aap lekh mein padhe.
Sir kya ham green tea lene ke 00.30 mint baad coffee or brown bread kha skte hai
Shubham 30 se 45 minute bad aap kha sakte hai.
sir green tea kitne din tk pini chaiye or kitne din me eksa ashar dikhne lgta h .
Sonu kitne din mein asar dikhega ye paryog karne wale pe nirbhar karta hai.
article toh bdiyaa h mgr kuch doubt h.
jaise-
nimbu aur chini wali khuli yaa tea bag wali green tea pine se koi nuksaan toh nhi hotaa
please tell me the true fact behind this to my email.
thanks if u reply back soon
Geeta ji green tea pattiyo mein bhi aati hai aur tea bag mein bhi, tea bag kai flavors mein aati hai jese lemon, honey. Aap khuli ya tea bag apne anusar koi bhi paryog kar sakti hai.
Govind sir meri age 24 yr h kya m green tea le skta hu mujhe sir pet km krna h….or mujhe kitni green tea daily pini chaiye…please reply
Ashok ji aap green tea pi sakte hai ise lene ki puri jankari upar lekh mein batayi gayi hai aap ise padhe.
Sir agar isme sugar (chini) mila kar le to ye motapa kam karne me asar karegi ya nhi?
Goldy chini ki bajay shahad paryog kar sakte hai.
Sir men apke anusar exarcise bhe kar raha hun fir bhee kabhe six peck bante hen to kabhee mitte han kya karun
Dost aap sahi tarike se regular workout kare aur diet ka bhi dhyan rakhe.
sir,,pattiyo wali green tea aur bag wali green tea koun si hoti hai,,aur sir aapne ye bhi kaha hai ki iske kai flavour hote hai..to slim ke liye effective flavour koun sa hai,,aur sir hmne online green tea ka cost bhout jyada paya like 1750..to kya sir isse kam ke cost me nhi hoga
Preeti ji green tea itni mehngi nahi hoti hai aap apne jajdiki kisi general store se le sakti hai aur sab flavour ek se hai bas thoda taste mein farak hota hai, khuli green tea mein pattiya hoti hai aur bag ko hum tea bag jese paryog kar sakte hai.
Muje aapka ye comments accha laga
govind Ji thank you
Sir kya mai sham ko green tea pi kar gym ja sakta hu
जिम जाने से पहले और जिम करने के बाद क्या खाना चाहिए इसकी जानकारी विस्तार में यहाँ पढ़े :: https://sehatdoctor.com/gym-mein-workout-se-pahle-kya-khaye-karne-ke-baad-diet/
Sir main slim hona chahati konsi time par green tea pene se fayda hoga mere umar 28 hai avi meri weight 81 kaise kaam Karo ye weight green tea se pls tell me
स्लिम होने के लिए घरेलू नुस्खे की जानकारी आप यहां पढ़े :: https://sehatdoctor.com/slim-hone-ke-upay-patla-body-tarike-weight-loss-tips-hindi/
sir kiya gathiya ke rogi bhi green tea pee sakte hai
sir muje thyroid h kya m green tea pi sakti hu muje is se koi problem to nhi hogi
Sir hello sir Aap ye batae ki green tea pine se balo ko faida hota ya isse sir pe lagane se please sir bataiye kyuki mere baal bahut had rahe hai Kya isse faida ho Sakta hai
Kya cancer me green tea me shahad or neembu dalkar piya ja sakta hai